Islam Me Aurato Ke Huqooq Wa Aurat Ka Maqam
Assalamo Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,
Aaj Ye Post Likhte Hue Behad Afsos Ho Raha Hai Ke Hamare Kuch Bhai Beheno Ko Rehmate Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Insaf Nazar Nahi Aa Raha Hai. Islam Ne Aajse 1400 Sal Pehle Jo Aurat Zaat Ko Insaf Diya Wo Hargiz Koi Aur Nahi De Sakta. Is Post Me Ham In Tamam Bato Par Gaur Karenge Ki Aakhir Islam Me Aurat Ko Kya Martaba Haasil Hai.
Islam Se Pehle Auraton Ke Halaat
Islam Ke Baad Aurat
• Mehar Ka Haq
Nikah Hone Par Aurat Ko Mehar Ka Haq Ata Kiya Gaya. Shohar Par Wazib Hai Ke Wo Mehar Ada Kare.
ALLAH Ta’ala Ne Qur’an-E-Kareem Me Huqm Farmaya,
“Aur Aurato Ko Unke Mehar Khushi Se Do.”
(Surah Nisa, Para 4, Ruku 12 Aayat 4)
To Jin Aurato Ko Nikah Me Lana Chaho. Unke Bandhe Hue Mehar Unhe Dedo.
(Surah Nisa, Para 4, Ruku 12 Aayat 24)
“Haq Mehar (Khawah Khazana Ho Is) Me Se Kuch Wapas Na Lo.”
(Surah Nisa, Para 4, Ruku 12 Aayat 20)
• Apne Pasand Se Nikah Karna
Hazrate Abu Huraira Wa Hazrate Abdullah Bin Abbas Radiallaho Anhu Se Riwayat Hai Ke Sarware Qaynat Shafi-E-Mehshar Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya,
Kunwari Ka Nikah Na Kiya Jaye Jab Tak Ke Uski RazamandiNa Hasil Karli Jaye. Aur Uska Chup Rehna Uski Razamandi Hai. Aur Na Nikah Kiya Jaye Bewah Ka Jab Tak Usse Ijazat Na Li Jaye.
(Tirmizi Shareef, Jild 1, Safa 566)
Imam Bukhari Radiallahu Anhu Hadeese Pak Naql Farmate Hai. Ke Habeeb-E-Khuda Sarkar-E-Do Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Se Ummul Momineen Sayyeda Hazrate Aayesha Siddiqa Radiallahu Anha Ne Arz Kiya,
Ya Rasoolullah ! Sallallahu Alaihi Wasallam. Kunwari Ladkiya To Ijazat Dene Me Sharmati Hai.
To Sarkar-E-Do Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya,
Uska Khamosh Hojana Hi Ijazat Hai.
(Bukhari Shareef, Jild 3, Safa 76, Hadees No: 124)
Islam Ne Aurat Ko Apna Manpasand Shohar Chunne Ka Haq Diya. Ye Haq Na Sirf Kunwari Ladkiyo Ko Diya Balke Bewao Ko Bhi Yahi Haq Diya Ke Wo Apne Pasand Se Nikah Kare. Kisi Bhi Mazhab Ne Bewao Ko Aisa Haq Na Ata Kiya Tareekh Gawah Hai. Digar Mazhabo Me Bewao Ke Sath Zulmo Sitam Kiya Jata Hai Aaj Bhi. Unko Buri Nigah Se Dekha Jata Hai. Unhe Bad Shaguni Samjha Jata Hai. Islam Ne Aurat Ke Liye Uski Izzat Ko Bewa Hone Ke Bad Bhi Barkarar Rakkha. Joamari Behne Apni Kam Ilmi Ke Wajahat Se Ye Sochti Hai Ke Unpar Kisi Tarah Ki Bandishe Islam Me Hai To Unhe Ilm-E-Deen Hasil Karne Ki Zaroorat Hai. Jinhe Shari’at-E-Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Ilm Na Ho Aur Fir Bhi Wo Agar Shari’at Ki Mukhalfat Kare To Ye Bada Gunaah Hai. Apne Aakhirat Ki Fikr Kare. ALLAH Ta’ala Aur Uske Habeeb Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Kya Munh Dikhaogi. ALLAH Ta’ala Sabko Nek Taufiq Ata Farmaye.
