Hadees-E-NabwiSeerat-E-Hazrat Maula Ali

Hazrat Maula Ali Mushkil Kusha Aur Hadees-E-Nabwi

Hadees No: 1
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Amir Bin Saad Bin Abu Waqqas Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki, Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Hazrat Ali Radiallahu Anhu Se Farmaya :-
“Tum Mere Paas Aise Ho Jaise Hazrat Haroon Alaihissalam They Hazrat Moosa Alaihissalam Ke Paas. Magar Mere Baad Koi Nabi Nahi Hai”.
(Jamia Al Timirzi  :  Jild 1, Book 46, Hadees 3731 Arabic Ref. : Book 49, Hadees 4095)
Hadees No: 2
Hazrat Shuaba Bin Kuhayl Radiallahu Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Abu Tufail Radiallahu Anhu Se Suna Ki Abu Sareeha Radiallahu Anhu Ya Zayd Bin Arqam Radiallahu Anhu Se Marwi Hai (Hazrat Shuaba Ko Raawi Ke Mut’alliq Shak Hai) Ki Huzoor Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya :
ﻣَﻦْ ﻛُﻨْﺖُ ﻣَﻮْﻻَﻩُ ﻓَﻌَﻠِﻲٌّ ﻣَﻮْﻻَﻩُ
“Jiska Mein Maula Hoo’n Us Ka Ali Maula Hai.”
(Jamai Tirmizi ,Vol :05, Pg : 398, Kitab No 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4078 “English No : 3713)
(Imam Nasai Al Khasais E Ali Ibn Abu Talib Pg :44, Hadees : 33)
(Imam Hakim Al Mustadrak ,Vol :03, Pg : 34, Hadees : 4652)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabir, Vol : 12, Pg : 470, Hadees : 12593)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Ausat, Vol : 01, Pg :229, Hadees : 348)
(Imam Tabrani Jamee Us Sageer Vol : 01, Pg :171)
(Imam Ahmad Ibn Hambal Al Musnad, Vol : 01, Pg : 570, Hadees : 959)
(Imam Abdul Razzaq Al Musannaf Vol : 11,Pg :225, Hadees :20238)
(Al Musannaf Ibn Abi Shayba Vol : 06, Pg : 602, Hadees : 32072)
(Imam Ibn Asim As Sunnah Vol :02, Pg :602, Hadees :1354)
(Imam Shashi Al Musnad Vol : 01, Pg :165, Hadees :106)
(Imam Hussamul Hindi Al Kanjul Ummal Vol : 11, Pg :602, Hadees :32904)
(Imam Ibn Aseer Usadul Ghabah Fi Marifat E Sahaba Vol : 04, Pg : 103)
(Allama Ibn Kathir Al Bidayah Wan Nihayah Vol : 04, Pg : 169)
(Imam Zahbi Siyar An Nabula Vol : 02, Pg : 623)
(Gair Mukallid Ke Sabse Bade Muhadis
Shaykh Albani Ne Silsila Al Hadees As Sahih Vol : 04, Pg : 331, Hadees : 1750)

Hadees No: 3
Hazrat Sahl Bin Saad Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai
“Ek Din Hazrat Ali Radiallahu Anhu Hazrat Sayyada Kaynaat Radi Allaho Anha Ke Pass Gaye Aur Phir Masjid E Nabvi Me Aake Let Gaye. Jab Huzoor Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Pahuche To Sayyada Kainat Se Pucha Ali Kaha Hai? Farmaya Masjid Gaye Hai. Nabi E Rehmat Sallallahu Alaihi Wasallam Masjid E Nabvi Pahuche Aur Dekha To Hazrat Ali Wahi Lete The. Aapki Chadar Hat Gayi Thi Jis Se Peet Mitthi Se Aaluda Hogayi. Nabi E Karim Apne Hath Mubarak Se Unki Mitthi Jhadne Lage Aur 02 Baar Farmaya
ﻗُﻢْ ﺃَﺑَﺎ ﺗُﺮَﺍﺏٍ، ﻗُﻢْ ﺃَﺑَﺎ ﺗُﺮَﺍﺏٍ
‘AYE ABU TORAB Utho ! AYE ABU TORAB Utho’
(Sahi Bukhari, Vol : 01, Pg : 161, Kitab No 08, Kitabus Salat, Baab : Masjid Me Mard Ke Sone Ka Bayan, Hadees : 441 “English -Book No :08, Hadees: 90)

