Nabi-E-Karim Huzoor ﷺ Ki Ziyarat Ka Wazifa
Rozana (Daily) Sone Se Pehle Ba Wuzoo 313 Martaba Durood-Noor Padhe Aur Ye Tasawwur Ho Ki Sayyeda Bibi Aamina Ke Laal Sarware Qaynat, Shafi-E-Mehshar, Sarkar-E-Do Aalam, Rehmate Aalam Hazrat Muhammad Mustafa Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Mere Dil Ko Dekh Rahe Hai Aur Mai Unki Bargah Mein Hazir Hu. Phir Ba Wuzoo So Jaye. Ye Amal Rozana Kare Insha ALLAH Aapko Khwab Me Aksar Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheeem, Rehmatallil Aalameen Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ki Ziyarat Hoti Rahegi.
Aur Us Shaks Ko Sarkar-E-Do Aalam Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) (Peace Be Upon Him) Ki Ziyarat Baar Baar Hoti Hai. Phir Ek Aisa Waqt Aata Hai Ki Wo Shaks Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) (Peace Be Upon Him) Ko Bedaari (Can See Him In Awakeness) Ki Halat Mein Dekhta Hai. Insha ALLAH.
Ye Durood Bujurgane Deen Ka Amal Hai Aur Ziyarat-E-Mustafa Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) (Peace Be Upon Him) Ke Liye Mashhoor Hai. Hame Chahiye Ki Durood-Noor Aur Durood-E-Razviya Ki Kasrat Kare.
Sarkar-E-Do Aalam Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) (Peace Be Upon Him) Ka Apne Aashiqo Ke Salaam Ka Jawab Dena:
Namaz Me Tashahud Me “Assalamo Alaika Ayyuhannabiyo Rehmatullahi Wa Barkatuhu” Par Thoda Theher Jaye. Ab Is Tarah Tasawwur Ho Ke Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) (Peace Be Upon Him) Hamare Dil Me Hai Aur Aap Apne Aashiqo Ke Salaam Ka Jawab Dete Hai. Pura Tawajjoh Dilse Tasawwur Me Lagaye. Insha ALLAH Jawab Sunai Aata Hai. Ye Aqeedat Ki Baat Hai. Muhabbat-E-Rasool Ki Baat Hain. Bade Khushkismat Hai Wo Log Jinhe Sarkar-E-Do Aalam Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ki Ziyarat Ka Sharf Hasil Ho. Aur Salaam Ka Jawab Sunai De.
Kya Mere Aaqa Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Hamare Salaam Ko Sunte Hai Aur Jawab Dete Hai?
“Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya :
“Jo Shakhs Bhi Mujh Par Salaam Bhejta Hai To Beshak ALLAH Ta’ala Ne Mujh Par Meri Rooh Lauta Di Hui Hai. (Aur Meri Tawajjoh Us Ki Taraf Mabzool Farmata Hai) Yahaan Tak Ki Uske Salam Ka Jawab Deta Hoon”
(Sunan Abu Dawood, Jild-02, Page-218, Kitab No 11 – Kitab Al Manasik Wa Al Hajj, Baab – Ziyarate Kaboor, Hadith-2041)
Albani Ne Bhi Ks Hadees Ko Hasan Likha Hai.
(Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Jild-02, Page-527, Hadith-10767)
(Imam Tabarani Al-Muajam-ul-Awsat, Jild-03, Page-262, Hadith-3092, 9329)
(Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, Jild-05, Page-245, Hadith-10050, & Shuab-ul-Iman, Jild-02, Page-217, Hadith-5181, 4161)
(Ibn Rahawayh, Al-Musnad, Jild-01, Page-453, Hadith-526)
(Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, Jild-02, Page-326, Hadith-2573)
(Haythami Majma-uz-Zawa’id, Jild-10, Page-162)
Durood-E-Noor Ye Hai:
َِاَللّهُمَّ صَلِّ عَلى سَيِّدِناَ مُحَمّدٍ نُوْرِالْاَنْواَرِ وَسَرِّالْاَسْرارِ وَ سَيِّدَالْاَبْرارِ
“”AL’LAA’HUM’MA SAL’LI A’LAA SAIYYI’DI’NAA MU’HAM’MA’DIN’NOORIL AN’WAA’RI WA SIR’RIL AS’RAA’RI WA SAIY’YI’DIL ABRAAR””
Translation:
“O ALLAH Ta’ala Shower The Blessings Up On Our Holy Prophet Muhammad Mustafa Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Who Is Light, Actual Light And The Mystery Amongst The Mysteries And The Leader Of Excellents.”
