Aqaid-E-Ahle SunnatImaanShab-E-BaratSihah Sitta HadithSunnat-E-Nabi

Shab E Barat Ki Fazilat Hadees Se

Shabe Barat Wo Muqaddas Rat Hai Jis Muqaddas Rat Me ALLAH Tabarak Wa Ta’ala Apne Gunahgar Bando Ko (Kuch Sakht Gunahgar Chhod Kar) Muaf Farmata Hai. Isi Muqaddas Ratme Humare Nam-E-Aamal Khudawande Quddus Ki Bargah Me Pesh Kiye Jate Hai. Ye Wahi Rat Hai Jis Rat Me, ALLAH Apne Rehmat Ke Farishto Ko Apne Bando Ke Gharon Me Bhejta Hai. Isi Rat Agle Sal Bhar Me Faut Honewalo Ki Fehrisht Bana Di Jati Hai. Ye Wo Muqaddas Rat Hai Ke Jisme ALLAH Subhan Wa Ta’ala Apni Shaan Ke Mutqbiq Pehle Aasman Par Jalwaafzroz Hota Hai. Aur Pukarta Hai Ke, Hai Koi Muafi Mangnewala?, Hai Koi Magfirat Talab Karnewala?, Hai Koi Rozi Ka Talabgar? Yahan Tak Ki Subah Sadiq Tak Ye Sisila Zaari Rehta Hai.

Shabe Barat Ek Sunahra Mauka Hai Hum Gunahgar Bando Ke Liye Ke Apne Rab Ta’ala Ko Raazi Kare. Aaj Humari Ummat Jis Daur Se Guzar Rahi Hai, Har Ek Qadam Par Gumrah Karnewale Aapko Dikhai Denge. Aise Log Mausam Ki Tarah Ho Chuke Hai Jo Har Maah Me Alag Alag Mauko Par Aitrazat Karke Logon Ko Gumrah Kar Rahe Hote Hai. Lihaza Is Poorfitan Daur Me Aapko ILM-E-Deen Ka Hona Zaroori Hai Warna Koi Bhi Aapko Aa Kar Aapko Apni Baton Me Ulza Kar Gumrah Kar Sakta Hai. Aaj Hum Apne Bachcho Ko Duniyawi Padhai Ki Taraf Khoob Dhyan Dete Hai. Par ILM-E-Deen Ki Taraf Hamara Tawajjoh Nahi Hai. Lihaza Isme Tabdili Ki Zaroorat Hai. Apne Bachcho Ko Deen Aur Duniya Dono Ki Talimat De Taki Unki Duniya Aur Aakhirat Dono Sawar Jaye.

Aaj Kuchh Baatil Jama’ate Jaise Ke Deobandi Wahabi Najdi Tabligi Jama’at Awaam Ko Gumrah Karne Ka Kam Kar Rahi Hai. Wo Aise Hi Logo Ki Talash Me Rehte Hai Jinko Ilm Ki Kami Ho. Unhe Apni Baton Me Behla Kar Namaz Aur Quran Sikhane Ka Lalach De Kar Unhe Gumrah Kar Dete Hai. Aap Dekhe Inki Asliyat Yahi Hai Kyunki Na To Ye, Na Inke Jamat Ke So Called Aalim Mufti Hamare Sunnhi Ulma-E-Kiram Se Aaj Tak Ek Bhi Munazra Nahi Jite Hai. Aur Kai Martaba Munazre Se Bhag Jate Hai. Aapke Samne In Baton Ko Rakhne Ki Wajah Yahi Hai Ke Aap Khud Tahqiq Kare Yuhi Kisike Kehne Par Kisi Amal Ko Na Chhode. Ye Post Me Aage Shabe Barat Ki Ahmiyat Wa Fazilat Ko Bayan Kiya Gaya Hai. Ise Khoob Aam Kare. Aapke Wajahse Jitne Logon Ki Islah Hogi Aapko Bhi Barabar Sawab Milega In sha ALLAH.

• Maahe Shabaan Ki Fazilate:

Hadees No: 1
“Huzoor ﷺ Ne Farmaya Shaban Mera Mahina Hai Aur Ramzan Allah Ka Mahina Hai”

(Imam Suyuti Jame Us Sageer, Vol : Pg :301, Hadees : 4889)

Hadees No: 2
Hazrat Sayyidna Usama Bin Zaid Radiallahuanhu Farmate Hai Maine Arz Ki Yaa Rasool ALLAH ﷺ Mai Dekhta Hoon Jis Tarah Aap Shaban Me Roza Rakhte Hai Is Tarah Kisi Bhi Mahine Me Nahi Rakhte ?
Farmaya Rajab Aur Ramzan Ke Darmiyan Me Mahina Hai Log Is Se Gaafil Hain, Log Is Se Gaafil Hai Isme Logo Kay Aamal Allah Rabbul Aalameen Ki Taraf Uthaye Jaate Hai Aur Mujhe Ye Mahboob Hai Kay Mere Aamal Is Haal Me Uthaya Jaaye Ki Mai Rozadaar Hoon”

(Sunan Nasai Pg : 267, Kitab us Saum, Baab 70 : Nabi Kay Roze Rakhne Ka Bayan, Hadees : 2358)

Hadees No: 3
Hazrat Abdullah Ibn Abi Qays Radi Allahu Anho Se Marvi Hai Kay Unhone Ummul Momineen Sayyida Ayesha Siddiqa Radi Allahu Anha Se Suna Huzoor Nabi E Karim ﷺ Ka Pasandida Mahina Shaban ul Mu’azzam Tha Ki Isme Roza Rakha Karte Phir Usse Ramzan ul Mubarak Se Mila Dete”

(Sunan Nasai, Vol : 03, Pg : 267, Kitabul Sawm, Baab : Huzoor Kay Roze Ka Bayan, Hadees : 2352)
(Sunan Abu Dawood, Vol : 03, Pg : 163, Kitabus Sawm, Baab : Shabaan Me Roza Rakhne Ka Bayan, Hadees : 2425)

Hadees No: 4
“Hazrat Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Farmati Hai Rasool Allah ﷺ Shabaan Se Zyada Kisi Mahine Me Roza Naa Rakha Karte Balki Pura Shabaan Hi Roza Rakh Liya Karte The Aur Farmaya Karte Apni Istitaat Kay Mutabik Amal Karo Ki Allah Us Wakt Apna Fazl Nahi Rokta Jab Tak Tum Uqta Naa Jao”

(Sahi Bukhari Vol :03, Pg :118, Kitabus Sawm, Baab : Shaban Kay Roze Ka Bayan, Hadees :1970)

Hadees No: 5
“Hazrat Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Farmati Hai Rasool Allah ﷺ Ramzan Kay Baad Sabse Zyada Roza Kisi Maah Me Rahte To Wo Shaban Ka Maahina Tha”

(Sahi Bukhari Vol :03, Pg :117, Kitabus Sawm, Baab : Shaban Kay Roze Ka Bayan, Hadees :1969)
 

Hadees No: 6
Hazrat E Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Se Riwayat Hai Ke Maine Maahe Ramzan Ke Ilaawa Aur Kisi Mahine Ke Mukammal Roze Rakhte Huwe Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Nahi Dekha Aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Shaban Ke Ilaawa Kisi Aur Mahine Mein Bahot Zyada Roze Rakhte Nahi Dekha.