• Beti Ka Maqam Islam Me
Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad Farmaya
“Jise Ladaki Ho Fir Wo Use Zinda Dafan Na Kare,
Na Usko Zalil Samze Aur Na Ladke Ko Us Par Ahmiyat De To ALLAH Ta’ala Usko Jannat Me Dakhil Karega.”
(Abu Dawood, Jild 3, Bab 548, Hadees 1705, Safa 616)
Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad Farmaya
Jisne Apni 1 Bhi Ladaki Ya Behen Ki Parwarish Ki Aur Use Sharai Aadab Sikhaya,
Unse Pyar Wa Muhabbat Se Pesh Aaya Aur Unki Shadi Kardi To ALLAH Ta’ala Use Jarur Jannat Me Dakhil Karega.
(Abu Dawood, Jild 3, Bab 578, Hadees 1706, Safa 617)
Madine Ke Tajdar Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad Farmaya
“Jo Log Apni Bachchiyo Ko Pyar Wa Muhabbat Se Parwarish Karenge To Woh Bachchiya Unke Liye Jahannam Se Aad Ban Jayengi.
(Tirmizi sharif, Jild 1, Bab 1279, Hadees 1980, Safa 901)
Rehmate Aalam, Shafi-E-Mehshar Hamare Pyare Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad Farmaya
“Jisne 2 Ladkiyo Ki Parwarish Kiya Yaha Tak Ke Wo Balig Ho Gayi To
Me Aur Wo Qayamat Ke Din is Tarah Karib Honge.
Fir Aapne Apne 2 Ungliyo Ko Mila Kar Bataya.
(Muslim Sharif)
Khatamun Nabiyyin Sayyadil Ambiyaiyl Mursalin Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad Farmaya
“Subse Bada Gunah Ye He Ki ALLAH Ka Kisi Ko Sharik Thehraye.
Fir Uske Bad Ka Gunah Ye He Ki Apni Aulad Ko Khane, Pine Ke Khauf Se Katla Kiya Jaye.
(Bukhari Sharif, Jild 3, Bab 576, Hadees 939, Safa 345)
SubhanALLAH.
Kya Fazilate Aayi Hai Hadees-E-Pak Me Betiyo Ke Talluq Se.
Magar Afsos! Aaj Ke Zamane Me Log Ladki Ki Paidaish Par Gamzada Ho Jate Hai. Aaj Jo Log Hamare Mazhabe Islam Par Aurato Ke Huqooq Ke Liye Ungli Utha Rahe Hai Unhe Pehle To Apne Gireban Me Zankna Zaroori Hai. Jo Ladkiyo Ko Ladko Jaisa Darja, Izzat Aur Haq Nahi Dete. Jo Log Ladko Ko Nasl Ka Chirag Jante Hai. Magar Mazhabe Islam Me Betiya To Na Sirf Duniya Me Apne Gharwalo Ki Khidmat Karti Hai Waldain Ke Wisal Ke Baad Bhi Unke Jannat Ka Sabab Banti Hai.
“Jab Wo BETI Hoti Hai, Apne Walid Ke Liye Jannat Ke Darwaje Khol Deti Hai
Jab Wo BIWI Banti Hai, Shohar Ka Aadha (Half) Deen Muqammal Kar Deti Hai
Jab Wo Maa Banti Hai, Jannat Uske Qadmo Me Hoti Hai.”
Aye Nadaan Insan Sunle,
“Betiya Sabke Muqaddar Me Kaha Hoti Hai
Ghar Khuda Ko Jo Pasand Aaye Waha Hoti Hai.”
