Talaq Halala Aur Khula Ka Bayan
Assalamo Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Mere Pyare Bhaiyo Behno Dosto Buzurgo,
Nikah Ki Hamare Mazhab Me Badi Ahmiyat Hai. Nikah Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Sunnat Hai. Aapne Irshad Farmaya Ki Nikah Nigaho Ko Jhukata Hai. Nikah Wo Khubsurat Rishta Hai Jo Zindagi Me Khushiya Laata Hai. Ladka Aur Ladki Ke Gharwalo Ko Bhi Ek Dusre Se Rishto Me Jod Deta Hai. Nikah Ke Baad Ladka Baap Aur Ladki Maa Ban Jati Hai. Nikah Khushiya Hi Khushiya Apne Sath Lata Hai. Ladke Ki Rozi Me ALLAH Ta’ala Izafa Farma Deta Hai. ALLAH Ta’ala Sabke Liye Ye Muqaddas Rishta Mubarak Kare. Aameen. Awwal Aakhir Durood.
Nikah Ki Ahmiyat Wa Fazilat
Mehboob-E-Rehman Sarwar-E-Zishan Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
“Bande Ne Jab Nikah Kar Liya To Aadha Deen Mukammal Ho Jata Hai
Ab Baki Aadhe Ke Liye ALLAH Ta’ala Se Daro”
(Mishkat Sharif, Jild 2, Hadees No 2962, Safa 72)
Noor-E-Mujassam, Rasool-E-Khuda, Habeeb-E-Kibriya,Nabi-E-Rehmat, Shafa-E-Mehshar, Fakhar-E-Do Aalam, Fakhar-E-Bani-E-Aadam, Malik-E-Do Jahan, Khatmul Ambiya, Rehmatallil Aalamin, Tajdare Madina Rahat-E-Kalbo Sina, Janabe Ahmade Mujtaba, Muhammad Mustafa Sallalaho Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya:
“Nikah Meri Sunnat Hai”
(Ibne Maja, Jild 1, Hadees No 1913, Safa 518)
Aaj Islamic Shari’at Ko Historical/Purani Kehnewalo Ko Dar Asl Islam Ke Shari’at Ka Koi Ilm Nahi Hai. Aaj Awaam Ko Nikah Karne Se Pehle Nikah Ke Sare Masle Masail Ka Sikhna Zarooi Hai. Islam Ne Kisi Soorat Me Aurat Par Koi Ziyatadi Nahi Ki Hai. Har Jagah Aurat Ke Huqooq Ko Ada Karne Ki Taleemat Hamare Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmayi Hain. Aur Jo Qanoon Rehmate Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Banaya Hai Wo Ta Qayamat Aanewale Logo Ke Liye Hai Jise Koi Tabdeel Nahi Kar Sakta. Jinhe Shari’at-E-Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam Se Aitraz Hai Ya Jinhe Lagta Hai Ma’zALLAH Islam Me Aurat Ka Haq Ada Nahi Kiya Jaa Raha Isliye Wo Aaj Shari’at Ke Khilaf Bol Rahe Hai. Aise Logo Ko Apne Aakhirat Ki Fikr Karni Chahiye. ALLAH Ta’ala Ko Kya Munh Dikhaoge. Jab ALLAH Ta’ala Tumse Puchhega Ki Mere Habeeb Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Qanoon Par Tune Kyu Ungliya Uthai? ALLAHU Akbar. Socho Kya Anzam Hoga Aise Logo Ka.
Islam Me Aurat Ke Huqooq Wa Martaba Quran Wa Hadees Se.
