Muharram

Khaaq-E-Karbala: Ibne Ziyad Ka Zulm Aur Hazrate Haani Ki Shahadat

Part: 9
Jis Waqt Imam Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ
Kufa Me Qiyam Pazeer The Us Waqt Yazeed Ki Taraf Se Kufa Me Numan Bin Baseer Governer The Aur Chuki Woh Aasiqe Rasool ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Aur Muhibbe Ahele Bait The Aur Jante The Ki Yazeed Ki Shakhsi Huqumat Deen-O-Mazhab Ki Tabahi Ki Bais Hai Isliye Sab Kuch Apni Nigaho Se Dekhne Ke Bawajood Khamosh Rahe…
Yazeed Ke Hamiyon Ne Noman Bin Baseer Ko Ja Kar Kaha Ki Ye Jo Kuch Ho Raha Hai Yazeed Ke Mansha Ke Khilaf Ho Raha Hai. Awwal To Aap Imam Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ka Qatl Kar De Nahi To Giraftaar Zaroor Kar Le Aap Yazeed Ke Tankhwahdaar Mulazim Hai Is Liye Tamam Zimmedari Aap Par Aaid Hoti Hai. Yazeed Ke Gustakh Chelo Ki Ye Baat Sun Kar Numan Bin Baseer Ne Jawab Diya Ki Mulazimat Aur Chiz Hai Aur Aqidat Aur Chiz Mai Yazeed Ke Chand Tako Ke Badle Ek Hasmi Jawan Ka Khoon Baha Har Deen Wa Duniya Me Ruswa Nahi Hona Chahata Aur Ek Sayyed Ko Qatl Kar Ke Apni Aaqibat
Kharab Nahi Kar Sakta…
Yazeed Ke Tarafdaar Numan Bin Baseer Ka Ye Jawab Sun Kar Un Ke Dili Irado Ko Samaz Gaye Aur Fauran Ammar Bin Walid ko Yazeed Ke Paas Bhej Kar Use Tamam Halat Ki Ittelah Di Woh Ittelah Pate Hi Yazeed Ne Fauran Ubaidullah Ibne Ziyad Ko Jo Us Waqt Basra ka Wali Tha Huqm Bheja Ki Fauran Kufa Jao Aur Numan Ko Mazool Kar Ke Wahan Ki Baag Dor Apne Haatho Me Le kar
Muslim Bin Akeel ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko
Fauran Qatl Kar Do Aur Kufawalo Ko Hussain Ibn Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ki Bai’t Se Sakhti Se Roko Aur Jo Zarra Bhar Bhi Ta’ammul Kare Us Ka Sar Qalam Kar Do Ibne Ziyad Bada Hi Makkar Ayyar Aadmi Tha Yazeed ka Huqm Milte Hi Hakim-E-Kufa Ki Haisiyat Se Hijazi Libas Pahen Kar Aur Chahere Par Nakab Daal Kar Magrib Wa Isha Ke Darmiyan Usi Raaste Se Kufa Me Dakhil Hua Jis Raste Se Hijazi Kafile Aaya Karte The
Ibne Ziyad Ka In Makkariyo Se Matlab Ye Tha Ki Kufawale Husain Ibne Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Muntazir Hai Is Liye Raat Ke Andhere Me Mujhe Pahechan Nahi Sakenge Aur Is Tarah Mai Aasani Se Kufa Me Dakhil Ho Jaunga…
Chunache Aisa Hi Hua Kufawale Hazrat
Imam Aali Makam ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke
Muntazir To The Hi Hijazi Libas Aur Hijazi Raaste Se Aata Dekh Kar Ibne Ziyad Ko Na Pahechan Sake Aur Is Khusi Me Ke Hazrat Hussain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Aa Gaye Hai. Musaarrat Ke Nare Lagane Lage Aur Bulanda Aawaz Se Pukarne Lage….
MARHABB YA IBNE RASOOLALLAH ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ QADIMTA KHIRAM MAKDAMIN
Aap Ki Tasrif Aawari Ka Sukriya…..

