Jung-E-Badr Aur Musalmano Ki Fateh
Jung-E-Badr 17 Ramazan 2 Hijri Ko Hui. Jisme Musalmano Ki Tadad 313 Aur Kafiron Ki Tadad 1000 Hone Ke Bawajood Allahعزوجل Ne Musalmano Ko Fatah Kiya.
”Badr” Madina-E-Munawwara Se Takreeban 80 Meel Ke Fasiley Par Ek Gaaon Ka Naam Hai. Jahan Zamana-E-Jahilliyat Me Salana Mela Lagta Tha. Yahan Ek Kuwaan Bhi Tha Jiske Malik Ka Naam “Badr” Tha Usi Ke Naam Par Is Jagah Ka Naam ”Badr” Rakh Diya Gaya.
Isi Maqaam Par Jung-E-Badr Ka Woh Azeem Ma’rika Huwa Jis Me Kuffar-E-Quraish Aur Musalmano Ke Darmiyan Sakht Khurezi Hui Aur Musalmano Ko Woh Azimusshan Fatah Mubeen Naseeb Hui Jis Ke Baad Islam Ki Izzat Wa Iqbaal Ka Parcham Itna Sarr Buland Ho Gaya Ki Kuffar-E-Quraish Ki Azmat-O-Shaukat Bilkul Hi Khaak Me Mil Gayi. Allah Ta’ala Ne Jung-E-Badr Ke Din Ka Naam “Youmul Furqan” Rakha.
Quran Ki Surah Anfaal Me Tafseel Ke Saath Aur Doosri Suraton Me Ijmalan Baar Baar Is Ma’rikey Ka Zikr Farmaya Aur Is Jung Me Musalmano Ki Fatah Mubeen Ke Baare Me Ehsaan Jatatey Hue Khudawande Aalam Ne Quran-E-Majeed Me Irshad Farmaya Ki :-
Tarjuma-E-Kanzul Imaan :
“Aur Yakeenan Khudawande Ta’ala Ne Tum Logon Ki Madad Farmayi Badr Me Jab Ki Tum Log Kamzor Aur Be-Saro-Saman The Toh Tum Log Allah Se Dartey Raho Taaki Tum Log Shukr Guzar Ho Jaao.”
👉Al Qur’an : Surah Al Imran, Ayat No. 123
👉Seerat-E-Mustafa صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم (Hindi), Maktabatul Madina – Hind, Safha 209-210, 218
Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~
Hamare Nabi
www.hamarenabi.in
World’s Best Islamic Blog
25,00,000+ Unique Visitors
Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
irfan
Beshak iman walon ki madad Allah krta hai…