Humbistari Sohbat Karne Ka Islamic Tariqa
Hadees No: 1
Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad Farmaya
“Tum Me Se Jo Koi Apni Biwi Ke Pas Jaye To Parda Kar Le Aur Gadhe Ki Tarah Na Shuru Ho Jaye”
(Ibne Maja,Jild 1,Safa 538, Hadees no 1990,Bab no 616)
Hadees No: 2
Ummulmomenin Hazrat Aayesha Siddiqa Radiallaho Anha Se Riwayat Hai Ki Huzoor Sallalahu Alayhi Wasallam Ne irshad Farmaya
“Jo Mard Apni Biwi Ka Hath Usko Behlane Ke Liye Pakadta Hai,
ALLAH Ta’ala Uske Liye 1 Neki Likh Deta Hai,
Aur Jab Aurat Se Sohbat Karta he to Duniya aur jo kuch usme he un subse behtar ho jata Hai”
(Gunyatuttalebin Safa 113)
Sohbat Se Pehle Khud Bechain Na Ho Jaye Apne Aap Par Pura Itminan Rakhe Jaldbaji Na Kare Pehle Biwi Se Pyar Muhabbat Ki Batchit Kare Fir Bos Wa Kinar (Kiss) Wagaira Se Usko Razi Kare Aur isi Duran Dil Hi Dil Me Ye Dua Padhe:
Bismillahil Aliyul Azime Allaho Akbar Allaho Akbar
Tarjuma:
Iske Bad Jab Mard-Aurat, Sohbat Ka Irada Kar Le To Kapade Jism Se Alag Karne Se Pehle Ek Martaba “Surah ikhlas” Padhe.
Bismillahi Allahumma Jannib Nash Shaitana Wa Janne Bish Shaitana Ma Rajak Tana
(Bukhari Sharif, Jild 3, Safa 473)
Hadees No: 4
Hazrat ibne Abbas Radiallaho Anhu Se Riwayat Hai
“Jo Shaks is Dua Ko Sohbat Ke Waqt Padhega (Dua Wahi Jo Upar Likhi Hai) To ALLAH Us Padhnewale Ko Agar Aulad Ata Farmaye To Us Aulad Ko Shaitan Kabhi Bhi Nuksan Na Pahuncha Sakega”
Huzoor Gause Aazam Shaikh Abdul Qadir Jilani wa Hazrat Muhkkike islam Shaikh Abdul Haq Mohoddas Dahalwi Aur Aalahazrat imam Ahmad Raza Khan irshad Farmate Hai
“Agar Koi Shaks Sohbat Ke Waqt Dua Na Padhe To Us Shaks Ki Sharmgah Se Shaitan Lipat Jata Hai Aur Us Mard Ke Sath Shaitan Bhi Us Aurat Se Sohbat Karne Lagta Hai. Aur Jo Aulad Paida Hoti Hai Woh Nafarman, Buri Aadatwali, Begairat, Bad-deen Hoti Hai. Shaitan Ki Is Dakhl Andaji Ki Wajahse Aulad Me Tabahkari Aa Jati Hai”
(Gunyatuttalebin Safa 116, Fatwa-E-Razviya, Jild 9,Safa 48)
Inzal (Mani Nikalte Waqt) Ki Dua:
Allahumma-La-Taja’al Lish Shaitane Fi-M-Razkatni Nasi-ba
Tarjuma:
(Hisne Hasin Safa 165, Fatwa-E-Razviya Jild 9,Safa 161)
Ek Badi Galatfehmi
Kuch logo ka khayal he ki jub Aurat se pehli bar sohbat ki jaye to uski sharmgah se khoon kharij hona jaruri hai.
Ye khoon ka aana uske ba ajmat pak daman hone ka suboot samza jata he
Agar khoon nahi aaya to aurat badchalan aawara samzi jati he aur aurat ki sharafat aur ba ajmat hone me shak kiya jata he. Aaiye is masle ke bare me hum jante hai.
Kuwari ladkiyo ki sharmgah me thoda andar ek patali zilli hoti he.
Jise Parda-E-Ajmat Ya Parda-E-Bakarat (Hymen) kehte hai.
Is zilli me chota sa surakh hota he jiske jariye ladaki ke balig hone par Haiz (Mahwari) ka khoon apne waqt par khariz hota rehta he.
Shadi ke bad jab mard pehli bar sohbat karta he to mard ke Uzoo-E-Tanasul ke uske takarane ki wajahse wo zilli fat jati he.
Is mauke par aurat ko thodi taklif hoti he aur thodasa khoon kharij hota he.
Fir yah zilli humesha ke liye khatam ho jati he.
lekin ye zilli patali aur najuk hoti he to kai martaba kisi ladaki ko ye kisi mamuli chot ya kisi hadse ki wajahse ya kabhi khud ba khud fat jati he. Lihaza agar aurat se sohbat ke dauran khoon na nikale to use aawara samazna munasib na hoga jub tak ki mukammal sharai suboot na ho
“Jiska Parda-E-Ajmat kudne,haiz aane ya jakhm ya umar jyada hone ki wajahse fat jaye wo aurat hakikat me Bakirah (Kuwari, Pak daman) hai.
(Tanwirul Absar, Fatwa-E-Razviya Jild: 12, Safa: 36)