Nikah

Zina Ka Islam Me Azab

{tocify} $title={Table of Contents}

Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

• Zina Kya Hai?

Ek Mard Ek Aisi Aurat Se Sohbat/ Humbistari (Physical Relation) Kare Ya Ek Aurat Aise Mard Se Sohbat/ Humbistari (Physical Relation) Kare Jiska Uske Sath Nikah Na Hua Ho. Is Gunahe Kabira Ko Zina Kehte Hai.

Is Post Ko Likhne Ka Ye Maqsad Hai Ke Aajke Is Modern Zamane Me Log Is Gunah Ko Anzam Dena Badi Shaan Ki Baat Samajhte Hai. Ye Post Un Logo Ke Liye Sabak Hai Jo Is Ghatiya Kaam Me Khud To Mubtla Hai Hi Sath Me Doosro Ko Bhi Uksa Kar Unka Imaan Barbad Kar Rahe Hai. Islam Me Zina Ko Bohot Hi Bada Gunah Mana Gaya Hai Jiska Azab Beshaq Jahannam Hai. Aur Maut Ke Bad Un Gunahgaro Ko Apni Chand Lamho Ki Lazzat Ka Maza Achchi Tarah Chakhna Hai. Aaiye Ham Quran Wa Hadees Ki Roshni Me Zina Ke Nuksanat Wa Azab Par Gaur Kare.

ALLAH Rabbul Aalameen Qur’an-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai,
Tum Zina Ke Qareeb Bhi Na Jao Q ke Ye Badi Behayai “Wala Kaam” He, Aur Bohat Hi Bura Rasta He.
(Surah Bani Israil Aayat 32)

ALLAH Rabbul Aalameen Qur’an-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai,
Musalman Mardo Ko Huqm Do Apni Nigahe Kuch Nichi Rakhe Aur Apne Sharmgah Ki Hifazat Kare. Ye Unke Liye Suthra Hai. Beshaq ALLAH Hi Ko Unke Kaamo Ki Khabar Hai.
(Sure Noor, Aayat 31, Para 18, Tarzuma Kanzul Imaan)

In Do Aayato Me ALLAH Rabbul Aalameen Ne Ye Irshad Farmaya Hai Ke Zina Beshaq Behayai Aur Buri Raah Hai. Jsika Anzam Aakhirat Me Bhugtna Hoga. Aur Beshaq ALLAH Rabbul Aalameen Ko Hamare Sare Kaamo Ki Khabar Hai.

• Shirk Ke Baad Sabse Bada Gunah Zina Hai

Rehmate Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
Shirk Ke Bad ALLAH Ke NaZdik Is Gunah Se Bada Koi Gunah Nahi Ke Ek Shaks Kisi Aurat Se Sohbat Kare Jo Uski Biwi Nahi Aur
Jab Koi Mard Aur Aurat Zina Karte Hai To Emaan Unke Sine Se Nikal Kar Sar Par Saye Ki Tarah Thahar Jata He.
(Mukasheftul Kuloob Safa: 168)

Hazrat Ikrema Ne Hazrat Abdullah ibne Abbas Radiallahu Anu Se Pucha Emaan Kis Tarah Nikal Jata He?
Hazrat Abdullah ibne Abbas Ne Farmaya:
Is Tarah ! Aur Apne Hath Ki Ungliya Dusre Hath Ki Ungliyo Me Dali Phir Nikal Li Aur Farmaya
“Dekho Is Tarah”
(Bukhari Sharif Jild:3, Safa: 614, Hadees: 1713)

Zina Ek Aisa Gunah Hai Jo Insan Ke Imaan Wa Aakhirat Dono Ko Barbad Kar Deta Hai.

Hazrat Abuhuraira Wa Ibne Abbas Radiallahu Anu Se Rivayat Hai Ke Sakar-E-do Aalam Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya,
“Momin Hote Hue To Koi Zina Kar Hi Nahi Sakta”
(Bukhari Sharif, Jild:3, Safa:614, Hadees: 1714)

You Might Also Like:






Zina Ke Wazoohat


• Aajka Modern Libas. Aurato Ka Be Parda Khulle Aam Ghoomna. Aajki Aurat Ka Ye Khayal Hai Ke Islam Unko Azadi Nahi Deta. Unko Parde Me Rehna Ek Saza Ke Jaisa Lagta Hai. Parda Unki Izzat Aabru Ki Hifazat Ke Liye Hai. Chote Chote Kapde, Netwale Kapde Jinse Badan Saaf Dikhta Ho, Fashion Ke Wajahse Ladkiyo Ka Behuda Kapde Pehenna Mardo Ki Shahvat/Vasna Ko Badhata Hai.

• Nikah Ke Bare Me Ilm Ki Kami Hona Bhi Zina Ki Aham Wajah Hai. Aaj Log Khulle Aam Gandi Filme Dekhte Hai To Unko Sharmo Haya Nahi Aati Magar Afsos Ki Jab Deen Ke Roshni Me In Bato Ko Janne Ka Waqt Aaye To Sharam Aati Hai. La-Ilmi Ke Sabab Bhi Kai Log Gunah Ka Shikar Ho Jate Hai.

