Khaaq-E-Karbala: Imaam Hussain Radiallahu Anhu Ki Hayat-E-Mubarak
Part: 6
“Maani Gai Jahan Me Qayadat Hussain Ki,
Afzal Hai imamo Me imamat Hussain Ki,
Darje Tamam Unpe Shahadat Ke Khatm
Hai,
Kis Shaan Se Hui Hai Shahadat Husain Ki,
Neze Pe Sar Hai Aayate Qura’n Labon Pe
Hai,
Dekhi Hai Kul Jahan Ne ibadat Hussain Ki,
Goonji Nidaye Marhaba Arshe Azeem Par,
Dekhi Jo Karbala Me Shuja’at Hussain Ki,
Shimr-O-Yazeed Ka To Koi Bhi Nisha’n
Nahi,
Qayam Magar Hai Ab Bhi Khilafat Husain Ki.”
Aap Ka Naam E Paak Husain Aur Qunniyat Abu Abdulllah Hai Aur Laqab Jhaki,Saheede Akbar Aur Tayyeb Hai ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ ….
Ibne Maja Sharif Safa No. 289; Miskat
Sharif Page No. 572 Me Hai Ki 🏻
Hazrat Ummul Fazl ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ
Farmati Hai Ki Mai Huzoor ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ki Khidamat Aqdas Me Hazir Hui Aur Arz Kiya “Ya RasoolAllah ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Aaj Raat Maine Bahut Khufnaak Khwab Dekha Hai”
Nabi-E-Kareem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne
Farmaya Ki “Woh Kya Khwab Hai”
Mai Ne Arz Ki “Ya NabiAllah ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Woh Bahut Hi Bhayanak Hai”
Nabi-E-Kareem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne
Farmaya “Woh Kya Hai???”
To Hazrat Ummul Fazl ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ne Arz Ki..
“Ki Mai Ne Dekha Aap Ke Jism-E-Aqdas Ka Tukda Meri Aaghos Me Rakha Gaya Hai”
To Sayyed Ul Mursaleen ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Farmaya “Ki Tum Ne Accha Khwab Dekha ﺍﻧﺸﺎﺀ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ Meri Beti Fatema ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ke Ghar Ladka Paida Honga” Aur Phir Ummul Fazl Farmati Ki “Waqai Sayyeda Fatema ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ke Ghar Hazrat
Imam Husain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Paida Hue Aur Woh Meri Aaghos Me Aaye”
Phir Nabi-E-Karem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne
Farmaya Ki Mere Paas Hazrat Jibra’il ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Aaye Aur Mujhe Khabar Di Ki
Ankareeb Meri Hi Ummat Mere Is Bachche Hussain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Saheed Karegi”
Hazrat Ummul Fazl ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ
Farmati Hai Ki Maine Arz Ki
“Ya RasoolAllah ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Is
Bachche Ko???” To Huzoor ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Farmaya
“Haan!!! Is Bachche Ko”…
Aur Jibarail ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Ne Makam Shahadat Ki Surkh Mitti Bhi La Kar Mujhe Di Hai. Aap Imam Husain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ki Wiladate Ba’Sa’adat Par Jibra’il ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ ALLAH Ki Taraf Se Mubarak Baad Bhi Laye Aur Saath Hi Izhare Gum Bhi Kiya Sayyed Ul
Mursaleen ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Imam-E-Hussain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Gale Mubarak Ko Chum Rahe The…
Jibara’il ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Ne Aabdidah Ho Kar Arz Ki Aye Maheboob-E-Khuda ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Aap Jis Gale Ko Badi Muhabbat Se Chum Rahe Hai Us Gale Par Khanjar Chalega Aur Aap Ka Ye Bachcha ALLAH Ki Raah Me Saheed Honga Aur Ye Hai Us Jagah Ki Surkh Mitti….
Sayyeda-E-Kayenaat Fatema Zahra ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ne Apne Abbu Jaan Ko Apne Bete Ka Gala Chumta Hua Dekha To Arz Ki Abba Jaan!!! Log To Apne Bete Ka Muh Chumte Hai, Peshani Chumte Hai Aur Sar Ka Bosa Dete Hai Aur Aap Mere Bete Husain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ka Gala Kyu Chumte Hai?