Aaj Triple Talaq Ka Masla Adalat Tak Pohoch Gaya Hai. Kya Hamare Kisi Bhai Beheno Ne Is Baat Par Gaur Kiya Ki Islam Me Talaq Ki Kitni Kisme Hai? Talaq Kaise Diye Jaye? Talaq Ke Talluq Masle Masail Ko Padhna Zaroori Samjha Nahi. Afsos Fir Bhi Aise La Ilmi Log Shari’at Ki Mukhalfat Kar Rahe Hai Bina Ilm Ke. Agar Kuch Chizo Par Ham Gaur Kare To Hame Ye Pata Chalta Hai Ke Hamare Aajke Bhai Beheno Ko Talaq Ke Masail Ka Ilm Hi Nahi Hai. Isliye Wo Apni La Ilmi Ke Shikar Ho Jate Hai. Jis Tarah Roza Rakhne Ke Liye Roza Todnewali Chizo Ke Masail Sikhna Zaroori Hai, Jis Tarah Namaz Padhne Ke Liye Namaz Ke Masail Sikhna Zaroori Hai Usi Tarah Nikah Karne Se Pehle Ladka Aur Ladki Dono Ko Talaq Ke Masail Ka Ilm Hona Chahiye. Isse Ye Fayda Hoga Ko Dono Apni Hado Se Achchi Tarah Wakif Ho Jayenge.
Talaq Ki Qisme Aur Talaq Dene Ke Tariqe Ko Yaha Padhe.
TALAQ Ek Jayez Amal Hai Lekin Us Surat Me Jab Miya Biwi Ke Rishte Me is Qadar Kad’wahat Aajaye Ki Baat Kisi Surat Se Na Banti Ho To Shari’at Ne Hum Par Ye Aasani Ki Ke TALAQ (Azadi) Ka Rasta Banaya, Jisse Ye Dono Alag Ho Sakte Hain, Phir Ye Apni Marzi Ke MUTABIQ Kisi Dusre Se Nikah Ke Mamle Me Aazad Hain, Par Aaj Kal Baat Be Baat Talaq Dene Ka Riwaj Nikla Hai Aur Zara Bhi Koshish Nahi Ki Jati Ki Baat Ban Jaye, Koi Gusse Me TALAQ De Raha Hai, Koi Nashe Me, Koi Dahej Ke Liye, To Koi Biwi Se Chhutkara Paane Ke Liye, TALAQ Agarche Ek Jayez Amal Hai Par ALLAH Pak Use Pasand Nahi Farmata, Bila Sakht Shar’ie Zarurat Ke TALAQ Nahi Dena Chahiye, Jo Shakhs Kisi Mamooli Si Bat Par Apni Biwi Ko TALAQ De Wo Gunaahgar Hai Unka Ye Jahilana Amal ALLAH Ta’ala Aur Uske Habeeb Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Narzi Ka Sabab Hai. Aur Aakhiray Me Aazab Ka Saman Hai. TALAQ Ke Silsile Me Chand Ahadise Pak Padhiye.
Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem Rehmatallil Aalameen Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya,
Tamam Halal Chizon Me ALLAH Ke Nazdeek Ziyadah Na’pasand TALAQ Hai.
(Sunan Abu Dawood, Kitabul Talaq, Bab Karahyat Talaaq, Jild 2, Safa 380, Hadees 2187)
Hazrat Mu’aaz Riwayat Karte Hain Huzoor صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم Ne Farmaya:
“Aye Mu’aaz ! Koi Cheez ALLAH Pak Ne Roye Zameen Par Gulam Azad Karne Se Ziyadah Pasand Nahi Ki, Aur Koi Cheez TALAQ Se Ziyadah Na’pasand Nahi Ki.
(Sunan Darkutani, Kitabul Talaq, Jild 4, Safa 40)
In Hadees-E-Pak Se Hame Ye Khoob Roshn Hua Ke Talaq Halal Chizo Me Sabse Jyada Napasandida Amal Hai ALLAH Ta’ala Ke Nazdik. Afsos Aajke Hamare Kam Aqal Jaahil Nawjawano Ne Talaq Ko Khel Samajh Liya Hai Ma’zALLAH.