• Islam Me Maa Ka Maqam
Ya Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam! Mere Husn-E-Akhlaq Ka Jyada Haqdar Kon Hai?
Huzoor Alaihissalam Ne Irshad Farmaya, Tumhari Maa.
Usne Dobara Arz Ki, Iske Bad Kon?
Huzoor Alaihissalam Ne Irshad Farmaya, Tumhari Maa.
Tisri Martaba Usne Arz Ki, Iske Bad Kon?
Huzoor Alaihissalam Ne Is Martaba Bhi Yahi Irshad Farmaya, Tumhari Maa.
Usne Phirse Arz Ki, Iske Bad Kon?
Huzoor Alaihissalam Ne Is Martaba Bhi Yahi Irshad Farmaya, Tera Baap.
(Bukhari Sharif, Kitabul Adab, Hadees No: 5971)
Aur Tere Parwardigaar Ne Huqm De Rakha Hai Ke Mere Alawa Kisi ki Ibaadat Na Karna,
Aur Apne Maa Baap Se Acchha Sulook Kiya Karna,
Agar Unme Ka Ek Ya Dono Teri Maujoodagi Me Budhaape Ko Pahunche (Toh Unki Khidmat Karte Hue) Tum Unko ‘Uff’ Tak Bhi Na Kahna Aur Na Unko Zhidakna Aur Na Unko Taqleef Dena (Warna Unka Zara Sa Bhi Dil Toota Toh Teri Khair Nahin)
Aur Muhabbat Se Unke Aage Jhuk Jaaya Karna Aur (Unke Liye Dua Karte Hue) Kaha Karna Ki Aye Mere Parwardigaar ! Un Dono Par Raham Farma, Jaisa Ki Unhone Mujhe Bachpan Me Paala Posa”
(Surah Bani Israel, Aayat 23-24, Ruku 3)
Hazrat Abdullah Bin Amr Radiallahu Anhu Kahte Hai Ki RasoolALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya:
“Rabb Ki Raza Walidain Ki Raza Me Hai Aur ALLAH Ka Gussa Walidain Ke Gusse Me Hai”
(Hasan).
(Sunan Tirmizi Vol. 4, Book 1, Hadith 1899)
ALLAH Ta’ala Ke Habeeb Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya,
“Jannat Maa Ke Qadmo Me Hai.”
(Sunan An Nasai, Vol 4, Hadees 3106)
Mazhabe Islam Wo Haq Wa Afzal Mazhab Hai Jisme ALLAH Ta’ala Ke Habeeb Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Maa Ko Wo Maqaam Ataa Kiya Ki Baap Se 3 Guna Jyada Husne Akhlaq Se Apni Maa Se Pesh Aao. ALLAH Ta’ala Ne Maa Ke Qadmo Me Jannat Ko Rakh Diya. Jise Jannat Ko Pana Hai Wo Apne Maa Ki Khidmat Karke Jannat Hasil Karle. Islam Ki Taleemat Ye Hai Ke Aulaad Sari Zindagi Bhi Apne Waldain Ki Khoob Khidmat Kare Phir Bhi Unka Haq Ada Nahi Kar Sakti. ALLAH Ta’ala Ki Raza Bhi Waldain Ki Raza Me Hai. Islam Ne Jo Maqaam Wa Martaba Maa Ko Ata Kiya Wo Duniya Ka Koi Mazhab Nahi Diya.
Islam Me Biwi Ka Maqaam
ALLAH Ta’ala Ne Qur’an-E-Kareem Me Biwiyo Ke Talluq Huqm Farmaya,
“Aur Unse Achcha Bartaw Karo.”
(Surah Nisa, Para 4, Ruku 12 Aayat 19)
Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya,
Sabse Behtar Shaks Wo Hai Jo Apne Ahal Ke Liye Behtar Ho. Aur Me Tum Sabme Apne Ahal Ke Liye Behtar Hu.
