Ahkam-E-ShariatAqaid-E-Ahle SunnatImaanSihah Sitta Hadith

Azmat E Sahaba Aur Fazilate Sahaba-E-Kiram Quran Hadees Se

{tocify} $title={Table of Contents}
 

Sahaba-E-Kiram Kaun Hai:

Sahabi Woh Khushnasib Momin Hai Jinhone Imaan Wa Hosh Ki Halaat Me Ek Nazar Huzoor Nabi-E-Rahmat Sallallaho Alaihi Wasallam Ko Dekha Ya Unhe Huzoor Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Sohbaat Naseeb Huwi Ho Phir Imaan Par Khatmaa Bhi Naseeb Huwa Ho. Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Duniya Se Parda Farmane Ke Baad Jin Sahabi Radiallahu Anhu Ne Islam Ki Khilafat Ko Sambhala Unhe Kulfa-E-Rashideen Kehte Hai.

Shaan-E-Sahaba-E-Kiram Radiallahu Ta’ala Anhu:

Aaj Kuch Firqe (Rafji, Devbandi/Wahabi) Sahaba-E-Kiram Radiallahu Ta’ala Anhu Ko Bura Bhala Kehte Hai. Kai To Aksar Unke Shaane Aqdas Me Gustakiya, Gaali-Galoch Karte Hai. Unme Kaun Afzal Hai Is Par Behes Karte Hai Aur Kisi Sahabi Ko Haqeer Jaante Hai. Maz’ALLAH Astagfirullah. Ye Aksar Khulfae Rashideen Ki Khilafat Ko Lekar Gustakhiya Karte Rehte Hai. Aur Kuchh Log Hazrate Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ki Shaan-E-Aqdas Me Gustakhiyan Karte Hai. Inke Dilo Me Bugz-E-Sahaba Hai Aur Ye Zeher Dusron Ke Dilo Me Gholne Ke Liye Tarah Tarah Ke Kisse Gadhte Hai Aur Unhe Bayan Karte Hai Taki Awam Ko Gumrah Kiya Ja Sake. Ye Post Isliye Likhi Gayi Hai Ki Unki Islah Ho Jaye Ke Kahi Unhe Apne Is Gunaah Ki Fikr Ho Jaye Aur Wo Tauba Karle. Hadeese Pak Me Kai Martaba Sahaba-E-Kiram Ki Fazilate Wa Shaano Shaukat Ko Bayan Kiya Gaya Hai. Aaiye Ham Chand Chuninda Ahadees Par Roshni Dalte Hai.

Hadees No: 1

Hazrat Abu Hurraira Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Ke Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya,

“Mere Sahaba Ko Bura Mat Kaho, Merey Sahaba Ko Bura Mat Kaho (Do Martaba Farmaya) Qasam Hey Us Zaat Ki Jis Key Qabza-E-Qudarat Mey Meri Jaan Hai. Agar Tum Mey Sey Koi Uhad Pahaad Ke Baraabar Bhi Sona Kharch Kar Dey To Phir Woh Un Ke Ser Bhar Ya Us Sey Aadhey Key Baraabar Bhi Nahin Pahunch Sakta.”

(Sahi Muslim, Vol 04, Pg : 1343, Kitab No 44 – Fazail e Sahaba Radiallahu Anho Azmain, Baab No 54 Sahaba Ko Bura Na kaho, Hadees : 3470)

(Sunan ibn Majah, Vol : 01, Pg : 57, Kitab No 01,Hadees : 161)

(Sunan Abu Dawood, Vol : 04, Pg : 215, Book No 42 Kitab Al Sunnah Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam, Hadees : 4658)

(Sunan Tirmizi, Vol : 05, Pg : 695, Book No 49 Kitab Manakib Ana Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam, Hadees : 3861)

Hadees No: 2

Hazrat Nusair Bin Zu’look RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Kartey Hain Ke Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Farmaya Kartey They Ke Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Sahaba Kiram Ko Bura Mat Kaho Kyun Ke Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Sohbat Mey Guzara Huwa Un Ka Aik Lamha Tumharey Zindagi Bhar Key Aa’maal Sey Behtar Hai.

(Sunan Ibn Majah, Vol :01,Pg : 57, Kitab Al Mukaddama, Hadees : 162)

(Imam Abi Shaybaah, Al Musannaf Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, Vol : 06 Pg : 405, Hadees : 32415)

(Imam Ibn Abi Asim As Sunnah, Vol : 02 Pg : 484, Hadees : 1006)

Hadees No: 3

Hazrat Jaabir Bin Samurah RadiAllaho Anho Sey Riwayat Hey Unhoney Bayan Kiya Key Hazrat Umar RadiAllaho Anho Ney Jaabiya Key Maqaam Par Hamey Khutba Diya, Phir Farmaya :

“Hamarey Darmiyan Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Yoo’n Qiyam Farmatey They Jaisey Mey Tumharey Darmiyan Khara Hoo’n Aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya :

“Mere Sahaba Ke Baarey Mey Meri Hifaazat Karo (Ya’ni Un Ki Izzato Ehteraam Karo.) (Aur Un Logon Ki Izzato Ehteraam Karo) Jo In Ke Baad Aaney Waaley Hain. Phir (Un Logon Ki) Jo In Key Baad Aaney Waaley Hain. Aur Hazrat Abdullah Bin Umar RadiAllaho Anho Sey Marwi Aik Riwayat Mey Farmaya :

“Merey Sahaba Sey Achchha Sulook Karna.”

(Sunan Ibn Majah Vol : 03,Pg : 353, Kitab Al Ahkaam, Hadees : 2363)

(Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Vol : 01, 98, Hadees : 144)

(Imam Hakim Al Mustadrak, Vol : 01, Pg : 187,188, Hadees : 388, 390)

(Imam Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat, Vol : 06, Pg : 306, Hadees : 6483)

Upar Bayan Karda Ahadees Se Hume Ye Roshan Ho Gaya Ki Humare Aaqa Tajdar-E-Madina Rehmate Aalam Noore Muzassam Shafi-E-Mehshar Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke Sahaba-E-Kiram Radiallaho Ta’ala Anhum Ka Amal Kis Qadr Afzal Hai Aur Sath Hi Aap Huzoor ﷺ Ne Hum Ummatiyon Ko Unki Izzat-Ahtaram Ki Taqeed Bhi Farmayi Hai. Aage Sahaba-E-Kiram, Tabaeen Wa Tabe Tabaeen, Imaam, Auliyae Kiram,Shohda, Bujrgane Deen,Nek Bande In Sabki Tazeem Ka Huqm Is Hadeese Pak Me Hai. 

Beshaq ! Hum Ahle Sunnat Wal Jama’at Adabwale Hai. Alhumdulillah Hum Ahle Sunnat Wal Jama’at Sabki Tazeem Karte Hai. Aur Inhi Ke Naqshe Qadam Par Chalane Ki Dua Bhi ALLAH Rabbul Aalameen Ki Bargah Me Karte Hai.

Hadees No: 4

Hazrat Umar ibn Khattab Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Unhone RasoolALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Farmate Huwe Suna Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Maine Apne Rab Se Apne Sahaba Kay Iktelaf Ke Muttalik Sawal Kiya Jo Mere Baad Hoga.

ALLAH Ne Meri Taraf Wahi Farmayi,

“AYE Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Tumhare Sahaba Mere Nazdik Aise Hai Jaise Aasman Ke Sitaro Ki Manind Hai Inme Baaj Baaj Pe Afzal Hai Lekin Sabke Sab Nooroni Hai. Aye Mehboob! Agar Inme Baad Me Ektelaf Ho Jaye To Jo Inme Se Jiski Pairvi Kare Wo Hidayat Paa Jayga.”

Phir Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmya,

“Aye Logo Jaan Lo Mere Sahaba Aasman Me Chamakte Sitaro Ki Manind Hai Inme Se Jiski Pairvi Karoge Hidayat Paa Jaoge.

(Mishkat Al Masabih Vol :  03, Baab : Manakib e Sahaba,Hadess 5762)

(Imam Bayhaqi Vol : 01, Pg :162, Hadees : 152)

(Imam Daylami Al Musnad Ul Firdaus Vol : 04, Pg : 160, Hadees : 6497)

(Imam Zahbi Al Mizanul Aitedaal Vol  : 02, Pg : 142)

(Khatib Bagdadi Al Kifaya Vol : 01, Pg : 48)

(Imam Abu Qadama Maqdisi Hambli Ne AL Mugni  Vol : 03)

(Imam Ibn Katheer Tuhfatut Talib Vol : 01, Pg : 45)

Ek Simt Ali Ek Simt Umar Usman Idhar Siddiq Udhar,

In Jag-Mag Jag-Mag Taaron Mein Sarkaar Ka Aalam Kya Hoga,

SubhanALLAH  SubhanALLAH  SubhanALLAH.

Ye Hadeese Pak Se Khoob Wajeh Ho Gaya Ki Sahaba-E-Kiram Radiallahu Anhu Se Sirf Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem Huzoor ﷺ Ko Hi Muhabbat Nahi Hai Balke 

Sahaba-E-Kiram Ke Gustakho Fikr Karo Apne Aamaalo Ki:

ALLAH Ki Beshumaar La’nate Ho Aise Khabeeso Par Jo Sahaba Ki Shaane Aqdas Me Gustakhiya Kare Ya Unpe Kufr Ka Fatwa Lagaye. Beshaq ! Koi Apni Zindagi Bhar Bhi Ibadat Me Guzare To Bhi Wo Sahaba-E-Kiram Ke Jarra Barabar Bhi Martaba Haasil Nahi Kar Sakta. Koi Wali, Hafiz, Qaari, Mufti, Molvi, Muhaddis To Ban Sakta Hai Magar Sahabi Nahi Ban Sakta Aur Jo Unka Gustakh Hai Wo Apna Thikana Jahanam Me Bana Chuke Agar Isi Gaflat Me Mar Jayen.

Hadees No: 5

Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Sey Riwayat Hey Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya :

“Jab Tum Un Logon Ko Dekho Jo Merey Sahaba Ko Bura Bhala Kahtey Hain To Tum (Unhey) Kaho Tumharey Sharr (Buraayi) Par ALLAH Ta’ala Ki Laanat Ho.”

(Jamai Tirmizi, Vol : 05 : Pg : 697, Kitabul Manakib, Hadees : 3866)

(Imam Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat, Vol :08, Pg : 191,Hadees : 8366)

(Daylami Musnad-ul-Firdaws, Vol : 01, Pg : 263, Hadees : 1022)

Hadees No : 6

Hazrat Abdullah Bin Mughaffal رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Sey Riwayat Hey Ke Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ney Farmaya :

˝Mere Sahaba Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ke Baarey Mey ALLAH Ta’ala Sey Daro, ALLAH Sey Daro Aur Merey Baad Inhey Tanqeed Ka Nishaana Na Banaana,

Kyun Ke Jis Ney In Se Muhabbat Ki Us Ne Meri Wazah Se Un Se Muhabbat Ki Aur Jis Ne Un Se Bughz Rakha Us Ne Mere Bughz Ki Wazah Se Un Se Bughz Rakha Aur Jis Ne Unhey Takleef Pahunchaayi Us Ney Mujhey Takleef Pahunchaayi Aur Jis Ney Mujhey Takleef Pahunchaayi Us Ney ALLAH Ta’ala Ko Takleef Pahunchaayi Aur Jis Ney ALLAH Ta’ala Ko Takleef Pahunchaayi Anqareeb ALLAH Ta’ala Usey Pakreyga.”

(Sunan Tirmizi, Vol : 05, Pg : 696, Book No 49 Kitab Manakib, Baab :  Ana Rasool Allah صلى الله عليه وسلم, Hadees : 3862)

(Musnad E Ahmad Ibn Hambal, Vol:05,Pg :54&57,Hadees -20549,20578)

(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 02, Pg : 191, Hadees : 1511)

(Imam Daylami Al Musnad Ul Firdaus, Vol : 01, Pg : 146, Hadees : 525)

Imam Tirmizi Ne is Hadees ko Hasan Likha Hai.

