Aqaid-E-Ahle SunnatDurood-O-SalaamHadees: Durud SharifSalato-Salaam

Salat-O-Salam Padhna Kaisa

ALLAH Rabbul Aalameen Qur’an-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai,

إِنَّ اللَّهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ ۚ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيمًا – 33:56

Beshak ALLAH Aur Uske Farishte Darood Bhejte Hai Us Gaib Batane Waale Nabi Par, Aye Imaan Waalo Unpar Durood Aur Khoob Salam Bhejo


(Al Quran Surah Al Ahzaab Aayat : 56)

Is Aayate Mubaraka Ke Nuzool Ka Maqsad Ye Hai Ke Kuffar Aur Munafikeen Ki Toli Huzoor Nabi-E-Karim Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ki Dil Aazari Karte The Jiske Baad ALLAH Rabbul Aalameen Ne Ye Aayate Mubaraka Nuzool Karke Sarkare Do Aalam Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ko Wo Makam-O-Martaba Ata Kiya Aur Kaha Ke Agarche Ye Chand Log Hai Jo Aap Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ)  Ki Dil Aazari Karte Hai Jo Dardnaak Aazab Ke Mustahik Hai Par Huzoor-E- Akram Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ki Shaan-O-Azmat To Khud Unka Paak Parwardigar Bayan Farma Raha Hai. Aur Farishto Ko Mukkarrar Kar Rakha Hai Jo Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ki Shaan-E-Akdas Me Duroodo Salam Padhte Hai. Qayamat Tak Aanewale Musalmano Par Bhi Laazim Kar Diya Ke Uske Mehmboob Par Duroodo Salaam Bheja Kare.

Chunanche Allama Ismail Hakki Al Hanfi Radiallahu Anhu Ne Apni Tafseer Ruhool Bayan Me Likha Hai
Is Aayate Karima Ke Nuzool Ke Baad Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ke Chehra-E-Mubarak Noor Ki Kirane Lootane Laga Aur Farmaya,
“Mujhe Mubarakbaad Pesh Karo Kyuki Mujhe Wo Aayate Mubaraka Ata Ki Gayi Hai Jo Mujhe Duniya Wa Maafiha (Yaani Jo Kuch Duniya Aur Isme Hai) Sabse Zyada Mehboob Hai”

(Tafseer-E- Roohul Bayan, Volume : 07, Page : 223, Para 22 Surah Ahzab Ayat 56)

Is Aayate Karima Me ALLAH Rabbul Aalameen Ka Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Par Durood Bhejna Bhi Hai Aur Farishto Ke Saath Saath Hum Musalmano Ko Bhi Durood Bhejna Hai.

Imam Baghawi Ash Shafai Alaihirrahma iske Maayne Ko Bayan Farmate Hai,
“ALLAH Rabbul Aalameen Ke Durood Bhejna Hai REHMAT Naazil Farmana Jabki Farishto Aur Hamara Durood Dua-E-Rehmat Karna Hai”

(As Shara Us Sunnah, Volume : 02, Kitabus Salat, Baab : As Salat Alan Nabi , Page : 280)

Ummul Momineen Hazrat Aayesha Sidduiqa Radi Allaho Anha Se Rivayat Hai,
Jab Hazrat Fatima Radi Allaho
Nabi-E-Karim Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Se Mulakat Ke Liye Aati To Huzoor Nabi-E-Karim Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Unke Istekbaal Ke Liye Khade Hojate Aur Aap Radi Allaho Anha Ka Haath Thamke Unhe Bosa Dete Aur Unhe Apni Jagah Betha Dete.”