This is one of the the best Salawat in this world, and mostly Saints and pious religious leaders recite it daily without fail.
Durood-E-Noor Ki Fazilate:
“”AL’LAA’HUM’MA SAL’LI A’LAA SAIYYI’DI’NAA MU’HAM’MA’DIN’NOORIL AN’WAA’RI WA SIR’RIL AS’RAA’RI WA SAIY’YI’DIL ABRAAR””
Translation:
“O ALLAH Ta’ala Shower The Blessings Up On Our Holy Prophet Muhammad Mustafa Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Who Is Light, Actual Light And The Mystery Amongst The Mysteries And The Leader Of Excellents.”
1. Ye Durood-PAK Ki Fazilat Ye Hai Ki Jo Aaqa Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ko Khwab Mein Dekhna Chahta Hai Ye Durood-E-Pak Padha Kare. Yeh Durood-E-Pak Padhne Se Us Shaks Ke Dil Mein NOOR Paida Hota Hai Aur Sarkar-E-Do Aalam Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ko Khwab Mein Dekhne Ki Taraas Paida Hoti Hai. Aur Jisko Wo Taraas Paida Hojaye Unhe ZIYARAT Bhi Hoti Hai.
2. Agar Kisi Ko ALLAH Ka Wali Banna Hai To Ye Durood-E-Pak Kasrat Se Padha Kare.
3. Ye Durood-E-Pak Jummah Ke Din 100 Martaba Padhe. ALLAH Ta’ala Us Shakhs Ke Dil Mein Ek NOOR Paida Karta Hai. Aur Jiske DIL Mein Wo NOOR Paida Ho Jaye To Uska Muqaam Batana Mushkil Hai.
4. Agar Ye Durood-E-Pak Padhne Ki Koi Aadat Bana Le To Wo Durood-E-Pak Padhnewale Shaks Mein Shakhs Mein Rahasya (Secrets) Paida Hote Hai Aur Uska Muqaam Batana Mushkil Hai.
5. Ye Durood-E-Pak Ka Har Ek Alfaz NOOR Hai.
6. Aur Buzurgo Aur Waliyo Ne Ye Durood-E-Pak Kasrat Se Padha Hai.
7. Kasrat Se Ye Durood-E-Pak Padhte Padhte ALLAH Ta’ala Us Shakhs Ko WALI Bhi Bana Deta Hai.
8. Ye Durood-E-Pak Padhna Duniya Aur Aakhirat Mein Darjaat Buland Karta Hai.
Kuch Khas Durood-E-Pak Aur Unki Fazilate Ziyarat Ke Talluqse:
Method / Tariqa: 2
اَللّٰھُمَ صَلِّ عَلٰی النَّبِیِّ الاُمِّیِّ وَعَلٰی آلِہٖ وَاَصْحَابِہٖ وَسَلِّمْ
“ALLAHUMMA SALLIALA AL-NNABIYI AL-UMMIYI WA ALA AALIHEE WA ASAHBIHEE WA SALLIM”
Start This Wazifa On The First Thursday Of Islamic Month At Midnight i.e. At 12 O’Clock.
First Take Bath,Wear Clean Clothes And Apply Perfume And Then Offer 2 Rakat Nafil Salah In Such a Way That In Each Raka’at After Surah Fatiha Recite Surah Ikhlas 25 Times.
Then After The Salah Recite This Durood Shareef 1000 Times With Full Concentration And Without Talking To Anyone.
In sha ALLAH On The 7th Day The Prophet (Peace Be Upon Him) Will Surely Be Seen In Dream.
Translation:
Qamari Mahine Ki Pehli Jumerat (Thursday) Aaye To Raat 12 Baje Ghusl Karke Paak Saaf Kapde Pehenkar Husbe Istitaat Khushboo Lagayein.
Phir 2 Do Raka’at Nafl Namaz Padhein Aur Har Raka’at Mein Surah Fatiha Padhne Ke Baad 25 Martaba Surah Ikhlaas (قل ھو اللہ احد) Aakhir Tak Padhein.
