Eid-E-Miladun Nabi
Juloos Nikaalne Aur Naare Lagaane Ka Suboot
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يارسول الله
الصــلوة والسلام عليك يارسول الله
Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,
Hamare Tamaam Readers Ko Jashn-E-Eid Miladun Nabi Mubarak Ho.
ALLAH Hum Sabko Habeeb-E-Khuda, Humare Aaqa Wa Maula, Tajdare Madina, Sallallaho Alaihi Wasallam Ke Sadqe Tufail Sachcha Wa Pakka Momeen Banaye Aur Miladun Nabi Ki Barkato Aur Rehmato Se Maalamal Farmaye.
Aameen
(Awwal Aakhir Durood)

Hadees Sharif Mai He Ke Mahboob-e-Kareem SallAllahu Alaihe Wasallam Hijrat Karke Madeena Sharif Tashreef Laaye To Ahle-Madeena-Tayyiba Ne Yu IstaqBaal Kiya Ke Mard Aur Auratey Makaano Ki Chato (Roofs) Par Chad Gaye Aur Nao-Jawaan wa Gulam Tabaqa Mukhtalif Raasto Mai Phail Gaya, Aur Wo Log Naare Lagaa Rahe The : Ya Muhammad Ya Rasoolullah, Ya Muhammad Ya Rasoolullah.
[Muslim Sharif,Jild-2,Safha-419]
[Muslim Sharif,Jild-2,Safha-419]
Is Hadees Mai Logo Ka Chato Par Chad Jaana Aur Har Taraf Phail Jaana Juloos Ki Mukammal Shakl He, Aur Risalat Ke Naare Noor-Un-Ala-Noor Hai Aur Aur Aesi Hadees Ka Saheeh Muslim Mai Manqool Hona Karam-Balaaye-Karam He.
Ek Aur Hadees Mai He Ke Hazrate Abdullah Bin Salaam RadiyAllahu Anho Farmate Hai Ke Jab Nabi Kareem SallAllahu Alaihe Wasallam Madeena Sharif Tashreef Laaye To Log Umad Pade Aur Mai Khud Bhi Un Mai Shamil Tha –
اِنْجَفَلَ النَّاسُ وَ كُنْتُ فِيْمَنْ اَتىٰ،
(Al-Wafa,Safha-253). Logo Ke Is Injafaal (Umad Kar Aa Jaane) Mai Juloos Ka Mukammal Huliya Maujood He.
اِنْجَفَلَ النَّاسُ وَ كُنْتُ فِيْمَنْ اَتىٰ،
(Al-Wafa,Safha-253). Logo Ke Is Injafaal (Umad Kar Aa Jaane) Mai Juloos Ka Mukammal Huliya Maujood He.
Ye Juloos Milad Ka Juloos Na Sahi Lekin Iman-Daari Se Bataaiye Ke Is Hadees Mai Milad Wagairah Ke Julooso Ka Waazeh Tareen Ishaara Maujood He Ke Nahi ??? Agar Sharaab Ki Hurmat Se Heroine Ki Hurmat Nikal Rahi He, Aur Agar Mukabbir Ke Suboot Se Loud-Speaker Ka Suboot Mil Raha He. Balke Fuqaha Ki ibaraat Mai Se Maamuli Sa Juzya Dastyaab Ho Jaane Se Bay-Shumaar Nayi Baato Ka Jawaaz Kheench Liya Jaata He, To Phir In Hadeeso Ke Hote Huwe Juloos-e-Milad Ke Jawaz Mai Kya Shak o Shubah Reh Sakta He.
Mahboob-e-Kareem SallAllahu Alaihe Wasallam Ne Har Somwaar (Peer) Ko Roza Rakh Kar Apni Ummat Ko Milad Ki Raah Par Daal Diya He. Al-batta Khud Apni Wiladat Par Juloos Nikaalna Aesi Cheez He Jis Mai Khud-Pasandi Aur Khud-Numaayi Paayi Jaati He Aur Nabi-Kareem SallaAllahu Alaihe Wasallam In Cheezo Se Paak He. Aese Kaam Gulaamo Ke Apne Karne Ke Hote Hai. Is Ki Bahut Si Misaale Shari’at Se Di Jaa Sakti Hai. Ek Waazeh Misaal Istaqbaal-e-Madeena Waali Ahaadees Hai. Madeenawaalo Ko Nabi-Kareem SallAllahu Alaihe Wasallam Ne Hargiz Ye Hukm Nahi Diya Tha Ke Mera Istaqbaal Aesi Shan-o-Showkat, Aese Khel, Naaro Aur Naat-Khwaani Se Karna. Gulamo Ne Az-Khud Iska BandoBast Kiya Aur Gulami Ka Haq Adaa Kiya Aur Karte Rahenge.
Jhande Lagaane Ka Suboot :
Safar-e-Hijrat Ke DauRaan Hazrate Bareeda Aslami RadiyAllahu Anho Apne 70 Saathiyo Ke HumRaah Musalman Huwe. Unhone Arz Kiya Ya Rasoolullah(SallAllahu Alaihe Wasallam) Aap Madeena Sharif Mai Jhande Ke Bagair Daakhil Nahi Honge. Phir Unhona Apna Imaama Khol Daala. Usey Apne Neze(Talwaar,Sword) Mai Baandha Aur Nabi Kareem SallAllahu Alaihe Wasallam Ki Sawaari Ke Aage-Aage Chalte Huwe Madeena Daakhil Huwe. Asl Alfaaz Ye He :
لَا تَدْخُلُ الْمَدِيْنَةَ اِلَّا وَمَعَكَ لَوَآئٌ فَحَلَّ عِمَامَتَه ثُمَّ شَدَّهَا فِىْ رُمْحٍ ثُمَّ مَشىٰ بَيْنَ يَدَيْهِ،
(Al-Wafa,Safha-247)

ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For Reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For Reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
Hamare Nabi
www.hamarenabi.in
World’s Best Islamic Blog
Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
www.hamarenabi.in
World’s Best Islamic Blog
Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi