Watan Se Mohabbat Iman Ka Hissa Hai
Huzoor ﷺ Ne Farmaya Watan Se Mohabbat Iman Ka Hissa Hai
Is Hadees Ko Imam Sakhaawi Ne Al Maqasid Ul Hassnah Me Nakal Kiya Hai
Al Masnoo fi Maarif al Hadith al
Maudu, Imam Suyuti, 91/1
Al Silsila ul Daeefah Sheikh Naseer ud Din Albani, 36
Tazkirat ul Mauduaat, Allamah Muhammad Tahir Hanafi, 11/1
Al Mauduaat ul Saghaani 2/1 6. Ad Darar al Muntasra 9/1
SOURCE: Mash’hur Daeef Ahadith,
Hafiz Imran Ayyub, Volume II, page 48
🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳
Huzoor ﷺ Ki Hind Se Mohabbat:
Huzoor ﷺ Ne Hind Ki Taraf Chehra E Anwar Kar Ke Farmaya Mujhe Hind Ki Taraf Se Thandi Hawa Aati Hai
Is Hadees Ko Shahi Ka Darja Mila Hai Aur Iske Ravi Hazrat Ali رضي الله عنه Aur Ibn Abbas رضي الله عنه Hai
[Mustadrak Al Haakim Hadith 4053 Hakim said This Hadith is Sahih on the conditions of [Sahih] Muslim From: Al Mustadrak Ala al Sahihainby Al Hakim Al-Nisaburi Jild 2, Kitab: Tawareekh ul Mutaqadmeen Min Al Anbiyai Wal Mursaleen] 🇸🇦🇸🇦🇸🇦🇸🇦🇸🇦🇸🇦🇸🇦🇸🇦🇸🇦🇸🇦🇸🇦🇸🇦🇸🇦🇸🇦🇸🇦🇸🇦🇸🇦HUZOOR ﷺ KI MADINA SE MOHABBAT
Huzoor ﷺ Hijrat Farma Kar Madina Sharif Pohche Aur Madina Sharif ko Apna Mustaqil Watan Banaliya To Ye Dua Mangi:
Aye ALLAH Jis Tarah Makkah Mukarramah Ki Mohabbat Tu Ne Hame Ata Ki Thi Isi Tarah Madinah Munawwarah Ki Mohabbat Bhi Hamen Ata Farma Ya Us Se Bhi Zyadah Hame Madinah Ki Mohabbat Ata Farma Aur Yahan Ki Aab O Hawa Sahet Baksh Banade Aur Hamare Sa’a Aur Mud (galla naapne ke 2 paimane) Mein Barkat Ata Farma Aur Madina Ke Wabayi Bukhar Ko Juhfa (naami muqam) Mein Muntaqil Karde.
[Sahih Muslim:- Vol. 3: Hadith 3342, 3480] 🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳Apne Mulk Aur Watan Se Mohabbat Karen Aur Apni Zaat Se Mulk O Watan Ko Faidah Pohchane Ki Koshish Karen🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