Hadees-E-Nabwi

Huzoor Ke Safar-E-Taif Ka Bayan

Makkahwalon Ki Inaad Aur Sarkashi Dekhte Hue Jab Huzoor Rahmate Aalam صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ko Un Logo Ke Imaan Laane Se Mayoosi Nazar Aayi Toh Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Tableegh-E-Islam Ke Liye Makkah Ke Kareeb Ki Bastiyon Ka Rukh Kiya.

Chunanchey Is Silsiley Me Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne “Taif” Ka Bhi Safar Farmaya.

Is Safar Me Aap Ke Ghulam Hazrate Zayd bin Haris رضي الله تعالٰی عنه  Bhi Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ke Humraah The.

Taif Me Badey Badey Umara Aur Maaldar Log Rehte The. Un Raison Me “Amr” Ka Khandan Tamam Qabail Ka Sardaar Shumaar Kiya Jata Tha. Yeh Log 3 Bhai The. Abde Yaleel, Mas’ood, Habeeb. Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Teeno Ke Paas Tashreef Le Gaye Aur Islam Ki Dawat Di. Un Teeno Ne Islam Qubool Nahi Kiya Balki Intihaayi Behuda Aur Gustakhana Jawab Diya. Un Badd Naseebon Ne Isi Par Bas Nahi Kiya Balki Taif Ke Sharir Gundo Ko Ubhaar Diya Ki Yeh Log Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ke Saath Bura Sulook Karein.

Chunanchey Luchchon Lafangon Ka Yeh
Sharir Guroh Har Taraf Se Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Par Toot Pada Aur Yeh Shararton Ke Mujassamey Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Par Patthar Barsane Lagey Yahan Tak Ki Aap Ke Muqaddas Paaon Zakhmon Se Lahoo Lohaan Ho Gaye Aur Aap Ke Mozey Aur Nalain Mubarak Khoon Se Bhar Gaye.

Jab Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Zakhmon Se Betaab Ho Kar Baith Jaate Toh Yeh Zalim Intihaayi Be Dardi Ke Saath Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ka Baazu Pakad Kar Uthatey Aur Jab Aap Chalney Lagte Toh Phir Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Par Pattharon Ki Barish Karte Aur Saath Saath Taana Zani Karte. Gaaliyaan Dete. Taliyan Bajaate. Hasi Udaatey.

Hazrate Zayd bin Haris رضي الله تعالٰی عنه Daud Daud Kar Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Par Aaney Wale Pattharon Ko Apne Badan Par Lete The Aur Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ko Bachatey The Yahan Tak Ki Woh Bhi Khoon Me Naha Gaye Aur Zakhmon Se Nidhaal Ho Kar Beqaabu Ho Gaye. Yahan Tak Ki Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ne Angoor Ke Ek Baagh Me Panah Li.

Yeh Baagh Makkah Ke Ek Mashhor Kafir Utba bin Rabi’a Ka Tha.

Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ka Yeh Haal Dekh Kar Utba bin Rabi’a Aur Us Ke Bhai Shaiba bin Rabi’a Ko Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Par Rehem Aa Gaya Aur Kafir Hone Ke Bawajood Khandani Hamiyyat Ne Josh Mara.

Chunanchey Un Dono Kafiron Ne Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ko Apne Baagh Me Thehraya Aur Apne Nasrani Ghulam “Addaas”  Ke Haath Se Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ki Khidmat Me Angoor Ka Ek Khosha Bheja. Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Bismillah Padh Kar Khoshe Ko Haath Lagaya Toh Addaas Ta’ajjub Se Kehne Laga Ki Is At’raaf Ke Log Toh Yeh Kalima Nahi Bola Karte.

Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Us Se Daryaft Farmaya Ki Tumhara Watan Kahan Hai? Addaas Ne Kaha Ki Me “Sheher Nainwa” Ka Rehne Wala Hoon. Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Farmaya Ki Woh Hazrate Yunus bin Matta  عليه السلام  Ka Sheher Hai. Woh Bhi Meri Taraf Khuda Ke Paighambar The.

Yeh Sun Kar Addaas Aap Ke Haath Paaon Chumney Laga Aur Saath Fauran Hi Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ke Kalima Padh Kar Musalman Ho Gaya.

Isi Safar Me Jab Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Maqam “Nakhla” Me Tashreef Farma Hue Aur Raat Ko Namaze Tahajjud Me Quran-E-Majeed Padh Rahe The Toh “Nasibayn” Ke Jinno Ki Ek Jama’at Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ki Khidmat Me Hazir Hui Aur Quran Sun Kar Yeh Sab Jinn Muslaman Ho Gaye. Phir Unn Jinno Ne Laut Kar Apni Qaum Ko Bataya Toh Makkah-E-Muqarrama Me Jinno Ki Jama’at Ne Fauj Dar Fauj Aa Kar Islam Qubool Kiya.

Chunanchey Quran-E-Majeed Me Surah Jinn Ki Ibtidaayi Aayaton Me Khuda Wande Aalam Ne Is Waqiya Ka Tazkira Farmaya Hai.

