Darood Na Padhne Ka Azab Hadees Se - Hamare Nabi ﷺ - Hadith Of The Day | Hadees Sharif | Durood Sharif
Durood-O-SalaamHadees: Durud Sharif

Darood Na Padhne Ka Azab Hadees Se

Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

“Padhe Durood Aap Par Mili Zubaan Isiliye
Fida Ho Uske Deen Par Hai Tan Me Jaan Isiliye,
Jo Iske Waste Na Ho Wo Zindagi Fizool Hai,
Gulaam Hai Gulaam Hai Rasool Ke Gulaam Hai.”

Ye Post Likhne Ka Ye Maqsad Hai Ke Aapko Durood Sharif Na Padhne Ke Azab Se Aagah Kiya Jaye. Aajke Daur Me Gustakh-E-Rasool Log Ummat Ko Gumrah Kar Rahe Hai. Durood-O-Salam Se Logo Ko Roka Jaa Raha Hai. Durood-O-Salam Ki Khoob Fazilate Quran Wa Hadees Me Hai. Aap Meri Post “Durood-O-Salam Ki Fazilat 50 Hadees Se” Jaroor Padhe. Jaha Sarkar-E-Do Aalam Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ka Zikr Ho Ham Par Laazim Hai Ke Durood-E-Pak Padhe. Hadees-E-Pak Me Hai Ke ALLAH Ta’ala Ne Apne Habeeb Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ke Roza-E-Anwar Par 70,000 Farishte Muqarrar Farmaye Hai Jo Fazar Se Maghrib Tak Durood-O-Salam Padhte Hai. Phir Ye Aasman Ko Laut Jaate Hai Aur Naye 70,000 Farishte Maghrib Se Fazar Tak Durood-O-Salam Padhte Hai. Bada Hi Badnaseeb Hai Wo Shaks Jiske Samne Aap Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ka Zikr Ho Aur Wo Durood Na Padhe.

Hazrat Ali ibn Abu Talib Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Shafi-E-Mehshar Imaamul Ambiya Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya
”Bakhil Hai Wo Shaks Jiske Saamne Mera Zikr Hua Aur Usne Mujhpe Durood Na Padha”
(Jamai Tirmizi, Volume : 05, Page : 551, Kitab No 48 – Kitab-Ut-Duwaat, Hadees : 3546)

Hazrath Ibne Abbas Radiallahuta’ala Anhu Se Riwayat Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
Jo Shaks Duroode Pak Padhna Bhool Gaya. Wo Jannat Ka Rasta Bhool Gaya.
(Al Qaul Ul Badi Page: 145 Aab E Kauther English Version Page:110)

Ameerul Momineen Farooque-E-Aazam Radiallahu Anhu Irshad Farmate Hai,
“Dua Aasman Aur Zameen Ke Darmiyan Muallak (Ruki) Rehti Hai Jab Tak Tu Apne Nabi Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Par Durood Na Bheje”
(Sunan Tirmizi, Volume : 02, Kitab No 03 -Kitabul Witr, Baab 21: Maa Ja’aa Fi Salatun Alan Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Page : 29, Hadees: 486)

Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
Kuch Logo Ko Qayamat Ke Din Jannat Mai Jane Ki Ijazat Mil Jayegi  Magar Woh Log Jannat Ka Rasta Bhool Jayenge.
Yeh Woh Log Hongeh Jin Keh Samne Mera Zikr Hua Magar Woh Mujh Par Duroode Pak Nahi Padhte Honge.
(Nuzhat Ul Majlis Page : 110. Aab E Kauther English Version Page:95 )

Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
Subse Ziyada Kanjoos Woh Shaks Hai Jiske Samne Mera Zikr Hua Aur Woh Mujh Par Durood-E-Pak Na Padha Hoga Aur Woh Shaks Jahannum Mai Jayega.
(Trimizi  Mishkat Page 84 Aab E Kauther English Version Page:96)

“Jiske Pass Mera Zikr Hua Aur Usne Mujhpe Durood Na Padha Usne Jannat Ka Rasta Chod Diya”
(Imam Tabrani Al Majmual Kabeer, Volume : 03, Page : 128, Hadees : 2887)

Ummul Momineen Bibi Aayesha Siddiqa Radiallahu Anha Se Riwayat Hai Ki Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
3 Shaks Qayamat Keh Din Meri Ziyarat Se Mehroom Rahenge.

1. Maa Baap Ka Nafarman
2. Meri Sunnat Tark Ki Yani Sunnat Par Amal Na Kiya.
3. Jiske Samne Mera Naam Liya Jaye Woh Mujh Par Durood Na Padha Ho.
(Al Qaul Ul Badi Page: 151 Aab E Kauther English Version Page:97)

Ameerul Moineen Sher-E-Khuda Maula Ali Karmallahu Wajjuhal Karim Radiallahu Anhu Farmate Hai
“Har Shaks Ki Dua Parde Me Hoti Hai Yaha Tak Ki Muhammad Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Aur Aale Muhammad Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Par Durood-E-Paak Padhe”
(Imam Tabrani – Al Majmaul Ausat Volume :01, Page : 211 Hadees : 271)

