Bazme Faizan-E-Raza

Nabiyo Ki Zaat Wa Sifaat Ke Mutalliq Aqaid

Nabi Us Bashar Ko Kehte Hain Jiske Paas ALLAH Ta’ala Ki Taraf Se Wahi Aati Hai Aur ALLAH Ta’ala Inhein Makhlooq Ki Hidayat Aur Rehnumayi Ke Liye Bhejta Hai
(شرح المقاصد، ج3، ص268)
In Mein Se Jo Nayi Shariat Laaye Unhein Rasool Kehte Hain
(المسامرت، ص231)
Dunya Mein Sabse Pehle Insaan Aur Nabi Hazrat Adam Alaihissalam Hain, Aap Se Hi Insaani Nasal Chali, Isi Wajah Se Aap Ko “Abul Bashar” (Insaano Ka Baap) Kehte Hain
(روح المعانی، ج4، ص531)
Ambiya-E-Kiraam Sab Insaan The Aur Mard, Na Koi Jinn Nabi Hua Na Aurat
(تفسیر قرطبی، ج5، ص193)
Ambiya-E-Kiraam Shirk Wa Kufr Balki Har Qism Ke Gunaah Aur Har Aise Aib Se Paak Hote Hain Jo Makhlooq Ke Liye Baayis -e- Nafrat Ho
(المسامرت، ص226,227)
ALLAH Ta’ala Inhein Aqle Kaamil Ata Farmata Hai, Dunya Ka Bade Se Bada Aqalmand Inki Aqal Ke Karodwein Darje Tak Bhi Nahin Pahunch Sakta
(المسامرت، ص226)
Nuboowat ALLAH Ta’ala Ka Fazl Hai, Koi Shakhs Ibadat Wagairah Ke Zariye Ise Haasil Nahin Kar Sakta
(الیواقیت والجواہر، ص224)
ALLAH Ta’ala Ambiya -e- Kiraam Ko Muajizaat Ata Farmata Hai Jo Unki Nuboowat Ki Daleel Hote Hain
(شرح عقائد نسفیہ، ص298)
ALLAH Ta’ala Ambiya-E-Kiraam Ko Gaib Par Muttale Farmata Hai
(تفسیر خازن، ج1، ص196)
Ambiya-E-Kiraam Tamam Makhlooq Se Afzal Hote Hain
(تفسیر خازن، ج2، ص33)
Ambiya-E-Kiraam Ki Tazeem Wa Touqeer Farz Hai
(جواہر الجد، ج3، ص260)
Ambiya-E-Kiraam Ki Adna Touheen Ya Takzeeb (Inkaar Karna) Kufr Hai
(تفسیر روح البیان، ج3، ص394)
ALLAH Ta’ala Ne Hazrat Adam Alaihissalam Se Le Kar Humare Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Tak Beshumar Nabi Aur Rasool Bheje, Inki Sahih Tadaad Wahi Jaanta Hai Kyun Ki Is Baare Mein Mukhtalif Riwayatein Hain Lihaza Ye Etiqaad Rakhna Chahiye Ki Allah Ta’ala Ke Har Nabi Par Humara Imaan Hai
(المسامرت، ص225)
Note : 
Agar Koi Ambiya Ki Tadaad Ke Baare Mein Kuchh Kehna Chahe To Wo Yun Kahe Ki, Kamo Besh Ek Lakh Choubees Hazaar (1,24,000) Ambiya-E-Kiraam
Baaz Ambiya-E-Kiraam Alaihimussalam Rutbe Mein Baaz Se Aala Hain Aur Sabse Bada Rutba Humare Aaqa Wa Maula Muhammad Mustafa Sallallaho Alaihi Wasallam Ka Hai
(تفسیر کبیر، ج2، ص521)
Ambiya-E-Kiraam Apni Qabro Mein Usi Tarah Zinda Hain Jaise Dunya Mein The, Khaate Peete Hain
(ابن ماجہ شریف، ج2، ص291، حدیث1637)
Ambiya-E-Kiraam Jahan Chahein Aate Jaate Hain, Tasdeeq -E- Waada Ilahiya (Yaani ALLAH Ta’ala Ne Waada Farmaya Hai Ki Har Zee Rooh Ko Maut Ka Maza Chakhna Hai) Ke Liye Ek Aan Ko Un Par Maut Taari Huyi Phir Badastoor Zinda Ho Gaye, Unki Hayaat, Hayaat -E- Shuhda Se Bahut Aala Hai
(تکمیل الایمان، ص122)

Your Beloved
Abde Mustafa
Muhammad Sabir Ismayeeli Qadri Razvi
(Muballigh-E-Bazme Faizan-E-Raza)
Bazme Faizan -e- Raza Pvt. Ltd.
(India)
Like Us Our Official Facebook Page:
www.facebook.com/HumareNabi
Remember Hamare Nabi Team In Your Previous Dua.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Check Also
Close
Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!