Jumma Mubarak

Jumma Ka Din Qubuliyat Dua Ki Khaas Ghadi

Allah’s Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) talked about Friday and said, “There is an hour (opportune time) on Friday and if a Muslim gets it while praying and asks something from Allah, then Allah will definitely meet his demand.” And he (the Prophet) pointed out the shortness of that time with his hands.”
(Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Book 13 :: Hadith 57)

Urdu Translation:

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Jumah Al-Mubarak ka zikr karte hue Irshad Farmaya:

“Jumah ke din aik Aisi ghadi hai Jis mein agar koi Musalman bandah Namaz padh raha ho aur Allah Subhanahu Wa’Tala se koi cheez Mange to Allah use wo cheez zaroor Ata farmate hain. Phir Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne hath ke ishare se batlaya ke wo Ghadi bahot thodi si hai.”
(Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 935)

“Qubuliyate Dua ki wo khaas Ghadi konsi hai Is bare mein 2 Qoul Rajeh hain”

Imam ke Khutba Jumah shuru karne se Namaze Jumah ki Farz Namaz ke ekhtetam tak.
(Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 2 :: Hadith 1975)

“It is between the time when the Imam sits down and the end of the prayer.” (Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 1855)

Jumah ke din ke Ekhtetam par Magrib se thodi dair Qabl.
(Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 1 :: Hadith 1036)

“The last hour after the afternoon prayer.
(Sunan Abu Dawud :: Hadith 1048)

Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!