[Mukashafatul Quloob, Baab 101]

Hadees No: 7
“Sayyida Ayesha Siddiqa Radi Allahuanha Farmati Hai Tazdaar E Risalat ﷺ Pure Shabaan Kay Roze Rakha Karte The. Farmati Hai Maine Arz Ki Yaa Rasool Allah ﷺKya Sab Mahino Me Aapke Nazdeeq Ziyada Pasandida Shabaan Kay Roze Rakhna Hai ?
To Mehboob Rabbul Aalameen ﷺ Ne Irshad Farmaya Is Saal Marne Waali Har Jaan Ko Likh Deta Hai Aur Mujhe Yah Pasand Hai Jab Mera Waqt E Rukhsat Aaye Aur Mai Rozdaar Hoon”

(Musnad Abu Yaala Vol : 08, Pg : 311, Hadees:4911)

Is Hadeese Pak Se Ye Khoob Sabit Hua Ke Shabe Baraat Ko Hamare Zindagi Ke Ek Saal (1 Year) Ki Ek Kitab Khatm Ho Jati Hai Aur Use Bargaahe ALLAH Rabbul Aalaamen Me Pesh Kiya Jata Hai. Aur Agle Saal Ke Bhi Kai Mamlat Likh Diye Jate Hai. Isiliye Ham Ahle Sunnat Me Shabe Baraat Aane Se Pehle Aapas Me Muafi Mangne Ka Tariqa Hai. Ke Hamne Anjaane Me Kisika Dil Dukhaya Ho To Wo Hame Muaf Karde Warna Roze Mehshar Sakht Giraft Me Honge. Par Muafi Ke Talabgar Ko Sharmindagi Ehsas Behad Hona Zaroori Hai. Aur Muafi Mangnewala Logon Se Zabardasti Bhi Muafi Bhi Talab Nahi Kara Sakta. Ye Dilon Ke Mamlat Hote Hai. Par Aajkal Log Message Ke Zariye, WhatsApp Par Mafinama Bhej Dete Hai Aur Khush Ho Jate Hai. Aise Muafi Ka Koi Fayda Na Hoga. Dilse Sharmindagi Ke Sath Rubaru Muafi Mangi Jaye. Agar Door Daraz Ke Mamlat Ho To Call Karke Muafi Mange. Chhoti Chhoti Bate Hai Jinka Samzna Behad Zaroori Hai. Jo Bhi Kare Dilse Kare. Dikhawe Ka Amal Koi Nafa Na Dega.

• Shabe Barat Me Kin Logon Ki Bakshish Nahi Hoti:


Hadees No: 8
Hazrat Aata Bin Yasaar Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Ke 15vi Shaban Maut Likhi Jaati Hai Yaha Tak Ke Aadmi, Safar Me Nikalta Hai Halaan ke Zindo Se Murdo Me Wo Likha Jaa Chuka Hota Hai Aur Aadmi Nikah Karta Hai Halaan ke Zindo Se Nikaal Kar Murdo, Me Likaa Jaachuka Hota Hai

(Musannaf Abdul Razzaq, Vol:04, Page:317, Hadees No: 7925)




Hadees No: 9
Ummul Momineen Ayesha Siddiqa Radi Allahu Anha Farmati Hai K Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya,
“Mere Pass Jibril Alaihissalam Aaye Ye Shaban Ki 15wi Raat Hai Isme ALLAH Rabbul Izzat Itno Ko Aaazad Karta Hai Jitne BANI KALB Ki Bakriyo Ke Baal Hai Siwaye
1) Kafir Mushrik
2) Adawatwaale,
3) Maa Baap Ke Nafarmaan
4) Sharabi
Inki Taraf Nazre Rehmat Nahi Farmata Hai.

(Imam Bayhaqi Shuyabul Imaan Vol : 03, Pg : 384, Hadees : 3837)

Hadees No: 10
Hazrat Abu Moosa Ashari Se Marvi Hai Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya ALLAH Ta’ala 15wi Shab Ko Zuhoor Farmata Hai Aur Mushrik Aur Chugal Khor Ke Alawa Sabki Bakshish Farma Deta Hai”

(Sunan Ibn Majah, Pg : 247, Kitab Iqaamah Assalah Wasunnah Fiha, Baab Maa Jaa Fee Lailatul Nisfi Shaban, Hadees : 1390)
(Imam Ahmad Ibn Hanbal #6353)
(Imam Bayhaqi Shuabul Imaan Vol : 02, Pg : 121, Hadees : 3672)
(Imam Tabarani Mujam Al Kabeer Vol :02, Pg : 109)
(Imam Abu Nauyam Hilyatul Awliya 05, Pg : 191)
(Musannaf Abdur Razzaq, Vol :4, Pg : 317, Hadees :7923)
(Khatib Tabrezi Mishkat Al Masabih Pg : 409, Hadees : 1306)
(Naseerudin Albani Sahih Abu Dawood, Hadees : 1563, 1144)
Abu Moosa Ashari Se Yehi Rivayat Dusri Sanad Se Bhi Marwi Hai Jiske Raavi Hazrat Abu Huraira Hai Jo Mishkat Hadees:1706 Me Marvi Hai.
Lihaja Wo Is Rivayat Ko Hasan Darje Tak Pahucha Deti Hai.

Hadees No: 11
Huzur E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, “Beshak 15 Shaban (Shab E Bara’at) Ki Raat Allah Azzawajal Duniya Ke Asman Par Nuzoole Ijlaal Farmata Hai To Tamam Makhluq Ko Bakhsh Deta Hai Lekin Mushrik Aur Mushaa’hin Ke Siwa.”

(Mushaa’hin: Bagair Deeni Wajah Ke Kisi Se Dushmani Ya Nafrat Rakhne Wala)
[Sunan Ibn Majah, Hadith No: 1390] [Musannaf Abdul Razzaq, Hadith No: 7923] [Musnad Imam Ahmad, Hadith No: 6642] [Musnadul Haris] [As Sunnah – Imam Ibn Abi Asim, Hadith No: 509, 510, 511, 512] [Musnad Al Bazzar, 1:157, 1:206, 7:186, 16:161]




Hadees No: 12
Hazrat Ma’az Bin Jabal Raziallah Anhu Nabi E Karim ﷺ Se Riwayat Karte Hai Ke Aap ﷺ Ne Farmaya Allah Tala Sha’ban Ki 15 Vi Shab Apni Makhlooq Ki Taraf Nazar E Rehmat Farmakar Tamaam Maqlooq Ki Maghfirat Farma Deta Hai Siwaaye Mushrik Aur Kina Rakhne Waale Ki.

(Sahih Ibn Hibban 12, Pg : 479, Hadees : 5665)
Shaykh Arnaut Likhte Hai Ye Hadees Shawaheed Ki Bunyaad Pe SAHIH Hai.


(Imam Tabarani Al Mu’jam Al Kabeer Vol :20, Pg : 108, Hadees :215)
(Imam Tabarani Al Mu’jam Al Awsat Vol : 07, Pg : 36, Hadees :6776) (Imam Tabarani Al Musnad Shamiyeen Vol :01, Pg : 128, Hadees : 203)
(Imam Darqutni, Nuzool Vol : 01, Pg :58, Hadees : 77)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan, Vol : 09, Pg :24, Hadees : 6204 )
(Imam Bayhaqi Fazail Al Awqaat Vol :01, Pg 22, Hadees : 22 )
(Imam Abu Nauym Asfahani Hilyatul Awliya Vol : 05, Pg : 191)
Ahle Hadees Maqtab Kay Sabse Bade Muhadis Shaykh Naseerudin Albani
(Silsila Al Ahadees Al Sahih Vol 03, Pg : 135, Hadees : 1144)

Hadees No: 13
“Abdullah Ibn Amr Ibn Al Aas Radiallah Anhu Rivayat Karte Hai K Nabi ﷺ Ne Farmaya Allah Taala 15th Shaban Ki Shab Par Nazre Karam Karta Hai Aur Apne Bando Ko Baksh Deta Hai Siwaye Keena Parwar Aur Naahaq Qatl Karne Waalon Ke.

(Musnad Ahmad Vol : 06, Hadees : 197 – 98, Hadees : 6642)
Ahmad Shakir Sahih.
(Imam Hasan Al Khallal, Al Majalis Al Ashrah Vol : 01, Pg : 18, Hadees :02)
(Yahya Al Shajiri, Tarteeb Amali Al Khamesiyyah, Vol : 02, Pg : 48, Hadees : 1539)
(Naseerudin Albani Silsila Al Hadees Al Sahihah Vol :03, Pg : 136)
Al Bazzar Ne Is Hadees Ko Riyayat Kiya Aur Hasan Kaha
Shaykh Shuayb Arnaut Ne Hasan Li Ghairih
(Imam Haythami Mazma Uz Zawaid, Vol : 08, Pg: 65)

Hadees No: 14
“Hazrat Abu Bakr Siddique Radiallahu Se Rivayat Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya Jab Nisf E Shaban Ki Raat Aati Hai Allah Taala Aasman E Awwal Me Istawa Karta Hai Aur Apne Bando Ki Magfirat Karta Hai Siwaye Mushrik Aur Dilo Me Bugz Nafrat Rakhne Waalo Kay”

(Imam Asim As Sunnah Vol:01, Page:222, Hadees:509)
(Imam Ibn Khuzayma Kitabut Tawheed Vol : 01, Pg :325,  Hadees : 48) (Imam Ibn Abi Dunya Fazail E Shahar Ramzan Hadees : 02)
(Imam Fakihi Al Akhbar Makkah Vol :03, Pg : 66, Hadees :1838)
(Imam Darqutni Al Nuzool Vol : 01, Pg :155, Hadees :75)
(Imam Bazzar Al Musnad Vol :01, Pg : 157, Hadees :80 )
(Imam Maruzi Musnad Abu Baqr Siddique Vol : 01, Pg :171, Hadees :104)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 05, Pg : 357, Hadees : 3546)
(Imam Ibn Hazar Haythami Mazma Uz Zawaid Vol : 01, Pg : 125, Hadees : 12957)
Is Hadees Ko Hasan Kaha.
(Imam Ibn Hajar Asqalani Amal Al Mutlaqah Vol : 01, Pg :122) Isko Hasan Kaha.

Shaareheen Farmaate Hain Ke Yeh Hadees-e-Paak Itni Zyaada Isnaad Se Marwi Hai Ke Darja-e-Sahet Ko Pahunchgayi.

(1) Hazrat Abu Bakar Siddeeq Radi Allahu Ta’ala Anh Se Rivaayat Hai Ke Aaqa-o-Maula Sallallahu Ta’ala ‘Alaihi Wasallam Ne Farmaaya “Sha’baan Ki Pandhraveen Shabb Mein Allah Ta’ala Aasmaan-e-Duniya Par (Apni Shaan Ke Mutaabiq) Jalwagar Hota Hai Aur Is Shabb Mein Har Kisi Ki Maghfirat Farmaa Deta Hai Siwaaye Mushrik Aur Bughz Rakhne Waale Ke”

{Shuab-ul-Imaan Lil-Baihaqi; Jild-3; Safa-380}

(2) Hazrat Abu Moosa Radi Allahu Ta’ala Anhu Se Marvi Hai Ke Nabi-e-Kareem Sallallahu Ta’ala ‘Alaihi Wasallam Ka Irshaad Hai Allah Ta’ala Sha’baan Ki Pandhraveen Shabb Mein Apne Rehem-o-Karam Se Tamaam Makhlooq Ko Bakhsh Deta Hai Siwaaye Mushrik Aur Keena Rakhne Waale Ke”.

{Ibn-e-Maaja; Safa-101; Shuab-ul-Imaan; Jild-3; Safa-382; Mishkaat; Jidl-1; Safa-277}
 

(3) Hazrat Abu Hurairah, Hazrat Mu’aaz Bin Jabal, Hazrat Abu Sualbatah, Aur Hazrat Awf Bin Maalik Radi Allahu Ta’ala Anhum Se Bhi Aisa Hi Mazmoon Hai Marvi Hai.

{Majma’ Al-Zavaayid; Jild-8; Safa-65}

(4) Hazrat Abdullah Bin Umro Bin ‘Aas Radi Allahu Ta’ala Anh Se Rivaayat Hai Ke Aaqa-o-Maula Sallallahu Ta’ala ‘Alaihi Wasallam Ne Farmaaya “Sha’baan Ki Pandhraveen Raat Mein Allah Ta’ala Apni Rehmat Se Do Ash-khaas Ke Siwa Sab Musalmaanon Ki Maghfirat Farmaa Deta Hai Ek Keena Parvar Aur Dusra Kisiko Naa-haq Qatl Karne Waala”

{Masnad Ahmad; Jild-2; Safa-176; Mishkaat; Jild-1; Safa-278}

(5) Imaam Baihaqi Ne Shuab-ul-Imaan {Jild-3; Safa-384} Mein Hazrat Ayesha Radi Allahu Ta’ala Anha Ki Ek Taveel Rivaayat Bayaan Ki Hai Jis Mein Maghfirat Se Mehroom Rehne Waalon Mein In Logon Ka Bhi Zikr Hai: Rishte Naate Todne Waale, Ba-taur-e-Takabbur Azaar Takhnon Se Neeche Rakhne Waala, Maa Baap Ka Naa-Farmaan, Sharaab Noshi Karne Waala.