(Sunan Abu Dawood, Kitab No 43: Kitab Al Adab, Baab : Maa Jaa Fi, Kayami, Hadees : 5217)
(Jamai Tirmizi, Kitab 49 Kitabul Manakib Ana Rasool ALLAH Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ), Hadees : 3872)
(Imam Bukhari, Al Adab Ul Mufrad, Kitab As Salam, Hadees : 971) Gair Mukallid Ka Muhaddis Albani ne bhi Is Hadees Ko Sahi Likha Hai.
(Ibn Hibban, As-Sahih Volume : 15, Pg: 403 Hadees : 6953)
(Tabarani, Al Mujam ul Awsat Volume : 04,Pg : 242, Hadees : 4089)
(Imam Hakim Al Mustadrak Volume : 04 Pg : 303, Hadees : 7715)

Mauzooda Zamane Me TAZEEM Me Kayam Karna Khade Hone Ko Bad’deen Firqa-E-Wahabiya Ne Shirk Ka Naam De Diya Huwa Hai Aur Inke Naw Zaida Bachche Wo To Itne Aage Nikal Gaye Ke Kisi Ustaad, Ulema, Peer, Apne Buzurg Ki Tazeem Me Khade Hojane Par Hi SHIRK Ka Fatwa De Maarte Hai. ALLAH Jaane Ye Kaise AHLE HADEES Hai. Besharam Inko Itni Saaf Hadees Nahi Dikhi Nabi-E-Kareem Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Khud Ummati (Apni Beti) Ke Tazeem Wa Adab Ke Liye Khade Ho Rahe Hai. Badmazhab Munafiq Qaume Wahabiya Ka Ye Konsa Deen Hai Jo Adab Tazeem Se Hatke Ho. Jab Tazeeman Khade Hona Yaha Sunnat Se Sabit Ho Raha Hai. To Jab Sunni Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ki Tazeem Ke Liye Salaato Salaam Ke Liye Khade Ho To Shirk Kaise Ho Sakta Hai? Aap Khud Dekhle In Imaan Ke Lootero Ki Makkari. Kya Ye Hadees Padhne Ke Baad Bhi Koi Hai Jo Salaam Padhne Par Aitraz Kare. Agar Phir Bhi Koi Munafiq Agar Na Maane To Usse Kaho Ke Wo Daleel Pesh Kare Ki Salaam Padhna Ke Liye Khade Hona Galat Hai. Qayamat Aa Jayegi Magar Makkar Badmazhab Munafiq Daleel Na La Payenge Insha ALLAH.

SHIRK Thehre Jisme Tazeem-E-NABI,
Us Bure Mazhab Pe Laanat Kijiye.

ALLAH Aise Kam Aqal Jahil Firqe Se Ummate Muslima Ki Hifazat Kare
Aameen. Awwal Aakhir Darood.

ALLAH Rabbul Aalameen Quran-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai,

Nooh Par Salaam Ho Jahanwalo Me
Salaam Ho Ibrahim Par
Salaam Ho Moosa Wa Haroon Par
Salaam Ho Iliyas Par
Salaam Ho Rasoolo Par


(Surah Saffat, Aayat 79,109,120,130,181, Para-23, Ruku 3-4-5 Tarzuma Kanzul Imaan)


سُبْحَانَ رَبِّكَ رَبِّ الْعِزَّةِ عَمَّا يَصِفُونَ
وَسَلَامٌ عَلَى الْمُرْسَلِينَ
وَالْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ

Paaki Hai Tumhare Rab Ko, Izzatwale Rab Ko Unki Baton Se. Aur Salam Hai Paigambaron Par Aur Sab Khubiya ALLAH Ko Jo Sare Jagat Ka Rab Hai

(Surah Saffat Aayat 180 To 182, Tarzuma Kanzul Imaan) 

Jab ALLAH Khud Apne Rasoolo Par Salaam Bhej Raha Hai To Agar Hum Ummati Nabiyo Ke Sardar Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Par Salaam Bheje To Kaise Shirko Biddat Ho Sakta Hai.

Isiliye Mere Aalahazrat Azeemul Barkat Mujaddide Deeno Millat Imam Ahmed Raza Khan Fazile Bareilly Rehmatullah Alaihi Ne Likha,

Mustafa Jaane Rehmat Pe Lakho Salaam,

Shamme Bazme Hidayat Pe Lakho Salaam.

