Ahkam-E-ShariatDhul Hijjah/Eid-UL-AzhaEid Mubarak

Eid Ki Namaz Ka Aasan Tarika

Eid Ki Namaz Ka Tarika:

Namaz E Eid Ka Tarika Ye Hai Ke 2 Rakat Wajib Eid Ul Fitr Ya Eid Ul Azha Ki Niyyat Karke Kaano Tak Haath Uthaaye, Aur Allahu Akbar Kahta Hua Haath Baandh Le Phir Sana Padhe.

1. Phir Kaano Tak Haath Uthaye Aur Allahu Akbar Kahta Hua Haath Chhod De.

2. Phir Dobara Haath Uthaye Aur Allahu Akbar Kah Kar Haath Chhod De.

3. Aur Phir Haat Uthaye Aur Allahu Akbar Kah Kar Haath Baandh Le.

4. (Yani Pahli Takbeer Me Haath Baandhe Iske Baad 2 Takbeero Me Haath Latkaaye Aur 4thi Takbeer Me Baandh Le).

5. Phir Imam اعوذ بالله Aur بسم الله Aahista Padh Kar Jahar Ke Saath (Buland Aawaz Se)  Surah E Fatiha Or (Zamm) Surah  Padhe.

6. Phir Ruku Or Sajde Kare Aur Dosri Rakat Me Pehle  Surah E Fatiha Or (Zamm) Surah Padhe.

7. Phir 3 Baar Kaano Tak Haath Lejaa Kar Allahu Akbar Kahe Aur Haath Na Baandhe Aur 4thi Baar Baghair Haath Uthaye Allah Akbar Kehta Hua Ruku Me Jaaye.

Mas’ala :-
Eidain Me Zaaid Takbeerein 6 Hui 3 Takbeeraat  Pahli Rak’at Mein Qirat (Surah E Fatiha Wa Zamm E Surah) Se Pahle  Aur Takbeer Tahreema Ke Ba’ad Aur 3 Takbeerat  Dosri Rak’at Mein Qirat Ke Baad Aur Takbeer E Ruku Se Pahle Aur In Mein Se Har Takbeer Me Haath Uthaaye Jayenge Aur Har 2 Takbeero Ke Darmiyan 3 Tasbeeh Ki Qadr Sakta Karein (Ruke Rahein).

▪️حوالہ
الدرالمختار، کتاب الصلاۃ، باب العیدین، جلد : 3، صفحہ : 3، وغیرہ ۔

Mas’ala :
Ye 6 Takbeeren Wajib Hain Yunhi Dosri Rakat Ki Takbeer E Ruku Bhi Wajib Hai.

Mas’ala :
Imam 6 Takbeero Se Ziyadah Kahe To Muqtadi Bhi Imam Ki Pairwi Kare Magar 13 Takbeerou Se Ziyadah Me Imam Ki Pairwi Nahi.
▪️حوالہ
ردالمحتار، کتاب الصلاۃ، باب العیدین، مطلب : أمر الخلیفۃ۔۔۔ إلخ، جلد : 3، صفحہ : 63۔

Mas’ala :
Pahli Rakat Mein Imam Ke Takbeer Kahne Ke Baad Muqtadi Shamil Hua To Usi Waqt 3 Takbeerein Kahle. Agarche Imam Ne Qirat Shuru Kardi Ho Aur 3 Hi Kahe. Agarche Imam Ne 3 Se Ziyadah Kahi Ho.

Mas’ala :
Agar Usne (Muqtadi Ne) Takbeerein Na Kahi Ke Imam Ruku Me Chala Gaya To Khade Khade Na Kahe. Balke Imam Ke Saath Ruku Mein Jaaye Aur Ruku Mein Takbeer Kahle.