(6) Ghunyat-ut-Taalibeen; Safa-449 Par Hazrat Abu-Hurairah Radi Allahu Ta’ala Anhu Se Marvi Taveel Hadees Mein In Logon Ka Bhi Zikr Hai Jaadugar, Kaahin, Sood-khor Aur Badla-kaar, Yeh Wo Log Hain Ke Apne Apne Gunaahon Se Tauba Kiye Baghair Unki Maghfirat Nahin Hoti, Pas Aise Logon Ko Chaahiye Ke Apne Apne Gunaahon Se Jald Az Jald Sachhi Tauba Karlein Taake Yeh Bhi Shab-e-Baraat Ki Rehmaton Aur Bakhshish-o-Maghfirat Ke Haq-daar Ho Jaayein.

“Irshaad-e-Baari Ta’ala Huva:

Aye Imaan Waalo! ALLAH Ki Taraf Aisi Tauba Karo Jo Aage Ko Naseehat Hojaaye

{At-Tahreem-8; Kanzul Imaan}

Yaani Tauba Aisi Honi Chaahiye Jiska Asar Tauba Karne Waale Ke A’maal Mein Zaahir Ho Aur Uski Zindagi Gunaahon Se Paak Aur Ibaadaton Se Ma’moor Hojaaye, Hazrat Mu’aaz Bin Jabal Radi Allahu Ta’ala Anhu Ne Baargaah-e-Risaalat Mein Arz Ki. Yaa Rasoolallah Sallallahu Ta’ala ‘Alaihi Wasallam Taubatan-Nasooh Kise Kehte Hain Irshaad Huva Banda Apne Gunaah Par Sakht Naadim Aur Sharm-Saar Ho, Phir Baargaah-e-Ilaahi Mein Gidgidaa Kar Maghfirat Maange Aur Gunaahon Se Bachne Ka Pukhta ‘Azm Kare To Jis Tarah Doodh Dobara Tehnon Mein Daakhil Nahin Ho Sakta Isi Tarah Us Bande Se Yeh Gunaah Kabhi Sarzad Na Hoga.

Upar Bayan Ki Gayi Soorato Me Sabse Khatarnak Chiz Hai Shirk. Aajkal Kuchh Log Jaadu Tona Karni Kartut Me Bohot Aitbar Rakhte Hai. Ye Logo Ko ALLAH Aur Uske Deen Se Jyada Aisi Kali Taqato Aur Pakhandi Dhongiyo Par Jyada Aqeeda Hai Lihaza Ye Unhe ALLAH Ke Sath Sharik Karte Hai. Unki Taqato Par Iman Rakhte Hai Jo Khulla Shirk Hai. Aise Naqabposh Mushrikon Ki Hargiz Bakshish Nahi Hogi. Aise Logo Ke Talluq ALLAH Subhan Wa Ta’ala Qurane Kareem Me Irshad Farmata Hai.

وَمِنَ النَّاسِ مَن يَتَّخِذُ مِن دُونِ اللَّهِ أَندَادًا يُحِبُّونَهُمْ كَحُبِّ اللَّهِ ۖ وَالَّذِينَ آمَنُوا أَشَدُّ حُبًّا لِّلَّهِ ۗ وَلَوْ يَرَى الَّذِينَ ظَلَمُوا إِذْ يَرَوْنَ الْعَذَابَ أَنَّ الْقُوَّةَ لِلَّهِ جَمِيعًا وَأَنَّ اللَّهَ شَدِيدُ الْعَذَابِ – 2:165

Aur Kuchh Log ALLAH Ke Siwa Aur Mabood Bana Lete Hai. Ki Unhe ALLAH Ki Tarah Mehboob Rakhte Hai. Aur Imaanwalo Ko ALLAH Ke Barabar Kisiki Muhabbat Nahi. Aur Kaisi Ho Agar Dekhe Zaalim Wo Waqt Jabki Azaab Unki Aankho Ke Samne Aayega Isliye Ke Sara Jor ALLAH Ko Hai. Aur Isliye Ke ALLAH Ka Azaab Bohot Sakht Hai.

(Al Quran-E-Kareem, Surah Bakrah Aayat No 165 Tarzuma: Kanzul Imaan)

• Kya Shabe Barat Magfirat Ki Raat Hai Aur Kya Is Rat Qabrastan Jana Chahiye?
Maah-e-Sha’baan Ki 15vi Raat Ko Shab-e-Baraat Kahaa Jaata Hai Shabb Ke Maana Hain Raat Aur Baraat Ke Maana Bari Hone Aur Qata Ta’lluq Karne Ke Hain, Chunke Is Raat Musalmaan Tauba Karke Gunaahon Se Qata Ta’lluq Karte Hain Aur Allah Ta’ala Ki Rehmat Se Beshumaar Musalmaan Jahannam Se Nijaat Paate Hain Isliye Is Raat Ko Shab-e-baraat Kehte Hain, Is Raat Ko Lailatul Mubaarakah Yaani Barkaton Waali Raat Lailatus-Sakk Yaani Taqseem-e-Umoor Ki Raat Aur Lailatur-Rahmah Rehmat Naazil Hone Ki Raat Bhi Kahaa Jaata Hai.
Jaleelul Qadr Taaba’ii Hazrat Ataa Bin Yasaar Radi Allahu Ta’ala Anhu Farmaate Hain “Lailatul Qadr Ke Baad Sha’baan Ki Pandhraveen Shab Se Afzal Koi Raat Nahin”

{Lataayif-ul-Ma’aarif; Safa-145}
Jis Tarah Musalmaanon Ke Liye Zameen Mein Do Eidein Hain Isi Tarah Farishton Ke Liye Aasmaan Mein Do Eidein Hain Ek Shab-e-Baraat Aur Dusri Shab-e-Qadar Jis Tarah Momin Ki Eidein Eid-ul-Fitr Aur Eid-ul-Adhaa Hain Farishton Ki Eidein Raat Ko Isliye Hain Ke Wo Raat Ko Sote Nahin Jabke Aadmi Sote Hain Isliye Unki Eidein Din Ko Hain.
{Ghunniyat-ut-Taalibeen; Safa-449}


• TAQSEEM-E-UMOOR KI RAAT
Irshaad-e-Baari Ta’ala Hua

Qasam Hai Us Raushan Kitaab Ki Beshak Humne Ise Barkat Waali Raat Mein Utaara Hai, Beshak Hum Darr Sunaane Waale Hain Is Mein Baantt Diya Jaata Hai Har Hikmat Waala Kaam.


