Nikah

Talaq Ka Bayan Quran Wa Hadees Se

~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
Nikah Ek MUQADDAS islami Rishta Hai Jisse Ek Musalman Mard Ke Liye Ajnabi Muslaman Aurat Halal Ho Jati Hai Aur Ab Shohar Ko Jayez Andaaz Me Apni Khawahishaat Ko Bhi Poora Karne Ka Zarya Mil Jata Hai.
Nikah Ke Zarye Aurat Shohar Ki Paband Hoti Hai, Is Pabandi Ko Khatm Karne Ka Naam TALAQ Hai. TALAQ Ke Kuch Alfaaz Muqar’rar Hain, TALAQ Ke Ta’alluq Se Quran O Hadees Me Jo irshadaat Aaye Hain Pehle uska Zikr Ho Phir Mukhtasaran TALAQ Ki Qisme’n Aur Surten Aur Hukm Bayan Hoga Phir Nafse Mauzu Par (3-TALAQ KI TEHQEEQ Par) BAAT Tafsili Hogi.
ALLAH Pak Apni MUQADDAS Kitab Me Farmata Hai.
ٱلطَّلَٰقُ مَرَّتَانِ ۖ فَإِمْسَاكٌۢ بِمَعْرُوفٍ أَوْ تَسْرِيحٌۢ بِإِحْساَٰنٍ ۗ
Tarjamah-
TALAQ Jo 2 Baar Tak Hai, (Yani Jisse Biwi ko Bagair Naya Nikah Kiye Rakha Ja Sakta hai) Phir Bhalai Ke Sath Rok Lena (Yani Bagair Naye Nikah Ke Hi) Ya Nikoi (Bhalai) Ke Sath Chhod Dena……..
(قرآن کریم، سورہ بقرہ، آیت نمبر-229، ترجمہ کنزالایمان، از- اعلی حضرت علیہ الرحمہ)
Phir ALLAH Ta’ala Farmata Hai.
فَإِن طَلَّقَهَا فَلَا تَحِلُّ لَهُۥ مِنۢ بَعْدُ حَتَّىٰ تَنكِحَ زَوْجًا غَيْرَهُۥ ۗ فَإِن طَلَّقَهَا فَلَا جُنَاحَ عَلَيْهِمَآ أَن يَتَرَاجَعَآ إِن ظَنَّآ أَن يُقِيمَا حُدُودَ ٱللَّهِ ۗ وَتِلْكَ حُدُودُ ٱللَّهِ يُبَيِّنُهَا لِقَوْمٍ يَعْلَمُونَ
Tarjamah-
Phir Agar 3ri TALAQ Use Dee To Ab Aurat Halal Na Hogi, Jab Tak Dusre Shohar Ke Pas Na Rahe, Phir wo Dusra Agar Use TALAQ De De To in Dono Par Gunah Nahi Ki Apas Me Mil Jayen (Ab Pehla Wala Usse  Nikah Kar Sakta Hai) Agar Guman Ho Ki Allah Ki Hadon Ko Qa’im Rakhenge, Ye Allah Ki Hade’n Hai Jo Wo Bayan Farmata Hai Samajhdaron Ke Liye
(پارہ نمبر-٢، سورہ بقرہ آیت نمبر-٢٣٠}
Qari’een (Padhnewale) Gaor Kijiye Gair Muqallideen Halala Ko Ayyashi Aur Haram Kehte Hain Jab Ki Halala Quran Se Sabit Hai, Gair Muqallideen Sirf Hadees Hi Ke Dushman Nahi Balki Quran Ke Bhi Dushman Hain…
Kisi Aurat Ko Uska Shohar TALAQE MUGALLAZAH (3 TALAQ) De Ab Wahi Shakhs Us Aurat Se Nikah Karna Chahe To Uski Yahi Surat Hai Ki Aurat iddat Guzarne Ke Bad Kisi Dusre Se Nikah Kare Aur Jab Wo Use TALAQ Dega To iddat Guzarne Ke Bad Ye Pehla Usse Nikah Kar Sakta Hai, Halala isi Ko Kehte Hain Lekin Gair Muqallideen ise Haram Kehte Hain Aur Ye To Quran Hi Se Sabit Hai, Bechare Gair Muqallideen Halala Ko GALAT Keh Kar 3 TALAQ Ko Ek Maan Kar (Jab Ki 3 TALAQ Par Biwi Nikah Se Nikal Gai) Logon Se Haram Kaari Karwate Hain, isi Liye Hanafi Halalah Ke Hain To Gair Muqallideen Haramah Ke.
Jaise Nikah Mard-O-Aurat Ko Paband Karta Hai Waise Hi TALAQ Us Pabandi Ko Utha Deta Hai, TALAQ Ka Tasauwwur (Imagining) islam Ke Siwa Kisi Mazhab Ne Nahi Diya, Aaj Digar Mazahibwale Jo Talaq Se Faidah Utha Rahe Hain Wo islam Hi Ki Den Hai.
TALAQ Ek Jayez Amal Hai Lekin Us Surat Me Jab Miya Biwi Ke Rishte Me is Qadar Kad’wahat Aajaye Ki Baat Kisi Surat Se Na Banti Ho To Shari’at Ne Hum Par Ye Aasani Ki Ke TALAQ (Azadi) Ka Rasta Banaya, Jisse Ye Dono Alag Ho Sakte Hain, Phir Ye Apni Marzi Ke MUTABIQ Kisi Dusre Se Nikah Ke Mamle Me Aazad Hain, Par Aaj Kal Baat Be Baat Talaq Dene Ka Riwaj Nikla Hai Aur Zara Bhi Koshish Nahi Ki Jati Ki Baat Ban Jaye, Koi Gusse Me TALAQ De Raha Hai, Koi Nashe Me, Koi Dahej Ke Liye, To Koi Biwi Se Chhutkara Paane Ke Liye, TALAQ Agarche Eik Jayez Amal Hai Par ALLAH Paak Use Pasand Nahi Farmata, Bila Sakht Shar’ie Zarurat Ke TALAQ Nahi Dena Chahiye, TALAQ Ke Silsile Me Chand Ahadise Pak Padhiye.