Mas’ala :
Imam Ko Ruku Me Paaya Aur Gaalib Gumaan Hai Ke Takbeerein Kah Kar Imam Ko Ruku Me Paa Lega To Khade Khade Takbeerein Kahe Phir Ruku Mein Jaaye.
Warna Allahu Akbar Keh Kar Ruku Mein Jaaye Aur Ruku Mein Takbeerein Kahe.
Phir Agar Usne Ruku Me Takbeerein Poori Na Ki Thi Ke Imam Ne Sar Utha Liya To Baaqi Saaqit Ho Gayi.

Mas’ala :
Imam Ke Ruku Se Uthne Ke Baad Shamil Hua To Ab Takbeerein Na Kahe. Balke Jab Apni Rak’at Padhe Us Waqt Kahe.

Mas’ala :
Ruku Mein Jahan Takbeer Kehna Bataya Gaya Us Me Haath Na Uthaye.

Mas’ala :
Agar Dosri Rakat Me Shamil Hua To Pahli Rakat Ki Takbeerein Ab Na Kahe. Balke Jab Apni Faut Shudah Padhne Khada Ho Us Waqt Kahe Aur Dosri Rakat Ki Takbeerein Agar Imam Ke Saath Paa Jaaye To Wahi Takbeerein Kaafi Hai.
  Warna Is Me Bhi Wahi Tafseel Hai Jo Pahli Rakat Ke Baare Me Mazkoor Hui.
▪️حوالہ
الفتاوی الھندیۃ، کتاب الصلاۃ، الباب السابع عشر في صلاۃ العیدین، جلد : 1، صفحہ : 151۔

Mas’ala :
Imam Takbeer Kahna Bhool Gaya Aur Ruku Me Chala Gaya To Qiyam Ki Taraf Na Laute Na Ruku Me Takbeer Kahe.
▪️حوالہ
ردالمحتار، کتاب الصلاۃ، باب العیدین، مطلب : أمر الخلیفۃ۔۔۔ إلخ، جلد : 3، صفحہ : 65۔

चाश्त की नफ़्ल नमाज़ पढने का तरीका

अगर ईद के दिन भी लॉकडाउन रहा तो नमाज़-ए- ईद आप पर माफ है,नमाज़ -ए- ईद पढ़ने का मौका ना मिलने की वजह से आप गुनाहगार नहीं होंगे!

घर में घर की छत पर या किसी बड़े हाल वगैरह में ईद की जमात नहीं हो सकती इसलिए कम से कम ईद के दिन *आप अपने घर में चार रकात चाशत की नफ़्ल नमाज़ पढ़ें और उस का तरीक़ा वही है जो चार रकात सुन्नत पढ़ने का तरीक़ा है यानी जिस तरह आप ज़ुहर ,असर और ईशा से पहले चार रकात सुन्नत पढ़ते हैं उसी तरह से इस नमाज़ को भी पढ़ें, और सलाम फेरने के बाद 34″” बार अल्लाहु अकबर””पढ़ें उसके बाद आप अपने हिसाब से दुआ मांगे जिस तरह आप और दिनों में मांगते हैं।*

नीयत इस तरह करें:
नीयत की मैंने चार रकअत नमाज़े चाशत नफ़्ल की वास्ते अल्लाह तआला के मुँह मेरा काबा शरीफ की तरफ अल्लाहु अकबर।

यह नमाज़ तन्हा तन्हा पढ़ें क्योंकि तन्हा पढ़ना ही सब से बेहतर है शरीअत को यही पसंद है।

कम से कम जब शहर की किसी एक मस्जिद में ईद की नमाज़ हो जाए तब आप यह नमाज़ पढें उस से पहले नहीं।