• Ladkiyo Ka Bahar Ke Mardo Ke Sath Kaam Karna Zina Ki Ek Wajah Hai. Aurat Chupane Ki Chiz Hai. Aajki Aurat Naukriya Kar Rahi Hai. Unki Taraqqi Se Hame Koi Aitraz Nahi Par Haqiqat To Ye Hai Ke  Naukri Ke Jagah Hi Unke Sath Kaam Karnewale Mardo Se Unka Afair Ho Jata Hai Ya Wo Kisiki Hawas Ka Shikar Ho Jati Hai.

• Ladkiyo Ko Padhane Ke Liye Mard Teacher Ka Hona. School, Colleges Me Is Tarah Ke Chances Kam Hote Hai Ke Waha Baki Sare Log Hote Hai. Is Tarah Ka Mamla Personal Tutions Me Jyada Tar Hota Hai.

• Internet Ka Galat Istemal Bhi Zina Ki Ek Wajah Hai. Internet Par Gandi Websites Dekhna Ya Kahaniya Padhna Jinse Jismani Tallukat Ki Kwahish Badh Jati Hai. Ab Jo Bardasht Na Kar Paya Wo Isi Rah Par Chal Padta Hai.

• Bure Logo Ki Sohbat Bhi Ek Aham Wajah Hai. Dosto Ke Kehne Me Aakar Is Gandi Rah Par Kai Bachche Chal Padte Hai. Isliye Apne Bachcho Ko Sahi Waqt Pe Sahi Wa Galat Ki Taleem Dena Is Chiz Ka Hal Hai.

• Best Solution On Zina:
Aurat Ka Parde Ke Sath Bahar Nikalna. Hamesha Parde Me Rehna. Gair Mard Se Meljol Na Rakhna. Apni Ladkiyo Ko Parde Ki Ahmiyat Samjhana. Ladko Ko Ilme Deen Ki Roshni Me Zina Ke Azab Se Aagah Karna. Mardo Ko Ajnabi Aurat Ko Dekhne Ke Azab Se Aagah Karna. Nikah Ke Bare Me Muqammal Taur Par Ladka Wa Ladkiyo Ko Taleem Dena. In Tamam Koshisho Se Zina Se Bacha Ja Sakta Hai.

• Zina Ka Azab Aur Saza

Hazrat Musa Alayhissalam Ne Rab Ta’ala Ki Bargahme Jub Zina Ki Saza Puchi To ALLAH Ne Farmaya:
Use Aag Ki Jarrah Pahnaunga (Lohe Ka Libas Jo Aag Se Bana Hoga) Woh Aisi Wazani He Ki Agar Bahut Bade Pahad Parrakh Di Jaye To Wo Bhi Reza Reza Ho Jaye.
(Mukasheftul Kuloob Safa: 168)

ALLAH Ta’ala Faramata Hai,
Jo Shaks Zina Karta Hai Use ”Asaam” Me Dala Jayega
(Qurane Kareem Para 19, Sure Furkan Aayat 68)

Asaam Ke Bare Me Ulma-E-Deen Ne Kaha Hai Ki Wo Jahannam Ka 1 Gar He. Jab Uska Muh Khola Kayega To Uski Badbu Se Tamam Jahannami Chikh Uthenge
(Mukasheftul Kuloob Safa: 167)

Shafi-E-Mehshar Rehmate Aalam Imaamul Ambiya Khatamun Nabiyyin Habeebe Khuda Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya,
Zina Karnewale Shadishuda Ho To Khule Maidan Me Pattharo Se Mar Dala Jaye Aur Gair Shadishuda (Kuwara) Ho To 100 Kode Mare Jaye
(Bukhari Sharif Jild Safa: 615/615, Hadees: 1715)

ALLAHU Akbar..! Kitna Dardnaak Azab Hai Is Gunah Karnewalo Ke Liye. Beshaq Hamare Har Kamo Ki Khabar Us Pak Parwardigar Ko Hai. Kya Aap Seh Payenge Is Chand Lamho Ki Lazzat Ke Is Azab Ko? Gaur Karo. Ye Ek Aisa Gunah Hai Jo Aapki Aakhirat Ko Tabah Kar Deta Hai.
ALLAH Rabbul Aalameen Qur’an-E-Kareem Me Farmata Hai,

Aur Wo (Momeen) Jo Apne Sharmgah Ki Hifazat Karta Hai.
(Sure Ma’aarij, Para 21, Aayat 29, Tarzuma Kanzul Imaan)

Gandiya Gando Ke Liye, Gande Gandiyo Ke Liye.
Suthriya Suthro Ke Liye, Suthre Suthriyo Ke Liye.
(Sure Noor, Para 18, Aayat 31, Tarzuma Kanzul Imaan)

ALLAH Rabbul Aalameen Duniya Me Hi Aise Logo Ko Saza De Raha Hai. Badkar Logo Ko Badkar Hi Milte Hai Aur Suthro Ko Suthre.

ALLAH Rabbul Aalameen Se Dua Hai Ke Ham Sabko Zina Se Bachne Ki Taufiq Ata Farmaye. Hamare Gharki Aurato Ko Aur Mardo Ko Bhi Shari’at Ke Mutabiq Zindagi Basar Karne Ki Taufiq Ata Farmaye.
Aameen
Awwal Aakhir Durood.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Check Also
Close
Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!