Kya Pata Chala Sahaba-E-Kiram Radiallahu Anhum Ke Mutalliq Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem Huzoor ﷺ Ne Hume Sakht Taqeed Farmayi Hai Ke Sahaba-E-Kiram Ko Hargiz Bura Na Kaho Tanqeed Ka Nishana Na Banana. Kyunki Jo ALLAH Ta’ala Aur Uske Habib ﷺ Se Muhabbat Karta Hai Wo Sahaba-E-Kiram Radiallahu Anhum Se Bhi Muhabbat Karega. Aur Jisne Sahaba-E-Kiram Radiallahu Anhum Ki Gustakhi Ki Unko Takleef Pohochayi To Usne Huzoor ﷺ Aur ALLAH Rabbul Aalameen Ko Takleef Pohochayi. Beshaq ! Unhe Sakht Azab Ka Samna Karna Hai. 

Hadees No: 7

Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Rasoolullah SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wasallam Ne Farmaya :

“Jab Koi Shakhs Apne (Musalman) Bhaai Ko Kafir Kehta Hai To Donon Me Se Koi Aik Shakhs Us Kufr Ke Saath Lauta (Ya’ni Agar Jise Kaha Gaya Woh Kafir Na Huwa To Kehne Waala Khud Kafir Ho Jaayega).”

(Sahi Muslim Vol : 01, Book 02 : Kitab Ul Imaan, Baab No 26 : Bayani Haali Imaan Man Kaala Lakhi Muslimo Ya Kafiro, Hadees : 60)

Hadees No: 8

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ke :

“Yahoodi Aur Nasara (Jews & Christians) 71 Aur 72 Firqon Me Batey Hain. Meri Ummat 73 Firqon Me Batt Jayegi. Lekin Ek (1) Firqey Ke Siwa Baaqi Tamam (72) Firqey Jahannum Me Jaayenge.”

Sahaba-E-Kiraam Radiallahu Anhuma Ne Arz Ki:

“Ya RasoolALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam ! Ye Kaunsa Ek Firqa Hoga?”

Huzoor-E-Aqdas Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ke :

“Jo Mere Aur Mere Sahaba Ke Aqeedey Par Hoga.”

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ke :

“Meri Ummat 73 Firqon Me Bategi, Sab Jahannumi Hongey, 

Sirf 1 Firqa Jannati Hoga Jo Mere Aur Mere Sahaba Ke Aqeedey Par Hoga.”

(Jamia Tirmizi : Hadees 2641 Book ref. :  40, Hadees 36

Eng ref. : Vol. 5, Book 38, Hadees 2641)

(Sunan Ibn Majah : Hadees 3992 Book ref. :  36, Hadees 67

Eng ref. : Vol. 5, Book 36, Hadees 3992)

(Sunan Abu Dawud : Hadees 4596 Book ref. :  42, Hadees 1

Eng ref. : Book 41, Hadees 4579)

You Might Also Like:

Fazilate Maula Ali Muskhil Kusha

Huzoor ﷺ Ki Muhabbat Aur Ita’at

Shafa’ate Mustafa Huzoor ﷺ Quran Wa Hadees Sharif Se Sabit

Fazilate Sahaba-E-Kiram Quran Se:

Aayat No: 1

ALLAH AZWAZAL Qurane Kareem Me Farmata Hai,

“Ye Hai Woh Log Jinke Dilon Me ALLAH Ne Imaan Naqsh Kar Diya Aur Apni Taraf Ki Rooh Se Inki Madad Farmayi Aur Inhein Baagon Mein Le Jayega Jinke Neeche Nehrein Beh Rahi Hai, Hamesha Rahenge Unmein. ALLAH Unse Razi Aur Aur Wo ALLAH Se Razi Uske Rahmat Aur Karam Se Yeh ALLAH Ki Jamaaat Hai Sunta Hai ALLAH Hi Ki Jamaat Kamyab Hai.”

(Surah Mujadilah, Para 28, Ruku 3, Ayat 22)

Ye Kamiyab Jama’at Hi Ahle Sunnat Jama’at Hai Jo Sahaba-E-Kiram, Tabaeen, Tabe Tabeen, Imaam, Shohda, Auliyae Kiram, Bururgane Deen Aur Nek Bando Ki Hai. Jinke Nakshq Qadam Par Chalne Ka Huqm Hame Hadeese Pak Se Milta Hai Aur Unki Pairavi Me Hi Hum Sabki Nazaat Hai.