औरतें भी ईद के दिन इस नमाज़ को पढ़ें।

मस्जिद या ईदगाह में नमाज़ पढ़ने का मौका ना मिलने की वजह से ज़्यादा मायूस होने की ज़रूरत नहीं है, हमारा रब बहुत मेहरबान है रब्बुल आलमीन हमें उतना ही सवाब अता फ़रमाएगा जितना पिछले और सालों में ईद की नमाज़ ईदगाह या मस्जिद में पढ़ने पर मिलता था, क्योंकि हदीस से यह बात साबित है कि किसी नेक काम की नीयत अगर दिल में हो मगर किसी मजबूरी की वजह से आदमी ना कर पाए तो उसे उस काम को ना करने के बावजूद भी पूरा सवाब मिलता है।
(बुखारी शरीफ, जिल्द: 2, पेज: 637)

चाश्त की नमाज़ का तरीक़ा :

*بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ
*اَلصَّــلٰوةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُوْلَ اللّٰه ﷺ

लॉकडाउन की वजह से उजरे शरई होने पर ईद की नमाज हम पर वाजिब नही..

लिहाज़ा 4 रकाअत नमाज़ चाश्त नफ्ल नमाज पढे.!

यह नमाज़ तन्हा तन्हा पढ़ें क्योंकि तन्हा पढ़ना ही सब से  बेहतर है शरीअत को यही पसंद है।

कम से कम जब शहर की किसी एक मस्जिद में ईद की नमाज़ हो जाए तब आप यह नमाज़ पढें उस से पहले नहीं।

नियत:
नियत की मैंने चार रकाअत नमाज़े चाश्त की नफ्ल वास्ते अल्लाह तआला के मुंह मेरा काबा शरीफ़ की तरफ़ अल्लाहु अकबर۔۔۔

तकबीरे तहरीमा:
(अल्लाहु अकबर)

👉🏻(पहली रक़ात)
सना – (अऊज़ुबिल्लाह – बिस्मिल्लाह पूरा पढ़ें) – सूरह फ़ातिहा – कोई एक सूरह – रूकुअ –  दो सजदा۔۔۔

👉🏻 (दूसरी रक़ात)
सूरह फ़ातिहा – कोई एक सूरह- रूकुअ – दो सजदा – अत्तहिय्यात – दुरूद शरीफ़ – दुआ (रब्बना आतिना…)

👉🏻 (तीसरी रक़ात)
सना – सूरह फ़ातिहा – कोई एक सूरह- रूकुअ – दो सजदा۔۔۔

👉🏻 (चौथी रक़ात)
सूरह फ़ातिहा – कोई एक सूरह – रुकूअ – दो सजदा – अत्तहिय्यात – दुरूद शरीफ़ – दुआ (रब्बना आतिना…)

👉🏻 सलाम फ़ेर दें

नमाज़ पूरी हुई…

ख्याल रखें दूसरी रक़ात मे अत्तहिय्यात के बाद दुरूद शरीफ और दुआ भी पढ़ना है फिर तीसरी रक़ात के लिए जब खड़े हों तो पहले सना पढ़ना है۔۔۔।

नमाज़ से फारिग होने के बाद۔۔۔

• 300 बार “सुब्हानल्लाहि व बिहम्दिही सुब्हानल्लाहिल अज़ीम۔۔۔”

•  दूरूद शरीफ़ पढ़ें और दुआ करे

👉🏼औरतें भी ईद के दीन  इस नमाज़ को पढ़ें।

मस्जिद या ईद गाह में नमाज़ पढ़ने का मौका ना मिलने की वजह से ज़्यादा मायूस होने की ज़रूरत नहीं है, हमारा रब बहुत मेहरबान है रब्बुल आलमीन हमें उतना ही सवाब आता फ़रमाएगा जितना पिछले और सालों में ईद की नमाज़ ईदगाह या मस्जिद में पढ़ने पर मिलता था, क्योंकि हदीस से यह बात साबित है कि किसी नेक काम की नीयत अगर दिल में हो मगर किसी मजबूरी की बजह से आदमी ना कर पाए तो उसे उस काम को ना करने के बावजूद भी पूरा सवाब मिलता है।
(बुखारी शरीफ, जिल्द: 2, पेज: 637)