Maqame Nakhla Me Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ne Chandd Dino Tak Qiyaam Farmaya. Phir Aap Maqame Hira Me Tashreef Laaye Aur Quraish Ke Ek Mumtaaz Sardaar Mut’eem bin Adi Ke Paas Yeh Paigaam Bheja ki Kya Tum Apni Panaah Me Le Sakte Ho?

Arab Ka Dastoor Tha Ki Jab Koi Shakhs In Se Himayat Aur Panaah Talab Karta Toh Woh Agarchey Kitna Hi Bada Dushman Kyun Na Ho Woh Panah Dene Se Inkaar Nahi Kar Sakte The.

Chunanchey Mut’eem bin Adi Ne Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ko Apni Panaah Me Le Liya Aur Usne Apne Beton Ko Huqm Diya Ki Tum Log Hathiyar Laga Kar Haram Me Jaao Aur Mut’eem bin Adi Khud Ghodey Par Suwaar Ho Gaya Aur Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ko Apne Saath Makkah Laya Aur Haram-E-Kaaba Me Apne Saath Le Kar Gaya Aur Majma-E-Aam Me Elaan Kar Diya ki Mein Ne Mohammad Ko Panaah Di Hai Iske Baad Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ne Itminaan Ke Saath Hajra-E-Aswad Ko Bosa Diya Aur Kaabe Ka Tawaaf Kar Ke Haram Me Namaz Adaa Ki Aur Mut’eem bin Adi Aur Is Ke Beton Ne Talwaron Ke Saaye Me Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ko Aap Ke Daulat Khaane Tak Pahoncha Diya.

Isi Safar Ke Muddaton Baad Ek Martaba Ummul Momineen Hazrate Aisha Siddiqah رضي الله تعالٰی عنها Ne Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Se Daryaft Kiya Ki Ya Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Kya Jung-E-Uhud Ke Din Se Bhi Zyada Sakht Din Aap Par Guzra Hai ?

Toh Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ne Irshaad Farmaya Ki Haan Ae Aisha ! Woh Din Mere Liye Jung-E-Uhud Ke Din Se Bhi Zyada Sakht Tha Jab Mein Ne Taif Me Wahan Ke Ek Sardaar “Abde Yaleel” Ko Islam Ki Dawat Di. Us Ne Dawate Islam Ko Haqaarat Ke Saath Thukra Diya Aur Ahle Taif Ne Mujh Par Pathraao Kiya. Mein Is Ranjo Gham Me Sarr Jhukaaye Chalta Raha Yahan Tak Ki Maqame “Kanussa’alib” Me Pahonch Kar Mere Hosho Hawaas Bajaa Hue.

Wahan Pahoch Kar Jab Meine Sarr Uthaya Toh Kya Dekhta Hoon Ki Ek Badal Mujh Par Saaya Kiye Hue Hai Us Badal Me Hazrate Jibrail عليه السلام  Ne Mujhe Aawaz Di Aur Kaha Ki Allah Ta’ala Ne Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ki Qaum Ka Qaul Aur Un Ka Jawab Sun Liya Aur Ab Aap Ki Khidmat Me Pahadon Ka Firishta Hazir Hai. Taaki Woh Aap Ke Huqm Ki Ta’amil Kare.

Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ka Bayan Hai Ki Pahadon Ka Firishta Mujhe Salam Kar Ke Arz Karne Laga Ki Ae Mohammad صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم ! Allah Ta’ala Ne Aap Ki Qaum Ka Qaul Aur Unhone Aap Ko Jo Jawab Diya Hai Woh Sab Kuch Sun Liya Hai Aur Mujh Ko Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ki Khidmat Me Bheja Hai Taaki Aap Mujhe Jo Chaahein Huqm Dein Aur Mein Aap Ka Huqm Baja Laaon. Agar Aap Chaahte Hain Ki Mein “Aqshbayn” (Abu Kubais Aur Qaiqa’an) Dono Pahadon Ko In Kuffar Par Ulat Doon Toh Mein Ulat Deta Hoon.

Yeh Sunkar Huzoor Rehmate Aalam صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Jawab Diya Ki Nahi Balki Mein Ummeed Karta Hoon Ki Allah Ta’ala In Ki Naslon Se Apne Aise Bando Ko Paida Farmayega Jo Sirf Allah Ta’ala ki Hi Ibadat Karenge Aur Shirk Nahi Karenge.

(Bukhari : Baab Zikr’ul’Malaika, Jild 1 , Safha 458 wa Zarqani , Jild 1 Safha 297
Sharah’ul’Zarqani Aali Al’Mawahib, Wafat Khatejah woh Abu Talib, Jild 2 Safha 50/51, 66
Al’Mawahi Ladduniya, Hijrat Sallaho Alaihi Wa Salam , Jild 1 , Safha 136-138
Seerat-E-Mustafa صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم (Hindi), Maktabatul Madina – Hind, Safha 144-147)

Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!