• Whatsapp Par Talaq Skype Par Talaq
• Gussa Aa Gaya To Talaq
• Khana Achcha Nahi Banaya To Talaq
• Dehez Nahi Mila To Talaq
• Ek Sath 3 Talaq Dena
• Haiz Ke Dino Me Talaq Dena
Jab Miya Biwi Ke Rishte Me Kadwahat Aa Jaye. Masla Bada Ho Firbhi Nibhane Ki Koshish Karni Chahiye. Magar Aajke Logo Ka Hal Kuch Aur Hi Hai. Ye Mamooli Bato Par Talaq De Dete Hai. Aur Wo Bhi Ek Sath 3 Talaq. Ma’zALLAH. Ye Inki Jahalat Ka Saboot Hai. Dar Asl Hamare Nawjawano Ko Talaq Ke Masail Ka Ilm Nahi Hai. Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Jo Qanoon Banaya Wo Ta Qayamat Ke Musalmano Ke Liye Rehmat Hai. Magar Afsos Log Apni Lailmi Jahalat Ke Sabab Aise Kaam Karte Hai. Isliye Hame Chahiye Ke Nikah Se Pehle Talaq Ke Masail Ko Zaroor Sikhe. ALLAH Ta’ala Sabko Nek Taufiq De. Aameen. Awwal Aakhir Durood.
Talaq Ki Qisme Aur Talaq Dene Ka Tariqa Yaha Padhe.
ALLAH Ta’ala Na Kare Ki Kisike Zindagi Me Talaq Ki Naubat Aaye. Fir Bhi Agar Halat Aise Ho To Talaq Dene Ka Sabse Azfal Tariqa Ye Hai Paki Ke Dino Me Sirf Ek Talaq De. Ab Aurat 3 Haiz Tak (Approximately 3 Months) Ya Agar Aurat Hamila Hai To Bachche Ki Wiladat Tak Apne Shohar Ke Pas Rahegi. Ye Din Inke Liye Mohlat Di Gayi Hai Ke Ye Aapas Me Sulah Karle. Aur Shohar Talaq Se Ruzoo Karle. Is 3 Mah Ki Iddat Me Badi Hiqmat Hai Ke Sulah Ki Koshish Ki Jaye. Magar Afsos Aajke Logo Ka Hal Hi Kuch Aur Hai. Ladke Ke Rishtedar Bhi Use Nahi Samjhate. Aur Ladki Ke Waldain Ka Bhi Yahi Haal Hai. Ma’zALLAH. Yaad Rakkhe Miya Biwi Me Judai Dalna Shaitan Ka Kaam Hai. Aur Aap Log Bajaye Unko Samjhane Unke Rishte Ko Todne Me Sath De To Aap Bhi Gunaahgar Honge. Ha Agar Sulah Munkin Hi Na Ho To Baat Aur Hai.
Sarkar-E-Do Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Farmate Hai
Ibless Apna TAKHT Pani Par Bichhata Hai,
Aur Apne Lashkar Ko Bhjeta Hai (Logon Ko Burai Ki Taraf Ma’il Karne Ke Liye) Aur Sab Se Zada Martabah Uske Nazdeek Uska Hai Jisne Bada Fitna Kiya Ho, Har Koi (Uska Chela) Aakar Apni Kaarguzari Sunata Hai Wo Kehta Hai Tune Kuch Nahi Kiya (Bada Kaam) Eik Kehta Hai Mai Ne Mard O Aurat Me Judai Daal Dee, To Use Apne Qareeb Kar Leta Hai Aur Kehta Hai Haan Tu Hai (Jisne Mujhe Khush Kiya).
(Musnade Imam Bin Hambal, Jild 5, Safa No 52)
Is Hadees Se Wo Log Dars Hasil Kare Jo Bila Wajah Kisi Miya Biwi Me Galatfehmiya Paida Karke Unke Rishte Ko Khatam Karne Ka Ye Gunah Karte Hai. Inka Ye Amal ALLAH Ta’ala Aur Uske Habeeb Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Narazi Ka Sabab Hai. Isse Siwaye Gunaho Ke Kuch Hasil Nahi. Aur Aakhirat Me Azab-E-Ilahi Me Giraft Hone Ka Sabab Hai.