Ubaidullah Badi Hi Khamoshi wa Sukoot Ke Saath Aahista-aahista Kadam Uthata
Chehere Par Naqab Daale Sidha Darul Imarat Ki Taraf Rawana Hua Hazrat Haani Jin Ke Ghar Imam Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Qiyam Pazeer The Raste Me Soch Rahe The Ki Agar Ye Humare Aaqa wa Maula Imam Husain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Hote To Is Kamoshi Wa Sukoon Ke Saath Na Aate Chahere par Naqab Na Hota Is Me Zaroor Koi Raaz Hai Aakhir Unhone Badi Zurrat-O-Dileri Ke Saath Haath Ke Ek Jhatke Se Ibne Ziyad Ke Chahere Se Naqab Khich Li Dekha To Woh Husain Ibne Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Bajaye Ubaidullah Ibne Ziyad Tha Aur Phir Pukar Uthe Aye Kufa Walo Tumhare
Imtehan Ka Waqt Aa Gaya Hai Ye To Ibne
Ziyad Hai….

Ye Sunte Hi Kufa Walo Ke Dil Laraj Gaye Aur Woh Hairan Rahe Gaye Lekin Ab Kya Kar Sakte The Aur Kya Ho Sakta Tha???
Ibne Ziyad Ki Makkari Kaam Aa Chuki Thi Aur Woh Kufa Walon Ko Dhoka De Chuka Tha Aur Woh Dhoka Kha Chuke The Haan Agar Kufa Wale Zara Si Bhi Jurrat Wa Himmat Se Kaam Lete Aur Apne Ahed Wa Paigam Par Qayam Rahete To Ibne Ziyad Tanha Tha Ya Us Ke Chand Ek Saathi Woh Mukable Ke Liye Tan Jate Aur Ibne Ziyad Ko Qatl Kar Ke Aainda Aane Wala Wahsatnaak Waqiyat Ke Zimmedari Se Subukdosh Hokar Mubarakbaad Ke Mustahiq Ban Jate Magar Woh Aisa Na Kar Sake Is Liye Ki Masiyat Yahi Thi Ki Islam Ke Baag Ko Ahele Bait Ke Khoon Se Sicha Jaye….
Ibne Ziyad Sidha Darul Imarat Phucha
Numan Bin Baseer Ko Yazeed ka Huqm
Nama Dikaya Aur Un Se Ye Kaha Ki Tum Ne Muslim Bin Aqeel ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Kufa Me Dakhil Karne Aur Bulane Me Madad Kar Ke Namak Harami Ki Hai Numan Ibne Baseer Ne Jawab Diya Ki Woh Zindagi Jo Batil Parsasti Me Guzre lanat Hai Aur Woh Maut Jo Haq Parsati Me Aaye Rahemat Hai Aur Mai Aisi Maut Ko Zindagi Par Tarjih Deta Hu….
Ibne Ziyad Ne Numan Bin Baseer Ko
Giraftaar Kar Liya Aur Raat Badi Be Karari Me Basar Ki Subah Ka Sitara Larazta Hua Namudaar Hua Phir Din Nikalte Hi Ibne Ziyad Ne Kufa Ki Jama Masjid Me Ek Jalsa Munaqit Kiya Aur Talwar Hawa Me Laherayi Aur Bola Mujhe Jo Jante Hai Woh To Jante
Hi Hai Aur Jo Nahi Jante Woh Jaan Le Ki Mai Ibne Ziyad Hu Aur Yazeed Ne Mujhe Yahan Ka Haqim Muqarrar Kiya Hai Aur Mujhe Malum Hua Hai Ki Tum Log Yazeed Ke Khilaf Ho Aur Husain Ibne Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Apna Khalifa Banana Chahte Ho Aur Muhje Ye Bhi Malum Hua Hai Ki Tum Ne Is Kaam Ke Liye Muslim Bin Akeel ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Kufa Bula Liya Hai Aur Woh
Yahan Pahuch Chuke Hai Aur Husain Ibne Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Bhi Aanewale Hai….
Khabardar Jis Ke Ghar Se Muslim Bin Akeel ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ki Aawaz Aayi Us Ghar Ko Mismaar Kar Diya Jayega Aur Jis Zuban Se Husain Ibne Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ka Naam Nikla Woh Jaban Khich Li Jayegi Aur Jo Haath Husain Ibne Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ki Bai’t Ke Liye Badhege Woh Haath Kaat Diye Jayege Aur Aaj Shaam Tak Muslim Bin Akeel ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Mere Hawale Kar Do Warna Kufa Me Qiyamat Barpa Kar Di
Jayegi.

Ibne Ziyad Ki Taqreer Se Kufawalo Ke Dil
Kaanp Gaye Aur Pansa Palat Gaya Aur Woh Log Jo Yazeed Ke Khilaf Bagawat Karne Ki Taiyyariyan Kar Rahe The Aur Aale Muhammad ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Saye Tale Yazeed Ki Gair Islami Huqumat Ka Takhta Palat Kar Khilafat-E-Ilahiya Ka Alam Buland Karne Ke Masware Kar Rahe The Aaj Ibne Ziyad Ke Kaher Wa Gazab Ke Samne Aise
Dabke Baithe The Jaise Samndar Ki Jhaag Aur Pani Ka Bulbula. Kufa Ki Jis Jama Masjid Me Kal Ahele Kufa Sham-E-Ahle Bait Par Yazeed Ke Khilaf Mar Mitne Ka Ahed Baand Rahe The Aaj Usi Jama Masjid Me Ibne Ziyad Ki Taqreer Sun Kar Kapne Lage Majma Mutashir Ho Gaya Aur Kufawalo Ne Saikdo Khat Aur Hazaro Kasid Bhej Kar Bulaye Hue Mua’zziz Mahemano Ka Saath Chod Diya….

Hazrat Haani Jalsa Se Uthe Raaste Me
Sochte Aate The Ki Kya Karu?
Agar Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko
Ibne Ziyad Ke Hawale Na Karu To Jaan Jati Hai Aur Agar Hawale Kar Du To Imaan Jata Hai Aur Saath Hi Chamnistaan-E-Nabuwat Ki Saakh Ka Ek Gul Mere Hi Haatho Tut Jayega. Aur Qayamat Tak Ki Aanewali Nasle Mujh
Par Fitkaar Bhejti Rahegi Aur Aakhir Unhone Faisla Kiya Ki Jaan Jati Hai To Jaye Magar Imaan Na Jaye Duniya Nahi Rahti Na Sahi Deen Rahe Jaye Aur Mai Kisi Bhi Surat Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Ibne Ziyad Ke Hawale Nahi Karunga….
Udhar Subah Se Le Kar Sham Tak Ibne Ziyad Ne Intezar Kiya Us Zalim Ka Khayal Tha Ki Hazrat Haani Dar Ke Mare Imam Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Mere Hawale Kar Denge Magar Shayad Woh Nahi Janta Tha Ki Ek Muslman Jab Haq Ka Saath Dene Ka Faisla Kar Leta Hai To Phir Aag Ka Dariya Bhi Kud Jata Hai…
Raat Hui To Ibne Ziyad Ne Apne Jasoos
Ma’akil Ko Kuch Rakam De Kar Aur Kasid Ka Libas Pahena Kar Hazrat Haani Ke Ghar Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ka Pata Lagane Ke Liye Bheja Woh Sidha Hazrat Haani Ke Ghar Aaya Aur Hazrat Haani Bhi Us Farji Jasoos Ke Dhoke Me Aa Gaye Aur Us Ko Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Paas Le Gaye Wapas Aa Kar Ibne Ziyad Ko Ma’akil Ne Saari Baat Bata Di Ki Muslim Bin Akeel ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Hazrat Haani Ke Ghar Hai Saari Raat Is Bad Bhakh Ne Be Chaini Me Guzari Aur Phir As-Subah Abhi
Mua’azin Ne Azan Buland Hi Ki Thi Ki Is
Zalim Ne Fauj Ke Ek Daste Ko Hazrat Haani Ki Giraftaari Ka Huqm Diya ki Hazrat Haani Ko Mere Paas Pesh Kiya Jaye….
Namaz Ka Waqt Ho Chuka Tha Ibne Ziyad Ka Ye Fauji Dasta Sidha Masjid Pahucha Idhar Hazrat Haani Ne Salam Phera Udhar Zalimo Ne Unke Pa’o Me Bediya Daal Di Aur Ibne Ziyad Ke Paas Le Aaye..

