Aqaid-E-Ahle Sunnat

Waldain Ka Aulad Par Haq Quran Wa Hadees Se

~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
*ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ*
*بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ*
*اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ، ﷺ*
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
Aajki is Post Me Ham Aur Aap “Huqooq-E-Waldain Aulad Par” is Mauzoo Par Quran Wa Hadees Ki Roshni Me Guftagu Karenge.

Waldin Apni Aulad Ko Chote Se Bada Karte Hai. Unki Padhai Se Le Kar Nikah Tak Tamam Farz Pura Karte Hai. Apne Armano Ko Chod Kar Apne Aulad Ke Armano Ko Pura Karte Hai. Har Mushkil Me Unka Sath Dete Hai. Afsos Aaj Kuch Badnasib Log Aise Hai Jo Waldain Ki Khidmat Se Munh Mod Lete Hai. Unko Budhape Me Besahara Kar Dete Hai. Aise Badbakht Log Sirf Apne Dilo Me Hi Khush Hai. Unka Maa-Baap Ko Besahara Karna, Jhidakna Unke Tamaam Amaal Barbad Kar Dozakh Me Le Jane Ke Liye Kaafi Hai. Aulad Par Ye Farz Hai Ke Apne Waldain Ki Tazeem Kare Unka Khayal Rakhe. Unse Unchi Awaaz Me Bat Na Kare. Unka Dil Na Dukhaye. Maa Wo Hasti Hai Ke Jiske Qadmo Me ALLAH Rabbul Aalameen Ne Jannat Rakhdi. Jisne Unki Khidmat Ki Usne Jannat Ko Pa Liya Aur Jisne Unki Dil Azari Ki Beshaq Dozakh Ko Wazib Kar Liya. Waldain Ke Nafarman Duniya Me Bhi Zillat Me Hai Aur Unki Aakhirat Tabah Hai. Dozakh Unka Intzar Kar Rahi Hai. Aise Logo Ka Apni Aulad Se Achche Sulooq Ki Ummid Karne Bebuniyad Hai. Kyunki Jaisa Tumhare Amaal Hai Waisa Hi Sila Tumhe Milega.

*AYAT-E-KAREEMA*

۞ *وَقَضَىٰ رَبُّكَ أَلَّا تَعْبُدُوٓا إِلَّآ إِیَّاہُ وَبِٱلْوٰلِدَیْنِ إِحْسٰنًا ۚ إِمَّا یَبْلُغَنَّ عِندَكَ ٱلْكِبَرَ أَحَدُہُمَآ أَوْ كِلَاہُمَا فَلَا تَقُل لَّہُمَآ أُفٍّۢ وَلَا تَنْہَرْہُمَا وَقُل لَّہُمَا قَوْلًۭا كَرِیمًۭا*

✒ _*اور تمہارے رب نے حکم فرمایا کہ اس کے سوا کسی کو نہ پُوجو اور ماں باپ کے ساتھ اچھا سلوک کرو اگر تیرے سامنے ان میں ایک یا دونوں بڑھاپے کو پہنچ جائیں (ف۵۹) تو ان سے ہُوں نہ کہنا (ف۶۰)اور انہیں نہ جھڑکنا اور ان سے تعظیم کی بات کہنا (ف۶۱)*_

*And your Lord has ordained that you do not worship anyone except Him, and treat your parents with kindness; if either of them or both reach old age in your presence, do not say ‘Uff’* to them and do not rebuff them, and speak to them with the utmost respect*.
*(*Any expression of disgust.)
( BANI-ISRAEL, Para 17, Verse 23 )

*وَٱخْفِضْ لَہُمَا جَنَاحَ ٱلذُّلِّ مِنَ ٱلرَّحْمَۃِ وَقُل رَّبِّ ٱرْحَمْہُمَا كَمَا رَبَّیَانِى صَغِیرًۭا*

✒ _*اور ان کے لئے عاجزی کا بازو بچھا (ف۶۲) نرم دلی سے اور عرض کر کہ اے میرے رب تو ان دونوں پر رحم کر جیسا کہ ان دنوں نے مجھے چھٹپن میں پالا (ف۶۳)*_

*And lower your wing humbly for them, with mercy, and pray, ‘My Lord! Have mercy on them both, the way they nursed me when I was young.*

(BANI-ISRAEL, Para 17, Verse 24 )