Hazrate Ka’ab Se Riwayat Hai Ki Har Din 70 Hazaar (70,000) Farishte Utarte Hai Aur Wo Rasoolullah Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ki Qabre Anwar Ko Gher Lete Hai. Apne Par Biccha Dete Hai Aur Rasoolullah Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Par Durood Shareef Padhte Rehte Hai. Yahan Tak Ke Jab Shaam Ho Jati Hai To Wo Chadh Jaate Hai (Aasman Par Lout Jate Hai.) Aur Inki Tarah Itne Hi Farishte Aur Utarte Hai Wo Bhi Isi Tarah Karte Hai. Yahan Kak Ke Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Jab Qabre Anwar Se Bahar Tashreef Layenge To 70 Hazaar (70,000) Farishto Ke Zurmooth Me Jalwa Farmayenge Aur Wo Farishte Aap Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ko Pahochayenge.

(Mishkat Babul Karamat Safa 546) Yahi Hadees Hazrat Nabeeh Bin Wahab Radiallahu Anhu Se Bhi Marvi Hai.
(Imam Darmi ne Sunan Darmi Jild 01 , Page :57 , Hadees : 94) (Abu Nuayam ne Hilyatul Aulia Jild : 5 , Page :390)
(Imam Bahyaki Ne Shuabul Imaan Jild 03, Page: 1018, Hadees :537)
(Ibn Kathir Ne Tafseer UL Quran Al Azeem Tafseer Ibn Kathir Me Jild 05 Page : 518)
(Jala al Afham Fi Fadhl Salati Ala Khayral Anam Page : 60, Musannif Ibn Kayyim Jauziya)

Is Hadees Ke Peshe Nazar Yaqeenan Rasoolullah Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Qabre Anwar Me Ba-Kayeda Baa Hayaat Hai Isiliye To Ye Sab Ehtamam Farmaya Jata Hai Warna Jahan Mitti Ka Dher Ho Waha Farishte Kyun Aayenge.

Hame Hadees-E-Pak Se Ye Khoob Maloom Hua Ki Jab Koi Ummati Sarkar-E-Do Aalam Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Par Durood Padhta Hai To Bargaah-E-Risalat Me Farishte Pesh Karte Hai. Aur Baroze Jumma Aap Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Khud Ummati Ka Durood Sunte Hai. Ab Badmazhab Ye Sawal Karenge Ki Yaha To Sirf Durood Sunna Sabit Hua Ab Salaam Ka Kya? To Agli Hadees-E-Pak Mulahiza Farmaye,

“Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya :
“Jo Shakhs Bhi Mujh Par Salaam Bhejta Hai To Beshak ALLAH  Ta’ala Ne Mujh Par Meri Rooh Lauta Di Hui Hai. (Aur Meri Tawajjoh Us Ki Taraf Mabzool Farmata Hai) Yahaan Tak Ki Uske Salam Ka Jawab Deta Hoon”

(Sunan Abu Dawood, Jild-02, Page-218, Kitab No 11 – Kitab Al Manasik Wa Al Hajj, Baab – Ziyarate Kaboor, Hadith-2041)
Albani Ne Bhi Ks Hadees Ko Hasan Likha Hai.
(Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Jild-02, Page-527, Hadith-10767)
(Imam Tabarani Al-Muajam-ul-Awsat, Jild-03, Page-262, Hadith-3092, 9329)
(Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, Jild-05, Page-245, Hadith-10050, & Shuab-ul-Iman, Jild-02, Page-217, Hadith-5181, 4161)
(Ibn Rahawayh, Al-Musnad, Jild-01, Page-453, Hadith-526)
(Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib,  Jild-02, Page-326, Hadith-2573)
(Haythami Majma-uz-Zawa’id, Jild-10, Page-162)


SubhanALLAH Kya Pata Chala Ke Sarkar-E-Do Aalam Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ham Ummati Ka Salaam Aaj Bhi Sunte Hai Aur Jawab Bhi Dete Hai Aur Alhumdulillah Yahi Aqeeda Ham Ahnaaf Yani Ahle Sunnat Ka Hai.

Isliye Imaame Ahle Sunnat Mujaddide Deeno Millat Imaam Ahmed Raza Khan Aalahazrat Rehmatullah Alaihi Kya Khoob Irshad Farmate Hai.