Hazrat Haani Ko Dekh Kar Us Zalim Ibne
Ziyad Ki Aatis-E-Gazab Bhadak Uthi Aur
Kadak Kar Bola…
O Namakharam! Kya Tu Ne Mera Kal Ka
Ailan Nahi Suna Ki Jis Ne Muslim Bin Akeel ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Panah Di Us Ka Qatl Kar Diya Jayega.
Hazrat Haani Ne Farmya
H”aan Suna Tha.”
Ibne Ziyad : “To Phir Tu Ne Khalifa Yazeed Ke Bagi Ko Hamare Hawale Kyu Nahi Kiya?”

Hazrat Haani : ” Is Liye Ki Mai Yazeed Ko
Khalifa Hi Tasleem Nahi Karta”

Ibne Ziyad : “To Phir Tumhara Khalifa Kaun Hai”?

Hazrat Haani : “Hussain Ibne Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ “

Ibne Ziyad : “Ye Kyu?”

Hazrat Haani : Is liye Ki Imam Hussain Na Sirf Ye Ki Haq Ka Namuna Hai Balki Ain Mumkin Hai Aur Yazeed Na Sirf Ye Ki Batil Parast Hai Balki Ain Batil Hai”

Ibne Ziyad “Khabardaar, !!!! Mai Ameer Ul
Momineen Yazeed Ke Khilaf Aisi Gustakhi Sun Nahi Sakta”

Hazrat Haani : “Ye Zuban Kaati To Ja Sakti Hai Lekin Haq Goyi Ke Liye Roki Nahi Ja Sakti”

Ibne Ziyad : “Tumhari Gardan Utar Li Jayegi”

Hazrat Haani : “Meri Is Gardan Ko Juda To Kiya Ja Sakta Hai Lekin Batil Ke Aage Jhukayi Nahi Ja Sakti”

Ibne Ziyad : “Ab Bhi Agar Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Mere Hawale Kar Do To Tumhe Muaf Kiya Ja Sakta Hai”

Hazrat Haani : “Mai Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Ek Khoonkhwaar Bhediye Ke Hawale Kar Ke Aakhri Waqt Apna Naama-E-Aamal Siyah Nahi Kar Sakta Aur Tum Jaise Duniya Ke Kutte Ke Aage Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Pesh Kar Ke Qiyamat Ke Din Darbare Nabuwwat Me Ruswa Nahi Hona Chahata”

Ibne Ziyad : “To Phir Marne Ke Liye Tayyar Ho Jao”

Hazrat Haani : “Ye Maut Nahi Zindagi Hai, Fana Nahi Baqa Hai Aur Tu Bhi Yaad Rakh Jab Qiyamat Ke Din Tujh Se Hisab Liya Jayega To Khoon-E-Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ka Tere Paas Koi Jawab Nahi Honga Ab Bhi Waqt Hai Apni Aakho Se Gaflat Ke Parde Utha Kar Dekh Aur Gaur Kar Ki Tu Kis Ke Khoon Ka Pyasa Hai Us Ka Jurm Kya Hai. Uth Aur Haq Ka Daman Tham Le Chal Aur Muslim Ke Daman Se Lipat Ja”

Ibne Ziyad : “Mai Ne Tujhe Waaz Ke Liye
Nahi Bulaya”

Hazrat Haani : “To Mai Bhi Batil Ke Aage
Jhukne Ke Liye Nahi Aaya”….

Ibne Ziyad Hazrat Haani Ki Is Haq Goyi Se Bhadak Utha Aur Apna Asa Hazrat Haani Ke Sar Par De Maara Us Faqeere Ahele Bait Ka Sar Fat Gaya Khoon Ke Fawwaare Bahe Nikle Aur Phir Jallad Ne Ibne Ziyad Ke Ishare Se Talwar Ke Ek Waar Se Un Ka Sar Tan Se Juda Kar Diya….
Inna Lillahi wa Inna Ilaihi Rajioon.

Reference:
Khaaq-E-Karbala
Musannif Allama Iftkhar Ul Hasan Sahab
Talib-E-Dua:
Muhammad Imran Razvi

ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl Farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!