Hadees No: 4
“Hazrat Habshi Bin Jundaah Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Unhone Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Farmate Huwe Suna Ali Mujhse Hai Aur Mai Ali Se Hoon”
(Sunan Ibn Majah, Vol : 01 , Kitabul Imaan, Hadees : 119)

Hadees No: 5
Hazrat Ali Se Rivayat Hai Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
ﺃﻧﺎ ﻣﺪﻳﻨﺔ ﺍﻟﻌﻠﻢ ﻭﻋﻠﯽ ﺑﺎﺑﻬﺎ
“MAI ILM KA SHAHER HOON AUR ALI USKA DARWAJA ”
(Imam Hakim AL Mustadrak, Vol : 04, Page : 96, Hadees : 4613)

Hadees No: 6
Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
ﺃَﻧَﺎ ﺩَﺍﺭُ ﺍﻟْﺤِﻜْﻤَﺔِ ﻭَﻋَﻠِﻲٌّ ﺑَﺎﺑُﻬَﺎ
“MAI HIKMAT KA GHAR HOON AUR ALI USKA DARWAJA”
(Jamai Tirmizi, Vol : 05,Pg : 402, Kitab No : 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4089, “English No : 3723)

Hadees No: 7
Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Ke
“MAI ILM KA SHAHER HOON Abu Baqr Uski Bunyaad, Umar Uski Deewar, Usmaan Uski Chatth (Roof) Aur ALI USKA DARWAJA”
(Imam Daylami Al Musnadul Firdaus, Vol : 01, Page :43, Hadees: 108)

Hadees No: 8
Hazrat Imran Bin Hussain Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Huzoor Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Beshak Ali Mujhse Hai Aur Mai Ali Se Hoon Mere Baad Har Momin Ka Wali Hai.
(Jamai Tirmizi, Vol :05, Pg : 399, Kitab No 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4077, English No -Vol : 01, Book No : 46, Hadees : 3712)

Hadees No: 9
“Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Farmate Hai Maine Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Se Ilm Ke 02 Katore Ya Pyale (Bowl) Haasil Kiye Ek Ilm Maine Tumko Bayan Kar Diya Aur Dusra Tumhe Batadu To Tum Usko Samajh Bhi Naa Pao Aur Meri Gardan (Neck) Talwar Se Maardo”
(Sahi Bukhari, Vol :01, Pg : 124, Kitab Ilm, Baab No 42 Hifzul Ilm,Hadees : 120)

Hadees No: 10
Abu Sa’eed Khudri Radiallahu Anhu Farmate Hai
“Hum Ansaar Ke Logo Ke Nazdeek Hazrat E Ali Ibn Abu Talib Se Bughz Rakhna Munafikaat Ki Alamat Thi Is Se Hum Munafik Ko Pahchan Lete The”
(Jamai Tirmizi, Vol :06, Pg : 390, Kitab No 49, Kitabul Manakib, Hadees : 4082 ‘English No : Vol : 01,Book No :46, Hadees :3717’)

Hadees No: 11
“Hazrat Zirr Bin Hubaish Radiallahu Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Ali Karram Allahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Ne Farmaya:
Qasam Hai Us Zaat Kee Jis Ne Daana Cheera Aur Jis Ne Jaandaaron Ko Paida Kiya !
Huzoor Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Mujh Se Ahad Faramaya Tha Ki Mujh Se Sirf Momin Muhabbat Rakhega Aur Sirf Munafiq Hee Mujh Se Bughz Rakhega.”
(Sahi Muslim, Vol : 01, Kitab No 01 Kitabul Imaan,Baab : Hazrat Ali Aur Ansaar Se Muhabbat Karna Imaan ki Alamat Hai Unse Bugz Karna Munafikat Ki Alamat Hai, Hadees
: 78 “English No Book 01, Hadees : 146 OR 141)
(Imam Abu Yaala Al Musnad Vol :01, Pg : 250, Hadees : 291)
(Imam ibn Abi Asim As Sunnah Vol : 02, Pg :598)
(Imam Bazzar Al Musnad Vol : 02, Pg : 182, Hadees : 560)

Hadees No: 12
Hazrat Sahl Bin Saad Farmate Hai Rasool E Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Khaybar Ke Din Irshad Farmaya Kal Mai Ye Jhanda Aise Shaks Ko Dunga Jiske Haath ALLAH Ta’ala Fateh Dega Woh ALLAH AUR USKE RASOOL Sallallahu Alaihi Wasallam Se Muhabbat Rakhta Hai Aur ALLAH AUR USKA RASOOL Sallallahu Alaihi Wasallam Usse Mohabbat Karte Hai. Agle Roz Subah Har Insaan Ye Ummid Rakhta Tha Ke Jhanda Use Diya Jayga. Farmaya Ali ibn Abu Talib Kaha Hai ?
Logon Ne Arz Kiya Yaa Rasool ALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam Unki Aankhe Dukhti Hai. Unhe Bulaya Gaya HUZOOR NABI  E KARIM Sallallahu Alaihi Wasallam Ne APNA LUAAB-E-MUBARAK Nikala Aur Hazrat Ali Ki Aankho Me Lagaya Wo Aise Theek Hogaye Jaise Pahle Dard Tha Hi Nahi Aur Jhanda Unhe De Diya Gaya.
Maula E Kaynaat Ne Pucha YAA RASOOLALLAH Kya Mai Unse Us Wakt Tak Ladu Jab Tak Musalmaan Na Hojaye?
Farmaya Narmi Ekhteyar Kar Jab Tak Ke Tum Unke Maidan Me Naa Utar Jaao Phir Unhe Islaam Ki Dawat Do Aur ALLAH Ke Jo Hukook Unpe Hai Wo Unhe Batao Allah Ki Kasam Koi Ek Shaks Ko Bhi Tumhare Jariye Se Hidayat Mil Jaaye. Ye Tumhare Liye Is Baat Se Accha Hai Ke Tumhare Paas Surkh Oont Ho”
(Sahi Bukhari Vol : 05 Pg :170 , Kitab No 56 Kitabuz Jihad, Baab : ﺑﺎﺏ ﻓَﻀْﻞِ ﻣَﻦْ ﺃَﺳْﻠَﻢَ ﻋَﻠَﻰ ﻳَﺪَﻳْﻪِ ﺭَﺟُﻞٌ Hadees : 3009)
(Sahi Bukhari, Kitabul Magazi, Baab :
Ghazwa E Khaibar, Hadees : 4210)
(Sahi Muslim Vol : 04, Pg : 210, Kitab No 44 Fazail E Sahaba RadiAllaho Taala Alaihim Azmain, Baab : Manakib E Ali ibn Abu Talib, Hadees : 2406, “English : Book 44 Hadees : 53)

Hadees No: 13
Hazrat Umme Salama RadiyAllahu Ta’ala Anha Se Riwayat Hai Ki Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Farmaya Karte They :
Koi Munafiq ,Ali KarramAllahu Ta’ala
Waj’hahul Kareem Se Muhabbat Nahin Karta Aur Koi Momin Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Se Bughz Nahin Rakhta.”
(Jamai Tirmizi Vol : 05, Pg : 635, Kitab No 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4083 ‘English Hadees No: 3717)
Aage Imam Tirmizi Likhte Hai Ye Hadees Hasan Hai. (Abu Yaala Al Musnad, Vol : 12 Pg:362, Hadees: 6931)
(Imam Tabrani Al Mujam Al Kabir Hadees : 886)