Nabiyyon Ke Sultan, Rahmate Aa-lamiyan, Sardare Do Jahan, Mahbube Rahman عزوجل و صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم ka farmane Barakat nishan hai: “Jis ne Eidain ki raat (Yaa’ni Shabe Eidul Fitr Aur Shabe Eidul Azhaa) ta-labe sawab ke liye kiyam kiya, Us din us ka dil nahi marega, jis din (logon ke) dil mar jayenge.
(Ref: Sunane Ibne Mazaa, Jild: 2, Safa: 365, Hadees: 1782)

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Sayyeduna Anas Bin Malik رضي الله تعالي عنه Kehte Hain Ki Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Farmatey Hain:- ”Jab Tak Sadaqah-E-Fitr Adaa Nahi Kiya Jata Bandey Ka *Roza* Zameen-o-Aasman Ke Darmiyan Muallak (Yaa’ni Latka Hua) Rehta Hai.
Ref.
(Kanzul Ummaal, Jild: 8, Safha: 253, Hadees: 24124)
(Faizane Ramazan (Hindi), Safha. 473 Maktabatul Madina, Gujarat)

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Sarkar-E-Madina  صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ne Ek Shakhs Ko Huqm Diya Ki Jaa Kar Makkah-E-Muazzama Ke Gali Koochon Me Elaan Kar Do, Sadaqah-E-Fitr Waajib Hai.”
Ref.
(Jamia At Tirmizi, Jild: 2, Safha: 151, Hadees: 674)

Hazarat Sayyeduna Ibne Abbas رضي الله تعالي عنه Farmatey Hain Ki Madani Sarkar, Garibon Ke Ghum Khwaar صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ne Sadaqah-E-Fitr Mukarrar Farmaya Taaki Fuzool Aur Behuda Qalaam Se Rozon Ki Taharat (Yaa’ni Safayee) Ho Jaaye. Neez Masakeen Ki Khurish (Yaa’ni Khuraak) Bhi Ho Jaye.
Ref.
(Sunan Abi Dawood, Jild: 2, Safha: 158, Hadees: 1609)
(Faizane Ramazan (Hindi), Safha. 473 Maktabatul Madina, Gujarat)

Eid Ke 21 Mustahabbaat:

1⃣ Hajamat Banwana (Angrezi Baal Nahi).

2⃣ Nakhoon Tarashwana.

3⃣ Ghusl Karna.

4⃣ Miswak Karna (Yeh Uske Alawa Hai Jo Wuzu Me Ki Jaati Hai).

5⃣ Achchey Kapdey Pehanna (Naye Ho Toh Naye Warna Dhuley Hue- Saaf Suthrey).

6⃣ Khushboo Lagana.

7⃣ Angoothi Pehenna (Islami Bhai Is Baat Ka Khayal Rakhein Ki Sirf Saadhey Chaar Masha Se Kam Wazan Chaandi Ki Ek Hi Angoothi Pehnein. Ek Se Zyada Na Pehnein Aur Us Ek Angoothi Me Ek Nagina Hi Ho. Ek Se Zyada Naginey Na Ho Aur Bagair Naginey Ki Bhi Na Pehnein. Naginey Ke Wazan Ki Koi Qaid Nahi. Chaandi Ya Kisi Aur Dhaat Ka Challa Ya Chandi Ke Bayan Karda Wazan Wagairah Ke ilawa Kisi Bhi Dhaat Ki Angoothi Ya Challa Mard Nahi Pehen Sakta).

8⃣ Namaz-E-Fajr Masjid Me Parhna.

9⃣ Eid Ul Fitr Ki Namaz Ko Jaane Se Pehle Chandd Khajoorein Khaa Lein. 3 , 5, 7 Ya Kamobesh Magar Taaq Ho (Odd Numbers). Khajoorein Na Ho Toh Koi Meethi Cheez Khaa Lijiye. Agar Namaz Se Pehle Kuch Bhi Na Khaya Toh Gunah Na Hua. Magar Isha Tak Na Khaya Toh Itaab (Malamat) Kiya Jayega.

