Hazrat Owais Qarni Radiallahu Ta’ala Anhu Ka Ek Waqiya
Deeghar Kayi Jhoote Waqiyaat Ki Tarah Awaam Mein Ye Waqiya Bhi Bahut Mash’hoor Hai Ke Jab Hazrat Owais Qarni Radiallaho Ta’ala Anho Ko Pata Chala Ke Jung -e- Uhud Mein Nabiye Kareem Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ke Dandan Mubarak Shaheed Ho Gaye Hain To Aap Radiallaho Ta’ala Anho Ne Apne Tamam Daanto Ko Shaheed Kar Diya Phir Aapko Halwa Bana Kar Khilaya Gaya Aur Kuchh Log Kehte Hain Ke ALLAH Ta’ala Ne Hazrat Owais Qarni Radiallaho Ta’ala Anho Ke Liye Kele (Banana, A Fruit) Ko Paida Farmaya Taaki Aapko Khane Mein Takleef Na Ho
Ye Waqiya Kayi Logon Ko Is Tarah Yaad Hai Jaise Maano Unhein Paani Mein Ghol Kar Pila Diya Gaya Ho Aur Shaban Ka Mahina Aate Hi Wo Ise Ugalna Shuru Kar Dete Hain Lekin Sach Ye Hai Ke Is Waqiye Ki Koi Haqeeqat Nahin Hai, Chunanche,
Faqeeh -e- Aazam -e- Hind, Khalifa -e- Huzoor Muftiye Aazam Hind, Shaarahe Bukhari, Hazrat Allama Mufti Shariful Haque Amjadi Alaihi Rehma Likhte Hain Ke Ye Riwayat Bilkul Jhoot Hai Ke Jab Hazrat Owais Qarni Radiallaho Ta’ala Anho Ne Ye Suna Ke Ghazwa -e- Uhud Mein Nabiye Kareem Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ke Dandan Mubarak Shaheed Huye The To Unhone Apna Sab Daant Tod Daala Aur Unhein Khane Ke Liye Kisi Ne Halwa Pesh Kiya
(انظر: فتاوی شارح بخاری، جلد دوم، صفحہ نمبر114، دائرۃ البرکات گھوسی، ضلع مئو)
Hazrat Allama Mufti Muhammad Yunus Raza Owaisi Madda Zillahul Aali Likhte Hain Ke (Hazrat Owais Qarni Ke Daant Shaheed Karne Ki) Riwayat Nazar Se Na Guzri Aur Ghaliban Aisi Riwayat Hi Nahin Hai Agarche Mash’hoor Yahi Hai
(انظر: فتاوی بریلی شریف، صفحہ نمبر301، زاویہ پبلشرز، مرکزی دار الافتاء سودگران، بریلی شریف)
Kuchh Ulma -e- Ahle Sunnat Ne Is Waqiye Ko Tehreer Farmaya Hai Lekin Wo Qabil -e- Qabool Nahin Hai Kyunki Na To Iski Koi Sanad Hai Aur Na Koi Moatbar Makhaz, Chunanche Faiz -e- Millat, Hazrat Allama Mufti Faiz Ahmad Owaisi Alaihi Rehma Is Riwayat Ke Baare Mein Likhte Hain Ke Nabiye Kareem Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ke Samne Waale Daant Ghazwa -e- Uhud Mein Shaheed Huye Aur Jab Ye Khabar Hazrat Owais Qarni Radiallaho Ta’ala Anho Tak Pahunchi To Ek Riwayat Ke Mutabiq Aapne Apne Saamne Waale Chaaro Daant Nikal Diye Aur Kutub -e- Seerat Wa Tarikh Ki Mash’hoor Riwayat Mein Hai Ke Ye Khabar Sunne Par Hazrat Owais Qarni Radiallaho Ta’ala Anho Ke Daant Khud Ba Khud Jhad Gaye
(انظر: فتاوی اویسیہ، جلد1، صفحہ نمبر288، صدیقی پبلشرز کراچی)
Hazrat Allama Mufti Fazl Ahmad Chisti Madda Zillahul Aali Likhte Hain Ke Hazrat Owais Qarni Radiallaho Ta’ala Anho Ke Baare Mein Jo Ye Awaam Mein Mash’hoor Hai Ke Aapne Ishq -e- Rasool Mein Apne Daanto Ko Shaheed Kiya, Sarasar Jhoot Aur Jahilo Ka Gadha Hua (Mangadhat) Hai Agarche Baaz Tazkira Ki Kitabo Mein Iska Zikr Milta Hai Lekin Wo Be Deeno Ki Milawat Hai, Iska Suboot Kisi Mustanad Aur Mehfooz Kitab Se Nahin Milta Balki Iske Bar Khilaf “Tabqaat -e- Kubra” Mein Hai Ke Hazrat Owais Qarni Radiallaho Ta’ala Anho Ne Farmaya Ke Khuda Ki Qasam! Jis Tarah Rasool -e- Kareem Ka Saamne Waala Ek Daant Shareef Ka Kuchh Hissa Mubarak Shaheed Kiya Gaya Tha Isi Tarah Mere Bhi Isi Daant Ka Ek Hissa Toda Gaya Tha Aur Jaise Sar (Head) Shareef Ko Zakhmi Kiya Gaya Tha Mere Sar Ko Bhi Usi Tarah Zakhmi Kiya Gaya Tha, Jis Tarah Aapki Peeth Par Kuchh Phenk Kar Aapko Takleef Pahunchayi Gayi Thi Usi Tarah Mujhe Bhi Pahunchayi Gayi Thi Isi Tarah Maine Baaz Kitabo Mein Dekha Hai Jiski Haqeeqat Ko Allah Ta’ala Behtar Jaanta Hai