HADEES-
Huzoor صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم Farmate Hain ibless Apna TAKHT Pani Par Bichhata Hai, Aur Apne Lashkar Ko Bhjeta Hai (Logon Ko Burai Ki Taraf Ma’il Karne Ke Liye) Aur Sab Se Zada Martabah Uske Nazdeek Uska Hai Jisne Bada Fitna Kiya Ho, Har Koi (Jska Chela) Aakar Apni Kaarguzari Sunata Hai Wo Kehta Hai Tune Kuch Nahi Kiya (Bada Kaam) Ek Kehta Hai Mai Ne Mard-O-Aurat Me Judai Daal Dee, To Use Apne Qareeb Kar Leta Hai Aur Kehta Hai Haan Tu Hai (Jisne Mujhe Khush Kiya)
{مسند الإمام أحمد بن حنبل، جلد-٥، صفحہ نمبر-٥٢}
HADEES:
Hazrat Mu’aaz Riwayat Karte Hain Huzoor صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم Ne Farmaya:
“Aye Mu’aaz ! Koi Cheez ALLAH Pak Ne Roye Zameen Par Gulam Azad Karne Se Ziyadah Pasand Nahi Ki, Aur Koi Cheez TALAQ Se Ziyadah Na’pasand Nahi Ki
{سنن الدار قطنی، کتاب الطلاق، جلد-٤، صفحہ نمبر-٤٠}
Har’chand Ki TALAQ Jayez-O-HALAL Amal Hai Par Jo Bila Wajah Ho Wo ALLAH Pak Ki Narazgi Aur Gazab Ka Sabab Hai, Chunanche Ek Hadees Me 
Aaya Hai
HADEES:
Hazrat IBNE Umar رضی اللہ تعالٰی عنہما Se Riwayat Hai Ki Huzoor صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم  Ne Farmaya,
Tamam Halal Chizon Me ALLAH Ke Nazdeek Ziyadah Na’pasand TALAQ Hai
{سنن ابی داؤد، کتاب الطلاق، باب کراهية الطلاق، جلد-٢، صفحہ نمبر-٣٨٠، الحديث- ٢١٨٧}
Musalmano Ko Chahiye Ki ALLAH Wa Rasool صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم Ke Irshadaat Ko Sune Aur Uspe Amal Kare Aur Nafs-O-Shaitan Ke Fareb Me Na Aayen.
Wo Aurat Jo Bila Wajah Apne Shohar Se TALAQ Ki Demand Karti Hai Aur Wajah Bahot Mamuli Hoti Hai, Jaise Shohar Ki Kamai Se Uske Arman Na Pure Hona, Ya Sasural Me NA CHALI, WAQT Ke Sath Mamlaat Theek Ho Jate Hain Aur Zara See Koshish Ki Jaye To Ghar Ko Amn-O-Sukoon Ka Gehwara Banaya Ja Sakta Hai Phir iske Liye TALAQ Lene Ki Kya Zarurat Hai?
Aisi Aurten Huzoor صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم Ka Ye Pak Farman Khoob Zahen Nasheen Kar Le’n.
HADEES:
Huzoor صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم Ne Farmaya Jo Aurat Ba’gair Kisi Harj Ke Shohar Se TALAQ Ka Sawal Kare uspe Jannat Ki Khushbu Haram Hai
{جامع ترمذی، جلد-٢، صفحہ نمبر-٤٠٣، حدیث نمبر-١١٩٠}
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
جزاك الله خيرا…
              Keep Visiting & Sharing:    
    www.hamarenabi.in
• World’s Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat.
• Best Place To Learn Real Islam In The Light Of Quran Wa Hadees.
• Authentic References/Hawala/Daleel/Proofs From Top Islamic Books.
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
اٙشْھِدُ انْ لٙا اِلٙہ اِلْا الله وٙحْدٙہُ لٙا شٙرِیْکٙ لٙہُ وٙاٙشْھٙد اٙنْ مُحٙمْداً عٙبْدٙہُ وٙرٙسُوْلٙہُُ
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
صَلّی اللّہُ علَی النّبِی الاُمّیّ و آلِہِ
صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم
صَلوٰةً وَّ سَلَاماً عَلَیکَ یَا رَسُولَ اللّه
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
           Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
Please Don’t Edit The Post. Help Us In Khidmate Deen.
Sharing Is Caring… Stay Connected…
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Check Also
Close
Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!