To Sayyed Ul Mursaleen ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ki Aakho Se Aasu Jari Ho Gaye Aur Farmaya
Beti!!!
Mujhe Woh Din Yaad Aa Gaya Jab Zalim Is Par Zulm Karege Aur Mere Is Hussain Ke Gale Par Talwar Chalayege…
Is Ke Baad Huzoor ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne
Farmaya Is Bachche Ka Naam Kya Rakha Hai?
Sher-E-Khuda ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ne Arz Ki ki Aaqa Is Ka Naam To Iske Nana Paak Hi Rakhege Abhi Nabi-E-Paak ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Khamosh Hi The Ki Jibra’il ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Hazir-E-Khidmat Hue Aur Arz Ki Ya RasoolAllah ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ALLAH Talah Ki Taraf Se Is Bachche ki Wiladat Ki Mubarakbaad Qubul Farmaiye Aur Phir Kaha Khuda Farmata Hai Is Bachche Ka Naam Hussain Rakha Jaye….
Kamliwale Aaqa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne
Hazrat Hussain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Kaan Me Azaan Kahi Aur Saath Hi Farmaya Hussain Ye Tere Nana Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ki Aawaz Hai Is Ki Laaj Rakhna… Imam Hussain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ne Aankh Kholi Aur Nana Ki Tarf Dekha Aur Nigah Se Nigah Mili To Imam Hussain Ne Yahi Jawab Diya Honga Ki Nana Jaan Aap Fiqr Na Kare
Agar Aawaz Aap Ki Hai To Kaan Bhi Hussain Ke Hai Aur Log To Masjido Me Qura’n Padhte Hai, Mimaro Par Qura’n Padhte Hai Aur Musallo Par Qura’n Padhte Hai Magar Nana Jaan Agar Waqt Aaya To Aap Ka Ye Hussain Neze Par Bhi Qura’n Padh Kar Sunayega….
Jab Tak Duniya Rahegi Imam Husain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ka Naam Zinda Rahega Is Liye Nahi Ki Woh Nawasa-E-Rasool ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Hai Is Liye Nahi ki Woh Jigar Ghos-E-Batool ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Hai Aur Is Liye Nahi Ki Woh Noor E Nigah-E-Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Hai Nawasa-E-Rasool Hona Badi Sa’aadat Hai. Jigar Ghos-E-Batool Hona Badi
Izzat Hai Lekin Imam Husain Ka Naam Is Liye Bhi Zinda Rahega Ki…
Unki Himmat Par Ali Sher-E-Khuda Ko Naaz Hai…
Us Nawase Par Muhammad Mustafa Ko
Naaz Hai!!!!
Sajde To Sab Ne Kiye Par Us Ka Naya Andaz Hai…
Usne Woh Sajda Kiya Jis Par Khuda Ko
Naaz Hai!!!!
Aur Khuda Ko Naaz Ho Bhi Kyu Na Masjid Me, Hujre me, ALLAH ALLAH Karna Aur Sajde Karna Aasan Hai Magar Jawan Bete Ki Laash Par Ghode Daudte Dekh Kar, Mazloom Asgar Ke Halaq Me Teer Pai’wast Hota Dekh, Abbas Ke Baazu Kalam Hote Dekh Kar Aaun-O-Muhammad Ki Laash Tadhpti Dekh Kar
Aur Phir Apne Jism Par Saikado Zakhm
Khane Ke Baad Karbala Ke Tapti Hui Ret Par Bargaah-E-Ilahi Me Sajda Karna Husain Hi Ka Kaam Hai…
( ﺭﺿﻮﺍﻥ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻬﻢ ﺃﺟﻤﻌﻴﻦ Wa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ
ﻭﺳﻠﻢ )
Reference:
Khaaq-E-Karbala
Musannif Allama Iftkhar Ul Hasan Sahab
Talib-E-Dua:
Muhammad Imran Razvi
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl Farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~