 *AUR TUMAREY RABB NE HUKAM FARMAYA KE US KE SIWA KISI KO NA PUJOO AUR MAA BAAP KE SATH ACHA SALOOK KARO AGAR TERE SAMNE IN MAIN SE EK YA DOONO BUDAPE KO POUNCH JAYEN* ( Zahif ka Galba Ho Ahzaa Main Quwat Na Rahe aur Jesa to Bachpan Main un ke pass Be takat Tha) *Tu unse Uff Na Kehna* (Yani Aisa koi kalima Zabaan Par Na lana Jis se Ye Samja Jaye ke Unki Taraf se Tabiyat main Kuch Girani Hai)_  *Aur Unse Na Jiradkna (جھڑکنا) Aur unse Taizeem Ke Baat Kehna* (Yani Hussn E Adab Ke Sath Unse Khitaab  Karna)

✒ *Aur Unke Liye Aa’jzee Ka Bazoo Bichana Naram Dilli se aur Arz Kar Ah Mere Rab Ta’ala Tu Inn Par Reham Kar Jesey In Dono Ne Mujhe Chootey Pan Main Pala.* (Yani Duniya Main Behtar Salook Aur Khidmat Main Kitna Bhi Mubalgha kiya Jaye , Lakin Waaliden Ke Ehsaan Ka Haq Aada Nahi Hota , Isliye Bande Ko Chahiye Ke Bargha e Ilahi Main In Par Fazal O Rehmat Farmane Ki Dua Karey Aur Arz Karey ke Ah Merey Rabb ul Izzat Meri Khidmaten In Ke Ehsaan ki Jazza Nahi Ho Sakti Tu In Par Karam Farma Ke In Ke Ehsaan Ka Badla Ho.)

Waliden Ka Apni Aulaad Par Kitna Haq Hai?

Hadees:
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Abu Umamah رضي الله تعالٰی عنه  Se Riwayat Hain Ki Ek Aadmi Aaya Aur Us Ne Arz Kiya :
“Ya Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  ! Walidein Ka Apni Aulaad Par Kitna Haqq Hai?
Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم  Ne Irshaad Farmaya :
Woh Dono Teri Jannat (Bhi) Hain Aur Dozakh (Bhi) Hain.
(Ya’ni Un Ki Khidmat Kar Ke Jannat Haasil Kar Lo Ya Na-Farmani Kar Ke Dozakh Ke Mustahiq Ho Jaao).”
Reference
(Sunan Ibn Majah : Hadees 3662)

*Ek Aur Jagga Walidain Ke sath Husn e Salook  ki Is Tarah Takeed Aur Hukam Farmaya Hai :*

AYAT E KAREEMA

*وَصَاحِبْہُمَا فِى ٱلدُّنْیَا مَعْرُوفًۭا ۖ *

✒ *اور دنیا میں اچھی طرح ان کا ساتھ دے*
 (LUQMAN Para 31, Verse 15)

✒ -*Aur Duniya Main Achi Trah Unka Sath Dain*-

*Ek Aur Jagga Khasosan Walidah Ki Takleef Ko Yaad Dela Kar Ehsaan Ka Hukam Farmaya  Ja Raha Hai*

AYAT E KAREEMA

*وَوَصَّیْنَا ٱلْإِنسٰنَ بِوٰلِدَیْہِ إِحْسٰنًا ۖ حَمَلَتْہُ أُمُّہُ كُرْہًۭا وَوَضَعَتْہُ كُرْہًۭا ۖ وَحَمْلُہُ وَفِصٰلُہُ ثَلٰثُونَ شَہْرًا ۚ*

✒ *اور ہم نے آدمی کو حکم کیا کہ اپنے ماں باپ سے بھلائی کرے ا س کی ماں نے اسے پیٹ میں رکھا تکلیف سے اور جنی اس کو تکلیف سے اور اسے اٹھائے پھرنا اور اس کا دودھ چھڑانا تیس مہینہ میں ہے*
( AL-AHQAF Verse 46, Para 15)


✒*Aur Ham Ne Admi Ko Hukam Diya Ke Apne Maa Baap se Balayi Karey ,  Es Ki Maa Ne Ussey Pait Main Rakha Takleef Se Aur Janna Takleef se Aur Ussey Ottaya Pharna Aur Uska Dood Jadna Tees Mahine Main Hai .*

*Walidain Ke Sath Husn e Salook Ka Mamlah Sirf Jayez Haddon Tak Hona chahiye Ahisa Nahi Ke Unki Walidaari  Ke liye Koi Galt Aur Gair Shari Aqdaam Be Rawah Samj Liya Jaye. is Silsiley Main Qur’an Ki Wazeh Hadiyat Mojud hai.*

*Irshaad E Baari Ta’ala Hai…*

 وَوَصَّیْنَا ٱلْإِنسٰنَ بِوٰلِدَیْہِ حُسْنًۭا ۖ وَإِن جٰہَدَاكَ لِتُشْرِكَ بِى مَا لَیْسَ لَكَ بِہِ عِلْمٌۭ فَلَا تُطِعْہُمَآ ۚ
✒ *اور ہم نے آدمی کو تاکید کی اپنے ماں باپ کے ساتھ بھلائی کی  اور اگر وہ تجھ سے کوشش کریں کہ تو میرا شریک ٹھہرائے جس کا تجھے علم نہیں تو ان کا کہا نہ مان*

✒And upon man We ordained kindness towards parents; and if they strive to make you ascribe a partner with Me, about which you do not have any knowledge, then do not obey them;
(AL-ANKABUT Para 29, Versr 8 )

✒ *Aur Ham ne Admi ko Ta’qeed  Ki Apne Maa Baap Ke Satb Bhalayi Ki Aur Agar Wo Tujh Se Koshish Karen Ke Tu Mera Sharik Therah Jis Ka Tujhe ilm Nahi Tu In Ka Kehna Na Maan.*

SHAAN E NAZOOL

 *Iss Ayat Ka Shaan E Nazool Yeh Hai ke Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqa’as رضی اللہ تعالٰی عنہ  Jo Sabkeen Awaleen Sahaba Main Se They , Aur Apni Walidaa Ke Sath Achaa Salook Karte They. Jab Islaam Lahey To Aap ki Walida Hamna Binte Abu Sufyan Ne Kaha Tuney Ye Kiya Naya Kaam Kiya , Khuda Ki Kasam Agar Tu Issay Baaz Na Aya To Main Na Kha’on Na Piyon Yahan Tak Ke Mar Jaon Teri Hamesha Ke Liya Badnami Ho Aur Tujhe Maa Ka Qatil Kaha Jaye. Phir Usne Bada Faqaa Kiya Ek Sabb Na Roz Na Khaya Na Piya Na Sayeh Main Baithi ,  Is se Zahif Hogayi phir Ek din Raat Our Essi Trah Rahi .Tab Hazrate Sa’ad رضی اللہ تعالٰی عنہ  Inke Pass Aye Aur Farmaya :
 *Eh Maa Agar Teri Soo (100) Jaane Hon Aur Ek Ek Kar Ke Sab Nikal Jayen To Be Main Apne Deen (Islaam ) Ko  Chodney Wala Nahi .  Tu Chaye Khaa Ya Maat Khaa Jab Wo Hazrate Sa’ad رضی اللہ تعالٰی عنہ  Ki Traf Se Mayoos Hogayi To Khane Pine Lagi. Es Par ALLAH Ta’ala Ne Ye Ayat E Pak Nazal Farmayi Aur Huqam Diya Ke Walidain Ke sath Husn e Salook Kiya Jaye Agar Wo Kufr O Shirk Ka Hukm Dain To Na Mana Jaye , Kiyun Ke Ahisi Ittahat Kisi Makhlooq ki Jayez Nahi jis Main Khuda Ki Nafarmani Ho.*

~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
*جزاك الله خيرا…*
          Keep Visiting & Sharing:  
              www.hamarenabi.com
• World’s Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat.
• Best Place To Learn Real Islam In The Light Of Quran Wa Hadees.
• Authentic References/Hawala/Daleel/Proofs From Top Islamic Books.
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
*ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ*
*ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ*
*صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم*
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
*اٙشْھِدُ انْ لٙا اِلٙہ اِلْا الله وٙحْدٙہُ لٙا شٙرِیْکٙ لٙہُ وٙاٙشْھٙد اٙنْ مُحٙمْداً عٙبْدٙہُ وٙرٙسُوْلٙہُُ*
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
*صَلّی اللّہُ علَی النّبِی الاُمّیّ و آلِہِ*
*صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم*
*صَلوٰةً وَّ سَلَاماً عَلَیکَ یَا رَسُولَ اللّه*
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
           Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
Sharing Is Caring… Stay Connected…
Please Don’t Edit The Post. Share As It Is And Help Us In Khidmate Deen.
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
Download Our Free Android Application. Search “Hamare Nabi” On Play Store.
https://play.google.com/store/apps/details?id=aarifwaghoo.hamare.nabi.AOVYGBIUCAFEGOE
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!