Nikah

Talaq Divorce Ki Qisme Aur Talaq Ka Tarika

~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
Hamare Sunni Hanfi Jannati Barelvi Bhaiyon Ko Bhi Chahiye Ki Wo TALAQ Ki Qisme’n Aur TALAQ Dene Ka Sahi TARIQAH Samjhen, Waise To Fiqhe Hanfi Ki Kitabon Me iske Masayel Bit’tafseel Hain Par Awam Aaj Kal Kitaben Kahan Padhti Hai, Ya Phir Kitabon Ka Meyar itna Aalemana Hota Hai Ki Log DAQEEQ Alfaaz Ki Bina Par Masla Hi Nahi Samajh Pate Hain, Pehle Main Aapko TALAQ Ki Qisme’n Aasan Se Aasan Tar Andaz Me Samjha Dun.
TALAQ Ki 3 Qisme’n Hain.
1=> RAJ’EE رجعى
2=> BA’IN بائن
3=> MUGALLAZAH
Raj’ee TALAQ Kya Hai.?
Rajee TALAQ Ye Hai Ki Use Dene Ke Bad Biwi Faoran Nikah Se Bahar Nahi Hogi Balki iddat Guzarne Ke Bad Nikah Se Bahar Hogi, Aur iddat Ke Andar Wapas Lena Chahe To Le Sakta Hai Naye (New) Nikah Ki Bhi Zaroorat Nahi.
(Talaq Ki iddat 3 Haiz/M.C. Aana Hai, Agar Haamelah (Pregnant) Hai To Bachcha Paida Hote Hi iddat Khatm Ho Gai Chahe Jab Paida Ho, Agar Nabligh Hai Ya 55-year’s Se upar Hai Jise Haiz Na Aata Ho To in Dono Ke Liye iddat 3-Month Hai Chand Ki Tareekh Ke Hisab Se)
Wazahat-
Jo Log Ye Samajhte Hain Ki 1-TALAQ Rajee Hai Aur 2-Ba’in Wo Galti Par Hain, 1 Bhi Rajee Hai Aur 2 Bhi Rajee Hai, Matlab Jisse Bagair Naye Nikah Ke Rujoo Kiya Ja Sake Phir Se Use Nikah Ki Zaroorat Nahi.
You Might Also Like:




Guzarish:
TALAQ Ke Masayel Bahot Bareek Aur Ahem Hain Uske Liye Aap Fiqhe Hanfi Ki Urdu Me Mash’hoor Kitab Qanoone Shari’at Ya Bahare Shari’at Padhen Aur Ho Sake To Kisi Sunni Alim Ke Samne Padh Ke Samjhen Aur Ziydah Behtar Ye Hai Ki Aap TALAQ Ke Masayel Apne Rabte Ke Kisi Mustanad Sunni Hanfi Barelvi Aalime Deen Se Puchen, Mai Ne Hattle imkaan Koshish Ki Hai Ki Masle Ko Aasan Se Aasan Andaz Me Samjhaun Phir Bhi Koi Baat Samajh Me Na Aaye To Zaroor Kisi Sunni Aalim Se Rujoo Karen.
Ba’in TALAQ Kya Hai.?
Talaq Ki Dusri Qism Ba’in Hai, iska Matlab Ye Hai Ki Biwi Faoran Nikah Se Bahar Ho Jaye, Ab Agar Usi Biwi Ko Rakhna Hai To Naya (New) Nikah Naye Maher Ke Sath Karna Hoga, Agar Aurat Dusre Se Nikah Karna Chahe To Use iddat Puri Karni Hogi.
Talaqe Ba’in Kaise Padti Hai.?
Saaf Kahe Ki Mai Ne Tumhe Talaqe Ba’in Dee, Ya Gusse Ke Aalam Me Jaa, Chal, Nikal Rasta Naap, Ghar Khali Kar, Rawana Ho, Dafa Ho, Bistar Utha Wagerah Ye Sab Alfaaz TALAQ Ki Niyyat Se Kahe To Talaqe Ba’in Hogi. Agar Aurat TALAQ Chah Rahi Ho To Uspe Aisa Kaha Jaa, Chal Nikal, Ab Aisi Surat Me Ba’gair Niyyat Bhi TALAQE Ba’in WAAQE Hogi.
MUGALLAZAH TALAQ Kya Hai.?
TALAQ Ki Tisri Qism Mughallazah Hai, Yani 3-TALAQ Ab Chahe Eik Sath De Ya Alag Alag Ab is Surat Me Aurat Ko Wapas Rakhna Chahe To Bina Halalah Kiye Nahi Rakh Sakta.
Wazahat-
TALAQ Ke Saaf Alfaaz Kaha Jaise Tujhe Talaq Dee, 1 Ya 2 Baar Kaha To Ye TALAQE Raj’ee Hai, Aisi Surat Me Biwi Ko Wapas Rakhne Ke Liye Bosa Liya Ya Akele Me Mulaqat Ki Ya Kaha Mai Ne Tumhe Wapas Liya To Nikah Baqi Rahega. Han Behtar Hai Ki Jab WAPAS Lena Ho To Kam Az Kam 2 Gawah Zaroor Bana Le Ye Behtar Hai Aur Tohmaton Se Bachane Wala Hai. Aur Agar Wapas Na Lena Ho Chhodh Dena Ho To iddat Guzarne De Ab Wo Khud Bakhud Nikah Se Bahar Ho Jaygi.
TALAQ Ki Qisme’n Malum Hone Ke Bad Ye Bhi Malum Karna Chahiye Ki TALAQ Diya Kaise Jaye.?
Awwal To Be’wajhe Shar’ee TALAQ Dee Hi Na Jaye Lekin Jab Dena Ho To Behtar TARIQE Ko Apnaya Jaye,
TALAQ Dene Ke 3-TARIQE Hain.
=> AHSAN (احسن)
=> HASAN (حسن)
=> BID’EE (بدعی)
• TALAQE AHSAN (Sab Se Behtar TARIQAH) Haiz Ke Bad Paaki Ke Dinon Me Biwi Se Hambistari Na Kare Aur Eik TALAQ De Kar Chhod De, Iddat Puri Hone Par Biwi Khud Nikah Se Bahar Ho Jaygi…. Ab isme Option Ye Hai Ki Agar Usi Ko Rakhna Chahe To iddat Se Pehle Usse Rujoo Kare Ye Keh Kar Ki Tume Nikah Me Rakhta Hun, Ya Bosa (Kiss) Le Kar Ya Akele Me Mulaqat Kar Ke, Agar Iddat Puri Ho Gai To Ab Use Rakhna Chahta Hai To Biwi Se Naya (New) Nikah Naye Maher Par Kare, Agar Nahi Rakhna To Biwi Dusre Se Nikah Kar Sakti Hai.

• TALAQE HASAN (Behtar, Theek) Ye Hai Ki Haiz Aane Ke Bad Paaki Wale Dino Me Bina Hambistari Kiye Eik TALAQ De, Phir Dusri Baar Haiz Aaya Phir Paaki Ke Dino Me Bina Sohbat Kiye Dusri TALAQ De, Tisri Baar Bhi Paaki Ke Dino Me Bina Sohbat Tisri TALAQ De, Ab Biwi Nikah Se Bahar Ho Gai, Agar Use Rakhna Ho To iddat Ke Bad Halalah Ke Bina Nahi Rakh Sakta.
• TALAQE BID’EE (Bura Tariqah, Naya Tariqah) Ye Hai Ki Haiz Ki Halat Me TALAQ Dena, Ya Paaki Ke Dino Me 3-TALAQ EIK Sath Dena, Ya Paaki Ke Dino Me Sohbat Kiya Aur Phir TALAQ Dee.
(ماخوذ از- کتب فقہ حنفی)
Pehle Hum Ne TALAQ Ki Qisme’n Zikr Kee, Phir TALAQ Ka TARIQAH Bataya Jo Behtar TARIQAH Hai (TALAQE AHSAN) Uspe Amal Kiya Jaye ALLAH Na Kare Kabhi Aisa WAQT Aaye To.
TALAQ Ke Masayel is Qadar Hain Ki Uske Liye Achcha Khasa Daftar Chahiye, Ye Hamara Mauzu (Topic) Nahi Hai, Bas Ijma’lan Zikr Kar Diya, Mauzu Ki Munasibat Se, Taki is Kitab Ke Padhne Wale Ko Sahi Masle Ka ILM Ho, Ab Aaiye Apne Asal Mauzu Ki Taraf Ki 3- TALAQ Chahe Eik Sath De Ya 3 Tohar (Paaki) Me Wo 3 Hi Hai 1 Nahi Biwi Ko Shohar Bina Halalah Kiye Apne Nikah Me Nahi Rakh Sakta, Alhamdulillah is Par Ahnaaf Ka Mauqaf Quran O Sunnat Ke MUTABIQ O MAWAFIQ Hai,
Dalayel Mulahazah Farmayen.
ALLAH Pak Ne insano Me Kuch Rishte Aise Banaye Hain Jo insano Ke Todne Se Bhi Nahi Toot Te, Jaise Maa Baap Aur Aulad Ka Rishtah, Bhai Bhai Ka Rishta wagera, Aur Kuch Rishte insano Ne Khud Banaye Hain Aur Jab in Rishton Me Kadwahat Aajaye To ise Ahsan Tariqe Se Todne Ka Tariqah Bhi islam Me Maujood Hai, Jaise Miya Biwi Ka Rishtah Jo Nikah Ke Zarye Qa’im Hota Hai Aur TALAQ Ke Zarye Toot Jata Hai.
Yahudi (Israeli) Mazhab Me Shohar Jitni Baar Chahe TALAQ De Sakta Hai Aur Phir Usi Biwi Ko Rakhna Chahe To Rakh Sakta Hai Unke Yahan TALAQ Ki Koi Tehdeed (Had) Nahi, Aur Esai Mazhab Me To TALAQ Jayez Hi Nahi Hai, Jisse Eik Bar Shadi Ho Gai Ab Usi Ke Sath Puri Zindagi Guzarna Hai.
iske Bar’Khilaf islam Ne 1 Aur 2 TALAQ Ke Bad Biwi Ko Rokne Ka HAQ Diya Hai Jabki 3 TALAQ Dene Ke Bad Bina Halalah Kiye Wo Use Nahi Rakh Sakta, Chahe 3- TALAQ 3-Tohar (Paki Ki Halat) Me Dee Ho Ya 3 Haiz (Napaki Ki Halat) Me, Ya Eik Sath 3 Dee Ho, Bahar Haal Wo TALAQE MUGALLAZAH Hai Jisse Nikah Toot Gaya, Haan Ye Hai Ki Eik Sath 3-TALAQ Dena Sakht Mana Aur Bura Hai Jaisa Ki Hadise Pak Me Huzoor ﷺ Ka Irshad Maujood Hai.
• Hadees-E-Nabwi:
Huzoor ﷺ Tak Ye Khabar Paohchi Ki Eik Shakh Ne Apni Biwi Ko Eik Sath 3-TALAQ Dee, ise Sun Kar Aap Gusse Me Khade Huye Aur Ye Farmaya Ki ALLAH Ki Kitab Se Khel Karta Hai ? Halaki Mai Tumhare Andar Abhi Maujood Hun