(طبقات الکبری لامام شعرانی، ذکر اویس قرنی، صفحہ نمبر43، طبع دار الکتب العلمیۃ بیروت)
Jis Tarah Ye Waqiya Naqlan Sabit Nahin Usi Tarah Aqlan Bhi Qabile Tasleem Nahin Hai
Pehli Wajah : Nabiye Kareem Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ka Koi Bhi Daant Mukammal Taur Par Shaheed Nahin Hua Tha Balki Samne Waale Ek Daant Shareef Ka Chhota Sa Tukda Juda Hua Tha Jisse Noor Ke Motiyo Ki Ladi Ki Khubsoorati Mein Ek Ajeeb Izafa Ho Gaya Tha, Jaisa Ke Shaykh Abdul Haque Muhaddise Dehelvi Rehmatullahi Ta’ala Alaih Farmate Hain:
وشکستہ شدن دندان نہ بآں معنی کہ از بیخ افتادہ باشدود ردند انہار خنہ پیدا شدہ باشد بلکہ پارہ ازآں اشد
(اشعتہ اللمعات شرح مشکوٰۃ، جلد4، صفحہ نمبر515، کتاب الفتن، باب المبعث وبدا الوحی الفصل الثالث، زیر تحت حدیث انس رضی اللہ تعالٰی عنہ)
Yaani, Aap Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ke Daant Tootne Ka Ye Maana Harghiz Nahin Ke Jad Se Ukhad Gaya Ho Aur Wahan Rukhna Paida Ho Gaya Ho Balki Ek Tukda Shareef Juda Hua Tha
Hakeemul Ummat, Mufti Ahmad Yaar Khan Nayeemi Alaihi Rehma Likhte Hain Ke Huzoor Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ke Dahini Ke Niche Ki Chokdi Ke Ek Daant Shareef Ka Ek Tukda Toota Tha Ye Daant Shaheed Na Hua Tha
(مرآۃ المناجیح شرح مشکوٰۃ المصابیح، جلد8، صفحہ نمبر105)
Khayal Rahe! Aaj Tak Aksar Dunya Yahi Samajhti Rahi Hai Ke Samne Ke Upar Ke Daant Shareef Ko Kuchh Hua, Halanki Haqeeqat Yahi Hai Jo Humne Bayaan Ki, Niche Ke Daant Shareef Ka Mas’ala Hai Aur Yahi Baat Humare Mustanad Muhaqqiqeen Ulma Ne Likhi Hai
Jab Ye Sabit Ho Gaya Ke Huzoor Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ka Koi Daant Mukammal Shaheed Nahin Hua To Hazrat Owais Qarni Radiallaho Ta’ala Anho Se Ye Baat Jodna Kaise Sahih Ho Sakta Hai, Jab Bunyad Hi Sabit Nahin To Us Par Mahal Tameer Kaise Ho Sakta Hai?
Khayal Rahe! Hazrat Allama Faiz Ahmad Owaisi Alaihi Rehma Ne Is Waqiye Par Ek Risala Likha Hai Jis Mein Ek Ghalati To Ye Hai Ke Us Mein Ye Likha Hai Ke Nabiye Kareem Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ke Samne Ke Char Daant Shaheed Huye The Yaani Jad Se Nikal Gaye The Lihaza Us Risale Ki Tehqeeq Durust Nahin Hai
Dusri Wajah : Huzoor Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ke Saath Jo Kuchh Hua Wo Kafiro Ki Taraf Se Tha Na Ke Aap Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ne Khud Kiya Tha To Sawal Uthta Hai Ke Daant Todna Kafiro Ki Sunnat Hai Ya Huzoor Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ki? Isi Jung -e- Uhud Mein Kafiro Ne Huzoor Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ke Chehra -e- Anwar Pe Zakhm Lagaye Aur Sar Mubarak Ko Bhi Zakhmi Kiya Aur Isi Tarah Makka Mein Namaz Ki Haalat Mein Aap Par Ojhdi Daali Gayi To Hazrat Owais Qarni Radiallaho Ta’ala Anho Ne Ye Saare Kaam Apne Saath Kyun Na Kiye?
