Hadees-E-Nabwi
ALLAH Ta'ala Ko Cheenk (Sneez) Pasand Hai
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يارسول الله
الصــلوة والسلام عليك يارسول الله
Baaz Log Cheenk Ko Badd Shaguni Samajhte Hain. Agar Kisi Kaam Ke Liye Jaatey Waqt Khud Ko Ya Kisi Aur Ko Cheenk Aa Gayi Toh Log Yeh Badd Faali Letey Hain Ki Yeh Kaam Nahi Hoga. Yeh Bahot Badi Jahalat Aur Be Aqali Ki Daleel Hai.
Aa’la Hazrat Mujaddid-E-Deen-O-Millat رحمة الله تعالي عليه Ne Farmaya : Cheenk Achchi Cheez Hai, Isey Badd Shaguni Jaanna Mushriqeen-E-Hind Ka Napaak Aqeeda Hai.
Hadees Me Hai Aur Hazrate Umar bin Al-Khattab رضي الله تعالٰی عنه Ka Qaul Hai Ke “Baat Ke Waqt Cheenk Aadil Gawah Hai” Yani Jo Kuch Bayan Kiya Jata Ho Jis Ka Sidq Wa Kizb (Yaani Sachcha Aur Jhoota Hona) Maloom Nahi Aur Us Waqt Kisi Ko Cheenk Aaye Toh Woh Is Baat Ke Sidq (Yani Sachcha Hone) Par Daleel Hai.
Aur Yeh Aaya Hai Ki Dua Ke Waqt Cheenk Aana Daleel-E-Qubool Hai.
Garaz Cheenk Mahboob Cheez Hai Magar Woh Ki Hadees Me Hai Ki Jab Namaz Me Aaye Toh Shaitan Ki Taraf Se Shumaar Farmaya Hai.
Aur Yeh Aaya Hai Ki Dua Ke Waqt Cheenk Aana Daleel-E-Qubool Hai.
Garaz Cheenk Mahboob Cheez Hai Magar Woh Ki Hadees Me Hai Ki Jab Namaz Me Aaye Toh Shaitan Ki Taraf Se Shumaar Farmaya Hai.
Allama Abdul Mustafa Aa’zmi رحمة الله تعالي عليه Likhtey Hain Ab Ghaur Karo Ki Jab Cheenk Ko Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ne Shaahid-E-Adal (Yani Aadil Gawaah) Ka Laqab Diya Toh Phir Bhala Cheenk Manhoos Aur Badd Shaguni Ka Saaman Kaise Ho Sakti Hai? Is Liye Logo Ko Is Aqeedey Se Tauba Karni Chahiye Ki Cheenk Manhoos Aur Badd Faali Ki Cheez Hai.
Khudawandey Kareem Musalmano Ko Itteba-E-Sunnat Aur Pabandi-E-Shairat Ki Taufeeq Bakhshey. Ameen
Ref.
( Bukhari, Jild:4, Safha:163, Hadees :6226
Sunan Abi Dawud : Hadees 5028
Book ref. 43, Hadees 256
Eng ref. : Book 42, Hadees 5010
Jami` at-Tirmizi : Vol. 5, Book 41, Hadees 2748
Arabic ref. : Book 43, Hadees 2972
Jami` at-Tirmizi : Vol. 5, Book 41, Hadees 2748
Arabic ref.: Book 43, Hadees 2972
Jannati Zewar : Safha 431
Malfuzaat : Safha 319-322
Badd Shaguni (Hindi), Maktabatul Madina – Hind, Safha : 60-61
Zawadar Usool , 2/774, Hadees 1064
Kanz’ul’Umaal, 9/69 , Hadees 25533
Al Mu’jam Al Kabeer, 22/336 , Hadees 843)
( Bukhari, Jild:4, Safha:163, Hadees :6226
Sunan Abi Dawud : Hadees 5028
Book ref. 43, Hadees 256
Eng ref. : Book 42, Hadees 5010
Jami` at-Tirmizi : Vol. 5, Book 41, Hadees 2748
Arabic ref. : Book 43, Hadees 2972
Jami` at-Tirmizi : Vol. 5, Book 41, Hadees 2748
Arabic ref.: Book 43, Hadees 2972
Jannati Zewar : Safha 431
Malfuzaat : Safha 319-322
Badd Shaguni (Hindi), Maktabatul Madina – Hind, Safha : 60-61
Zawadar Usool , 2/774, Hadees 1064
Kanz’ul’Umaal, 9/69 , Hadees 25533
Al Mu’jam Al Kabeer, 22/336 , Hadees 843)
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For Reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For Reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
Hamare Nabi
www.hamarenabi.in
World’s Best Islamic Blog
Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
www.hamarenabi.in
World’s Best Islamic Blog
Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi