Hazrate Abu Ubaidah Bin Al Jarrah Radiallahu Anhu Aur Muhabbat-E-Rasool
Hazrate Abu Ubaidah bin Al Jarrah رضي الله تعالٰی عنه
Aap رضي الله تعالٰی عنه Asharah-E-Mubashshara Me Se Hain (Yani 10 Sahaba Me Se Hain Jinhein Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ne Jannat Ki Basharat Diye The)
In Ka Asal Naam Aamir Hai Aur Abu Ubaidah In Ki Kunniyat Hai.
Bargaah-E-Risalat Se Aap Ko Aminul Ummat Ka Laqab Mila.
Ibtida-E-Islam Hi Me Jab Hazrate Abu Bakr Siddiq رضي الله تعالٰی عنه Ne In Ko Islam Ki Dawat Pesh Kiya Toh Aap Fauran Hi Islam Qubool Kar Ke Jaan Nisaari Ki Liye Bargaah-E-Risalat Me Hazir Ho Gaye.
Islami Jungo Me Intehaayi Jaan Baazi Ke Saath Kuffar Se Maarika Aarayi Kartey Rahe.
Jung-E-Uhud Me Lohe Ki Topi 2 Kadiyan Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ke Rukhsar-E-Anwar Me Chubh Gayi Thi. Aap رضي الله تعالٰی عنه Ne Apne Daanton Se Pakad Kar In Kadiyon Ko Kheench Kar Nikala Aur Isi Me Aap Ke Saamne Ke 2 Daant Toot Gaye The. Bahot Hi Sher Dil, Bahadur, Buland Qamat Aur Ba Ro’b Chehre Wale Pehelwan The.
18 Hijri Me Ba Maqame Urdan Ta’oone Umwas Me Wafat Pa Gaye.
Hazrate Muaz bin Jabal رضي الله تعالٰی عنه Ne Namaz-E-Janaza Padhayi Aur Maqam-E-Bisaan Me Dafn Huwey. Ba Waqte Wafaat Apki Umr 58 Baras Thi
(👉Akmaal Fi Asmaa’ ul’Rajaal : Safha 608
👉Karamate Sahabaرَضَیِ اللہُ تَعَالٰی عَنْھُم ( Hindi ), Maktabatul Madina – Hind, Safha 143-144)