Hadees No: 14
Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu Se Rivyata Hai Jab Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Madina Munawara Me Muhajireen Aur Ansar Ke Darmiyan Bhai Chara Qayam Farmaya. To Hazrat Ali Radiallahu Anhu Is Haal Me Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Pass Tashrif Laaye Ke Aapke Aankho Se Aansu Jaari The Aapne Farmya YA RASOOL ALLAH Aapne Sahaba Ke Kayam Bhaichara Farmaya Lekin Kisi Ne Mujhe Bhai Naa Banaya. Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya
ﺃَﻧْﺖَ ﺃَﺧِﻲ ﻓِﻲ ﺍﻟﺪُّﻧْﻴَﺎ ﻭَﺍﻵﺧِﺮَﺓِ
Yaani Tum Dunya Aur Aakhirat Me Mere Bhai Ho”.
(Jamai Tirmizi Vol : 05, Pg : 401, Kitab No 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4086 “English Book No : 46, Hadees : 3720)

Hadees No: 15
Hazrat Abi Abdullah Jadali Kahte Hain Ki Mein Umm-ul-Momeenin Hazrat Umm-E-Salma RadiyAllahu Ta’ala Anha Kee Khidmat Me Haazir Huwa To Aap Ne Mujh Se Puchha
Kya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Gaali Dee Jaa Sakti Hai?
Mein Ne Kaha :
Sub’hanAllah Ya Kaha Ki Allah Usse
Panaah De To Aap Ne Farmaya Mein Ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Farmate Huwe Suna Hai Ki Jo Ali Ko Gaali Deta Hai Woh Mujhe Gaali Deta Hai.”
(Imam Nasai Al Khasais E Ali Ibn Abu Talib Pg : 96, Hadees : 99)

Hadees No: 16
Hazrat Saad Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Hazrat Ali Radiallahu Anhu Se Farmaya Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Jung-E-Tabook Ke Liye Jaane Lage To Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ko Bulaya Aur Madina Me Apna Khalifa Mukhatib Kiya, Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ne Farmaya Kya Aap Mujhe
Aurato Aur Baccho Ke Saath Chode Jaa Rahe Hai?
Huzoor Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Kya Tum Is Baat Se Raazi Nahi Tum Mere Darbaar Me Wo Martaba Haasil Ho Jo Hazrat Haroon Ko Darbaar-E-Hazrat Moosa Ke Liye Me Tha Magar Ye Ke Mere Baad Koi Nabi Nahi”
(Sahi Bukhari, Vol : Pg : Kitab No 64 Kitabul Magazi, Baab : Ghazwa E Tabook, Hadees : 4416)
(Sahi Muslim, Vol : Pg : Kitab No 44 Fazail E Sahaba, Baab : Min Fazail E Ali Ibn Abu Talib, Hadees : 2404)
Aur Bukhari Muslim Ki Dusri Rivayat Me
“Tum Mere Liye Aise Hi Ho Jaise Moosa Ke Nazdeek Haroon Ka Makam Tha Magar Ye Ke Mere Baad Koi Nabi Nahi”
(Sahi Muslim, Vol : Pg : Kitab No 44 Fazail E Sahaba, Baab : Min Fazail E Ali Ibn Abu Talib, Hadees : 2404)
(Sahi Bukhari, Vol : Pg : Kitab No 62 Fazail E Ashabun Nabi, Baab : Manakib E Ali Ibn Abu Talib, Hadees : 3706)

Related Articles

2 Comments

  1. Walekumassalam warehmatullahi wabarakatuhu..HAZRATH MAULA MUSHKIL KUSHA ki ek kahani hai jise hum har mahine ki pehli chahshumbe(Wednesday) ko padte hai aur FATEHA dilwaate hai toh mein yeh janna chahtiu hoon ke yeh sahi hai?? please reply dijiyeh…JAZAKALLAH apke information ke liye, ALLAH (SWT) apko iska Ajar de….Allah hafiz fiamanallah warasoolallah

  2. Bina identity Ke Comments Na Kare. Sawal Jaroori Laga Is Liye Publish Kiya Hai. Next Time Naam Ke Sath Comments Likhe.

    Maula Ali Mushkil Kusha Khaibar Fatah Karamallaho Wajahahul Kareem Ka Zikr Karna Baise Sawab Hai. Aur Aapki Bargah Me Izhare Aqeedat Ke Liye Fatiha Lagane Me Koi Harz Nahi Hai.

    Fatiha Se Talluq Topic Padhe "Hamare Nabi' Android App Me.
    Dua Ki Guzarish.
    Keep Visiting & Sharing…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!