Ramzan

Ramzan Ka Chand Dekhne Ki Dua

Mahe Ramzan Ke Mubarak Mahine Ka Aagaz Hone Ja Raha Hai. Karodo Karodo Martaba Shukr ALLAH Rabbul Aalameen Ka Ki Usne Hum Gunahgar Siyakar Khatakar Bandon Ko Apni Rehmat Se Nawaza. ALLAH Ta’ala Hum Sabko Is Mubarak Mahine Ki Barkaton Rehmaton Se Malamal Farmaye Aur Khoob Ibadat Karne Ki Taufiq Ata Farmaye. Hamare Marhumin Jo Is Faani Duniya Se Apni Aakhirat Ki Manzilon Ki Taraf Kooch Kar Chuke Hai Un Tamam Ki Magfirat Farmaye Aur Unko Karwat Karwat Jannat Ki Bahare Nasib Farmaye. Aur Apne Habib ﷺ Ki Shafa’at Unhe Aur Hume Ata Farmaye. Aameen. Awwal Aakhir Durood.

Aksar Awam Me Behes Ka Mauzoo Chand Ko Le Kar Dekha Gaya Hai. Hamare Aaqa Nabi-E-Kareem Hazrat Muhammad ﷺ Ka Farmane Aalishan Hai Ke Hume Chand Dekh Kar Roza Rakhna Hai Aur Chand Dekh Kar Eid Manana Hai. Ab Kuchh Aisi Sooratein Bhi Payi Jati Hai Ke Mausam Ke Wajahse Chand Ka Dikhna Mushkil Ho Jata Hai. In Sooraton Me Shahadat Par Amal Karna Chahiye.

Chand Dekh Kar Roza Rakhna

Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Wo Kahte Hai Maine Nabi E Kareem ﷺ Se Suna Aap Huzoor ﷺ Ne Farmaya

“Ke Jab Ramzan Ka Chand Dikhe To Roza Rakho Aur Jab Tum (Shawwal Ka) Chand Dekho Toh Roza Mouqoof Karo. Agar Mtalaa Abr Aalood Ho Toh iss ke liye Andaza Karlo ”

(Sahih Bukhari, Kitabus Sawm, Hadees : 1900)

Chand Dekh Kar Roza Rakhna Shuru Karo & Chand Dekh Kar Aftar Karo

Aur Agar Abar (Badal) Ho To Shaban Ki Ginti 30 Ki Puri Karo

(Sahih Bukhari, Kitabul Sawm, Hadees No 1909)

Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddiqa Radiallaho Anha Se Riwayat Hai RasoolAllah Huzoor Nabi-E-Kareem ﷺ Shaban Ke Mahine Ki is Qadar Hifazat Karte Ki itni Kisi Aur Mahine Ki Nahi Karte.

Phir Chand Dekh Kar Ramzan Ke Roze Shuru Karte.

Agar Abar Hota To 30 Din Shaban Ke Pure Kar Ke Ramzan Ka Roza Rakhte.

(Sunan Abu Dawood, Kitabul Sawm, Hadees No 2325)

Hazarat Abdullah bin Umar Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya

“Mahina Untees (29) Raat Ka Bhi Hota Hai. Lehaza Tum Chand Dekh Lo Toh Roza Rakho  Aur Agar Mutala Aber Aalood Ho To Tees (30) Din Ki Ginti Poori Karo “

(Sahih Bukhari Kitabus Sawm, Hadees : 1907)

Uapr Bayan Ki Gayi Ahadeese Pak Se Ye Saaf Zahir Hai Ke Hume Chand Dekh Kar Roza Rakhne Ka Huqm Hai. Aur Agar Badalon Ke Wajahse Chand Na Dikhe Aur Kisi Ke Tarafse Shahadat Na Mile To 30 Din Ki Ginti Poori Kare. Agar Kisi Jagah Karab Mausam Ke Wajahse Chand Na Dikhe To Wo Shahar Qazi Ke Yahan Tashrif Le Jaye. Aur Shahadat Hasil Hone Par Shahar Qazi Ke Elaan Par Amal Kare. Chand Ki Shahadat Ke Mutallik Aapki Khidmat Me Ahadees Pesh Kar Raha Hu.

Note:- Read About Ramzan Ka Chand Dekhne Ki Dua

Chand Na Dikhne Par Shahadat Ki Hadees

Hazrat Abdullah Ibn Abbas Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Ek Baddu, Nabi E Kareem Rauf-O-Rahim ﷺ Ke Paas Haazir Huwa Aur Kaha Maine Chand Ko Dekha Hai,

Imam Hasan Ibn Ali Radiallahu Anhu Farmate hai Wo Ramzan Ke Waqt ki Baat Thi,

Nabi E Rehmat ﷺ Ne Us Baddu Se Pucha Kya Tu Gawahi Deta Hai ALLAH Kay Siwaye Koi Mabood Nahi?

Usne Kaha Haan,

Phir Pucha Kya Tu Gawahi deta Hai Muhammad ﷺ ALLAH Ta’ala Kay Rasool ﷺ Hai ?

Usne Kaha Haan,

Phir Usne Chand Dekhne Ki Baat Kahi,

Aap Huzoor ﷺ Ne Hazrat Bilal Radiallahu Anhu Se Kaha Jao Aur Ailan Kardo kay Kalse Roza Rakhe”

(Sunan Abu Dawood, Kitab As Siyam, Hadees 2340)

Is Ahadees Sharif Par Amal Karte Huve Kisi Sahihul Aqeeda Shariat Ke Paband Shakhs Ki Shahadat Hasil Karne Par Shahar Qazi Chand Dikhne Ka Aur Roza Rakhne Ka Ailan Kare.

Chand Dekh Kar Padhne Ki Dua

Hazrat Talha Ibn Ubaidullah Se Radiallahu Anhu se Rivayat Hai Nabi E Karim ﷺ Jab Chand Dekhte To Ye Dua Padhte

‏اَللّٰہُمَّ اَھِلَّہ عَلَیْنَابِالْیُمْنِ وَالْاِیْمَانِ وَالسَّلَامَةِ وَالْاِسْلَامِ ،رَبِّیْ وَرَبُّکَ اللّٰہُ هلال رشد وخير

“Allahumma Ahillahu ‘Alaina bil-Amni Wal-iman, Was-Salamati Wal-Islam, Rabbi Wa Rabbuk-Allah, Hilalu Rushdin Wa Khairin”

Tarzuma:

“YAA ILAHI IS CHAND KO HUM PAR BARKAT KAY SAATH AUR IMAAN WA SALAMTI AUR ISLAM (Kay Sath Tulu Farma) AYE CHAND TERA AUR MERA RAB ALLAH TA’ALA HAI”

(Imam Tirmizi Jamai Tirmizi, Kitab Ad Duwat, Hadees No 3451)

(Imam Nawawi Riyadusalaheen, Kitabul Fazail, Hadees No 1228)

Chand Dekhne Ke Bad Ka Amal

Chand Dekhne Ke Bad Isha Se Pehle 21 Martaba Surah Qadr Ki Tilawat Rozi Me Barkat Ki Niyat Se Kare. In sha ALLAH Gaib Se Rozi Ke Raste Khol Diye Jayenge. Aur Beshumar Barkatein Hasil Hongi.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!