(Tirmizi Shareef, Jild 5, Safa 57, Hadees No: 3921)
Islam Wo Haq Mazhab Hai Jisne Biwi Se Achche Sulook Ki Taleemat Di. Jaha Aurato Ko Apne Pairo Ki Jooti Samjha Jata Tha. Islam Ne Unhe Izzat Di. Unse Achcha Bartaw Karne Aur Unse Achche Akhlaq Se Pesh Aane Ka Huqm Diya. Islam Ne 4 Nikah Tak Karne Ki Ijazat Di. Magar 1 Se Jyada Nikah Sirf Wahi Shakhs Kare Jisme Apne Biwiyo Ke Tamaam Huqooq Ek Jaise Ada Karne Ki Taqat Ho. Aur Kisiki 1 Se Jyada Biwiya Ho Aur Wo Unke Huqooq Ada Na Kare To Uska Hashr Is Hadeese Pak Me Mauzood Hai,
Hazrate Abu Huraira Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Sarkar-E-Do Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya,
Jab Kisike Nikah Me 2 Biwiyan Ho Aur Wo Ek Hi Ki Taraf Mayal Ho.
Wo Qayamat Ke Deen Jab Aayega To Uska Aadha Dhad Gira Hua Hoga.
(Sunan Tirmizi, Jild 1, Hadees No: 1137)
Is Hadees Se Ye Saaf Zahir Hai Ke Jo Shakhs Apne Biwi Ke Huqooq Ada Karne Me Kotahi Kare Ya Unpar Kisi Tarah Ka Zulm Karta Hai To Beshaq Use Dardnak Azab Ka Samna Karna Hai. ALLAH Ta’ala Sabko Nek Taufiq Ata Farmaye.
Aameen.
Awwal Aakhir Durood.
Behtareen Shohar Aur Biwi Ke Huqooq:
• Jo Apni Biwi Ke Sath Narmi, Khush Khalqi Aur Husne Sulook Ke Sath Pesh Aaye.
• Jo Apni Biwi Ke Huqooq Ada Karne Me Kisi Qism Ki Gaflat Aur Kotahi Na Kare.
• Jo Apni Biwi Ka Iss Tarah Ho Ker Rahen Ke Kisi Ajnabi Aourat Per Nigah Na Dale.
• Jo Apni Biwi Ko Apne Aish-O-Ishrat Me Barabar Samjhe.
• Jo Apni Biwi Per Kabhi Zulm Aur Kisi Qism Ki Bhi Jyadati Na Kare.
• Jo Apni Biwi Ki Tang Mizaji Aur Bad Akhlaqi Per Sabr Kare.
• Jo Apni Biwi Ki Khubiyo Per Nazar Rakhe Aur Mamuli Galatiyon Ko Nazar Andaz Kare.
• Jo Apni Biwi Ki Musibaton Bimariyon Aur Ranj-O-Gam Me Diljoi Aur Wafadari Ka Saboot De.
• Jo Apni Biwi Ko Parde Me Rakh Kar Izzat-O-Aabru Ki Hifazat Kare.
• Jo Apni Biwi Ko Zillat-o-Ruswayi Se Bachaye Rakhe.
• Jo Apni Biwi Ko Deendari Ki Takeed Karta Rahe Aur Shari’at Ki Raah Per Chalaye.
• Jo Apni Biwi Ke Akhrajaat Me Bakhili Aur Kanjoosi Na Kare.
• Jo Apni Biwi Per Iss Tarah Taabey Me (Control) Rakhe Ke Wo Kisi Burai Ki Taraf Rukh Bhi Na Kar Sake.
• Bewa/Widhva Aurat Ka Haq:
ALLAH Ta’ala Qur’an-E-Kareem Me Huqm Farmata Hai,
Aur Tum Me Jo Mare Aur Biwiya Chode Wah 4 Mahine 10 Din Apne Aapko Roke Rahe. To Jab Unki Iddat Puri Ho Jaye To Aye Waaliyo Tum Par Muaakhza Nahi Us Kaam Me Jo Aurate Apne Muaamle Me Muwafiqe Shrah Kare Aur ALLAH Ko Tumhare Kaamo Ki Khabar Hai.
