MuharramYazeed Murdabaad

Yazeed Laanti Kyu Part-3

“Yazeed Laanti Kyu?
PART 3
Yazeed ki Haqeeqat Hadith Aur Tareekh Ki Roshni Me.
Allama Ibn-e-Aseer Likhte Hain:
“Hazrat-e-Mawiyah Ne Ek Laskar Tayyar Kiya 50 Hijri Me.
UsKe Ameer Hazrat Sufiyan Bin Aaouf Ko Banaya Aur Yazeed Ko Bhi Ghazwah Me Shamil Hone Ke Liye Kaha Mager Us Ke Heele Bahane Se Woh Ruk Gaya,
Jub Phele Lashkar Room Phoncha To Wahan Ayse Mouliq (jaan lewa) Bemari Ho gayi,
Ye Baat Hazrat-e-Mawiyah Ko Pata Chali,
Yazeed Ne Khush Hokar Kuch Ash’ar Parhe”
Ash’ar Ye The:
“Mujhe Parwah Nahi Ke In Lashkaroun Par Bukhar Aur Tangi-o-Takleef Ke Balain Aa padein,
Jab K Mai Der Meran Ounchi Masnad Par Takiya Laga Kar Baitha Hu Umaiye Kulsoom Ko
Apne Pass Liye Betha Hun”
Ye Ash’ar Ameer-e-Mawiyah Tak Phounche To Unho Ne Qasam Khai Ke Ye Taqleef Is Ko Bhi Honi Chahiye.
Umaiye Kulsom bint-e-Abdullah Ibn-e-Amir Yazeed Ki Biwi Thi….
Reference.
Ibne Aseer: jild 3 page no 189.
Yazeed Ko Raah-e-Khuda Me Jihad Karne Ka Koi Shauq Na Tha Balkey Ameer Mawiya Ke Hukum Par Jihad Kiya..
Ameer Mawiya Ne Bator Saza Us Ko Bheja Tha Woh To Shair,
Ayashi, Aur Umme Kulsom Ke Sath tha…..
HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAH ANHO KA MUQAM AUR SHAHADAT KI KHABAR PER MUSHTAMIL CHAND AHADEES PAISH HAIN IS K BA’D TAREEKH KI STUDY KARTE HAIN..
یا اللہ تو بھی حسین سے محبت کر
Ya ALLAH tu bhi Hussain se mohabbat kar
HADEES
Hazrat abu Hurera radi Allah anho se riwayat hai ke maine Rasoolallah Sallallahu alaihe Wasallam ko dekha. 
Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne hazrat Hussain Radiallahu Anhu ko uthhaya hua tha aur ye farma rahe the:
“Aye ALLAH mai is (hussain) se Mohabbat karta hoon tu bhe is se mohabbat kar.  
Reference.
Al’mustadrak al’haakum,jild 3 page no 177.
HADEES…
Rasoolallah Sallallahu alaihe Wasallam ne Farmaya:
“Hussain mujh se hai aur mai hussain se hoon, 
ALLAH us shakhs se mohabbat karta hai jo Hussain se mohabbat karta hai.
Reference.
Jamiya Tirmizi jild 2 page no 219.
HADEES….
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne Hussain bin Ali radi Allah Anhuma ke bare me farmaya:
“Jisne is se mohabbat ki usne mujh se mohabbat ki”
Reference.
Al’majum al’kabeer, 3, hadees no 2643..
HADEES.
Hazrat Ayesha radi Allah anha se riwayat hai ke:
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
“Jibrail-e-Ameen ne mujhe khabar di ke ye mera beta hussain mere ba’d muqam-e-ta’f me qatal kar diya jaega.
Reference.
Al’majum al’kabeer,107/3, hadees 2814)
HADEES.
Aap ki Ummat Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ke is bete hussain radialatalaanhu.
ko us sar’zameen par qatal kar degi jis ko karbala kaha jata hai..
Reference.
Al’majum al’kabeer, 109/3, hadees 2819.)
HADEES….
Ummul mo’maneen hazrat ummay salma radi Allah anha se marwi hai ke:
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
“Hussain bin Ali ko 60 Hijri ke Akhir me shaheed kar diya jaey ga.
Reference.
Tabrani fil awsat, 190/9)
HADEES.
Hazrat abu Hurera Radi Allah Anho Aksar dua farmaya karte the:
“Aye Allah mai 60 Hijri ki ibtada aur (gawar) larkoon ki hakoomat se teri panah chahta hoon.
Reference.
Al’sawaiq al’harqa,221. 
HADEES:-
Aal-e-Muhammad Sallallahu alaihe Wasallam ka Ek groh is maidan (karbala) me shaheed hoga jis per zameen-o-aasman roeengay.
Reference.
Al’khasais al’kubra, 126/2,)
Sar ash’shahadateen, 13.
HADEES:-
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
“Jisne in (Hassan aur hussain) donoon se mohabbat ki us ne mujh se mohabbat ki aur jis ne in donoon se bughaz rakhha us ne mujh se bughaz rakhha.
Reference.
Al.Bidaya wan’Nahaya, vol 8, page 262.
HADEES
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
“Hassan aur Hussain Radi Allah Anhuma Naw’jawanane jannat ke sardar hain.
Reference.
Al.Bidaya wan’nahaya vol 8, page 263.
  مختصر قصّہ کربلا 
SHORT DESCRIPTION OF KARBALA
  
HADEESE:-
Quraish ke hathoon halaqat
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ko farmatay suna ke mera beta yani Hazrat Hussain arz-e-karbala me qatal hoga aur tum me jo shakhs us mauqay par maujood ho wo us ki madad karay.
Reference.
Al.Bidaya Wan’nahaya Vol 8, Page255.
Hazrat abu hurayra radi Allah anho se riwayat hai ke Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya ke 
“Meri Ummat ki halakat Quraish ke ladko ke hathoon hai.
Reference.
Mishkaat musabeh, vol 3, page 8,
5153,ba’hawala sahih bukhari.
Quraish aur bani Ummiya…
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya: 
“Ye amer hamesha insaaf-o-ehtadaal ke sath qaiym rahega, 
Hatta ke banu ummayya ka aik shakhs issay tod de ga….
SUNNAT BADALNE WALA..
HADEES:
Aur baihaqi ne awful ahrabi ke tareeq se an abi khalda, an abil aalia, an abi zar riwayet ki hai, 
wo bayan karte hain ke maine Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ko farmate suna ke bila’shuba meri sunnat ko badalne wala pehla shakhs bani umya se hoga.
Ye hadees abul aaliya aur abu zar ke darmiyan munqatah hai.
Aur baihaqi ne abu ubaida ki mutaqadim  hadees se issay tarjeeh di hai,
woh  bayan karte hain ke shak parta hai ke ye shakhs Yazeed bin Muawiya bin abi sufiyan hai. 
Wallahu Aalamu…
Reference.
Al.Bidayah wan’nahaya Vol 6, Page 310…
Hadees:
Ro’yai ne apni musnad me abu darda se riwayet kiya hai ke maine Nabi Pak Sallallahu Alaihe Wasallam se suna ke sab se pehle bani umayya ka aik shakhs yazeed naami meri sunnat ko badlay ga…
Reference.
Tareekh-ul-Khulafa Page 300)
HADEES:-
Ubaid Bin Jarrah Farmate Hain:
“Rasool Allah Ne Farmaiya:
“Meri Ummat Ka Mamla Adal-o-Insaf Par Qaim Hoga.
Yahan Tak Ke Rakhna Andazi Karne Wala Shaks Bani Ummaiyah Se Hoga Aur Naam Us Ka Yazeed Hoga”
Reference.
(Majma Alzawaid:5/241)
(Tareekh Ul Khulafa Arabi Syouti:142.)
Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~
Yazeed Mardud Murdabaad..
Yazeed Par Aur Uske Chahnewale Faasiqo Par ALLAH Ki Beshumar Laanat Ho.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!