{Ad-Dukh-khaan: 4-2; Tarzuma Kanzul Imaan}

“Is Raat Se Muraad Shab-e-Qadar Hai Yaa Shab-e-Baraat”

{Khazaayin-ul-Irfaan}
In Aayaat Ki Tafseer Mein Hazrat Akarma Radi Allahu Ta’ala Anh Aur Baaz Deegar Mufassireen Ne Bayaan Kiya Hai Ke “Lailata Mubaraka” Se Pandra (15) Sha’baan Ki Raat Muraad Hai. Is Raat Mein Zinda Rehne Waale, Faut Hone Waale Aur Hajj Karne Waale Sabke Naamon Ki Fehrist Tayyaar Ki Jaati Hai Aur Jiski Ta’meel Mein Zara Bhi Kami Beshi Nahin Hoti. Is Rivaayat Ko Ibn-e-Jareer, Ibn-e-Manzar Aur Ibn Abi Haatim Ne Bhi Likha Hai, Agarche Iski Ibtedaa Padhraveen (15th) Sha’baan Ki Shab Se Hoti Hai.

{Maa Sabta Minas-Sunnah; Safa-194}
Allama Qurtubi Maaliki Rehmatullaahi Ta’ala Alaih Farmaate Hain Ek Qaul Yeh Hai Ke In Umoor Ke Lauh-e-Mehfooz Se Naql Karne Ka Aaghaaz Shab-e-Baraat Se Hota Hai Aur Ikhtetaam Lailatul Qadr Mein Hota Hai.

{Al-Jaame’ Li-Ihkaamul Qur’aan; Jild-16; Safa-128}
Yahaan Ek Shubah Yeh Paida Hota Hai Ke Yeh Umoor To Pehle Hi Se Lauh-e-Mehfooz Mein Tehreer Hain Phir In Shabb Mein Unke Likhe Jaane Ka Kya Matlab Hai? Jawaab Yeh Hai Ke Yeh Umoor Bila-Shubah Lauh-e-Mehfooz Mein Tehreer Hain Lekin Is Shabb Mein Mazkoora Umoor Ki Fehrist Lauh-e-Mehfooz Se Naql Karke Un Farishton Ke Supurd Ki Jaati Hai Jinke Zimme Yeh Umoor Hain.

Hadees No: 15

“Hazrat Ali ul Murtaza Radiallahu Anhu Ka Farmaan E Azeem Hai Jab 15 Shaban Ki Raat Aaye To Us Me Qayaam (Yaani Ibadat) Karo Aur Din Me Roza Rakho Beshak Allah Taala Guroob E Aftaab Se Aasman E Dunya Par Khas Tajalli Farmata Hai Aur Kehta Hai Koi Mujh Se Magfirat Talab Karne Waala Ki Use Baksh Doon, Hai Koi Rozi Talab Karne Waala Ki Usse Rozi Doon, Hai Koi Musibat Zada Ki Use Aafiyat Ata Karoon, Hai Koi Aisa ! Hai Koi Aisa ! Aur Yeh Us Waqt Tak Farmata Hai Ki Fazr Tuloo Hojaye”

(Sunan Ibne Majah, Jild 1, Baab Maaja fi Lailatin Nisfi Min Shabaan, Safah 398,Hadees No.1446)
(Sunan Ibn Majah Vol : 02, Pg :334, Kitab Iqamusalat Wasunnat, Baab : Maa Jaa Fi Lailatul Min Nisf Shabaan, Hadees : 1388)
(Khatib Tazrezi Mishkat Al Masabih)
(Imam Munziri Attargeeb Wattarheeb Vol : 02,Pg : 52)

Hadees No: 16

Hazrat Aaysha Siddiqa (Radiallahu Talaa’Anha) Farmati Hai,
Ek Raat Maine Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Na Paaya
To Main Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Talaash Mein Nikli.
Kya Dekhti Hu Ki Aap Sallallahu Alaihi Wasallam JANNAT UL BAQI (Qabristan) Mein Hai.
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya
Kya Tujhe Dar Huwa Ki ALLAH Aur Uska Rasool Tujh Par Zulm Karega?
Maine Arz Kiya,
Yaa Rasulallah! Sallallahu Alaihi Wasallam Maine Socha Shayad Aap Kisi Dusri Zawja Ke Yaha Tashreef Le Gaye.
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ِNe Farmaya,
“ALLAH TA’ALA 15wi SHABAAN KI RAAT KO AASMAANO DUNIYA PAR (Jaisa Ki Uski Shaan Ke Laayik Hai) UTARTA HAI
AUR
BANU KALB QABILE KI BAKRIYO KE BAALO SE ZYADA LOGO KO BAKSHTA HAI.”

(Tirmizi Sharif, Abwaab ul Sawm, Jild 1, Safa 403, Baab Maaja a fi Lailatin Nisfi min Shabaan, Hadees No 718, Sunan Ibne Majah, Jild 1, Baab Maaja a fi Lailatin Nisfi Min Shabaan, Safa 398, Hadees No 1447)
(Jamai Tirmizi, Vol : 02,Pg :179, Kitabus Sawm, Baab 39 : Shaban Kay Mahine Me Darmiyani (15vi Shab) Kay bare me bayan, Hadees : 739)
(Sunan Ibn Majah Vol : 02, Pg : 334, Kitabul Iqamah Wa Sunnah, Baab : Baab : Maa Jaa Fi Lailatul Min Nisf Shabaan,,Hadees : 1389)
(Jamia Tirmizi, Vol : 02,Pg :179, Kitabus Sawm, Baab 39 : Shaban Kay Mahine Me Darmiyani (15vi Shab) Kay Bare Me Bayan, Hadees : 739)
(Sunan Ibn Majah Vol : 02, Pg : 334, Kitabul Iqamah Wa Sunnah, Baab : Baab : Maa Jaa Fi Lailatul Min Nisf Shabaan,,Hadees : 1389)
[Shu’bul Iman Hadith : 3545]
[Sharahus Sunnah Hadith : 992 | Hadith : 1299] [Al-Jamius Sageer Hadith : 1667] [Kanzul Ummal Hadith: 35176]
Is Hadees Se Pata Chala Ki 15wi Shabaan Ki Raat Mein ALLAH Ka Bando Par Khaas Fazl Hota Hai.
Is liye Bando Ko Chahiye Ki Iss Raat Mein Shab Bedaari Kare Aur ALLAH Ka Zikr Kare Aur Gaflat Ki Neend Na Soye. Aur 15wi Shabaan Ki Raat Ko Khaas Qabrastaan Jana Bhi Iss Hadees Se Sabit Huwa. Kyuki Huzoor Khud Is Raat Ko Jannatul Baqi Tashreef Le Gaye.
Kuch Log Kehte Hain Ke Is Raat Ko Qabrastan Jaane Ka Hukm Nahi Farmaya Aur Har Saal Jaane Ka Bhi Zikr Nahi. Is Zimn Mein Hamara Ye Kehna Hai Ki Huzoorِ Sallallaho Alaihi Wasallam Ka Koi Bhi Amal Chahe Us Mein Logo Ke Liye Hukm Ho Ya Na Ho, Sunnat Hota Hai.
Hum Is Liye Khaas Qabrastaan Jate Hai Kyuki KHUD Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Gaye. Ab Kis Shaks Ko Jaana Ho Woh Jaaye Aur Jisse Na Jaana Ho Woh NA Jaaye. Kyuki Ye Mehez Sunnat Hai, Koi Farz Ya Wajib Amal Nahi. Magar Kisi Ko Jaane Se Rokna Mehez Jahalat Hai Ki Nabi Ki Ek Sunnat Se Rokna Huwa.