(Al Qur’an-E-Kareem, Surah Al Bakrah, Verse/Aayat No: 234, Ruku 13)
Bewao Ki Apne Shohar Ke Marne Ke Baad Is Duniya Me Koi Haisiyat Na Thi. Use Zamane Ki Zillato Ka Samna Karna Padta. Bewao Ko Hikarat Ki Nazar Se Dekha Jata. Bewao Ko Bad Shaguni Samjha Jata. Unki Zindagi Shohar Ke Is Duniya Se Jane Bad Badtarin Ho Jati. Mere Aaqa Rehmate Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Bewao Aur Talakshuda Aurato Ko Aaj Se 1400 Sal Pehle Wo Insaf Diya Waisa Insaf Duniya Ki Koi Adalat Nahi De Sakti. Sarkar-E-Do Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Pehla Nikah Ummul Momineen Sayyeda Hazrate Khadizatul Kubra Radiallahu Anha Sw Kiya Aap 2 Martaba Bewa Hui Thi. Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Ummat Ko Ye Sikh Di Ki Bewa Aur Talaqshuda Aurato Se Nukah Karo. Islam Ne Ye Sabak Puri Duniya Ko Diya Ki Sohar Ke Is Duniya Se Chale Jane Ke Baad Ya Talaq Ke Baad Bhi Aurat Ko Apni Zindagi Jeene Ka Haq Hai. Use Wahi Izzat Bakshi Jo Kunwariyo Ki Hoti Hai.
Aurat Ka Wirasat Me Haq
“Agar Kisike Shohar Ka Inteqal Ho Jaye Jo Be Aulad Hai, Aur Uski Ek Behen Hai To Tarke Me Uski Behen Ka Aadha Hai. Mard Apni Behen Ka Waris Hoga Agar Behen Ki Aulad Na Ho. Phir Agar Do Behne Ho Tarke Me Unka Do Tihai. Aur Agar Bhai Behen Ho Mard Bhi Aurate Bhi To Mard Ka Hissa So Aurato Ke Barabar. ALLAH Tumhare Liye Saf Bayan Farmata Hai Ki Kahi Behek Na Jao. Aur ALLAH Har Chiz Janta Hai.
(Surah An Nisa, Ruku 24, Aayat No 176)
Islam Ne Aurat Ko Wirasat Me Haq Ata Farmaya Chahe Wo Kisiki Behen Ho, Kisiki Beti Ho Kisiki Biwi Ho. Har Soorat Me Use Uska Haq Ata Kiya Gaya. In Huqooq Ki Adaygi Me Kotahi Karnewalo Ke Liye Aakhirat Me Dardnak Azab Hai.
Talaq Ka Bayan
ALLAHU Akbar. Socho Kya Anzam Hoga Aise Logo Ka.
Aaj Triple Talaq Ka Masla Adalat Tak Pohoch Gaya Hai. Kya Hamare Kisi Bhai Beheno Ne Is Baat Par Gaur Kiya Ki Islam Me Talaq Ki Kitni Kisme Hai? Talaq Kaise Diye Jaye? Talaq Ke Talluq Masle Masail Ko Padhna Zaroori Samjha Nahi. Afsos Fir Bhi Aise La Ilmi Log Shari’at Ki Mukhalfat Kar Rahe Hai Bina Ilm Ke.
Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem Rehmatallil Aalameen Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya,
Tamam Halal Chizon Me ALLAH Ke Nazdeek Ziyadah Na’pasand TALAQ Hai.