Ab In 3 Mahino Me Bhi Inme Sulah Na Ho Payi To 3 Haiz Ke Bad Aurat Nikah Se Bahar Ho Gayi. Ab Aurat Aur Mard Dono Azad Hai. Jisse Chahe Nikah Karle. Ye Baat Khoob Zehenashi Karle Ke Talaq Sirf Ek Hi Di Jana Behtar Hai. Ek Sath 2 Ya 3 Talaq Dena Ye Amal Islam Ke Khilaf Hai. Sakht Mana Aur Gunah Hai. Jisse Banda Aakhirat Me Sakht Azab Me Mubtala Hoga. In sha ALLAH Ab Agar Zindagi Me Inme Aise Halat Bane Ke Sulah Ho Gayi Aur Ye Nikah Karna Chahte Hai To Ye Dono Naya Nikah Naye Meher Ke Sath Kare Bina Halala Ke Kar Sakte Hai. Aur Ab Inke Dusre Nikah Me Bhi Nibhav Na Ho Paya To Phir Ek Talaq De Kar Wahi Sab Dohraya Jayega Jiska Maine Zikr Kiya. Isi 2 Talaq Ke Bawajood Bhi Ladka Usi Ladki Se 3ri Martaba Bina Halala Ke Naya Nikah Naye Meher Par Kar Sakta Hai. Ab Is 3re Nikah Me Agar Nibhav Na Ho Paya To Ab Jo Talaq Di Jayegi Wo 3ri Talaq Hai. Ab Aurat Iske Bad Wo Mard Us Aurat Se Bina Halala Ke Nikah Nahi Kar Sakta. Yaha Masail Samjhane Ke Liye Misal Di Gayi Hai. Ab Zara Aap Khud Gaur Kare Kis Qadr Tak Miya Aur Biwi Ke Bhalai Ka Khayal Rakkha Gaya Hai Hamari Shari’at-E-Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam Me. Kya Ab Bhi Koi Ye Kahega Ki Hamari Shari’at Me Aurato Par Zulm Ho Raha Hai? Ma’zALLAH. In Tamam Chizo Se Ye Bhi Saaf Zahir Hota Hai Ke Jo Shakhs Ek Sath 3 Talaq Dete Hai Wo Khud Jaahil La Ilmi Khilafe Shari’at Kaam Karte Hai Aur Sakht Gunaahgar Hai.
Iske Bar’Khilaf Islam Ne 1 Aur 2 TALAQ Ke Bad Biwi Ko Rokne Ka HAQ Diya Hai Jabki 3 TALAQ Dene Ke Bad Bina Halalah Kiye Wo Use Nahi Rakh Sakta, Chahe 3- TALAQ 3-Tohar (Paki Ki Halat) Me Dee Ho Ya 3 Haiz (Napaki Ki Halat) Me, Ya Eik Sath 3 Dee Ho, Bahar Haal Wo TALAQE MUGALLAZAH Hai Jisse Nikah Toot Gaya, Haan Ye Hai Ki Eik Sath 3-TALAQ Dena Sakht Mana Aur Bura Hai Jaisa Ki Hadise Pak Me Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ka Irshad Maujood Hai.
Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Tak Ye Khabar Paohchi Ki Eik Shakh Ne Apni Biwi Ko Eik Sath 3-TALAQ Dee, Ise Sun Kar Aap Gusse Me Khade Huye Aur Ye Farmaya Ki,
ALLAH Ki Kitab Se Khel Karta Hai? Halaki Mai Tumhare Andar Abhi Maujood Hun.
(Sunam An Nasai, Kitabul Talaq, Hadees No: 3398)
Is Hadeese Pak Se Ye Khoob Roshan Ho Gaya Ke Ek Sath 3 Talaq Dena Yani Talaqe BID’EE (بدعی) Sakht Mana Hai. ALLAH Ta’ala Aur Uske Habeeb Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Narazi Ka Sabab Hai Aur Gunaah Hai. Aaj Shiya Aur Gair Muqallidin Yahoodiyo Ki Pairawi Karte Hue Ye Kehte Hai Ke Ek Majlis Ki 3 Talaq 1 Hai. Jabki Ek Majlis Ki 3 Talaq 3 Hi Hone Par Kai Hadeese Pak Mauzood Hai.
Huzoor Gause Pak Shaikh Abdul Qadir Jilani Radiallahu Anhu Farmate Hain:
3 TALAQ Ke Bad Bhi Biwi Ko Rakhne Ka Riwaj Yahudiyon Me Hai Unse Ye Masla Rawafiz (Shiyon) Ne Liya.
(Gunyataltalebin Safa No: 172)
Ummul Momeemineen Sayyedah Aishah Siddiqa Radiallahu Anha Riwayat Farmati Hain Ki
Eik Shakhs Ne Apni Biwi Ko 3-TALAQ De De’n, Aurat Ne Dusra Nikah Kar Liya, Dusre Ne Bhi TALAQ De Dee (Sohbat Kiye Bina) Phir Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Se Pucha Gaya Kya Ab Pehla Shaohar Iske Liye Halal Hai (Wapas Usse Shadi Kare) Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ne Farmaya Nahi, Jab Tak Dusra Shaohar Iska Maza Na Chakhe Jaisa Ki Pehle Ne Chakha.