NOTE:

Imam Tirmizi Radiallahu Anhu Aur Imam Ibne Majah Radiallahu Anhu Ka Khaas 15w Shabaan Ki Fazilat Par Baab Kayam Karna Ye Unke Aqeede Par Dalaalat Karta Hai Ki Imam Tirmizi Aur Imam Ibne Majah Ka Bhi Ye Aqeeda Tha Ki 15wi Shabaan Ki Raat Ko Aap Fazilatwali Raat Maante The. Agar Is Raat Ki Koi Haqeeqat Na Hoti To Aap Aisa Unwaan Kyu Qayam Farmate? Kyu Wo Khasul Khas Baab Shabaan Ke Namse Qayam Farmate? Unhe Bhi Nahi Maloom Tha Ke Ye Biddat Hai? Aaj 1400 Saal Baad Ek Jahil Giroh Nikal Pada Hai Jinka Dawa Quran Hadees Magar Naa To Talluk Quran Se Hai Naa Hadees Ka Fahem Hai.

Hadees No: 17

Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Aap ﷺ Ne Farmaaya 5 Raatein Aisi Hai Jinme Dua Radd Nahi Hoti Aur Wo Juma’a Ki Raat, Rajab Ki Pehli Raat , Shabaan Ki 15vi Raat Aur Eidain Ki Dono Raatein Hai.

(Musannaf Abdur Razzak Vol : 04, Pg : 317, Hadees: 7927)
(Imam  Bayhaqi Sunan Al Kubra, Hadees : 6386 And Shu’ab, 3:342 #3711, 3713),
Isi Rivayat Ko Hazrat Abu Umama Radiallahu Anhu Se Imam Ibn Asakir Ne Naql Kiya.
(Imam Daylami Musnad Al-Firdaws, Vol:2, Page:311, Hadees: 2797)


Hadees No: 18

Imam Muhammad Ibn Idrees Shafai Rahmatullah Alaih Apni Kitab Ul Umm Me Likhte Hai
“05 Raat Hai Jinme Duaye Kabool Hoti Hai
1. Jumaah Ki Raat,
2. Eid Ul Fitr Ki Raat,
3. Eid Ul Azha Ki Raat,
4. Rajab Ki Pehli Raat,
5. NISF SHABAN (Yaani Shaban Ki 15wi Raat)”

(Kitab Ul Umm Vol : 02, Pg :485, Hadees : 482) 

Hadees No: 19

Ummul Momineen Ayesha Siddiqa Radi Allahu Anha Farmati Hai K Rasool Allah ﷺ Ko Farmate Huwe Suna Hai Allah Tabarakwa’tala 04 Raato Me Khas Kar Bhalai Ka Darwaja Khol Deta Hai
01) Eid Ul Fitr
02) Eid Ul Azha
03) Shaban Ki 15wi Raat Jisme Marne Waalo K Naam Hai Karne Waalo K Naam Logo K Rizk Likhe Jaate Hai.
04) Yaum E Arfa Ki Raat (Yaani 08 Aur 09 Zilhajja Ki Raat Se Fazr Tak)

(Imam Jalaluddin Suyuti Tafseer E Durre Mansoor, Vol : 07, Pg : 302 Print Darul Fikr Beirut)

• Shab-E-Baraat Ka Halwa Khaana Kaisa:


Hadees No: 20

Umool Momineen Bibi Ayesha Siddiqua Tahira Radiallaho Anha Se Rivayat Hai Ke Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Halwa (Sheerni) Aur Shahed (Honey) Pasand Farmate The.

(Sahi Bukhari, Volume : 02, Kitab No 76 Al Tibb, Hadees :5682)
(Sahi Bukhari, Volume : 02 ,Kitab No 74 AL Taam‟at (Food), Hadees : 5431 / 5599)
(Sunan Ibn Majah, Kitab No 29 AL Taam‟at (Food), Hadees : 3448) (Imam Tirmizi Ne Shama‟il-E-Muhammadiya Kitab No 26, Hadees : 163)
Pata Chala Halwa To Khud Huzoor Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Pasand Tha Isliye Ahle Sunnat Khoob Khate Hai Ab Khud Faisla Karlo Jo Cheez Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Pasand Hai Tum Uska Mazaak Udhaao To Tum Kaun Ho? Aur Ab Tumhe Kawwe Gadho Pe Pyaar Aaya Hai To Hum Kya Kare? Aur Ek Ahem Baat Halwa Khana Haraam Shirk Biddat Bolte Hai. Aur Jarur Khane Pehle Aate Hai. Isliye Hamare Imam Aalahazrat Azeemul Barkat Rehmatullah Alaihi Kya Khoob Farmate Hai

Tera Khaye Tere Gulamo Se Uljhe Hai Munkeer Ajab Khane Gurranewaale


Khaate Hai Sunni Halwa Sarkar Ke Karam Se Dekho To Najdiyo(n) Ko Kawwo Pe Pyaar Aaye
Hadees No: 21
Hazrat Anas Radiallahu Anhu Farmate Hai Jab Nabi-E-Paak Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Hazrat Zainab Radiallaho Anha Se Nikah Kiya To Meri Walda
Hazrat Umme Sulaim Radi Allaho Anha Ne Hais (Sattu, Ghee, Or Khazoor Se Bana Huwa Khana) Bana Kar Ek Tabaq Me Rakha Or Mujhe Kaha Ise Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Khidmat-E-Aqdas Me Le Jao.
Main Khidmat-E-Aqdas Sallallahu Alaihi Wasallam Me Hazir Huwa To Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
Jao Or Musalmano Me Se Tumhe Jo Mile Usse Bula Lao Mujhe Jo Mila Bula Laaya Or Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Dua Padha Or Jo Kuch Rab Ko Manzoor Tha Wo Aapne Dua Me Padha Phir Log Ghar Me Dakhil Hote Khana Khate Aur Nikal Jaate Sab Ne Sair Hokar Khaya Or Chale Gaye Kuch Log Baithe Rahe.
Unho Ne Lambi Baatein Shuru Kardi Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Unhe Kuch Kehne Se Haya Karte The Nabi-E-Paak Sallallahu Alaihi Wasallam Ghar Se Bahar Tashrif Le Gaye Magar Woh Log Wahin Bethe Rahe.
Us Wakt ALLAH Ta‟ala Ne Ye Aayat Nazil Farmayi
“Aye Imaanwaalo Nabi-E-Pak Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Ghar Me Begair Izazat Dakhil Na Huwa Karo, 
Na Khane Ke Wakt Taktey Raha Karo. Haa Agar Tumhe Khane Pe Bulaya Jao To Jarur Aao Lekin Khana Khane Ke Baad Chale Jaya Karo. Baatein Karne Me Na Lage Raho. Tumhari Ye Harkatein Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Taklif Deti Hai Magar Wo Sharm Ki Wajah Se Tumhe Kuch Nahi Kehte Or ALLAH Ta’ala Haq Baat Kehne Me Sharm Nahi Karta.