Aayat No: 2

“Aur Jo ALLAH Aur Uske Rasool Ka Huqm Mane To Use Unka Sath Milega Jinpar ALLAH Ne Fazl Kiya Yani Nabi Aur Siddiqin Aur Shaheed Aur Nek Log. Ye Kya Hi Achche Saathi Hai.”

(Surah An Nisa, Para 5, Ruku 9, Aayat 69)

Jinhone Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Sunnate Wa Sahaba-E-Kiram Ki Sunnato Par Amal Kiya Unka Tareeqa Apnaya Beshaq Wo Roze Mehshar Unke Sath Honge. Aur ALLAH Ta’ala Shafi-E-Mehshar Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Maqaame Mehmood Par Khada Karega Jaha Mere Aaqa Hum Gunahgaaro Ki Shafa’at Karenge Aur ALLAH Qabool Farmayega.

Aayat No: 3

“Karib Hai Ki Tumhe Tumhara Rab Aisi Jagah Khada Karen Jahan Sab Tumhari Hamd Kare.”

(Surah Bani Israel, Para 15, Ruku 9, Aayat 79)

Ab Yahan Aapne Fazilate Sahaba-E-Kiram Radiallahu Anhum Ko Mulahiza Farmaya Ab Hume Ye To Maloom Ho Gaya Ki ALLAH Ta’ala Aur Humare Aaqa Tajdar-E-Madina Rehmate Aalam Noore Muzassam Shafi-E-Mehshar Huzoor ﷺ Apne Sahaba-E-Kiram Se Kis Qadr Muhabbat Karte Hai Aur Hume Unke Tariqe Par Chalne Ka Huqm Farmaya Gaya Hai.

ALLAH Ta’ala Qur’an Kareem Me Irshad Farmata Hai,

Aayat No: 4

“Aur Jab Unse Kaha Jaaye Imaan Lao Jaise Aur Log Imaan Laaye To Kahe Kya Hum Ahmako Ki Tarah Imaan Le Aaye”

(Surah Baqrah, Aayat 13, Para 1)

Aayat No: 5

“ALLAH Unse Razi Aur Aur Wo ALLAH Se Razi Uske Rahmat Aur Karam Se Yeh ALLAH ki Jamaaat Hai Sunta Hai ALLAH Hee Ki Jamaat Kamyab Hai ” 

(Surah Mujadilah Ayat 22, Para 28)

Ab Is Aayate Karima Me ALLAH Ta’ala Jama’ate Sahaba-E-Kiram Radiallahu Anhum Ko Qamiyab Bata Raha Hai. Unse Raazi Hone Ka Ailaan Farma Raha Hai. Jara Gaur Kare Wo Log Ki Jinse Razi Hone Ki Daleel ALLAH Ta’ala Khud Farma Raha Hai, Jinhe Qamiyab Jama’at Ka Khitab De Raha Hai. Jinke Bare Me Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem Huzoor ﷺ Khud Irshad Farmaye Ki Koi Ta-Umar Ibadat Kare, Ohad Ke Pahad Ke Barabar Sona Khairat Kare Phir Bhi Wo Sahaba-E-Kiram Ke Ek Pal Ki Ibadat Ke Barabar Bhi Martaba Hasil Nahi Kar Sakta. Us Muqaddas Sahaba-E-Kiram Radiallahu Anhum Ko Koi Bura Bhala Kahe, Gali Galoch Kare, Unpar Tanakashi Kare, Unhhe Haq Talfi Karnewala Kahe Ma’zallah Summa Ma’zallah Rabbul Aalameen. Kya Aisa Shakhs Imaan Par Raha? Kya Munh Dikhayenge Wo Log Roz-E-Mehshar Me ALLAH Ta’ala Aur Uske Habib ﷺ Ko? ALLAH Ta’ala Hum Sabko Nek Taufiq De. Sahaba-E-Kiram Radiallahu Anhum Ki Sachchi Wa Pakki Muhabbat Hamare Dilon Me Qayam Farmaye. Aur Imaan Par Khatma Naseeb Farmaye.

Aameen. (Awwal Aakhir Durood)

 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!