{سنن النسائي، کتاب الطلاق، حدیث نمبر-٣٣٩٨}
3-TALAQ Eik Sath Dena Sakht Mana Aur Gunah Hai Lekin Koi De De To isme Kisi imam Ka Koi Ikhtelaf Nahi Ki Eik Majlis Ki 3 TALAQ 3 Nahi Balki Eik Hai, Huzoor ﷺ Ke Zamane Pak Se 7wi Sadi Hijri Tak is Masle Me Ahlesunnat Wa Jamat Ka Kabhi ikhtelaf Hua Hi Nahi, isme Yahudi Aur Shiyon Ke Baad Ikhtilaaf Karnewala Ibne Taimiyah Aur Uska Shagird ibne Qaiyyim Hai Jinhe is Masle Me Galat Raah Chalne Ki Bina Par Apne Shaher Se Maar Kar Nikala Gaya, Ab Ibne Taimiyah Ki Baasi Kadi Me Ubaal Aaj Kal Ke Angrezi Mujtahid Yaani Gair MUQALLIDEEN La Rahe Hain.
Huzoor Gause Pak Shaikh Abdul Qadir Jilani رضی اللہ تعالٰی عنہ Farmate Hain.
3 TALAQ Ke Bad Bhi Biwi Ko Rakhne Ka Riwaj Yahudiyon Me Hai Unse Ye Masla Rawafiz (Shiyon) Ne Liya.
(غنیة الطالبين، صفحہ نمبر-١٧٢}
Yahudiyon Aur Shiyon Ki Pairwi Karte Huye Gair MUQALLIDEEN Ne Bhi Eik Majlis Ki 3 TALAQ Ko 3 Manne Se inkar Kiya Aur Puri Ummat Ke 1450 Saala ijma Ko Thukra Kar Use 1-TALAQ Maana Aur Biwi Ke Nikah Me Baaqi Hone Ka Farman Jaari Kiya, Yaani Quran Ke MUTABIQ Ab Jo Aurat Bina Halalah Kiye Jayez Na Thi Use Haramah Ke Zarye in Angrezi Mujtahideen Ne Jayez Kiya.
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
جزاك الله خيرا…
              Keep Visiting & Sharing:    
              www.hamarenabi.in
• World’s Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat.
• Best Place To Learn Real Islam In The Light Of Quran Wa Hadees.
• Authentic References/Hawala/Daleel/Proofs From Top Islamic Books.
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
اٙشْھِدُ انْ لٙا اِلٙہ اِلْا الله وٙحْدٙہُ لٙا شٙرِیْکٙ لٙہُ وٙاٙشْھٙد اٙنْ مُحٙمْداً عٙبْدٙہُ وٙرٙسُوْلٙہُُ
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
صَلّی اللّہُ علَی النّبِی الاُمّیّ و آلِہِ
صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم
صَلوٰةً وَّ سَلَاماً عَلَیکَ یَا رَسُولَ اللّه
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
           Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
Sharing Is Caring… Stay Connected…
Please Don’t Edit The Post. Share As It Is And Help Us In Khidmate Deen.
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~

Related Articles

One Comment

  1. Asak 3 talaq dedi hai mere Bhai ne dekar 4 ya 5 saal ka waqfa hog aya aur phir us I se rishta hone jaraha hai Kay yeh jayaza hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!