(Surah Ahzaab, Para 21, Ayat 53, Tarzuma Kanzul Imaan)
(Sahi Muslim Volume : 02 , Kitab No 16 Kitabun Nikah, Baab : Ummul Momineen Zainab Bint Jahsh Ke Nikah Ka Bayan Aur Hizab Ke Mutaalik Nuzool-E-Wahi Ka Bayan, Hadees : 1428)
(Jamai Tirmizi Kitab No 47 Kitabut Tafseer, Hadees : 3524)


• Shabe Barat Ka Arfa Kya Hai Aur Shabe Barat Ki Fateha Karna Kaisa?
Asl Mein Aur Shari’at Ke Muhawre Mein Arfa Aur Arafaat 2 Chizein Hain:
1. Makkah Sharif Se Taqriban 15km Door Wo Pahaad Aur Maidaan Jahaan Hajj Ke Din Haji Jama Hote Hain.
2. Aur Wohi Din Arfa Hai.
👉Awaam Jo Shab-E-Bara-at Se Ek Din Pahle Ko Arfa Kehte Hain Aur Us Din Ke Liye Kuchh Kaamo Ko Khaas Samajhte Hain, Iska Na Koi Matlab Hai Na Suboot, Ye Unka Apna Tarika Hai. Jayez Kaam Har Din Jayez Hain. Uske Liye Isi Din Ko Khas Samajhna Jahalat Hai.
ALLAH Tabarak Wa Ta’ala Quran-E-Kareem Me Farmata Hai,

Aur Wo Jo Unke Baad Aaye Arz Karte Hai. Aye Hamare Rab ! Hume Baksh De Aur Hamare Bhaiyo Ko Jo Hum Se Pehle Imaan Laaye Aur Hamare Dilon me Imaan waalo Ki Taraf Se Keena Na Rakh, Aye Hamare Rab ! Beshak
Tu Hi Bahot Meharbaan Rahemwaala Hai


(Surah Al Hashr, Para 28, Ayat 10, Tarzuma Kanzul Imaan)

Aye Hamare Rab Mujhe Baksh De Aur
Mere Maa Baap Ko Aur Sab Musalmaan Ko Jis Din Hisab Kayam Hoga


(Surah Ibrahim, Para 13, Ayat 41, Tarzuma Kanzul Imaan)

In Aayato Me ALLAH Ne Musalmano Ke Is Dua Ko Bataur-E-Tareef Bayan Farama Raha Jo Musalman Apne Guzre Hue Musalman Bhaiyo Ke Liye Dua-E-Bakshish-O-Magfirat Maag Rahe Hai Agar Wisal Ho Chuke Logo Ko Zindo Se Koi Nafa Na Pahuchta To Quran Hargeez Usko Bataur Tareef-O-Istehsan Bayan Na Karta Dua To Ek Shaks Ne Maanga Par Iska Faida Sabko Pahucha Khwah Wo Zindo Ho Ya Murda.

Tera Rab Khoob Janta Hai Kaun Bahka Hai Uski Raah Se Aur Wo Khoob Janta Hai Hidayatwalo Ko To Khao Us Me Se Jis Par ALLAH Ka Naam Liya Gaya Agar Tum Uski Aayate Mante Ho
Aur Tumhe Kya Hua Ki Tum Unme Se Na Khao Jis Par ALLAH Ka Naam Liya Gaya


(Sure An’aam, Para 7, Aayat 117,118,119, Ruku 14, Tarzuma Kanzul Imaan)

ALLAH TA’ALA Khud Quran-E-Kareem Me Farma Raha Hai Ki Khao Jis Par ALLAH Ka Naam Liya Gaya. Ab Aap Hi Faisla Karle. Hum Fatiha Me Kya Padhte Hai? Sure Fatiha, Sure Ikhlas, Sure Kousar, Sure Qadr, Sure Naas, Aayatul Qursi, Sure Lahab, Durood Shareef Aur Bhi Kai Sure Ki Tilawat Karte Hai. Ab Koi Agar Kehde Ke Fatiha Ka Khana HARAAM Hai. Mazallah To Kya Wo Musalman Raha? Kise Haraam Bol Raha Hai. Jis Par Kalaam-E-Ilaahi Ki Tilawat Ki Gayi Ho Wo Kaise Haraam Ho Sakta Hai?

• Shab-E-Barat Me Kya Amal Karna Behtar Hai?
Jaisa Ke Humne Shabe Barat Ki Fazilato Ko Sama’at Farmaya Is Rat Ko Hume Ibadat Me Guzar Kar ALLAH Ta’ala Ko Razi Karne Ki Koshish Karni Hai. Aaj Me Aapko Aisi Kuch Bate Bata Raha Hu Ho Sakta Hai Aap Me Se Kai Logo Ne Suni Ho Ya Kai Logo Ne Na Suni Ho, Ho Sakta Hai Kai Log In Bato Se Ikhtelaf Rakhe Naraz Ho Par Haq Bayan Karna Hamara Kam Hai. Baki Hum Sabko ALLAH Ta’ala Ne Aql-E-Salim Di Hai Aap Khud Faisla Karle. Hum Sab Salon Se Dekhte Aa Rahe Hai Ke Tamam Tak (Badi) Rato Me Jaisa Ke Shabe Meraj, Shabe Barat, Shabe Qadr Nawafil Padhe Jate Hai. Aur Aksar Masjido Me Ishtihar Bate Jate Hai Nawafil Ke Talluqse. Aur Hum Bhi Unpar Amal Karte Hai. Nawafil Ke Silsile Me Ye Huqm Hai Ke Ye Na Bhi Padhi Jayen To Ispar Koi Gunah Nahi Hai. Par Jo Farz Qaza Namazain Humari Baki Hai Unki Adaygi Ki Sakht Pakad Hai. Lihaza Is Mubarak Rat Me Apni Qaza Namazon Ka Hisab Laga Kar Umhe Ada Kare. Qaza Namazo Ko Ada Karne Ko Qaza-E-Umari Kehte Hai.

