Khaaq-E-Karbala: Do Shehzade Imaam Hasan-O-Hussain Radiallahu Anhu Ka Maqaam Aur Shaan
Part: 4
Do Sahezade ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻬﻤﺎ Nabi ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Noor Ul Ain Ali Ke Dil Ke Chain Aur Fatema Ke Hasan-O-Hussain ﺭﺿﻮﺍﻥ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻬﻢ ﺃﺟﻤﻌﻴﻦ Ek Ka Libas Sabz Aur Dusre ka Surkh Ek Ne Zaher Ka Pyala Piya Aur Dusre Ne Jaam-E-Shahadat Noosh Farmaya Ek Ne Zaher Pee Kar Khuda Ka Shukr Ada Kiya Aur Dusre Ne Nejhe Par Chad Kar Qura’an Padha Ek Ne Apni Khilafat Ka Taaj De Kar Islam Ko Fitna Aur Fasad Se Bachaya Aur Dusre Ne Apna Sab Kuch Qurbaan Kar Kar ke Islam Ki Aabru Bachayi Na Is Ki Misal Hai Na Is Ki Nazeer Aur Sach To Ye Hai Ki Agar Imam Hasan Deen-O-Shariat Ki Pabbandi Aur Ahele Bait-E-Ath’ar Ki Izzat-E-Shart Par Apni Khilafat Ka Taaj Sakhawat Ke Taur Par Hazrat Ameer Mua’awiya ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Sar Par Na Rakhte Aur Agar Imam Hussain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Karbala Ke Maidan Me Apne Baal Bachcho Ki Qurbani De Kar Aur Ali Akbar Ki Jawani Aur Ali Asgar Masumiyat Raahe Haq Me Lutakar Khud Bhi Nejhe Par Na Chadte To Aaj Na Kabe Ka Tawaf Hota Na Masajido Me Azaane Na Musallo Par Namaze Hoti Na Mimbaro Par Qura’an Padha Jata…… ﺭﺿﻮﺍﻥ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻬﻢ ﺃﺟﻤﻌﻴﻦ
✒ Tirmazi Sharif ,Jild: 2, Safa 219; Miskat
Sharif,Safa No.17 Me Hai 🏻
Hazrat Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Farmate Hai Ki Hasan ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Seene Se Le Kar Sar Tak Nabi-E-Kareem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Musabah The Aur Hazrat Hussain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Seene Se Le Kar Paao Tak Rasool-E-Kareem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Musabah The Goya Dono Ko Khada Karo To Mukammal Shabi-E-Mustafa ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ The. Aur Yahi Wajah Thi Ki Sahaba-E-Kiram ﺭﺿﻮﺍﻥ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻬﻢ ﺃﺟﻤﻌﻴﻦ Ka Dil Chahata To Dono Sahezado Ko Khada Kar Ke Nazara-E-Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Kar Lete…
✒Tirmazi Sharif, Jild No.2 Safa No.
218;Miskat Sharif Page No. 570 Me Hai
🏻
Hazrat Usama Bin Zaid ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ
Farmate Hai Ki Raat Me Mai Nabi-E-Kareem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ki Khidmat-E-Aqdas Me Kisi Kaam Ke Liye Hazir Hua To Rasool Aqram ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Bahar Tasreef Laye Aur Aap Chadar Me Koi Chiz Lapete Hue The Jise Mai Nahi Janta Ki Woh Kya Chiz Thi Aur Phir jab Mai Apne Kaam Se Farig Ho Gaya To Mai Ne Arz Kiya Ya RasoolAllah ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Is Chadar Me Kya Lipta Hua Hai Pas Aap Ne Chadar Uthayi To Andar Se Hasan-O-Hussain ﺭﺿﻮﺍﻥ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻬﻢ ﺃﺟﻤﻌﻴﻦ Nikale Aur Phir Nabi-E-Kareem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Farmaya Ki Ye Meri
Beti Ke Bete Hai Phir Huzoor ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Ne Ye Dua Farmayi Ki
“Aye ALLAH Mai In Dono Se Muhabbat Karta Hu Tu Bhi In Ko Maheboob
Rakh Aur Jo In Se Muhabbat Rakhta Hai Tu Us Se Bhi Muhabbat Rakh”…
✒Nujahatul Majalis Jild-2 Safa No. 233 Me Hai Ki 🏻 Ek Din Nabi-E-Kareem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Apni Beti Hazrat Fatema ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ke Ghar Tasrif Laye To Sayyed-E-Kaunain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ne Arz Kiya Ki Abba Jaan. Aaj Subah Se Mere Dono Sahezade Hasan-O-Hussain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻬﻤﺎ Gum Hai Aur Mujhe
Kuch Pata Nahi Ki Woh Kahan Hai Abhi
Huzoor ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Ne Koi Jawab Nahi Diya Tha Ki Hazrat Jibarail ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Fauran Hazir-E-Khidmat Hue Aur Arz Kiya Ya RasolAllah ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Hazrat Zuhara Se Farma Do Ki Parshan Na Ho Dono Sahezade Falan Makam Par Lete Hue Hai Aur ALLAH Ta’ala Ne Un Ki Hifazat Ke Liye Ek Farishta Muqrrar Kar Diya Hai Pas Huzoor ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Us Makam Par Gaye To Dono Sahezade
Aaram Kar Rahe The Aur Fariste Ne Ek Par Niche Aur Dusra Par Upar Rakha Hua
Tha…
✒Miskat Sharif, Safa No.570; Tirmazi
Sharif, Jild 2 Safa No. 218 Me Hai 🏻
Hazrat Abu Saeed ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ
Farmate Hai Ki Nabi-E-Kareem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Farmaya..
Ki Hasan Wa Hussain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻬﻤﺎ Jannat Ke Naujawano Ke Sardar Hai Aur Hazrat Abdullah Ibne Umar ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Farmate Hai ki Huzoor ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Farmaya Ki Hasan-O-Hussain Mere Do Phool
Hai…
Ek Din Dono Sahezade Kusti Ladh Rahe The
Aur Imam Ul Ambiya ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ
Paas Baithe Hue Dekh Rahe The Aur Hazrat Hasan Ko Farma Rahe The.
Beta Hasan!!!!
Hussain Ko Yahan Se Pakdo Wahan Se
Pakdo…
Sayyeda-E-Do Jahan ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ne Arz Ki Abba Jaan Aap Hasan Ko Hi Daaw Bata Rahe Hai To Nabi-E-Kareem ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Ne Farmaya Ki Hussain Ki Taraf Jibarail ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Hai….
Reference:
Khaaq-E-Karbala
Musannif Allama Iftkhar Ul Hasan Sahab
Talib-E-Dua:
Muhammad Imran Razvi
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl Farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~