Arfa Ke Roze Ki Fazilat
Hazrat Syedna Abu Qatada ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﯽ ﻋﻨﮧ Se Riwayat Hai AAQA Kareem ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Ne Farmaya:-
“Mujhy ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Per Guman Hai Ke ARFA (Yaani 9 Zilhaj) Ka Roza
Ek Saal Qabl Aur Ek Saal Baad Ke Gunahon Ko Mita Deta Hai”.
(Sahi Muslim, Page: 590, Hadees: 196)
Ummul Momineen Hazrat Ayesha ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﯽ ﻋﻨﮩﺎ Se Riwayat Hai AAQA Kareem ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Ne Farmaya
“Arfa Ka Roza (1000) Hazar Roozon Ke Baraber Hai”.
(Shob-ul-Eman, Hadees:3764)
Sharai Mas’ala:
Hajj Kernewale Jo Arfat Main Hai Uske Liye ARFA Ka Roza Rakhna
MAKROH Hai Ke Hazrat Syedna Ibn-E-Khazeima ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﯽ ﻋﻨﮧ Se Riwayat Hai Ke AAQA Kareem ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Ne Arfa Ke Din Arfat Main Roza Rukhney Se Mana Farmaya”.
(Sahi Ibn-e-Khuzeima, V:3, Page:292, Hadees:2101)
Dekha Mere Pyare Pyare islami Bhaiyon Ki Kya Fazilat Hai Bas
Is Ek Roze Ki?
Humein Bhi Kisi Bhi Tarha is Roze Ko Rakhna Chahiye…
Pyaare Islami Bhaiyon Ye Woh Roza Hai Jo “Hujjaj” Yaani Hajiyon
Ke Liye Makrooh Hai Magar Hamare Liye Hamare Maalik ﻋﺰﻭﺟﻞ Ne
ise Jaiz Kiya Hai…
Hum Hajj Karne Ki Saadat To Na Paa Sake Toh Kya Ye Roza
Rakhkar Kuch Na Kuch Sawaab Na Kamaya Jaye?
Ho Sake To 8 Aur 9 Dono Din Ka Roza Rakhein Ki Yeh Behtar Hoga Warna Sirf Ek 9 Tarikh Ka Bhi Rakh Liya To Bahut Hi Achchi Baat Hai…
Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~
Hamare Nabi
www.hamarenabi.in
World’s Best Islamic Blog
25,00,000+ Unique Visitors
Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi