Ghous-E-Aazam Ki Gyarvi Manana Quran Wa Hadees Se
Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,
Tamam Sunni Sahihul Aqeeda Sunni Khawatino Hazrat Ko Tahe Dise “Jashne-Eid-E–Ghousiya” Mubarak Ho. Aaj Ye Post Likhne Ke Piche Ye Maqsad Hai Ke Hamare Sunni Bhai Beheno Ko Ye Maloom Ho Jaye Ke Ham Log Gyarwi Shareef Kyu Manate Hai?
Garib Nawaz Ki Chatti Kyu Manate Hai?
Eid-E-Miladun Nabi Kyu Manate Hai?
Hamare Bhole Bhale Sunni Musalmano Ko Badmazhab Kai Sawalat Peh Kar Gumrah Karte Hai.
Gyarwi Manana HADEES Se Sabit Karo, Fatiha Lagana HADEES se Sabit Karo. Qur’an Se Daleel Do. Aur Hamare Bhole Bhale Sunni Hazrat In Sawalo Ko Sun Kar Ye Soch Me Pad Jate Hai Ke Kya Sachme Ye Tamam Chize Sabit Nahi Hai? Insha ALLAH Is Post Me Aapke Tamam Sawalo Ke Jawabat Dene Ki Koshish Maine Ki Hai.
Pehle To Ham Ye Khoob Janle Ke Gyarvi, Chatti, Fateha, Nazro Niyaz In Tamam Chizo Ka Maqsad Sirf Isale Sawab Aur Khiraje Aqeedat Pesh Karna Hai. Auliya-E-Kiram, Ambiya-E-Kiram Ka Zikr Kar Sawabe Darrain Hasil Karna Hai. Ham Ye Tamam Chize Isliye Karte Hai Ke Hamare Dilo Me Auliya-E-Kiram Ki Muhabbat Hai. Ye Tamam Chize Mustahab Hai. Koi Na Kare To Koi Harj Nahi. Bas In Chizo Ko Bina Kisi Daleel Ke Haraam Karaar Dena Sakht Jahalat Hai Aur Kuch Nahi. Aur Jo Ise Haraam Kahe To Wo Daleel Pesh Kare.
ALLAH Rabbul Aalameen Qur’an-E-Kareem Me Farmata Hai,
“Tum Farmaao Laao Apne Wo Gawaah Jo Gawahi De Ki ALLAH Ne Usse Haraam Kiya”
(Surah Anam Ayat 150, Tarzuma Kanzul Imaan)
• Ab Dekhe Hadees-E-Pak Ka Huqm:
Hazrat Abdullah Ibn Masood رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se Rivayat Hai Ki Unhone Farmaya,
Jis Amal Ko Koi Momin Accha Jaane Wo Amal ALLAH Ke Nazdeek Bhi Accha Hai Aur Jis Amal Ko Momineen Bura Jaane Woh ALLAH Ke Nazdeek Bhi Bura Hai”
(Imam Hakim Al Mustadrak Vol- 03, Pg : 83, Hadees : 4465)
(Imam Tabrani Al Muajamul Kabir Vol : 09, Pg : 112, Hadees : 8583)
(Imam Ahmad Ibn Hambal Al Musnad Vol : 01, Pg : 379 , Hadees : 3600)
(Imam Abu Noem ne Al Hilyatul Aulia Vol : 01, Pg : 375)
Kya Ye Tamam Chize Biddat Hai?
Biddat Ke Sharai Meaning Yeh Hain Ke Jo Kaam Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Ke Dour Main Na Tha Ab ijaad Hua.
Bidat Ki Kai Types Hain:-
• Biddat-E-Hasana:
Aisi Biddat Jisko Karna Jaiz Ho Aur Jisko Karne Se Sawab Bhi Mile.
• Biddat-E-MUBAHA:
Aisi Biddat Jise Karna To Jaiz Ho Laikin Es Per Na He Sawab Mile Na He Gunah Ho.
• Biddat-E-Dalala:
Aisi Biddat Jisko Karna Najaiz-O-Gunah Ho.
Bidat-E-Hasana Ka Qur’an Se Saboot: (ابتدعوها ما کتبنها)
(Sura Hadeed, Verse:27)
Tarzuma:
“To Yeh Baat Deen Main Unhone Apni Taraf Se Nikal, Hum Ne In Per Muqarer Na Ki Thi, Ha Yeh Biddat Unhone ALLAH Ki Raza Chahne Ko Paida Ki, To Hum Ne Imanwalo Ko Eska Sawab Atta Kyia”.
Uperwali Aayat Se Saaf Zahir Hai Ke Bidat-E-Hasana Qur’an Se Sabit Hai, Aap Yeh Kehna Ke Her Biddat He Buri Hoti Hai Eska Koi Sharai Jawaz Nahi. Es Aayat Sey Saaf Zahir Hai Ke Biddat-E-Hasana Jaiz Hai Balke Achi Niyat Sey Ki Gayi Tou Us Per Sawab Hai, Ab Baat Yeh Aati Hai Ke Hadees Main Hai Ke “Yakeenan Har Biddat Gumrahi Hai”, Tou Aitraz Yeh Hua Ke Yeh Hadith Aur Qur’an Ki Aayat Aapus Main ikhtilaf Kar Rahi Hain, Baat Samajhne Ki Yeh Hai Ke Hadees Qur’an Ki Aayat Se ikhtilaaf Nahi Kar Rahi Balke Hadees Ke Mayne Sahi Samjhe Nahi Ja Rahe, Pyare Aaqa صلی اللہ علیہ وسلم Ke Matlub Es Hadees Main Biddat-E-Dalala Hai Wo Biddat Wo Fitna Phelany Ke Liye Ki Gayi Ho.
Biddat-E-Hasana Ki Kai Aisi Misaal Hai Jo Aaj Bhi Payi Jati Hai. Jinka Inkar Koi Firqa Nahi Kar Sakta Par Haqiqat To Ye Hai Ke Wo Biddat-E-Hasana Hai.
1. Quran Par Harkaat Yani Jer, Jabar, Pesh Ka Hona Biddat-E-Hasana Hai.
2. Quran-E-Kareem Ka Aaj Kitab Ki Shakl Me Hona Biddat-E-Hasana Hai. Kyunki Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Zamana-E-Mubarak Me Quran Ko Jama Na Kiya Gaya Tha.
3. Taraweeh Ki Namaz Jama’at Ke Sath Padhna Biddat-E-Hasana Hai. Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Zamana-E-Mubarak Me Ye Namaz Alayda Padhi Jati Thi. Jama’at Ke Sath Taraveeh Padhna Sunnate Umar Farooq Radiallahu Anhu Hai.
4. Aajke Is Technology Ke Daur Me Social Media Ka Istemal Deen Ki Tableeg Ke Liye Karna Bhi Biddat-E-Hasana Hai. Ye Sab Mante Hai Ke Isme Koi Burai Nahi Hai Aur Awaam Tak ilm Pohochane Ka Sabse Aasan Zariya Hai.
Biddat-E-Hasana Me Koi Burai Nahi Hai. Isko Sirf Nek Wa Jaiz Maqasid Ke Tahat Hi Ruzoo Kiya Gaya. Isi Tarah Ahle Sunnat Bhi In Tamam Chizo Ko Sawab Ki Niyat Se Karte Hai. In Kamo Se Awam Me Auliya-E-Kiram Ki Muhabbat Paida Hoti Hai. In Dino Taqreer Ka Ahtemam Kiya Jata Hai Jaha Par Logo Ko ilme Deen Ki Bate Sunne Milti Hai. Garibon Ko Khana Taqseem Hota Hai. ALLAH Rabbul Aalameen Ka Zikro Azkar Hota Hai. Auliya-E-Kiram Ki Azmato Ko Bayan Kiya Jata Hai.
• Biddat-E-Hasana Hadees Se:
“Hazrat Jareer Bin Abdullah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya :
Jis Ne Koi Achchha Tareeqa Jaari Kiya Phir Us Par Amal Kiya Gaya To Us Ke Liye Apana Sawaab Bhi Hai Aur Use Amal Karne Waalon Ke Baraabar Sawaab Bhi Milega.
Jab Ki Un Ke Sawaab Me Koi Kamee (Bhi) Na Hogi Aur Jis Ne Koi Bura Tareeka Jaari Kiya.
Phir Woh Tareeqa Apnaaya Gaya To Us Ke Liye Apana Gunaah Bhi Hai Aur Logon Ke Gunaah Ke Baraabar Bhi Jo Us Par Amal Paira Huwe. Baghair Us Ke Ki Un Ke Gunahon Me Kuchh Kamee Ho.”
(Jamai Tirmizi Vol : 05, Pg : 71, Kitabul Ilm, Baab : Hadees : 2675)
قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ .
Imam Abu Isaa Tirmizi Farmate Hai Ye Hadees Hasan Sahi Hai.
(Sunan Ibn Majah Vol :01, Pg :210, Kitab Al Sunnah, Baab : Wo Shaks Jo Acchi ya Bura Amal Izaad kare, Hadees : 203)
(Sunan Nasai Vol : 03,Pg :275, Kitabul Zakat, Hadees :2555)
(Hafiz Ibn Hajar Asqalani Fath Ul Baari Vol : 05, Pg : 43, Hadees : 2675)
• Kya Khane Par Niyaz Lagana Aur Logo Ko Khilana Jaiz Hai?
“Tera Rab Khoob Janta Hai Kaun Bahka Hai Uski Raah Se Aur Wo Khoob Janta Hai Hidayatwalo Ko To Khao Us Me Se Jis Par ALLAH Ka Naam Liya Gaya Agar Tum Uski Aayate Mante Ho Aur Tumhe Kya Hua Ki Tum Unme Se Na Khao Jis Par ALLAH Ka Naam Liya Gaya”
(Sure An’aam, Para-7, Aayat 117,118,119, Ruku 14, Tarzuma Kanzul Imaan)
Hazrat Anas Radiallahu Anhu Farmate Hai Jab Nabi-E-Paak Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Hazrat Zainab Radiallaho Anha Se Nikah Kiya To Meri Walda Hazrat Umme Sulaim Radi Allaho Anha Ne Hais (Sattu, Ghee, Or Khazoor Se Bana Huwa Khana) Bana Kar Ek Tabaq Me Rakha Or Mujhe Kaha Ise Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Khidmat-E-Aqdas Me Le Jao Main Khidmat-E-Aqdas Sallallahu Alaihi Wasallam Me Hazir Huwa To Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jao Or Musalmano Me Se Tumhe Jo Mile Usse Bula Lao Mujhe Jo Mila Bula Laaya Or Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Dua Padha Or Jo Kuch Rab Ko Manzoor Tha Wo Aapne Dua Me Padha Phir Log Ghar Me Dakhil Hote Khana Khate Aur Nikal Jaate Sab Ne Sair Hokar Khaya Or Chale Gaye Kuch Log Baithe Rahe Unho Ne Lambi Baatein Shuru Kardi Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Unhe Kuch Kehne Se Haya Karte The Nabi-E-Paak Sallallahu Alaihi Wasallam Ghar Se Bahar Tashrif Le Gaye Magar Woh Log Wahin Bethe Rahe. Us Wakt ALLAH Ta’ala Ne Ye Aayat Nazil Farmaya. “Aye Imaanwaalo Nabi-E-Pak Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Ghar Me Begair Izazat Dakhil Na Huwa Karo, Na Khane Ke Wakt Taktey Raha Karo. Haa Agar Tumhe Khane Pe Bulaya Jao To Jarur Aao Lekin Khana Khane Ke Baad Chale Jaya Karo. Baatein Karne Me Na Lage Raho Tumhari Ye Harkatein Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Taklif Deti Hai Magar Wo Sharm Ki Wajah Se Tumhe Kuch Nahi Kehte Or ALLAH Ta’ala Haq Baat Kehne Me Sharm Nahi Karta.
(Surah Ahzaab, Para 21, Ayat 53, Tarzuma Kanzul Imaan)
(Sahi Muslim Volume : 02 , Kitab No 16 Kitabun Nikah, Baab : Ummul Momineen Zainab Bint Jahsh Ke Nikah Ka Bayan Aur Hizab Ke Mutaalik Nuzool-E-Wahi Ka Bayan, Hadees : 1428)
(Jamai Tirmizi Kitab No 47 Kitabut Tafseer, Hadees : 3524)
Hazrat Abdullah Ibn Amr رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Ne Farmaya Nabi-E-Rehmat صلى الله عليه و آله وسلم se Poocha Gaya Konsa Islam Behtar Hai ?
Nabi-E-Rehmat صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya Logon Ko KHANA KHILAO Aur Jisse Jaante Ho Jise Na Jaante Ho Sabko Salaam Karo”
(Sahi Bukhari, Vol : 01, Kitab No 02 Kitab Al Imaan, Hadees : 27)
(Sahi Bukhari Hadees : 6236)
(Imam Bukhari Al Adabul Mufrad Vol : 01, Kitab No 42 Kitabus Salam, Hadees : 1013) Albani ne bhi is hadees ko sahi likha hai.
(Jamae Tirmizi, Vol 02, Baab : Khana Khilane Ki Fazilat Ka Bayan, Hadees : 1855)
In Hadees-E-Pak Aur Quran-E-Kareem Ki Aayat Ko Padh Kar Ye Khoob Roshan Ho Gaya Ke Khane Par Niiyaz Lagana Aur Khana Khilana Dono Jaiz Hai Aur Bahawala Saabit Hai. Ab Ye Post Padh Kar Bhi Aapko Koi Sawalat Kare To Usse Daleel Mango Ki Kaha In Chizo Ko Mana Kiya Gaya. Kaha Ise Najaiz Haraam Kaha Gaya. ALLAH Rabbul Aalameen Hamare Sunni Musalmano Ke Imaan Ki Salamati Ata Farmaye.
Aameen
Awwal Aakhir Durood.