Bazme Faizan-E-Raza

73 Firqo Me Jannati Kaun

Assalamo Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu
Jaisa Ke Hamare Kuch Log Kehte Hai Ke Mera Koi Firqa Nahi. Firqaparasti Jaiz Nahi. Me Sirf Musalman Hu. Aise Jaahilo Ke Liye Yaha Bahawala Post Likh Raha Hu. 73 Firqe Hone Ka Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Apne Zamane Mubarak Me Ilm-E-Ghaib Ko Zahir Kar Diya.  Ab Jo Iska Inkar Kare Wo Farmane Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Munkir Hai. Ab Kuch Log Kehte Hai Ek Ho Jao. To Un Logo Se Mera Yahi Kehna Hai Ke Hamne Kisiko Alag Nahi Kiya Firqe Me Nahi Banta. 1400 Salme Ek Hi Jama’at Ahle Sunnat Hi Par Sab Qayam The. Kuch Aqal Ke Paidal Nasal Ke Gande Apne Sade Gale Galeez Aqaid Ki Gandagi Is Duniya Me Failaye. Aur Khud Apne Naye Firqe Bana Liye Hai. Qur’an-E-Kareem Wa Hadees Se Ek Baat Sabit Hai Ke Ek Hi Firqa Hamesha Haq Par Rahega In Sha ALLAH Chahe Jitne Ikhtelaf Ho Jaye Duniya Me Wo Ahle Sunnat Wal Jama’at Yani Maslake Aalahazrat Hai.
Ye Log Sirf Ahle Sunnat Se Fatiha Darood Salato Salaam Aur Dargah Jane Par Ikhtelaf Nahi Rakhte. Ye Inke Baatil Kufriya Aqeede Ki Buniyad Par Alag Jama’at Qayam Kiye Hai. Isliye Aqaid-E-Ahle Sunnat Ka Sikhna Behad Zaroori Hai. Aqaid-E-Ahle Sunnat Par Behtarin Kitab Play Store Se Hamare Nabi Download Kijiye. Is Kitab Ko Khoob Share Kare Ki Logo Ki Islah Ho.
Nabi-E-Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Ki,
Beshak Bani Israyeel Ke Bahattar (72) Firke Ho Gaye The Aur Meri Ummat Ke Tihattar (73) Giroh Ho Jayenge Jinme Se 72 Giroh Dozakhi Honge Aur Ek (1) Giroh Jannati Hoga
Sahaba-E-Kiraam Ne Arz Kiya Ki, Ya Rasoolallah Sallallaho Alaihi Wasallam! Wo Ek Jannati Giroh Kaun Hoga?
Humare Pyaare Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Ki,
Jo Mere Aur Mere Sahaba Ke Tariqe Par Hoga
(جامع ترمذی، ج2، ص93)
(مشکٰوت، باب الاعتصام، ص31)
Hazrat Mulla Ali Qari Rehmatullahi Ta’ala Alaih Is Hadees Paak Ko Bayaan Karke Farmate Hain Ki,
Is Baat Mein Koi Shako Shuba Nahin Ki Wo Jannati Giroh Ahle Sunnat Wa Jama’at (Sunni) Hi Hai
(مرقات، شرح مشکٰوت، ج1، ص248)
Imamul Auliya Sayyiduna Ghause Aazam Radiallaho Ta’ala Anho Irshad Farmate Hain Ki,
Jo Giroh Najaat Paane Waala Hai Wo Ahle Sunnat Wa Jama’at Hai
(غنیتہ الطالبین، ص164)
Hujjatul Islam Sayyiduna Imam Ghazali Rehmatullahi Ta’ala Alaih Farmate Hain Ki,
Nabiye Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Ahle Sunnat Wa Jama’at Ke Baare Mein Farmaya Ki Jis Tariqe Par Main Aur Mere Sahaba Hain
(احیاء العلوم، ج3، ص161)
(الملل والنحل للشھر ستانی، ج1، ص13)
Shaykh Abdul Haque Muhaddise Dehelvi Rehmatullahi Ta’ala Alaih Farmate Hain Ki,
Deen -E- Islam Mein Sawaad -e- Aazam (Wo Badi Jama’at Jo Najaat Paane Waali Hai) Se Murad Ahle Sunnat Wa Jama’at Hi Hai
(اشعت اللمعات، فارسی، ج1، ص141)
Imamul Hind Shah Waliullah Muhaddise Dehelvi Farmate Hain Ki,