(Sunan Abu Dawood, Kitabul Talaq, Bab Karahyat Talaaq, Jild 2, Safa 380, Hadees 2187)
Talaq Ek Jaiz Amal Hote Hue Bhi ALLAH Ta’ala Ko Sabse Jyada Napasandida Amal Hai. Afsos Hai Aajke Hamare Bhaiyo Par Jo Itni Aasani Se Talaq De Dete Hai. Jo Ke Shari’at Ke Qanoon Ke Khilaf Hai. Jab ALLAH Ta’ala Ne Aurat Ko Apne Pasand Se Shohar Chunne Ka Haq Diya. To Talaq Ka Ikhteyar Mard Ko Diya. Mard Ko Ye Ikhteyar Isliye Diya Gaya Kyunki ALLAH TA’ALA Ne Mardo Ko Jyada Samajhdar Aqalwala Banaya Hai. Ye Ikhteyar Ka Jo Koi Galat Istemal Kare Beshaq Aakhirat Me Uske Liye Ruswai Aur Dardnak Azab Hai.
TALAQ Ek Jayez Amal Hai Lekin Us Surat Me Jab Miya Biwi Ke Rishte Me is Qadar Kad’wahat Aajaye Ki Baat Kisi Surat Se Na Banti Ho To Shari’at Ne Hum Par Ye Aasani Ki Ke TALAQ (Azadi) Ka Rasta Banaya, Jisse Ye Dono Alag Ho Sakte Hain, Phir Ye Apni Marzi Ke MUTABIQ Kisi Dusre Se Nikah Ke Mamle Me Aazad Hain, Par Aaj Kal Baat Be Baat Talaq Dene Ka Riwaj Nikla Hai Aur Zara Bhi Koshish Nahi Ki Jati Ki Baat Ban Jaye, Koi Gusse Me TALAQ De Raha Hai, Koi Nashe Me, Koi Dahej Ke Liye, To Koi Biwi Se Chhutkara Paane Ke Liye, TALAQ Agarche Eik Jayez Amal Hai Par ALLAH Paak Use Pasand Nahi Farmata, Bila Sakht Shar’ie Zarurat Ke TALAQ Nahi Dena Chahiye, TALAQ Ke Silsile Me Chand Ahadise Pak Padhiye.
Hazrat Mu’aaz Riwayat Karte Hain Huzoor صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم Ne Farmaya:
“Aye Mu’aaz ! Koi Cheez ALLAH Pak Ne Roye Zameen Par Gulam Azad Karne Se Ziyadah Pasand Nahi Ki, Aur Koi Cheez TALAQ Se Ziyadah Na’pasand Nahi Ki.
(Sunan Darkutani, Kitabul Talaq, Jild 4, Safa 40)
In Hadees-E-Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam Se Hamare Un Islami Bhaiyo Ko Sabak Hasil Karna Chahiye Jo Ek Sath 3 Talaq De Dete Hai, Gusse Me Talaq De Dete Hai, Koi Nashe Me, Koi Dahej Ke Liye, To Koi Biwi Se Chhutkara Paane Ke Liye, TALAQ Jaiz Amal Zaroor Hai Mere Dosto Magar Uska Galat Istemal Karnewalo Ko Aakhirat Me Dardnak Azab Hai. Ye Baat Kabhi Na Bhoolna Mere Bhaiyo Ki ALLAH Ta’ala Ko Halal Chizo Me Sabse Jyada Napasandida Chiz Talaq Hai.
Talaq Ke Masail Par Tasfeel Me Posting Ki Jayegi Hamara Blog Padhte Rahe. Ye Post Sare Musalman Bhai Beheno Tak Pohochana Zaroori Hai. Isliye Ise Khoob Share Kare Aur Khidmat-E-Deen Me Hamara Sath De.
ALLAH Ta’ala Se Dua Hai Ke Ham Sabko Shari’at-E-Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam Par Amal Karme Ki Taufiq Ata Farmaye. Aur Ilm-E-Deen Hasil Karne Ki Taufiq De.
Aameen.
Awwal Aakhir Durood.