Ramzan
Etikaaf Purani Ibadat Hai
Pichli Ummaton Me Bhi Etikaaf Ki Aadat Maujod Thi. Chunanchey Parah Pehla Suratul Baqarah Ki Ayat No. 125 Me Allahعزوجل Ka Farmane Alishan Hai :
Tarjuma-E-Kanzul Imaan :
Aur Hum Ne Taqeed Farmayi Ibrahim Wa Ismail Ko Ki Mera Ghar Khoob Suthra Karo Tawaf Walon Aur Etikaaf Walon Aur Ruku Wa Sujood Walon Ke Liye
(Al Qur’an : Surah Al Baqarah, Ayat 125
Faizane Ramazan (Hindi) Maktabatul Madina-Hind, Safha 330)
(Al Qur’an : Surah Al Baqarah, Ayat 125
Faizane Ramazan (Hindi) Maktabatul Madina-Hind, Safha 330)
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Sayyeduna Abdullah Ibne Abbas رضي الله تعالٰی عنه Se Rivayat Hai Ki Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ne Farmaya :-
”Etikaaf Karne Wale Gunaho Se Bacha Rehta Hai Aur Us Ke Liye Tamam Nekiyan Likhi Jati Hai Jaise Un Ke Karne Walon Ke Liye Hoti Hai.
(Sunan Ibne Majah : Jild. 2, Safha 365, Hadees 1781
Faizane Ramazan (Hindi) Maktabatul Madina-Hind, Safha 304)

Dekha Pyare Islami Bhaiyon Etikaaf Karne Ki Fazilat.
Aaiye Pyare Islami Bhaiyon Aapko Duniya Me Sabse Behtarin Jagah ALLAH عزوجل Ke Ghar Me Etikaaf Karne Ki Daawat Deta Hu..
Itne Ramzan Chale Gaye, Ek Ramzan ALLAH عزوجل Ke Ghar Me Guzarlo Maze Ko Bhi Maza Aajayega. .
Sunni Sahi ul aqeesa masjidon ke Zere Ahtemam Duniya Bhar Me Ramzanul Mubarak ke Aakhri Ashre Ka Etikaf Ka Ahtemam Hota Hai..
Aap Bhi Shirkat Farma Kar Sawabe Darrain Hasil Kare. أن شاء الله عزوجل