Faraaghat Ke Baad Kisi Se Kalaam Kiye Bagair (Bina Baatchit Kiye) Nihayat Khushoo Wa Khuzoo Ke Saath Dil Mein Apne Maqsood Wa Matloob Par Tawajjah Markooz Kiye Huwe Man Darja Zeel Durood-E-Shareef 1000 Martaba Padhein.
In sha ALLAH 7 Wein Din Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ki Ziyarat Zarur Hogi.
اَللّٰھُمَ صَلِّ عَلٰی النَّبِیِّ الاُمِّیِّ وَعَلٰی آلِہٖ وَاَصْحَابِہٖ وَسَلِّمْ
Method / Tariqa: 3
اَللّٰھُمَ صَلِّ عَلٰی سَیّدِنَا مُحَمَّد وَعَلٰی آلِ مُحَمَّدٍ عَبْدِکَ وَحَبِیْبِکَ اِنِّیْ
مُشْتَاقٌ بِجَمَالِ رَسوُلِکَ وَعَلٰی اٰلہٖ و اَصْحَابِہٖ یَا اَللّٰہُ ،یَا اَللّٰہُ۔
“ALLAHUMMA SALLIALA SAYYIDINA MUHAMMADIN WA ALAA AALI MUHAMMADIN ABDIKA WA HABEEBIKA INNEE MUSHTAQUN BIJAMAALI RASOOLIKA WA ALAA AALIHI WA ASHABIHEE YA ALLAHU YA ALLAH.”
Recite This Durood Shareef 500 Times After Salat Al Isha And Then Recite Surah Quraish As Much As You Can Till You Fell Asleep There Itself Reciting It.
In Sha ALLAH You Will See The Prophet (Peace Be Upon Him) In Your Dream.
Important Note:
Females Should Not Do This Wazifa During Their Menses/Periods. Do This Wazifa In The State Of Ablution At a Clean Place & Do Not Make Fun Of Wazeefa/Dua Else You Will Suffer.
Translation:
Mandarjah Baala Ye Durood-E-Shareef Baad Namaz-E-Isha 500 Martaba Padhkar Surah Quraish Hasbe Istitaat Padhkar Wahin Sojayein.
ALLAH Ta’ala Ke Fazl Se RasoolALLAH Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ki Ziyarat Se Musharraf Honge.
Ek Aham Baat:
Khwateen Makhsoos Ayyam (Haiz/Mahwari) Mein Is Wazife Ko Na Karein. Wazife Ko Wuzu Ki Halat Mein Paak Saaf Jagah Par Baithkar Padhein. Aur Wazife/Dua Ka Mazaq Na Udhayein Warna Nuqsan Hoga.
Method / Tariqa: 4
Durood-E-Razviya Ki Fazilate:
صَلَّى اللّهُ عَلىَ النَّبِيِّ الْاُمّيِّ وَالِه صَلَّى اللّهُ عَلَيْهِ وَسَلِّمْ صَلوةً وَّسَّلاَ ماً عَلَيْكَ يَا رَسُوْلَ اللّه ○
“Sallallahu Alan Nabiyil Ummiyi Wa Aalihi
Sallallahu Alaihi Wasallam.Salaataw Was Salaaman Alaika YA RASOOLULLAH”
The Above Durood Shareef Should Be Read 100 Times After Every Salaah If Possible. Especially After Jummah Salaah, The Men Should Stand Together Facing Madina Shareef And Recite This Durood Shareef With Absolute Respect.
The Following Benefits Are Derived From Reciting Durood-E-Radawiyya:
1. The Reciter Is Blessed With 300 Mercies Of Almighty ALLAH.
2. ALLAH Almighty Sends Peace On Him 2000 Times.
3. 5000 Good Deeds Are Written In His Naama-E-Amaal.
4. 5000 Of His Sins Are Forgiven.
