Hadees-E-Nabwi

Firon Ki Qaum Par Azaab-E-Ilahi

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله
Hazrate Moosa عليه السلام  Ki Firouniyon Par Azaab Ki Dua Ke Baad ALLAH Ta’ala Ne Firouniyon Par Lagataar Paanch Azaabon Ko Musallat Farma Diya Woh Paanch Azaab Yeh Hain
1. Tufaan
Nagahan Ek Abr Aaya Aur Har Taraf Andhera Chaa Gaya Phir Zordar Barish Hoti Rahi Yahan Tak Ki Toofan Aa Gaya Aur Firouniyon Ke Gharon Me Paani Bhar Gaya. Aur Woh Khadey Reh Gaye Aur Pani Gardan Tak Aa Gaya Un Me Se Jo Baithey Woh Doob Kar Halaak Ho Gaye. Bawajood Iske Ke Bani Israeil Momineen Ke Ghar Firouniyon Ke Gharon Se Miley Huwey The Magar Bani Israeil Ke Gharon Me Sailaab Ka Pani Na Gaya Aur Woh Amn-o-Chain Ke Saath Rahe. Firouniyon Ne Hazrate Moosa عليه السلام  Se Arz Kiya Ki Aap Hamare Liye Dua Farmaiye Ki Yeh Musibat Tal Jaye Aur Phir Hum Iman Layenge. Hazrate Moosa عليه السلام Ne Dua Mangi Toh Toofan Tal Gaya Aur Zameen Aisi Sabzi Aur Shadabi Namudaar Ho Gayi. Khetiyan Bahot Shandar Hui, Phalon Ki Paidawar Beshumar Hui Dekh Kar Firouni Kehne Lagey Ki Yeh Toofan Ka Pani Toh Hamare Liye Bahot Badi Ne’mat Ka Saman Tha. Phir Woh Apney Ahad Se Fir Gaye Aur Imaan Nahi Laaye.
2. Tiddiyan
Kuch Waqt Tak Firouni Nihayat Aafiyat Se Rahe Lekin Jab In Ka Kufr Wa Takabbur Aur Zulmo Sitam Badne Laga Toh Allah Ta’ala Ne Apney Kahro Azaab Ko Tiddiyon Ki Shakal Me Bhej Diya Ki Chaaron Taraf Se Tiddiyon Ke Jhoond Ke Jhoond Aa Gaye Jo In Ki Khetiyan Aur Baaghon Ko Balki Yahan Tak Ki In Ke Makano Ki Lakdiyan Tak Khaa Gayi. Magar Bani Israel Ke Momineen Ke Khet Aur Baagh Aur Makanaat In Tiddiyon Ki Yalgaar Se Bilkul Mehfooz Rahe. Yeh Dekh Kar Firouniyon Ko Badi Ibrat Ho Gayi Aur Aakhir Is Azaab Se Tang Aa Kar Phir Hazrate Moosa عليه السلام  Ke Aagey Ahad Kiya Ki Aap Is Azaab Ke Dafa Hone Ki Dua Farma dein Toh Hum Log Zaroor Iman Le Aayenge Aur Bani Israel Par Zulmo Sitam Na Karenge. Chunanchey Aap Ki Dua Se Yeh Bhi Azaab Door Ho Gaya.
3. Ghoon
Phir Kuch Waqt Tak Firouni Nihayat Aafiyat Se Rahe Lekin Jab In Ka Kufr Wa Takabbur Aur Hazrate Moosa عليه السلام Aur Bani Israel Par In Ka Zulmo Sitam Badne Laga Toh Allah Ta’ala Ne In Logo Par “Kamal” Ka Azaab Musallat Kar Diya. Baaz Mufassireen Ka Bayan Hai Ki Yeh Yeh Ghoon Tha Jo In Firouniyon Ke Anajon Aur Phalon Me Lag Kar Tamam Gallon Aur Mewon Ko Khaa Gaya Aur Baaz Mufassireen Ne Farmaya Ki Yeh Ek Chota Se Kida Tha Jo Khetiyon Ki Tayyar Faslon Ko Chat Kar Gaya Aur Inke Kapdon Me Ghoos Kar In Ke Chamdey Ko Kaat Kaat Kar Inhein Tadpaney Laga. Yahan Tak Ki Inko Chechak Ke Rubaru Bana Diya. Yeh Kidey Inke Khaney Piney Ke Saman Me Ghoos Jaatey The Jiski Wajah Se Yeh Kuch Kha Pi Nahi Sakte The. Phir Yeh Hazrate Moosa عليه السلام  Ki Bargah Me Hazir Ho Kar Ahad Karne Lagey. Aap Ko In Par Rahem Aa Gaya Aur Allahعزوجل Ki Bargaah Me Dua Kar Di. Yeh Azaab Bhi Door Hua Aur Firouniyon Ne Apna Ahad Phir Todd Dala.

