Aqaid-E-Ahle Sunnat

73 Firqo Me Ek Firqa Haq Par Galib Rahega

Qist-10
“PARDAH UTHA KE DEKHO”

Chapter-1
“AhleSunnat Tareekh Aur AQA’ID”

Ya’ani

AHLE SUNNAT – AHLE JANNAT

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

AhleSunnat Ke Ahle HAQ Hone Par Jis Qadar Riwayaat Pesh Ki Gai (Qist 1 To 9 Tak Me) Wo Kafi Thi, Magar Aaiye itmame Hujjat Aur Ahle HAQ Ki Nishani Janne Ke Liye Rasool E Pak ﷺ Ke 4 Aur irshad is Silsile Me Padhen…..

HADEES-
عن المغيرة قال سمعت رسول الله صلى الله تعالى عليه وسلم يقول لن يزال قوم من امتى ظاهرين على الناس حتى يا تيهم امرالله وهم ظاهرون
Tarjamah-
Hazrat Mugirah Bin Shaba Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Allah Ke Rasool ﷺ Ko Ye Farmate Suna Hai
“Meri Ummat Me Eik Giroh HAMESHA HAQ Par Galib Rahega Hatta Ki Qayamat Aajayegi”
{الصحيح المسلم، كتاب الامارة، باب-قوله لا تزال طائفة من امتى ظاهرين على الحق لا يضرهم من خالفهم، جلد-٢، صفحه-٦٥٩}

HADEES.
عن جابر بن سمرة عن النبیﷺ انه قال لن يبرح هذا الدين قائما يقاتل عليه عصابة من المسلمين حتى تقوم الساعة
Tarjamah-
Hazrat Jabir Bin Samurah Bayan Karte Hain Ki Nabi E Pak ﷺ Ne Farmaya..
Ye Deen HAMESHA Qayam Rahega, Aur Musalmano Ki Eik Jamat is Deen Ke Liye Qayamat Tak Ladti (Batil Se) Rahegi
{وقال المسلم، وفى موضع آخر، ج-٢، ص-٦٥٩}

HADEES.
وحدثنى هارون بن عبدالله وحجاج بن الشاعر قال حدثنا حجاج بن محمد قال قال ابن جريج اخبرنى ابو الزبير انه سمع جابر بن عبدالله يقول سمعت رسول الله صلى الله تعالى عليه وسلم يقول لا تزال طائفة من امتى يقاتلون على الحق ظاهرين الى يوم القيامة
Tarjamah-
Hazrat Jabir Bin Abdullah رضی اللہ تعالیٰ عنہ Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Allah Ke Rasool ﷺ Ko Ye Farmate Suna Hai Ki Meri Ummat Me Eik Jamat Hamesha HAQ Ke Liye Ladegi (Batil Se) Wo Logon (Batil) Par Galib Rahenge Hatta Ki Qayamat Aajayegi
{وقال المسلم، وفى موضع آخر ج-٢، ص-٦٥٩، الحديث-٤٩٣١}

HADEES.
حدثنا يزيد بن الاصم قال سمعت معاوية بن سفيان ذكر حديثا رواه عن النبیﷺ لم اسمعه روى عن النبیﷺ على منبره حديثاً غيره قال قال رسول الله صلى الله عليه وسلم من يردالله خيراً يفقه فى الدين ولا تزال عصابة من المسلمين يقاتلون على الحق ظاهرين على من ناوأهم الى يوم القيامة
Tarjamah-
Yazeed Bin Asam Kehte Hain Mein Ne Hazrat Mu’awiyah Bin Abu Sufyan رضی اللہ عنہما Ko Eik Hadees Bayan Karte Huye Suna Jo Mein Ne Kisi Aur Se Mimbar Par Nahi Suni, Ki Allah Ke Rasool ﷺ Ne Farmaya, Ki Allah Jiske Sath Bhalai Ka Iradah Farmata Hai Use Deen Ki Samajh (FIQAH) Ata Farmata Hai, Aur Musalmano Ki Eik Jamat Hamesha HAQ Ke Liye Ladti Rahegi (Batil Se) Aur Apne Mukhalifeen Par QAYAMAT Tak Galib Rahegi
{وقال المسلم، وفى موضع آخر، ج-٢، ص-٦٦٠}

In Tamam Ahadees Ka Khulasah Ye Hai Ki Jo HAQ Par Hoga Wo Batil Se Jang Karega Ulmae Ahlesunnat Ne Har Daur Me Apni Zuban O Qalam Se Rahe Khuda Me Balki Deen O Mazhab Ki BAQA Ho Ya Mulk Ki Azadi Ho Har Mod Par Apni Jane’n Tak Qurban Ki Aur Aaj Bhi Ulmae Ahlesunnat Jinki Pehchan is Zamane Me Barre Sageer Barelvi Se Hoti Hai Apne Wazo Bayan Aur Kitabon Me Batil Ke Parkhache Udate Hain……….

Aur Akhri Hadees Me Batil Ke Sath Ladne Ke ilawah AHLE HAQ Wo Hain Jo Ahle FIQAH Honge, Gair Muqallideen To Bechare Fiqah Se Mehroom Hain Balki Fiqah Ke Rad Me inke Bayan Aur inki Kitaben Maujood Hain…………………

Wo Kamyab Giroh Ahlesunnat Hi Hai Jisne Dunya Ko Mujahid, Mohaddis, Zahid, Munazir, FUQHA, ULMA, MUBALLIGEEN Diye Hain Aur Ye Tamam Log Apne Apne Shobe Me Shabo Roz Deen HAQ Ki isha’at Me Lage Hoye Hain.

Ab Tak Jitni Hadee’sen Ahle HAQ Ki Pehchan Me Bayan Hui Wo Siwaye Ahlesunnat Ke Kisi Me Nahi Pai Jati Bas Gaur O Fikr Kijiye.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!