Hadees-E-Nabwi

Kala Jadu Sipli Ilm Aur Bad Gumani

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Huzoor-E-Akram صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ne Farmaya Ki,
“Agar Koi Musalman Kisi Majoosi, (Kuffar Baba) Ke Paas Jakar Kuch Daryaft Karta Hai,
Toh Uski 40 Din Ki Namaz Qubool Nahi Hoti”.

(Muslim Sharif : Hadees 2230
Book ref. : 39, Hadees 173
Eng ref. : Book 26, Hadees 5540)
Kya Pata Chala?
Kisi Kuffar Baba Ke Yaha Sirf Kuch Daryaft Karne Se 40 Din Ki Namaz Qubool Nahi Hoti. Aur Agar Koi Jaadu Tona, Karni Kartut Karta Ho To Unka Hashr Kya Hoga? Aise Log Kafiro Me Shumar Hai Ke Unhone Gairullah (ALLAH Ke Siwa Kisi Aur Ko) Ko Mabood Mana Uski Shaitani Takato Ko ALLAH Se Badh Kar Mana Aur Uske Naapak Ilm Ka Istemal Kiya Dusro Ko Taklife Dene Ke Liye. Hargiz Aisa Shaks Musalman Nahi Ho Sakta. Beshaq Kala Jaadu/Sipli Ilm Karnewala Dozakhi Hai. Aise Logo Ko Na Khaufe Ilaahi Hota Hai Na Aakhirat Ki Fikr. Aur Unhe Apne Aap Par Behad Guroor Hota Hai. Aksar Aise Log Kehte Hai Ke Koi Mera Baal Bhi Baqa Nahi Kar Sakta. Beshaq Unke Liye Dardnaak Azaab Intzar Kar Raha Hai.
Hadees-E-Paak Ka Mafhoom Hai Ke Nabi-E-Kareemصلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ka Farmane Haqq Hai Ke,
”Badd Gumani Se Bacho Beshaq Badd Gumani Badd Tareen Jhoot Hai”
(1)Muslaman Ka Khoon, Maal Aur Iss Se Badd Gumani (Doosre Musalman Par) Haraam Hai.
(2) Achcha Gumaan Achchi Ibadat Se Hai.
Note :
Badd Gumani Se Muraad Ye Hai Ke “Bina Daleel Dusrey Ke Burey Hone Ka Yaqeen Ya Dawa Karna”.

(Sahih Bukhari : Hadees 5143, 5144
Book ref. :  67, Hadees 79
Eng ref. : Vol. 7, Book 62, Hadees 74
Shu’ab-Ul-Emaan, Hadees 6706
Abu Dawood, Jild-4, Hadees 4993)
Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~
                  Hamare Nabi
          www.hamarenabi.com
      World’s Best Islamic Blog
     25,00,000+ Unique Visitors
         Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!