5. His Status Is Eleated By 5000 Times.
6. It Will Be Written On His Forehead That He Is Not a Hypocrite.
7. It Will Be Written On His Forehead That He Is Free From The Fire🔥Of Jahannum.
8. On The Day of Qayamah, He Will Be Amongst The Shuhadaa (Martyrs).
9. He Will Gain Barakah In His Wealth.
10. There Will Be Barakah In His Children.
11. He Will Be Strong Over His Enemies.
12. People Will Have Love In Their Hearts For Him.
13. He Will See The Holy Prophet Muhammad Mustafa Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) In His Dream.
14. He Will Leave This World With Imaan.
15. On the Day of Qiyaamah, Sayyiduna Rasoolullah Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Will Shake Hands With Him.
16. The Intercession (Shafa’at-E-Mustafa) Of Rasoolullah Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Will Be Compulsory On Him.
17. Almighty ALLAH Will Be Pleased With Him In Such a Way That He Will Never Be Displeased.
Method / Tariqa: 5
Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
Jo Shaks Yeh Durood E Pak Padhehga
“Allahumma Salli `ala Roohi Sayyidina Muhammad fi ‘l-Arwaahi Wa `Ala Jasadihi fi ‘l-Ajsaadi Wa `Ala Qabrihi fi ‘l-Quboori Wa `Ala Aalihi Wa Sahbihi Wa Sallim.”
Uskoh Khwab Mai Meri Ziyarat Hogi Aur Jisneh Mujhe Khwab Mai Dekhah Woh Mujhe Qayamat Keh Din Bhi Dekhega Aur Jisne Mujhe Qayamat Keh Din Dekhegah Mai Uski Shafa’at Karonga Aur Woh Shaks Houz-E-Kauser Se Pani Piyega Aur ALLAH Ta’ala Uske Jism Koh Jahannum Se Azaad Kar Dega.
(Kashful Ghamma Vol : 1 Page: 269 Al Qaul Ul Badi Page: 43 Aab E Kauther English Version Page: 121)
Sight Of Prophet (صلى الله عليه وآله وسلم) In Dream:
Hadith No: 1
Abu Huraira Reported ALLAH’S Messenger Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) (May Peace Be Upon Him) As Aaying:
He Who Saw Me In a Dream In Fact Saw Me, For The Satan Doesn’t Appear In My Form.
Tarzuma:
Abu Huraira Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Sarkar-E-Do Aalam Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Irshad Farmaya,
“Jisne Mujhe Khwab Me Dekha Goya Ki Usne Mujhe Haqiqat Me Dekha. Beshaq Shaitan Meri Shaklo Surat Ikhteyar Nahi Kar Sakta.
(Muslim : Book 29 : Hadith 5635)
Hadith No: 2
Abu Huraira Reported:
I Heard ALLAH’S Messenger Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) (May Peace Be Upon Him) As Saying:
He Who Saw Me In a Dream Would Soon See Me In The State Of Wakefulness, Or As If He Saw Me In a State Of Wakefulness, For The Satan Does not Appear In My Form.
Tarzuma:
Abu Huraira Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Sarkar-E-Do Aalam Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Irshad Farmaya,
” Jisne Mujhe Khwab Me Dekha Wo Jald Hi Mujhe Bedaari Ke Aalam Me Dekhega Ya Jisne Mujhe Khwab Me Dekha Goya Ki Usne Mujhe Bedaari Ke Aalam Me Dekha. Beshaq Shaitan Meri Shaklo Surat Ikhteyar Nahi Kar Sakta.
(Muslim :: Book 29 : Hadith 5636)
Hadith No: 3
Abu Qatada Reported ALLAH’S Messenger Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) (May Peace Be Upon Him) As Saying:
He Who Saw Me In Dream In Fact Saw The Truth (What Is True).
Tarzuma:
Abu Qatada Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Sarkar-E-Do Aalam Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Irshad Farmaya,
“Jisne Mujhe Khwab Me Dekha Goya Ki Usne Mujhe Haqiqat Me Dekha.
(Muslim :: Book 29 : Hadith 5637)
Hadith No: 4
Narrated Anas:
The Prophet Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Said,
“Whoever Has Seen Me In a Dream, Then No Doubt, He Has Seen Me, For Satan Cannot Imitate My Shape.
Tarzuma:
Hazrate Anas Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Sarkar-E-Do Aalam Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Irshad Farmaya,
“Jisne Mujhe Khwab Me Dekha Goya Ki Usne Mujhe Haqiqat Me Dekha. Beshaq Shaitan Meri Shaklo Surat Ikhteyar Nahi Kar Sakta.
(Bukhari :: Book 9: Volume 87: Hadith 123)
ZIYARAT-Un-NABI Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ka Waqiya:
Mulk-E-Arab Me
Ek Buzrug The Unke Pass Ek Shaks Aaya Aur Arz Kiya:
“Ya Shaikh Mujhe Koi Vird Ya Koi Amal Bataye Ke Mujhe Aaqa Kareem
Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ka Didaar Ho Jaye.
Buzrug Ne Kaha:
“Aaj Aisa Karo Raat Ka Khaana Mere Ghar Me Aakar Khaana.
In sha ALLAH…Tumhe Aisa Nuskha Dunga Jisse Tumhe Aaqa Kareem Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ka Didaar Hojayega.”
Raat Ke Waqt Shaikh Sahab Ne Khane Ka Intezaam Kiya Aur Wo Shaks Haazir Hua.
Khaana Laya Jaata Hai, Aur Wo Khaana Shuru Karte Hai. Khana Kuch Aisa Hota Hai Ke Us Me Bahoot Zyada Namak Daal Diya Jata Hai Aur Paani Bhi Nahi Diya Jaata Hai.
Ab Us Aadmi Ne Shaikh Ke Adab Me Paani Bhi Talab Nahi Kiya.
Khaana Khatam Karne Ke Baad Us Shaks Ne Shaik Sahab Se Kaha:
“Shaik Sahab Aapne Waada Farmaya Tha Ke Main Vird Ya Amal Dunga Jisse Aaqa Kareem Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ka Didaar Naseeb Hojayega.”
“Wo Nuskha To Ataa Kare.”
Shaik Sahab Ne Kaha:
“Aaj Ghar Jao Aur Jaate He Sojana Aur Paani Nahi Peena.Yahi Tumhara Amal Hai.”
Us Shaks Ne Kaha:
“Ji Main Yahi Amal Karunga.”
Wo Ghar Jaata Hai Aur Bagair Paani Piye So Jata Hai. Aur Subha Uth Kar Fajar Ke Namaz Shaikh Sahab Ke Peeche Adaa Karta Hai.
Aur Shaik Sahab Se Puchta Hai:” Shaik Sahab Aapne Kaha Tha Ghar Ja Kar Paani Piye Bina Sojana
Aaqa Kareem Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ka Didaar Hoga.
Mere Dil Me Bahoot Hasrat Hai Bahoot Tamanna Hai Ke Kab Aaqa Kareem Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ka Haseen-O-Jameel Mukhda Nazar Aayega “.
Shaikh Sahab Ne Pucha:
“Kya Tu Ghar Jaakar Jaate Hi Sogaya Tha? Paani Piya Tha? “
Usne Kaha:
“Nahi Paani Nahi Piya Tha.”
Shaikh Sahab Ne Pucha:
“Batao Khwab Me Kya Dekha?”
Usne Kaha:
“Maine Khwab Me Kuwe Dekhe, Samandar Dekhe,
Jiss Taraf Aankh Uthayi Paani Hi Paani Dekha.”
Shaikh Sahab Ne Kaha:
“Bass Yahi Tera Vird Hai?
Yahi Tera Amal Hai?
Agar Tere Dil Me Paani Ki Pyas Thi Paani Ki Tadap Thi, Paani Ki Sacchi Pyas Thi. Tu Haqeeqat Me Paani Ka Taalib Tha.
Tu Chahta Tha Mujhe Paani Mil Jaye
Aur Raat Ko Paani Pine Ki Aarzu Lekar Teri Aankhe Band Ho Gayi Thi.
Ab Sonch Agar Paani Teri Sacchi Pyaas Bujhane Ke Liye Tere Khwab Me Aakar Tujhe Didaar Karva Sakti Hai To Hazrat Sayyeda Bibi Aameena Radiallahu Anha Ke Laal Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheeem Rehmatallil Aalameen Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Teri Tadap Teri Tamanna Teri Aarzu Dekh Kar Tujhe Didaar Se Mushrif Kyun Nahi Karayege.
Tu Sacchi Tadap Paida To Kar!
Tu Aarzu Paida To Kar!
Tu Sacchi Chahat Paida To Kar!
Tere Andar Khwaish Paida To Ho!
Tere Andar Haqeeqi Tamannaye Machle To Sahi!