Door-O-Nazdeek Ke Sunnewale Wo Kaan,
Kaan-E-Laale Karamat Pe Lakhon Salaam

Hum Yahan Se Pukare Waha Wo Sune,
Mustafa (ﷺ) Ki Sama’at Pe Lakho Salaam

Salaam Padhne Ki Fazilat Par Ek Aur Baat Aapke Samne Pesh Karna Chahta Hu. Namaz Me Ham Attahiyat Padhte Hai. Ab Attahiyat Ka Tarzuma Aap Jab Padhenge To Attahiyat Sarkar-E-Do Aalam Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ka ALLAH Rabbul Aalameen Se Shabe Meraj Me Hua Kalaam Hai.

“Assalamu Alaika Ayyuhannabiyo Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu.”

Tarzuma:
Aap Par Salaam Ho Aye ALLAH Ke Nabi Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Aur ALLAH Ki Rehmatein Aur Uski Barkatein Nazil Ho.

Ab Ham Namaz Ka Salaam Pherte Hai. Dahine Janib Aur Baye Janib Salaam Pherte Hai.

“Assalamu Alaikum Wa Rehmatullah.”

Tarzuma:
Tum Par Salaam Ho Aur ALLAH Ki Rehmatein.

Yaha Ham Dono Janib Ke Sare Logo Ko Salaam Kar Rahe Hai. Aur Jab Koi ALLAH Ka Banda Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ka Ummati Agar Aap Par Salaam Padhe To Phat Se Qaume Wahabiya Ka Fatwa Aa Jata Hai Biddat Hai, Shirk Hai. Ma’zALLAH Summa Ma’zALLAH.

Ab Ye Gumrah Bedeen Munafiq Firqa Wahabi/Deobandi/Ahle Hadees Aapko Kahenge Ki Salaam To Sirf Namaz Me Hi Karne Ka Huqm Hai. To Aapko Ek Ahem Baat Batadu Ki Sarkar-E-Do Aalam Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ko Meraj Makkah Mukarrama Me Hui. Aur Namaz Ka Tohfa Aur Ye Salaam Makkah Me Aapko Mila.

Aur Aage Me Jo Aayat Pesh Kar Raha Hu Wo Aap Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Par Madina Munawwa Me Nazil Hui. Isse Ye Khoob Sabit Hota Hai Ke Namaz Ke Alawa Bhi Khoob Salaam Padhne Ka Huqm ALLAH Rabbul Aalameen Farma Raha Hai. Ab Jo Shaks Kisiko Salaam Padhne Se Rokta Hai To Wo Farmane Ilaahi Ka Munkir Hai. ALLAH Rabbul Aalameen Aise Munafiqo Se Hamara Imaan Bachaye.
Aameen.
Awwal Aakhir Durood.

ALLAH Rabbul Aalameen Qur’an-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai,

Beshak ALLAH Aur Uske Farishte Darood Bhejte Hai Us Gaib Batane Waale Nabi Par, Aye Imaan Waalo Unpar Durood Aur Khoob Salam Bhejo


(Al Quran Surah Al Ahzaab Aayat : 56)


Ab Raha Aakhri Sawal Biddat Ka. Ab In Khabeeso Ke Pas Jab Koi Jawab Nahi Bachta To Ye Aakhir Me Biddat Ka Hi Sahara Lete Hai. Badmazhab Hamesha Shirk Aur Biddat Ka Naam Lekar Masoom Logo Ko Gumraah Kar Rahe Hai. Biddat Ki Taarif Quran Wa Hadees Se Tafseel Me Padhe Mere Is Article Me.

Biddat/Biddah/Innovation Qur’an-E-Kareem Wa Hadees-E-Pak Ki Roshni Mein.

Apni Anmol Aur Khusoosi Duao Me Is Nachiz (Nazarahmed Khan) Ko Jaroor Yaad Rakhe. Play Store Se Hamare Nabi Aur Sunnat-E-Nabi Apps Download Karna Na Bhoole. Aapke Rating (5 Star) & Review Hamare Liye Behad Jaroori Hai.
Sharing is caring.!

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!