Ummul Momineen Bibi Aayesha Siddiqa Radiallahu Anha Ki Suyi (Needle) Gir Gayi Sehri Ka Waqt Tha Andhere Ki Wajeh Se Nahi Mil Payi Acchnak Se Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Us Kamre Mai Tasreef Layeh Aur Kamra Roshan Hogaya. Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ka Chehra Mubarak Roshan Hogaya Aur Sunyi (Needle ) Mil Gayi . Phir Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Neh Farmaya,
Mout Toh Woh Logo Keh Liye Hai Jo Mujhe Qayamat Keh Din Nahi Dekh Sakenge. Phir Maineh Phuchah Woh Kon Shaks Honghe Ya Rasoolullah Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ)?
Ispar Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
Ye Woh Log Honge Jinkeh Samne Mera Naam Liyah Jaye Aur Woh Mujh Par Durood-E-Pak Na Padhe Honge.
(Al Qaul Ul Badi Page:147 Nuzhat Un Nazireen Page:31 Aab E Kauther English Version Page:103)

Hazrat Abdullah ibn Abbas Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Rasoolullah Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Irshad Farmaya “Jo Mujhpe Durood Padha Bhool Gaya Usne Jannat Ka Rasta Chod Diya”
(Sunan Ibn Majah, Volume : 01, Page : 294, Kitab Iqamat-Us-Salat Was-Sunnah Fiha Hadees : 908)

Ek Shikari (Hunter) Ne Ek Heeran (Deer) Ko Pakad Liya Us Heeran Ne Us Shaks Ko Kaha Ki Mere Dooth (Milk) Pitehe Bachche Hai. Mai Unhe Dooth Pilahke Aati Hoo Magar Shikari Nahi Mana Wahaa Se Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Guzar Rahe The. Aap Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Yeh Waqiya Dekha Aur Shikari Ko Kaha Us Heeran Koh Choado Mai Uski Sun Sakta Hu. Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Us Heeran Se Kaha Agar Tum Wapas Nahi Aaye To?
Us Heeran Ne Kaha Agar Mai Nahi Aayi To Waise Hi Laanat Ho Mujh Par Jaisa Koi Shaks Aapka Naam Sunhe Aur Durood-E-Pak Na Padhe. Phir Woh Heeran Ne Apne Bachcho Ko Doodh Pilaya Aur Wapas Aa Gayi. Yeh Dekh Kar Wo Shikari Muslaman Hogaya.
(Al Qaul Ul Badi Page: 148 Aab E Kauther English Version Page:105 )

Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Habeeb-E-Khuda Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
“Halaak Ho Wo Shaks Jiske Pass Mera Zikr Hua Aur Usne Mujh Par Durood Na Padha, Halaak Ho Wo Shaks Jisne Maahe Ramzan Ko Paaya Aur Apni Magfirat Na Karwali, Halaak Ho Wo Shaks Jisne Apne Walidain Ya Unme Se Kisi Ek Ko Paaya Aur Unki Khidmaat Kar Jannat Na Paa Li”
(Jamai Tirmizi, Volume : 05, Page : 551, Kitab No 48 – Kitab-ut-Duwaat, Hadees : 3545)

Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
Agar Koi Log ALLAH Ta’ala Ka Zikr Kare Aur Mujh Par Durood-E-Pak Padna Bhool Gaye To Wo Unka Zikr Unke Moonh Par Marah Jayeyega Aur Woh Zikr Bekaar Hojayega.
(Mutalia Ul Masrat Page: 6 Aab E Kauther English Version Page:105)

“Jo Log Apni Majlis Me ALLAH Ka Zikr Kare Aur Nab-E-Paak Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Par Bina Durood Padhe Uth Gaye To Wo Badbudaar Murdaad Se Uthe”
(Imam Bayhaqi – Volume 02 Page : 210 Hadees: 1070)

Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
Mera Saath 2 Farishte Hote Hai.
Jab Koi Ummati Mera Naaam Suntah Hai Aur Mujh Par Durood-E-Pak Partah Hai. Tab Woh Farishte Duwaa Karteh Hai Ya ALLAH Is Shaks Ki Magfirat Farma. Is Par ALLAH Aur Uske Farishte Ameen  Kehte Hai.
Aur Jab Koi Ummati Mera Naam Sune Aur Mujh Par Duroode Pak Na Padhe To Yeh 2 Faristeh Ye Kehte Hai. Tumhari Magfirat Na Ho. Is Par ALLAH Aur Uske Farishteh Ameen Kehte Hai
(Al Qaul Ul Badi Page:116  Aab E Kauther English Version Page: 108)

Hazrat Jaabir Bin Abdullah Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Sarware Qaynat Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya
“Jisne Maahe Ramzan Ko Paaya Aur Iske Roze Na Rakhe Wo Shaks Shaki (Yaani Badbakt) Hai, Jisne Apne Walidain Ya Unme Se Kisi Ek Ko Paaya Aur Unke Saath Accha Sulook Na Kiya Wo Shaks Shaki (Yaani Badbakt) Hai, Jiske Pass Mera Zikr Hua Aur Usne Mujh Par Durood Na Padha Wo Shaks Shaki (Yaani Badbakt) Hai.”
(Majma Ul Zawaid – Volume 03, Page : 340, Kitab-Us-Saum, Hadees : 4773)

Ye Post Aapki Khidmat Me Hamare Bhai Muhammad Ajaz Qadri Sahab Ki Janibse Pesh Kiya Gaya. Apne Duao Ke Chand Alfaz Unke Haq Me Aur Is Nachiz (Nazarahmed Khan) Ke Haq Me Karna Na Bhoole.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Check Also
Close
Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!