4. Mendak
In Firouniyon Ki Bastiyon Aur In Ke Gharon Me Achanak Beshumaar Mendak Paida Ho Gaye Aur In Zalimo Ka Yeh Haal Ho Gaya Ki Jo Aadmi Jahan Baithta Us Ki Majlis Me Hazaro Mendak Bhar Jaatey The. Koi Aadmi Baat Ya Khane Ke Liye Moonh Kholta Toh Us Ke Moonh Me Mendak Kood Ke Ghoos Jaatey. Haandiyon Me Mendak, Un Ke Jismo Par Mendak, Uthney Baithney Aur Leitney Ki Jagahon Par Mendak Suwaar Rehte. Is Azaab Se Firouni Ro Padey Aur Phir Rotey Gidgidatey Hazrate Moosa عليه السلام Ki Bargaah Me Dua Ki Bheek Mangney Ke Liye Aaye Aur Badi Badi Qasmein Kha Kar Ahad-O-Paimaan Karne Lagey Ki Ab Hum Zaroor Imaan Layenge Aur Momineen Ko Kabhi Izaa Na Denge. Chunanchey Hazrate Moosa عليه السلام Ki Dua Se Yeh Azaab Bhi Utha Liya Gaya. Magar Yeh Mardood Qaum Ne Rahat Miltey Hi Phir Apna Ahad Todd Diya Aur Phir Apni Khabees Harqaton Me Mashghool Ho Gayi.
5. Khoon
Ek Dum Bilkul Achanak Un Logo Ke Tamam Kuwon, Nehro Ka Pani Khoon Ho Gaya Toh Un Logo Ne Firoun Se Faryaad Ki, Toh Us Sarkash Ne Yeh Kaha Ki Yeh Hazrat Moosa عليه السلام  Ki Jadugari Hai Aur Nazar Bandi Hai. Yeh Sunkar Firouniyon Ne Kaha Ki Yeh Kaisi Aur Kahan Ki Nazar Bandi Hai? Ki Hamare Khaaney Piney Ke Bartan Khoon Se Bharey Padey Hain Aur Monimeen Par Is Ka Zara Bhi Asar Nahi. Toh Firoun Ne Huqm Diya Ki Firouni Log Momineen Ke Saath Hi Ek Hi Bartan Se Pani Nikalein. Magar Khuda Ki Shaan Ki Momineen Usi Bartan Se Pani Nikaltey Toh Nihayat Hi Saaf Saffaf Aur Sheerin Pani Nikalta Aur Firouni Jab Usi Bartan Se Pani Nikaltey Toh Taza Khalis Khoon Nikalta. Yahan Tak Ki Firouni Log Pyaas Se Be Qarar Ho Kar Momineen Ke Paas Aaye Aur Kaha Ki Hum Dono Ek Hi Bartan Se Moonh Laga Kar Ek Saath Pani Piyenge. Dono Pani Pitey The Magar Momeen Ke Moonh Me Pani Jata Aur Firouni ke Moonh Me Khoon. Majboor Ho Kar Inhone Ghaas Aur Darakhton Ki Jadd Ko Chaba Chaba Ka Ras Choosa Magar Woh Moonh Me Jaatey Hi Khoon Ban Jata. Phir Yeh Log Ahad Le Kar Hazrate Moosa عليه السلام  Ki Bargaah Me Hazir Huwey. Aap Ne Rehem Farma Kar Allahعزوجل Ki Bargaah Me Dua Ki Aur Yeh Paanchwa Azaab Bhi Utha Liya Gaya.
Firouniyon Par Yeh Paanch Azaab Ek Ke Baad Ek Lagatar Aatey Rahe. Aur Ahad Karne Baad Yeh Phir Apney Ahad Se Palat Jaatey Aur Hazrate Moosa Aur Momineen Ko Takleefein Detey. Aakhir Kaar Allah Ta’ala Ka Aakhiri Azaab Aa Gaya Ki Firoun Aur Uske Log Sab Darya Nil (Nile River) Me Gark Ho Kar Halaak Ho Gaye Aur Hamesha Ke Liye Khuda Ki Duniya In Ahad Shikano Aur Mardudon Se Paak Ho Gayi Aur Yeh Log Duniya Se Is Tarah Nasto Nabud Kar Diye Gaye Ki Roo-E-Zameen Par In Ki Qabron Ka Nishana Bhi Baaki Na Raha.
Quran-E-Majeed Ne In Mazkoora-E-Bala Paachon Azabon Ki Tasweer Kashi In Alfaaz Me Farmayi Hai.
Tarjuma-E-Kanzul Imaan:
Toh Bheja Hum Ne Un Par Tufaan Aur Tiddi Aur Ghoon (Ya Kilni Ya Jooyein) Aur Mendak Aur Khoon Jooda Jooda Nishaniyaan Toh Unhone Taqabbur Kiya Aur Woh Mujrim Qaum Thi Aur Jab Un Par Azaab Padta Kehte : Ae Moosa ! Hamare Liye Apney Rabb Se Dua Karo Us Ahad Ke Sabab Jo Us Ka Tumhare Paas Hai Beshak Agar Tum Hum Par Se Azaab Utha Dogey Toh Hum Zaroor Tum Par Imaan Layenge Aur Bani Israel Ko Tumhare Saath Kar Denge Phir Jab Hum Unse Azaab Utha Letey Toh Ek Muddat Ke Liye Jis Tak Unhein Pahochna Hai Jabhi Woh Fir Jaatey Toh Hum Ne Unse Badla Liya Toh Unhein Darya Me Doobo Diya Isliye Ki Hamari Aayatein Jhootlatey Aur In Se Be Khabar The.
(Al Qur’an : Surah Al Aa’raf : Ayat 133-139)
Ref.
(Tafseer ul Sawi, Jild 2 , Safha 803, Parah 9 , Al Aa’raf  133-136
Ajaibul Quran (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha : 97-102)
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For Reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
         Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!