Nabiye Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Sawaad -e- Aazam Ki Itteba Karne Ka Hukm Irshad Farmaya Aur Ab Siwaye In 4 Mazahib (Hanfi, Shafayi, Hambali Aur Maaliki) Ke Sab Khatm Ho Gaye To Ab Inki Itteba Karna Hi Sawaad -e- Aazam Ki Pairwi Karna Hai Aur Isse Baahar Hona Sawaad -e- Aazam Se Katna Hai
(عقد الجید، ص33)
Ek Riwayat Mein Hai Ke Nabiye Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ki,
Ahle Sunnat Wa Jama’at Hi Najaat Paane Waala Giroh Hai.
(الملل النحل، ج1، ص20)
Ek Riwayat Mein Humare Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Ki,
Ahle Sunnat Wa Jama’at Wo Hoga Jo Meri Ahle Bait Ki Muhabbat Mein Marega
(تفسیر ابن عربی، ج2، ص212)
Nabiye Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Ye Bhi Irshad Farmaya Ki,
Ahle Sunnat Ke Chehre Safed Aur Ahle Bidd’at Ke Chehre Kaale Honge
(تفسیر در منثور، ج2، ص76)
Qazi Sanaullah Panipatti Rehmatullahi Ta’ala Alaih Farmate Hain Ki,
Ahle Sunnat Ke Chehre Raushan Honge Aur Ahle Bidd’at Ke Chehre Kaale Honge
(تفسیر مظھری، ج2، ص116)
Hazrat Abdullah Bin Abbas Ka Bhi Irshad Hai Ki,
Ahle Sunnat Wa Jama’at Ke Chehre Safed Aur Noorani Honge Aur Ahle Bidd’at Ke Chehre Kaale Honge
(تفسیر ابن کثیر، ج1، ص390)
Imam Muhammad Bin Sireen Tabayi Farmate Hain Ki,
Sahaba -E- Kiraam Sanad -e- Hadees Ki Tehqeeq Nahin Karte The Lekin Jab Deen Mein Fitne Paida Huye To Log Sanad Ki Tehqeeq Karne Lage Aur Jis Hadees Ki Sanad Mein Ahle Sunnat Raawi Hote To Use Qubool Karte Aur Agar Ahle Bidd’at Raawi Hote To Use Chhod Dete
(مقدمہ صحیح مسلم، ج1، ص9)
Imam Jalaluddin Suyooti Rehmatullahi Ta’ala Alaih Farmate Hain Ki,
Faqeeh Ismayeel Rehmatullahi Ta’ala Alaih Farmate Hain Ki Maine Khwab Mein Haafiz Abu Hakim Ahmad Ko Dekha Aur Puchha Ki Tumhare Nazdeek Najaat Paane Waala Firqa Kaun Sa Hai?
Unhone Kaha Ki “Ahle Sunnat”
(شرح الصدور، ص140)
Is Hadees Ke Aakhiri Jumle Mein Gaur Karein Ki Allah Ke Nabi Ne Irshad Farmaya Ki,
Jo Mere Aur Mere Sahaba Ke Tariqe Par Hoga
(Whatever I Am Upon And My Companions)
Yani Jo Meri (Sunnat) Aur Mere Sahaba Ke Tariqe (Jama’at) Par Hoga
Is Hadees Se Ye Baat Waazeh Ho Gayi Ki Humari Jama’at Ka Naam (Title) Humein Kahin Aur Se Nahin Mila Balki Humein Allah Ke Rasool Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Ye Naam Diya Hai Aur Ahle Sunnat Wa Jama’at Hi Ahle Jannat Hai
Tujhse Aur Jannat Se Kya Matlab Mukhalif Door Ho,
Hum Rasoolullah Ke Jannat Rasoolullah Ki
—Imam Ahmad Raza Qadri Barelvi
(حدائق بخشش)

Your Beloved
Abde Mustafa
Muhammad Sabir Ismayeeli Qadri Razvi
(Muballigh-E-Bazme Faizan-E-Raza)
Bazme Faizan -E- Raza Pvt. Ltd.
(India)
Like Us Our Official Facebook Page:
www.facebook.com/HumareNabi
Remember Hamare Nabi Team In Your Previous Dua.
Bazme Faizan -E- Raza Pvt. Ltd.
(India)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!