💓 Baad Namaze Maghrib💓
💓 (1) Baad Namaze Maghrib, Surah Yaseen Aur Dua-E-Nisf Shabaan 3 Martaba Kuchh Is Tarah Padhe
2 Raka’at Nafl Namaz Umar Darazi Ki Niyat Se Padhe Aur Har Raka’at Me Surah Fatiha Ke Bad 3 Martaba Surah Ikhlas Padhe.
Ab Surah Yaseen Aur Dua-E-Nisf Shabaan 1-1 Martaba Padhe
2 Raka’at Nafl Namaz Aafat Baliyat Se Mehfooz Rehne Ki Niyat Se Padhe Aur Har Raka’at Me Surah Fatiha Ke Bad 3 Martaba Surah Ikhlas Padhe.
Ab Surah Yaseen Aur Dua-E-Nisf Shabaan 1-1 Martaba Padhe
2 Raka’at Nafl Namaz Rizq Me Barkat Ki Niyat Se Padhe Aur Har Raka’at Me Surah Fatiha Ke Bad 3 Martaba Surah Ikhlas Padhe. Ab Surah Yaseen Aur Dua-E-Nisf Shabaan 1-1 Martaba Padhe
💓 (2) – Recite Surah e Dukaan  – 1 Time
 سورة الدخان
💓 (3) – Recite  “HASBI ALLAHU WA NI’YAMAL WAKEEL” – 100 times
‎( حسبي الله ونعم الوكيل )  100 مرة .
💓 (4) Recite “YAA HAYYU YAA KHAYYUM BI RAHAMATIKA ASTAQEES” – 100 times
‎( يا حي يا قيوم برحمتك أستغيث ) 100 مرة .
💓 (5) Recite “ALLHUMMA HUBLI KHALBAN TAQIIYAA, NAKHIYA-M-MINNS SHIRKI BARIYAA. LAA KAFIRAN WA LAA SHAKIYAA” – 100 times
‎( اللهم هب لي قلباً تقياً نقياً من الشرك برياً لا كافراً  ولا شقياً ) 100 مرة .-
💓 (6) Recite “ALLAHUMMA INNAKA HALIMUN ZU ANAATIN WA LAA TAAQATALANA BI AZAABIKA FA’AFU ANNA BI HILMIKA YA ALLAH” – 100 times
‎( اللهم إنك حليم ذو أناة و لا طاقة لنا بعذابك فاعف عنا بحلمك  يا الله ) 100 مرة .-
💓 (7) Recite “ALLHUMMA SALLI ALAA SAYYADINA MUHAMMADIN ABDIKA WA RASOOLIKA-N-NABIYEL UMMIE WA AALA AALIHI WA SAHABIHI WASALLIM, ADADAH MAALUMATIK, WA MIDAADAH KALIMAATIK, KULLAMA ZAKARAK AZ ZAAKIRUN, WA GAFLA AN ZIKHRIKAL QAAFILUN” – 100 times
‎( اللهم صلي على سيدنا محمد عبدك ورسولك النبي الأمي وعلى آله وصحبه وسلم ، عدد معلوماتك ومداد كلماتك ، كلما ذكرك الذاكرون وغفل عن ذكرك الغافلون )100 مرة. –  
💓 (8) Recite “Dua”
ALLAUMMA AHAYENA HAYATAA-S-SUA’DAAYI WA AMTINA MAMAATA-S-SHOHADAAYI WAHASHURNA FI ZUMRATIL ANBIYAA E WA ASFIYAA E, INNAKA ANTA GAFURUR RAHIM. WA SALALLAHU ALAA SAYYADINA MUHAMMADI-W- WA AALA AALIHI WA AS-HAABIHI AJMAYEEN, WA AAQIRU DAWAANA ANIL HAMDULILLAHI RABBIL AALAMIN. – 1 time
‎( اللهم أحيينا حياة السعداء وأمتنا ممات الشهداء ، واحشرنا في زمرة الأنبياء والأصفياء إنك أنت الغفور الرحيم وصلى الله على سيدنا محمد وعلى آله وأصحابه أجمعين ، وآخر دعوانا أن الحمد لله رب العالمين ) .

💓 Bad Namaze Isha Shabbedari Ke Amal💓
Ek Baat Khoob Jahanshi Farmale Ki Shabe Barat Ya Kisi Bhi Shab Ko Ibadat Karna Koi Farz Ya Wajib Nahi Hai. Agar Koi Shakhs Ispar Amal Na Karta Ho To Isse Woh Gunahgar Nahi Magar ALLAH Ta’ala Ki Beshumar Rehmato Se Mehroom Hoga. Agar Aap Nafl Namaze Padhna Hi Chahte Hai To Aap In Nafl Namazon Ko Ada Kare Jinki Fazilate Hadees Shareef Se Sabit Hai.
• Salatul Tauba
• Salatul Tasbeeh
• Tahiyyatul Wuzoo
• Tahiyyatul Masjid
Qaza-E-Umari Aapko Tabse Ada Karni Chahiye Jabse Aap Baligh Huye. Us Sal Se Apni Namazon Ka Hisab Lagaye. 1 Din Ki 17 Farz Aur 3 Wajib Vitr Is Tarah 20 Raka’at 1 Din Ki Hoti Hai. Niyat Is Tarah Kare. Niyat Karta / Karti Hu Main 2 Raka’at Farz Fazar Ki Jo Muzse Pehle Qaza Hui, Waaste ALLAH Ta’ala Ke Rukh Mera Kaba Shareef Ke Taraf ALLAHU Akbar. Islami Behene Apne Qaza Hui Namazo Ke Hisab Me Har Mahine Ke Un Dinon Ka Hisab Chhod Sakti Hai Jo Unke Haiz Yani Maahwari Ke Din Ho. Is Tarah Qaza-E-Umri Ada Karne Ki Koshish Kare. Iski Badi Ahmiyat Hai. Iske Liye Aapke Samne 2 Misal Pesh Karna Chahunga. Jab Badshah Apni Khidmat Ke Liye Aapko Bulaye Tab Aap Hazir Na Huye Aur Badme Bin Bulaye Gulaam Ki Khidmat Me Hazir Ho Gaye. Isi Tarah Kisika Aapke Upar Qarza Hai Aur Aap Use Qarza Lautane Ka Chhod Use Tohfa Pesh Kare To Kya Wo Lega? Nahi. Isi Tarah Farz Namazain Hamare Zimme Jo Baki Hai Unhe Ada Kiye Bagair Nawafil Padhne Se Koi Fayda Na Hoga. Farz Par Tawajjoh Zaroori Hai. Qaza-E-Umari Aap Rozana Bhi Padh Sakte Hai. Din Bhar Me Guroob Aftab, Tuloo Aftab Aur Jawal Ke Waqt Ko Chhod Kar Padh Sakte Hai. Qaza-E-Umri Ke Sath Is Rat Kuchh Tasbihat Ka Bhi Vird Aap Kar Sakte Hai.
• Tilawat-E-Quran
• Durood-E-Pak
• Astagfar
• Aayate Karima
• SubhanALLAHI Wabihamdihi SubhanALLAHIL Azeem
Apni Anmol Duao Ke Chand Alfaz Is Nachiz Nazarahmed Ke Naam Karna Na Bhoole. ALLAH Ta’ala Se Dua Hai Ke Wo Hum Sabko Is Raat Ki Rehmato Se Malamal Farmaye Aur Humare Gunaho Ko Bakshde. Humare Murhumin Ki Aur Humari Magfirat Farmaye. Humare Gharon Me Qarobar Me Barkate Ata Farmaye
Aameen.
Awwal Aakhir Durood.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!