 Namaz-E-Eid, Eidgaah Me Adaa Karna.

1⃣1⃣ Eidgaah Paidal Jaana.

1⃣2⃣ Suwari Par Bhi Jaane Me Harz Nahi Magar Jis Ko Paidal Jaane Ki Qudrat Ho Us Ke Liye Paidal Jaana Afzal Hai Aur Wapsi Par Suwari Par Aane Me Harz Nahi.

1⃣3⃣ Namaz-E-Eid Ke Liye Ek Raaste Se Jaana Aur Doosre Raaste Se Wapas Aana

1⃣4⃣ Eid Ki Namaz Se Pehle Sadaqah-E-Fitr Adaa Karna (Afzal Toh Yehi Hai Magar Eid Ki Namaz Se Qabl Na De Sakey Toh Baad Me De Dein).

1⃣5⃣ Khushi Zaahir Karna.

1⃣6⃣ Kasrat Se Sadaqah Dena.

1⃣7⃣ Eidgaah Ko Itminaan Wa Waqaar Aur Neechi Nigaah Kiye Jaana.

1⃣8⃣ Aapas Me Mubarak Baad Dena.

1⃣9⃣ Baad-E-Namaz Eid Musafah (Yani Haath Milana) Aur Mua’nka (Yani Galey Milna) Jaisa Ke Umuman Musalmano Me Raij Hai Behta Hai Ki Isme Izhare Musarrat Hai (Bahare Shariat, Hissa 4, safha 17) Magar Amrade Khoobsurat Se Galey Milna Mahalley Fitna Hai.

2⃣0⃣ Eid Ul Adha (Yani Bakra Eid) Tamam Ahkaam Me Eid-Ul-Fitr (Yani Meethi Eid) Ki Tarah Hai. Sirf Baaz Baton Me Farq Hai. Masalan Isme (Yani Bakra Eid Me) Mustahab Yeh Hai Ki Namaz Se Pehle Kuch Na Khayein. Chaahey Qurbani Kare Ya Na Kare Aur Agar Khaa Liya Toh Karahat Bhi Nahi.

2⃣1⃣ Eid Ul Fitr Ki namaz Ke Liye Jaate Hue Raaste Me Aahista Se Takbeer Kahiye Aur Namaze Eid Ul Adha Ke Liye Jaate Hue Raaste Me Buland Aawaz Se Takbeer Kahiye

اللّهُ أكبر اللّهُ أكبر

لا إلَهَ الا اللّه

واللّهُ أكبر اللّهُ أكبر

و لِلّه الحمدَ
Tarjuma :
Allahعزوجل Sab Se Bada Hai, Allahعزوجل Sab Se Bada Hai, Allahعزوجل ke Siwa Koi Ibadat Ke Laayek Nahi Aur Allahعزوجل Sab Se Bada Hai, Allahعزوجل Sab Se Bada Hai Aur Allahعزوجل Hi Ke Liye Tamam Khoobiyan Hain.
Ref.
(Faizane Ramazan (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha 482-484)

Hazrate Sayyeduna Wahab Bin Munanneh رضي الله تعالي عنه Farmate Hain: Jab Bhi Eid Aati Hai, Shaitan Chilla Chilla Kar Rota Hai, Is Ki Badd Hawasi Dekh Kar Tamam Shayateen Us Ke Ird Gird Jam’a Ho Kar Poochtey Hain:-
Ae Aaqa ! Aap Kyun Gazab Naak Aur Udaas Hai ?