Waise Tere Dil Me Tamanna Hai
Aaqa Kareem Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ke Didaar Ki Tamannaye Bhi Hai Aaqa Kareem Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ka Aarzu-Mand Bhi Hai…
Tu Kabhi Dil Ki Duniya Ko Paak Karke Dekh.
Dil Ki Duniya Ko Saaf Karke Dekh
Idhar Teri Aankhe Band Hogi Idhar Kaunain Ke Waali Sarkar-E-Do Aalam Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ka Haseen-O-Jameel Mukhda Tumhare Samne Hoga. In Sha ALLAH.
Dua Hai Ke ALLAH Hum Sabko Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ka Didaar Naseeb Farmaye. ALLAH Ta’ala Is Post Se Jude Ko Sawabe Darrain Ataa Farmaye Aur Unke Jaiz Maqasid Ko Pura Farmaye. Unke Darjaat Ko Buland Farmaye Wa Duniya Wa Aakhirat Me Qamiyab Kare. Aur Pyare Aaqa Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ki Shafa’at Se Nawaze Aur Aap Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ke Mubarak Hatho Se Musafa Nasib Farmaye Wa Hauze Kausar Ka Jaam Ataa Farmaye.
Aameen Summa Aameen.
Awwal Aakhir Durood.
Note:
Ye Wazifa Bujurgane Deen Ke Amal Se Sabit Hai. Is Par Amal Bila Shubha Kare To Insha ALLAH Jaroor Ziyarat-E-Mustafa Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ka Sharf Haasil Hoga. Khulooso Muhabbat Wa Aqidat Ke Sath Wazife Ka Wird Kare. Insha ALLAH Qamiyab Honge. Aur Jo In Amaliyat Wa Wazaif Ka Mazak Banaye Ya Inhe Halqa Jaane (Ma’zALLAH) Usko Bhaari Nuksaan Hai.
ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
اَلصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا حبيبَ اللّٰهِ،
اَلصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا نَبِىَّ اللّٰهِ،
اَلصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا خليل اللّٰهِ،
اَلصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا صَفِىَّ اللّٰهِ،
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
اَلصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا وَلِىَّ اللّٰهِ،
اَلصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا خَيْرَ خَلْقِ اللّٰهِ،
اَلصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا نُورَ عَرْشِ اللّٰهِ،
اَلصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمينَ وَحْىِ اللّٰهِ،
اَلصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا مَنْ زَيَّنَهُ اللّٰهُ،
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
اَلصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا مَنْ شَرَّفَهُ اللّٰهُ،
اَلصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا مَنْ كَرَّمَهُ اللّٰهُ،
اَلصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا مَنْ عَزَّمَهُ اللّٰهُ،
اَلصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا مَنْ عَلَّمَهُ اللّٰهُ،
اَلصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا مَنْ سَلَّمَهُ اللّٰهُ،
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
اَلصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا مَنِ اِخْتَارَهُ اللّٰهُ،
اَلصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا سَيِّدَ اْلاَوَّلينَ وَاْلاٰخِرينَ،
اَلصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا شَفيعَ الْمُذْنِبِينَ،
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
اَلصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا خَاتَمَ النَّبِيينَ،
اَلصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَحْمَةً لِلْعَالَمينَ،
اَلصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اِمَامَ الْمُتَّقِينَ،
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
اَلصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ رَبِّ الْعَالَينَ،
صَلَاوَاتُ اللّٰهِ وَمَلاَئِكَتِهِ وَاَنْبِيَائِهِ وَرُسُلِهِ وَحَمَلَةِ
عَرْشِهِ وَجَميعِ خَلْقِهِ عَلٰى سَيِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَعَلٰى اٰلِهِ وَصَحْبِهِ اَجْمَعينَ
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●
جزاك الله خيرا…
Keep Visiting And Sharing: www.hamarenabi.in
World’s Best Islamic Blog
The Voice Of Ahle Sunnat Wal Jama’at.
Like Our Official Facebook Fan Page:
www.facebook.com/HumareNabi
Join Our Official Facebook Group:
www.facebook.com/groups/HumareNabi
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●
Really a great addition. I have read this marvelous post. Thanks for sharing information about Khwab ki tabeer.
I really like that. Thanks so lot for your convene.
link text