(Sahih Bukhari, Jild 1, Safa No: 791, Hadees No: 5261)
SAHI BUKHARI Ki Ye Hadees Ekhatti Dee Gai 3- TALAQ Ke 3 Hone Par Roze Roshan Ki Tarah Saaf Hai, Is Liye Ki Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ne 3 TALAQ Dene Ke Bad Bina Halalah Kiye Nikah Me Wapas Lene Se Mana Farmaya, Is Qism Ke Kai WAQIYAAT Ahaadees Me Hai Ki Huzoor ﷺ Ne 3 TALAQ Wali Ko Bai’nah (Kharije Nikah) Qarar Diya Mulahazah Farmayen.
Amriul Momineen Fil Hadees Sayyedna Imam Muhammad Bin Isma’eel Bukhari رحمہ اللہ تعالیٰ (Paidaish-194-Hijri Wafat-256-Hijri) Apni “Al’jami’uss Sahi” Yani Sahi Bukhari Me Hazrat Uwemar Ijlani (عویمر عجلانی) Ka Waqiyah Likhte Hain Ki,
Unho Ne Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ke Samne Li’aan Kiya Aur Jab Li’aan Se Farigh Huye To Kaha Ya Rasulallah Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ab Agar Mai Is Aurat Ko Rakhun To Jhuta Kehlaunga Phir Unho Ne Huzoor ﷺ Ke (Kuch) Farmane Se Qabl Hi Biwi Ko 3-Talaq De De’n.
(Sahih Bukhari Sharif, Jild 2, Safa No: 799, Hadees No: 5308)
Is Waqiye Ki Mazeed Tauzeeh Abu Dawood Sharif Me Is Tarah Ki Gai Hai:
Jab Hazrat Uwemar Ijlani Ne Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ke Samne 3 Talaq Dee To Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ne 3-No Ko Naafiz Kar Diya.
(Sunan Abu Dawood, Jild 1, Safa Number: 306, Hadees No: 2250)
Sahi Bukhari Wa Abu Dawood Sharif Ki Riwayat Se To Sabit Hua Ki Huzoor ﷺ Ne Eik Saath Ki 3-Talaq Ko Naafiz Kar Diya, Phir Gair Muqallideen Is Masle Me Huzoor ﷺ Ki Mukhalifat Karte Huye Yahudiyon Aur Shiyon Ki Raah Kyu Chal Rahe Hain?
Ab Aap Hi Ke Sawal Ko Hum Aap Par Aise Palat’te Hain, Aap Mohammadi Hain Ya Yahudi Wa Rafzi?
“Dunya Ki Ayeb Joi Khud Par Nazar Nahi Hai,
Har Eik Ko Dekhta Hai Apni Khabar Nahi Hai.
Gair Muqallideen (Ahle Khabess) Me Ab Bhi Sharm Ka Kuch Hissa Bacha Ho To Haq Ki Taraf Aaye’n Aur Qaum Ko Ye Keh Kar Dhoka Na Den Ki Hanafi Mazhab Khilafe Hadees Hai Jabki Hamare Ulmae Ahnaaf کثرھم الله تعالى Sabit Kar Chuke Hain Ki Hanafi Mazhab Quran O Sunnat Se Ziyadah Qareeb Hai.