Isliye Ke Ek To Ye Sarasar Jahalat Shumar Hoga Aur Dusra Shariat Ke Khilaf Bhi.
Jo Log Is Waqiye Ko Bayaan Karte Hain Unhein Hum Dawat Dete Hain Ke Tum Bhi Apne Daanto Ke Saath Aisa Karo Kyunki Tumhare Nazdeek Ye Hazrat Owais Qarni Radiallaho Ta’ala Anho Ki Sunnat Hai Aur Sirf Hazrat Owais Qarni Radiallaho Ta’ala Anho Ki Takhsees Kyun, Jitne Bhi Ambiya, Sahaba Aur Auliya Ke Saath Aise Mamlaat Huye Waisa Inhein Bhi Karna Chahiye
Ye Waqiya Sabse Pehle Sirf “Tazkiratul Auliya” Mein Milta Hai Jiske Musannif Shaykh Attar Rafziyo Ke Ilaqe Mein Rehte The Aur Inki Kitabein Rafziyo Ke Zulm Wa Zyadati Ka Shikar Rahi Hai
(انظر: سیدنا خیر التابعین حضرت اویس قرنی رضی اللہ تعالٰی عنہ کی طرف منسوب واقعہ مکذوبہ کی وضاحت پر مشتمل تحقیقی فتوی، غوثیہ کتب خانہ لاہور)
Ye Bhi Jaan Lijiye Ke Kayi Sufiya Hazraat Ne Apni Kitabo Mein Aisi Aisi Ahadees Aur Riwayaat Bayaan Farma Di Hain Jo Ke Kutub -e- Hadees Wa Tarajim Mein Nihayat Darje Ki Chhan Been Ke Bawjood Bhi Nahin Milti, Inki Kitabo Mein Kayi Aisi Riwayaat Bhi Hoti Hain Jo Ayimma -e- Fann Aur Muhaddiseen Ke Haan Hadees Kehlane Ki Bhi Haqdar Nahin Hoti, Kuchh Baatein Aur Riwayaat Aisi Bhi Hoti Hain Jo Haqaiq Aur Sahih Riwayaat Ke Khilaf Hoti Hain Aur Kayi Kahaniya Aisi Bhi Bayaan Kar Di Jaati Hain Ke Agar Unhein Sach Maan Liya Jaaye To Kayi Tarah Ke Sawalaat Khade Ho Jaate Hain.
Sufiya -e- Kiraam Ki Kitabo Mein Kisi Riwayat Ka Hawala Umooman Darj Nahin Hota Aise Mein Un Riwayaat Par Aitmad Kar Lene Ke Bajaye Chhan Been Karna Ahle Tehqeeq Apna Fareeza Samajhte Hain, Maslan:
Hazrat Owais Qarni Radiallaho Ta’ala Anho Ka Apne Daant Todne Waala Waqiya Jise Shaykh Fareeduddin Attar Rehmatullahi Ta’ala Alaih Ne Apni Kitab “Tazkiratul Auliya” Mein Baghair Kisi Sanad Aur Moatbar Ke Darj Kiya Hai, Jisse Sirf Shiya Hazraat Apna Ullu Seedha Karne Ki Koshish Karte Huye Maatam Par Bataur -e- Daleel Pesh Karte Hain Halanki Ye Riwayat Ayimma Muhaddiseen Ke Nazdeek Mauzu Riwayaat Ki Lambi Fehrist Mein Shamil Hai Aur Phir Iske Matan Par Sawalaat, Shubahaat Aur Tazadaat Wa Tanqeedat Ka Ek Aisa Silsila Shuru Ho Jaata Hai Jis Par Ek Poori Kitab Likhi Ja Sakti Hai
Phir Jo Kele (Banana) Ke Baare Mein Kaha Jaata Hai Ke Khaas Aapke Liye ALLAH Ta’ala Ne Paida Farmaya Isse Pehle Dunya Mein Is Phal (Fruit) Ka Naamo Nishan Na Tha, Bilkul Ghalat Hai Kyunki Tamam Kitabo Mein Jahan Hazrat Owais Qarni Radiallaho Ta’ala Anho Ki Ghiza Ka Zikr Hai Wahan Waazeh Taur Par Likha Hai Ke Aapki Ghiza Roti Aur Khajoor Thi Aur Ye Bhi Zahir Hai Ke Bina Daant Ke Inko Khana Mushkil Hai
Ab Ek Riwayat Ye Bhi Hai Ke Jab Hazrat Adam Alaihissalam Jannat Se Zameen Par Tashreef Laaye To Apne Saath Ajwa Khajoor, Leemu Aur Kela Laaye
(موسوعہ ابن ابی الدنیا، جلد4، صفحہ نمبر346)
Ab Hum Ye Keh Sakte Hain Ke Agar Dalail Ki Ru Se Dekha Jaaye To Is Waqiye Ki Koi Haqeeqat Hi Nahin Hai Lihaza Is Waqiye Ko Bayaan Karne Se Bachna Chahiye.