Woh Kehta Hai:-
Haaye Afsos ! Allah عزوجل Ne Aaj Ke Din Ummate Muhammad صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ko Bakhsh Diya. Lihaza Tum Unhein Lazzaat Aur Nafsani Khwahishat Me Mashgool Kar Do.
Ref.
Muka-sh-fatul Quloob, Safa: 308)

Pyare Islami Bhaiyon ! Dekha Aap Ne ? Shaitan Par Eid Ka Din Kis Qadar Giraan Guzarta Hai. Lihaza Woh Apni Zurriyat Ko Huqm Saadir Kar Deta Hai Ki Tum Musalmano Ko Lazzate Nafsani Me Mashgool Kar Do. Aah ! Fee Zamana Shaitan Apne Is Waar Me Kamyab Nazar Aa Raha Hai.
Ref.
(Faizane Ramazan (Hindi), Safha 447-448, Maktabatul Madina, Gujarat)

Eid UL FITR Ki Sunnate:

1. Gusl karna

2. Nakhun tarshwana

3. Hajamat banwana

4. Miswak karna

5. Achche kapade pehenna, Naye ho to naye warna dhule hue

6. Khushboo lagana (Itr lagaye spray na lagaye)

7. Angoothi pehenna

8. Namaze Fazr masjide mohalla me padhna.

9. Eidul Fitr ki Namaz ko jane se pehle chand khazoore kha lena. 3,5 ya 7 ya kamo besh.

10. Namaz-E-Eid Eidgah me ada karna

11. Idgah paidal jana

12. Sawari par bhi jane me harz nahi magar jisko paidal jane par kudrat ho uske liye paidal jana afzal he aur wapsi me sawari par aane me harz nahi.

13. Namaz-E-Eid ke liye ek raste se jana aur dusre raste se wapas aana.

14. Eid ki Namaz se pehle Sadqae Fitr ada karna

15. Khushi Jahir karna

16. Kasrat se sadqa dena

17. Aapas me Mubarakbad dena

18. Eidgah ko itminano wakar aur nichi nigah kiye jana

19. Bad Namaze Eid Musafah aur Muanka karna

20. Eid Ul Fitr ki Namaz ke liye jate hue raste me Aahista se Takbir kahe.

Eid-UL-Azha Ki Qurbani Ki Dua:

بسم الله الرحمن الرحيم
———————
“‏ إِنِّي وَجَّهْتُ وَجْهِيَ لِلَّذِي فَطَرَ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضَ حَنِيفًا وَمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِينَ إِنَّ صَلاَتِي وَنُسُكِي وَمَحْيَاىَ وَمَمَاتِي لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ لاَ شَرِيكَ لَهُ وَبِذَلِكَ أُمِرْتُ وَأَنَا أَوَّلُ الْمُسْلِمِينَ اللَّهُمَّ مِنْكَ وَلَكَ عَنْ مُحَمَّدٍ وَأُمَّتِهِ ‏”‏

(Note : Muhammadiw wa ummatihi ki jagah jiski taraf se Qurbani ho uska naam le aur agar apni khud ki ho to Aan ki jagah Anni kahe  )

Hazrate Jabir bin ‘Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah ﷺ ne eid ke din do maindho ki Qurbani ki, jab Aap ﷺ unko Qibla rukh kiya to Aap ﷺ ne ye falimat irsad farmaye “inni wajjahtu wajhiya Lillazi Fataras samawaati wal arda hanifaw wamaa ana minal mushrikeen. inna-Salaati Wa Nusuki Wa Mahyaya Wa Mamati Lillahi Rabbil A’lameen. La sharika lahu Wa bizaalika umirtu Wa Ana awwalu minal muslimeen. Allahumma Minka Wa laka Aan Muhammadiw wa ummatihi”
(Bismillahi Wa-Allahu Akbar)

(Note : Muhammadiw wa ummatihi ki jagah jiski taraf se Qurbani ho uska naam le aur agar apni khud ki ho to Aan ki jagah Anni kahe)

(Sunan Ibn Majah, Vol. 4, Book 26, Hadith 3121)

Eid Ki Namaz

 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!