Eik Saath Dee Gai 3 Talaq Ke Bad Bhi Raj’at Ka Hukm (Biwi Ko Dobara Nikah Me Baqi Rakhna) Agar Kisi Zamane Me Raha Bhi Ho To Iska Hukm Hamari Shari’at Me Mansookh Ho Gaya Hai, Jaisa Ki Mash’hoor Sahabi E Rasool ﷺ Hazrat Abdullah Ibne Abbas رضی اللہ عنہ Ne Sure Baqrah Ki Ayat-228 Ki Jo Tafseer Ki Hai Use Imam Abu Dawood رحمہ اللہ Ne Apni Sunan Me Likha Hai, Aur Aap Jante Hain Abu Dawood Siha Sitta Me Se Hai, Abu Dawood Ki Riwayat Ye Hai:
Hazrat Ikramah رضی اللہ عنہ Kehte Hain Hazrat Ibne Abbas رضی اللہ عنہما Ne Ayat (Sure Baqrah Ki Ayat-228) Ke Tahet Irshad Farmaya Shuru Me Agar Koi Shakhs Apni Biwi Ko 3-Talaq De Deta Phir Bhi Use Raj’at Ka Haq Tha, Lekin Ye Hukm Mansookh Kar Diya Gaya, Phir Aapne Ayat Tilawat Ki (Sure Baqrah Ki Ayat-229 Jiska Tarjamah Hai Talaq To 2 Hi Baar Tak Hai Jiske Bad Biwi Ko Wapas Rakha Ja Sakta Hai).
(Sunan Abu Dawood, Safa No 297)
Hazrat Ibne Abbas Wo Sahabi Hain Jinse Huzoor ﷺ Ne Quran Sikhne Ki Taleem Di, Kya Gair Muqallideen Ke Nazdeek Hazrat Ibne Abbas Ne Quran Ki Galat Tafseer Ki Ya Phir Wo Asl Masle Se Waqif Nahi The?
Mazeed Eik Hadees Jo Sunane Nisai Me Hai (Ye Bhi Hadees Ki 6-Sahi Kitabon Me Se Eik Hai).
Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ko Eik Shakhs Ke Hawale Se Bataya Gaya Ki Usne Apni Biwi Ko Eik Sath 3-Talaqe’n De Dee Hain, Ye Sunke Aap Sakht Gusse Me Khade Huye Aur Farmaya,
Tum Log ALLAH Ki Kitab Se Khelte Ho Halaki Mai Tumhare Beech Maujood Hun, Eik Shakhs Khada Hua Aur Arz Ki Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Aap Ijazat De’n Ki Mai Use Qatl Karun.
(Sunan An Nasai, Jild 6, Safa No: 442, Hadees No: 3430)
Agar Eik Sath Dee Gai 3-Talaq 1 Hi Hoti To Huzoor-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Is Qadar Gussa Na Farmate Aur Ise ALLAH Ki Kitab Se Khel Na Batate Jabki 1 Baar Me 1 Talaq To Quran Hi Ka Hukm Hai, Aur Phir Eik Sahabi Us Shakhs Ke Qatl Ki Ijazat Na Chahte.
Qurane Pak Ne Saaf Farma Diya 2-Talaq Tak Biwi Ko Rokne Ka Haq Hai Lekin 3 Agar De Dee To Ab Ba’gair Halalah Ke Biwi Ko Nahi Rakh Sakta, Irshade Khudawandi Hai:
Talaq To 2 Hi Bar Tak Hai Phir Bhalai Ke Sath Rok Lena Hai Ya Nikoi Ke Sath Chhod Dena Hai.
(Surah Baqrah, Ayat-229)
Phir Agar Use Tisri Talaq Dee To Ab Wo Aurat Halal Na Hogi, Jab Tak Dusre Shaohar Ke Pas Na Rahe.
(Surah Baqrah, Ayat-230)
In Aayaat Me ALLAH Pak Ne 3 Talaq Ka Hukm Bayan Farmaya Hai, Aur Use Eik Majlis Ya Kai Majlis Ke Sath Qaid Nahi Kiya, Yaani 3 Talaq Eik Sath De Ya 1 Saal Me Wo 3no Waaqe Ho Jayegi, Uske Bad Bina Halalah Ke Nahi Rakh Sakta.
Dawood Kehte Mere Walid Ubadah Bin Samit Kehte Hain Ki Mere Dada Ne Apni Biwi Ko 1000 Talaqen Dee Thi To Mere Walid Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ki Bargah Me Hazir Huye Aur Unki Khidmat Me Saara Mamla Arz Kiya, Huzoor ﷺ Ne Farmaya Kya Tera Dada ALLAH Se Nahi Darta?
