MuharramYazeed Murdabaad

Yazeed Laanti Kyu Part-2

Yazeed Laanti Kyu?
PART 2
Yazeed ki Haqeeqat Hadith Aur Tareekh Ki Roshni Me.
Sab se pehle lashkar me kaun tha aaeye Tareekh padhte hain.
YAZEED SAB SE PEHLE LASHKAR ME TO NAHI THA???
Qaisar ka sheher koi bhi ho sakta hai. 
Missal ke taur par Qabras, Rome Qustuntuniya ye sab qaisar ki badshahi me ate thy. 
Is me kisi khaas sheher ki taraf ishara nahi kiya gaya balke qaisar ke sheher par hamla karne ka farmaya Kiya. 
Jaise 27 hijri me ameer muawiya radi Allah anho ne qaisar ke sheher qabras per behri hamla kiya. 
Ab ayein dekhte hain qaisar ke sheher par hamlay hone ki Tareekh.
اب آئيے دیکھتے ہیں کہ قیصر کے شہر پر حملے کس کس نے اور کس کس سن ہجری میں کئے۔ سب سے پہلا حملہ امیر معاویہ رضی اللہ تعالی عنہ نے 27 ہجری میں کیا، اور دوسرا حملہ جس میں لشکر قسطنطنیہ تک پہنچ گیا وہ 42 ہجری میں تھا۔
پلیز غور سے پڑھیےگا سن ہجری اور اس میں شرکت کرنے والے لوگ:
42 Hijri me bilad-e-rome par kisne hamla kiya….
اس سال مسلمانوں نے لان اور روم سے جہاد کیا
Is saal musalmanoon ne laan aur Rome se jihad kiya aur unko shikast fash di. 
Aur batreekoon ki Ek jamat ko qatal kiya gaya.
Reference.
Tareekh tabri vol 4 page 32.
اس سال مسلمانوں نے لائنوں اور رومیوں سے جہاد کیا
Is saal musalmanoon ne lynoon aur romeon se jung ki aur un ke amra aur generals me se bahut se admiyoun ko qatal ker diya gya.
Reference.
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8 page 37.
43 Hijri me bilad-e-rome par kis ne hamla kiya. 
اس سال میں بسر بن ارطاط نے بلاد روم سے جنگ کی حتی کہ قسطنطنیہ کے شہر تک پہنچ گیا
Is saal me busar bin artaat ne bilad-e-rome se jung ki hatta ke qustuntunia ke sheher tak pohanch gia.
Aur waqdi ke khayal me mausam-e-sarma un ke mulk me guzara.
Tareekh ibn kathir, al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 37.
43 Hijri me bilad-e-rome par kisne hamla kiya.
واقدی کے زعم میں ہے کہ بسر بن ارطاط نے اس سال روم سے جنگ کی اور اسی سال سرزمین پرجھاڑوں کی فصل گذاردی اور قسطنطنیہ تک پہنچ گیا۔
Waqdi ka zaham hai ke busar bin artaat ne is saal rome se jung ki aur issi sar’zameen par jharroon ki fasal guzar di aur Qustuntunia tak ponch gya.
Reference.
Tareekh Tabri, Vol 4, Page 39.
دوستو! پتہ چلاکہ پہلا لشکر امیر معاویہ کے بعد جو رومیوں مطلب قیصرکے شہر والوں سے لڑنے گیا وہ 42 ہجری میں تھا۔ اور اگر قیصر کا شہرقسطنطنیہ ہی لینا مراد ہے تو تاریخ طبری اور تاریخ ابن کثیر البدایہ ولنہایہ کے مطابق بسر بن ارطاط 43 ہجری میں قیصر کے شہر قسطنطنیہ میں پہنچ گۓ تھے۔ تو اس کا مطلب ہوا کہ بسر بن ارطاط والا لشکر جنّتی ہے۔
Dosto
Pata chala ke pehla lashkar Ameer muawiya Radi Allah anho ke ba’d jo Romeon matlab qaisar ke sheher waloon se larrne gia wo 42 hijri me tha. 
Aur agar qaisar ka shaher Qustuntunia he murad lena hai to Tareekh tabri aur Tareekh ibn katheer ke mutabik basar bin artaat 43 hjiri me qaisar ke sheher qustuntuniya me pohanch gaey the. 
To is ka matlab hua ke busar bin Artaat wala lashkar jannati hai..
44 Hijri me bilad-e-Rome par kisne hamla kiya? 
Is saal me abdur rehman bin Khalid bin walid radi Allah anho ne bilad-e-rome ke saath jung ki aur musalman bhi aap ke sath the. 
Aur unhoon ne mausam-e-sarma wohi guzara. 
Aur issi me busar bin abi artaat ne samunder me jung ki.
Tareekh ibn kathir,
Reference.
Al-Bidaya wan,Nihaya vol 8, page 42) 
Is saal abdur rahman bin waleed ke sath musalman bilaad-e-rome me dakhil hoey aur sardiyoun ka mausam wohi guzara aur basar bin artaat ne darya me jung ki.
Refence.
Tareekh Tabri Volume 4, Page 62
45 Hijri me kahan hamla hua.
Is saal ziyaad ke khurasani naib al.hukam bin umroo ne ziyad ke hukam se jabal-al-asal se jung ki aur un me se bahot se logoon ko qatal kiya aur bahot se amwaal maal-e-ghanimat me hasil kiye.
Reference.
Al-Bidaya wa.nahay vol 8, page 45.
Is saal abdur rahman bin Khalid radi Allah anho rome me sardiyaan guzari.
Reference.
Tareekh Tabri, Vol 4, Page 70.
46 Hijri me bilad-e-rome par kisne hamla kiya?
Is saal musalmanoon ne apne Ameer Hazrat abdur rahman bin Khalid bin walid radi Allah anho ke sath bilad-e-rome me guzara.
Aur baz ka qaul hai ke unka ameer koi aur shakhs tha.
Reference.
Al-Badaya wan.nahaya vol 8, page 46.
Is saal maalik bin ubaidallah ne sar’zameen rome me sardiyaan guzari. 
Abdur rehman bin Khalid radi Allah anho wa maalik bin habeera sakooni ka naam bhi liya gaya hai.
Is saal abdur rahman  bin Khalid radi Allah anho rome me hams ki taraf aaey.
Reference.
Tareekh Tabri Vol 4, Page 70.
47 Hijri me musalmanoon ne kya kiya?
Is saal musalmanoon ne mausam-e-sarma bilad-e-rome me guzara.
Aur is me Hazrat Muawiya radi Allah anho ne hazrat Abdullah bin umroo bin il-aas radi Allah anho ko diyar-e-misar se mazool kar ke hazrat muawiya bin khadij ko wahan ka hakim muqarar kiya.
Reference.
Al-Bidaya Wan.Nahaya, Vo 8, Page 48.
Is saal maalik bin habeera na sar’zameen-e-rome me aur abu abdur rehman qaini ne intakia me sardiyaan guzari.
Reference.
Tareek Tabri vol 4, page 71.
48 Hijri me bilad-e-rome par kisne hamla kiya?
Is saal abdur rahman al.qutni ne musalmanoon ke sath bilad-e-intakia me mausam-e-sarma guzara aur issi me uqba bin aamir ne ahl-e-misar se samunder me jung ki.
Reference.
Al-Bidaya Wan.Nayaha, Vol 8, Page 49.
Is saal maalik bin habeera sakooni ne darya me jung ki.
abdur rahman bin qaini ne intakia me sardiyaan guzari aur Abdullah bin qais fazari ne garmiyoun ka jehaad kiya.
Reference.
Tareekh Tabri Vol 4 , Page 72..
49 Hijri mein bilad-e-rome par kis ne hamla kiya?
Is saal maalik bin habeera ne zameen-e-rome me sard mausam guzara..
Fazala bin ubaid ne jarya me jung ki,
fatah hasil hui aur bahut se qaidi haath aey…
Abdullah bin koza bijli ne garmiyoun me hamla kiya.
Uqba bin nafeh ne darya me jung ki aur ahl-e-miser ke sath sardiyaan guzari.
Yazeed ne jung ki yahan tak ke Qustuntuniya tak pohanch gia.
Ibn abbas,
ibn umer,
ibn zubair aur abu ayyub ansari radi Allah anhum us ke sath the.
Reference.
Tareekh Tabri Vol 4, Page 72.
Is saal yazeed bin Muawiya ne bilad-e-rome ke sath jung ki.
Hatta k sadat-e-sahaba radi Allah anhum ki Ek jamat ke sath jis me Hazrat Ibn umer, Hazrat Ibn Abbas, hazrat Ibn Zubair aur Hazrat abu Ayyub Ansari Radi Allah Anhum shamil the Qustuntunia pohanch Gae…
Aur issi saal maalik bin habeera fazari ne roomiyoun ke ilaqay me mausam-e-sarma guzara. 
Aur issi saal me fazala bin ubaid ka ghazwa hua.
aur wohi mausam-e-sarma guzara aur shaher ko fatah kar ke bahot si ghaneemat hasil ki.
Aur issi saal Abdullah bin karz ki garmai jung hui aur issi me ta’oon ki waba koofa mein parri.
Reference.
Al-Bidaya Wan.nahaya, vol 8, page 49.
Yazeed pehla shakhs hai jis ne yaqoob bin sufiyan ke qol ke mutabiq 49 ad me qustuntuniya sheher se jung ki aur khalifa bin khayat ne 50 ad bayan kiya hai.
Reference.
(Al-Bidaya Wan’nahaya Vol 8 Page 290)
Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~
Click Here To Continue Reading Next Post

Yazeed Mardud Murdabaad….

Yazeed Par Aur Uske Chahnewale Faasiqo Par ALLAH Ki Beshumar Laanat Ho.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!