Ramzan
Shab E Qadr Ka Khas Amal
Shab E Qadr Ramzanul Mubarak Ki Wo Muqaddas Rat Hai Ke Jise 1000 Mahino Se Afzal Farmaya Gaya Hai. Yani Lailatul Qadr Ki Ek Rat Me Ibadat Karna 1000 Mahino Ke Ibadat Ke Barabar Hai. Aaiye Hadeese Pak Ki Roshni Me Gaur Karte Hai.
Nabi-E-Kareem (Sallallaahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya:
Jis Kisine Is Muqaddas Rat Me Yakeen Wa Imaan Ke Sath Qayam Kiya Uske Pichhle Tamam Gunah Muaf Kar Diye Jate Hai.
(Sahih Bukhari, Vol. 1, Page: 626, Hadees No: 1901)
Nabi-E-Kareem (Sallallaahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya:
“Shabe Qadr Ko Ramzan Ki Aakhri Ashre Ki Taak Raaton Mein Dhoondo”
(Sahih Al-Bukhari, Jild 3, Kitaab Fazail Laylatul Qadr, Hadith No. 2017)
“Laylat al-Qadr Ko, 21, 23, 25, 27 Aur 29 Ki Raaton Mein Dhoondo”
(Sunan At-Tirmidhi, Kitaab As Saum, Hadith No. 794)
Note:
Yaad Rahe Nabi-E-Kareem (Sallallaahu Alayhi Wasallam) Ka Farmaan Hai Ke,
“Laylat al-Qadr Ko, 21, 23, 25, 27 Aur 29 Ki Raaton Mein Dhoondo”
Laylatul Qadr In 5 Raaton Mein Se Koi Ek Raat Hai.
ALLAH Rabbul Aalameen Qur’an-E-Kareem Me Ishard Farmata Hai
“Beshaq ! Ise Hamne Shabe Qadr Me Utara Aur Tumne Kya Jaana Kya Shabe Qadr. Shabe Qadr Hazaar (1000) Mahino Se Behtar. Usme Farishte Aur Jibrail Utarte Hai. Apne Rab Ke Huqm Se Har Kaam Ke Liye. Wah Salaamati Hai Subah Chamakne Tak.”
(Surah Qadr, Para 30, Aayat 1-5, Tarzuma: Kanzul Imaan)
“Haa ! Meem ! Kasam Us Roshan Kitab Ki. Beshaq Humne Use Barkatwali Raat Me Utara. Beshaq ! Haan Dar Sunanewale Hai. Tumhare Rab Ki Tarafse Rehmat Beshaq Wahi Sunta Janta Hai.”
(Surah Dukhan, Para 25, Aayat 1-6, Tarzuma: Kanzul Imaan)
1. Yeh Woh Raat Hai Jisme ALLAH (Subhanahu Wa Ta’ala) Ne Poore Qur’an Ko Al Lawh al Mahfuz Se Baytul Izzah Jo Pehle Aasman Par Hai Waha Utara.
2. Is Raat Mein Kiye Jaane Wali Ibaadat, Achche Aamaal, 1000 Mahino* Mein Kiye Gaye Achche Aamaal Ke Barabar Hai.
*1000 Mahine = 83 Saal Aur 4 Maah (Mahine). Hamari Average Zindagi 60 Se 70 Saal Ki Hai.
Yaani Is Raat Mein Kiye Gaye Ibaadat Ke Sawaab, 83 Saal Aur 4 Maah Mein Kiye Gaye Ibaadat Ke Barabar Hai.
ALLAH Hume Poori Zindagi Ibaadat Karne Ka Sawaab Ek Hi Raat Me Ataa Kar Raha Hai. Jaisa Ke Humne Ahadeese Pak Se Jana Ke Shabe Qadr Ko Ramzan Ke Tisre Ashure Ki 5 Raton Me Talash Karna Hai. To Sawab Ki Niyat Se Ramadan Ke Aakhri 10 Din Rozana Ratko Ye Amal Kare. In Sha ALLAH 84 Sal Ka Sawab Milega. Beshaq ! Humare Sare Aamal Ka Daromadar Niyat Par Hai. Niyat Karke Amal Kare In sha ALLAH Sawab Milega.
1. Rozana Kamse Kam 1 Rs (Indian) Sadqa Nikalen. Aap Apne Hisabse Nilal Sakte Hai. Agar Ye Sadqa Shabe Qadr Me Gaya To in Sha ALLAH Hume 84 Sal Rozana Sadqa Karne Ka Sawab Milega.
2. Rozana 2 Raka’at Nafl Namaz Padhe. Agar Ye Namaz Shabe Qadr Me Aa Jayegi To In sha ALLAH Hume 84 Years Rozana 2 Raka’at Nafl Padhne Ka Sawab Milega.
3. Rozana 3 Martaba Surah Ikhlas Yani Kul Ho Allah Padhna Hai. Hadeese Pak Me Hai Ke 3 Martaba Surah Ikhlas Padhna Goya Ke 1 Mukammal Quran Padhna. Baz Riwayato Me 1 Tijayi 1/3 Quran Padhne Ke Sawab Ka Zikr Hai. Lihaza Is Niyat Se Padhenge Aur Wo Shabe Qadr Me Aa Jaye To Hume 84 Years Rozana 1 Mukammal Quran Sharif Ya 1/3 Quran Sharif Tilawat Karne Ka Sawab Milega in Sha ALLAH.
Note:
Is Amal Ki Koi Daleel Nahi Hai. Jiska Dil Kare Amal Kare, Nahi Kiya To Koi Harz Nahi. ALLAH Par Yakeen Rakh Kar Amal Kare. In sha ALLAH Sawab Milega. Aur Ye To Neki Wala Kam Hai. Dusron Tak Bhi Pohochaye. Hum Log Duniyawi Hisab Qitab To Bohot Karte Hai To Kyu Na Aaj Apni Nekiyon Ka Bhi Hisab Karle. Apni Duao Ke Chand Alfaz Is Nachiz Gunahgar Nazarahmed Khan Ke Naam Karna Na Bhoole.