3 Talaq Ka Use Haq Tha (Jo Ab Ho Chuki) Aur 997 Uski Taraf Se Zulm O Ziyadati Hai, Allah Ki Marzi Chahe To Use Azab De Ya Bakhsh De.
(Musnade Abdur Razzaq, Kitabul Talaq, Hadees No: 11339, Al Maqtabul Islami, Bairut 6/393)
Hazrat Shabi (شعبی) Kehte Hain Main Ne Fatimah Binte Qais Se Kaha Aap Mujhe Apni Talaq Ka Waqiyah Sunaiye, Unho Ne Jawab Diya Mujhe Mere Shaohar Ne Yaman Jate Waqt 3 Talaqen Dee’n, To Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ne Ye 3 No Talaqen Naafiz Farma Dee’n.
(Sunan Ibne Maja, Kitabul Talaq, Baab No: 3, Hadees No: 2024, Al Baqrah Beirut 1/652)
Hadees Me Saaf Hai Ki Ye 3no Talaqen Eik Majlis Ki Thi, Jabhi Hazrat Fatimah Ne Bayan Diya Ki Rasulullah ﷺ Ne 3no Naafiz Farma Dee’n Agar Alag Alag Majlis Me Dee Hoti To Huzoor ﷺ Ka Ise Naafiz Farmane Ka Kya Matlab Hai?
Aur Maze Ki Baat Ye Ki Imam Ibne Majah رحمہ اللہ Ne Is Hadees Ka Jo Baab (Chapter) Baandha Hai Wo Ye Hai-
من طلق ثلاثاً فی مجلس واحد
Yani Eik Majlis Me Apni Biwi Ko 3 Talaq Dene Ka Bayan.
Qurane Kareem Aur Rasoole Pak Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ke Wazeh Farman Ke Baad Bhi Koi Yahi Ratt Lagaye Ki Eik Majlis Ki 3 Talaq 1 Hi Hai, To Aise Diwane Ka Kya Ilaj?
Musalman To Wo Hai Jo ALLAH Wa Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ka Farman Malum Padne Ke Bad Sare Tasleem Kham Kar Leta Hai, Aur Jiske Dil Me Kaji (Tedha Pan) Hai Wo Apne Khabees Nafs Ka Itteba Karta Hai, Jaisa Ki Asre Maujudah Ke Naam Nihaad Ahlehadees.
Sarkare 2 Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ki Puri Hayate Zaheri Me Eik Aisa Waqiyah Kisi Bhi Sahi Sareeh Gair Mu’ariz Hadees Se Gair Muqallideen Nahi Pesh Kar Sakte Ki Kisi Madkhulah Aurat (Jisse Sohbat Hui Ho) Ko Eik Majlis Me 3 Talaq Eik Sath Dee Gai Ho Aur Phir Bhi Huzoor ﷺ Ne Use Bina Halalah Rakhne Ki Ijazat Dee Ho.
“Pehli Sadi Se 7wi Sadi Tak Is Masle Ki Tareekh”
Qurane Kareem Aur Ahaadise Pak Ke Mutale Se Aapne Khoob Jaan Liya Ki Huzoor E Pak Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ki Hayate Zaaheri Me Eik Waqiyah Bhi Aisa Nahi Milta Jisme 3 Talaq Ko Eik Kaha Gaya Ho.
Sarkar E Do Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ke Tashreef Le Jane Ke Bad Bhi Aisa Hargiz Nahi Hua Ki Sahaba E Kiram رضوان الله عليهم أجمعين Ne Iski Ijazat Dee Ho Ki 3 Talaq Ke Bad Bhi Biwi Halalah Ke Bina Rakhi Ja Sakti Hai, Bas Gair Muqallideen Sahi Riwayat Se Hame Dikha De’n.
Note:
Eik Majlis Ki 3 Talaq Se Biwi Ke Nikah Se Bahar Hone Ka Hukm Hazrat Umar رضی اللہ تعالٰی عنہ Ne Jari Nahi Farmaya Balki Ye Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Hi Ke Zamane Se Hai, Bas Hazrat Umar رضی اللہ عنہ Ne Ispe Sakhti Se Logon Ko Amal Karwaya.
Halala Aur Khula Ka Bayan
Ab 3ri Talaq Dene Par Us Mard Ke Liye Wo Aurat Haram Hui. Ab Wo Shakhs Us Aurat Se Bina Halala Ke Nikah Nahi Kar Sakta. Ye Us Shakhs Ke Liye Ye Ibratnak Saza Hai Jisne Apne Zindagi Khud Hi Apne Hatho Tabah Ki Hai. Halala Ka Matlab Ye Hargiz Nahi Ki Aurat Kisi Dusre Mard Ke Sath Ek Rat Bistar Par Soye. Ma’zALLAH. Summa Ma’zALLAH. Halala Ka Matlab Ye Hai Ke Aurat Baqayda Dusra Nikah Kare Aur Apne Naye Shohar Ke Sath Zindagi Basar Kare. Ab Agar ALLAH Na Kare Uske Naye Shohar Ne Use Talaq Dedi Ya Shohar Ka Inteqal Ho Gaya In Dono Soorat Me Aurat Apne Pehlewale Shohar Ke Liye Halal Hui. Ab Duniya Me Kuch Dongi Pakhandi Namnihad Mullao Ne Apni Dukane Sazali. Aur Halala Ke Naam Par Apne Gorakhdhande Bana Diye. Jisme Halala Ke Nampe Zina Karaya Jaa Raha Hai. Log Aksar Apni Beaqli Aur La Ilmi Ke Wajahse Aise Dhongi Mullao Ke Bichhaye Jaal Me Fans Jate Hai.
Islam To Ye Kehta Hai Ke Aurat Doosra Nikah Halala Ki Niyat Se Hargiz Na Kare. Balqe Apni Zindagi Naye Se Shuru Kare. Aur Jo Aurate Bila Wajah Apne Shoharo Se Talaq Talab Kare Unke Liye Mere Aaqa Sarware Qaynat Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farman Bhi Sunle. To Jo Aurate Halala Ke Niyatse Dusra Nikah Kare Aur Apne Naye Shohar Ko Talaq Dene Ke Liye Mang Kare Unko Sakht Azab Hai.
Sarware Qaynat Rehamate Aalam Shafi-E-Mehshar Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ne Farmaya,
Jo Aurat Ba’gair Kisi Harj Ke Shohar Se TALAQ Ka Sawal Kare Uspe Jannat Ki Khushbu Haram Hai.
(Jami At Tirmizi, Jild 2, Safa No: 403, Hadees No: 1190)
Khula Kise Kehte Hai
(Sahih Bukhari, Jild 6, Hadees No: 5273)
(Sunan Tirmizi, Jild 2, Hadees No: 1185)
Agar biwi apne shohar se rishta na rakhna chahti ho or apne shohar se keh de me aapse talukaat nhi rakhna chahti to shohar kya kare
Meherbani kar rehnumayi farmaye
Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,
Mazhabe Islam Me Jis Tarah Shohar Ke Huqooq Biwi Par Fraz Hai Usi Tarah Biwi Ke Huqooq Bhi Shohar Par Farz Hai. Shohar Ka Ye Farz Hai Ke Wo Apni Biwi Ke Sath Ba Akhlaq Se Pesh Aaye. Uske Sath Pyar Wa Muhabbat Ke Sath Zindagi Basar Kare. Shohar Apni Biwi Ki Haq Talfi Na Kare. Ba Akhlaqi Aur Samajhdari Ka Saboot Dete Hue Shohar Apne Nikah Ke Rishte Ko Behtar Karne Ki Koshish Kare. Yad Rahe ALLAH Ta'ala Qurane Kareem Me Farnata Hai,
"Mujhe Halaal Chizo Me Sabse Napasandida Chiz Talaaq Hai."
Hadeese Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam Hai Ke Bila Wajah Shohar Se Talaq Mangnewali Aurat Par Jannat Ki Khushboo Haram Hai
ALLAH Ta'ala Se Dua Hai Ke Wo Apne Habib Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Sadqe Tamam Miya Biwiyo Me Muhabbat Ata Kare Aur Nikah Ke Mukaddas Rishte Ko Nibhane Ki Taufiq De.
Aameen.
(Awwal Aakhir Durood)