Ahle Sunnat Ke Aqaid Haq Aur Batil Ki Pehchan
Quran-E-Kareem-
“Apne Rab Ki Raah Ki Taraf Bulao Pakki Tadbeer Aur Achchi Nasihat Se Aur Unse Us TARIQE Par Bahes Karo Jo Sab Se Behtar Ho Aur Beshak Tumhara Rab Khoob Janta Hai Jo uski Raah Se Behka Aur Wo Khoob Janta Hai Raah Walon Ko
{القرآن الكريم، الجزء-١٤، سورة النحل، الايت-١٢٥، ترجمہ كنزالايمان شریف، از- اعلیحضرت امام احمد رضا خان بریلوی علیہ الرحمه)
Mazkurah Ayate Karimah Me Tableege Deen Ka Mizaaj Diya Ja Raha Hai Aur WAQT Padhne Par Dawate Deen Ka Eik Juz Yani Munazrah Bhi Kiya Jaye Taki Log HAQ O BATIL Ke Beech Tameez Kar Saken, Phir Aage irshad Ho Raha Hai Ki Allah Subha’nahu Wa Tala Sab Janta Hai Ki Ahle HAQ Kaun Hain Aur Batil Parast Kaun……….
DOSTON-
Islam Eik Sachcha Deen Hai Jo Kaamil Hai Mukammal Hai Aur Hamesha Rehne Wala Hai, islam Puri Zindagi Ka Jaame Nizam Hai, Jo insani Zindagiyon Ke Tamam Shobo’n Me Hidayat Aur Rahnumai Faraham Karta Hai,,,,,
Islam itna Jame Kamil Mukammal Deen Kyun Hai?
Wo is Liye Ki Ye Allah Ka Deen Hai Jo TAMAM Chizon Ka Paida Farmane Wala Hai, Aur Jisne Paida Farmaya Marzi Bhi usi Ki Chale Hukm Bhi Usi Ka Maana Jaye Puja Bhi Usi Ki Kee Jaye, Dunya Me islam Ke ilawah Jo Mazahib Hain Wo Logon Ki Zehni ikhtera (Banawat) Hai is Liye Wo Har Jagah Har Maqam Par Hamari Rehnumai Nahi Karte Bar’khilaf unke islam AZAL Se ABAD Tak Tamam Nasle insani Ki Rehbari Karta Hai….
Khuda Ke is Sachche Deen Ke Man’ne Walon Ko Musalman Kaha Jata Hai,
Islam Ke Saare AQA’ID Jo Rasool E Pak ﷺ Se Sahaba Ko Aur unse Hum Tak Qar’nan Bada Qar’nin Nasalan Bada Nasalin Paohche Uska Zuban Se IQRAR Karna Aur Dil Se Uski Sachchai Ko Manna Yahi islam Hai…………
Musalman Hone Ke Bad Jo Kuch Allah Wa Rasool ﷺ Ki Janib Se Aaya Jise Zaruriyaat Deen Kaha Jata Hai Islam Ke Bunyadi AQA’ID Se Jaana Jata Hai usme Se Kisi Eik Baat Ka inkar (Jhutlana) insan Ko islam Se Bahar Kar Deta Hai Bhale Hi Phir Wo Naam Ki Had Tak Aur Logon Ki Nazron Me Musalman Kehlaye, Magar Wo Allah O Rasool ﷺ Ke Daftar Me Kafir Hai…….
Har Shakhs Ko Sab Se Pehle is Baat Ki Fikr Karni Chahiye Ki Mein Dunya Me Musalman Zindah Rahun Aur Meri Maut Bhi Islam Par Ho, islam Par Zindagi Ke Liye islam Ki Malumaat Zaroori Hai…….
Islam Kya Hai Aur Ahlesunnat Kya Hai Hum Sunni Musalman Kyun Hain??
Islam Se Katne Par Kya Hukm Hoga Ahlesunnat Se Katne Par Kya Hukm Lagega..??
Daur E Hazir Me Jo Bahot Se Kalma Go Firqe Deen Ki Dawat Dete Phir Rahe Hain Wo Kis Had Tak Sahi Hain??
Kin Jamato Se iman Ko Khatra Hai unki Pehchan Unki Tareekh unke Aqa’id Kya Hain,?
Jis Mazhab Ahlesunnat Wa Jamat Par Hum Hain Kya Yahi Firqae Najiyah (Najat Pani Wali jamat) Hai?
Agar Islam Deen Hai To Ahlesunnat Kya Hai??
Kya Sirf Musalman Hona Zaroori Nahi Sunni Musalman Hona Hi Zaroori Hai???
Agar Ahlesunnat Hi Musalman Hain To Aur Jamaton Ka Kya Hukm Hai?
Shia Aur Qadyani Ko Chhod Kar Kya Ahlehadees Deobandi AhleQuran Bhi Ahlesunnat Me Dakhil Hain?
Hum Ahlesunnat Ke AQA’ID Quran O Hadees Ke Mutabiq O Mawafiq Hain Ya Digar Firqon Ke??
In Tamam Baton Ki Tafseel Janna Har Sunni Barelvi Musalman Ke Liye Zaroori Hai,,,
Is Liye Hum Mazmoon Ka Aagaaz Apni Jamat (Ahlesunnat Wa Jamat Barelvi) Ke Zikre Khair Se Karte Hain…..
Hame Batil Firqon Ki Jankari Ke Sath Apne Mazhab Ki Malumaat Bhi Zaroori Hai Agar Hame Maulmaat Hi Nahi Hogi To Hum iski TABLEEG Karenge kaise????
Pichle Ambiya عليهم السّلام Ki Ummaton Ke Zimmah 2 Kaam The Eik Allah Aur Apne Nabi par iman Lana Aur Dusra unke Hukmo Par Chalna Magar is ummat Ke Ke Zimmah in Do Ke Alawah Tisra Kaam Ye Bhi Hai Ki ise Phailana Logon ko Sidhi Raah Dikhana Unhe HAQ Ki Taraf Bulana Aur Jab Hum Khud Hi Gafil Honge To Auron Ki Rahnumai Kaise Kareneg?
Lihaza Tarteeb Ke Sath Mazmoon Padhiye Aur HAQ WA BATIL Ke Beech Ka Farq Quran O Hadees Ki Roshni Me Samjhiye, Gande AQIDE Jis Par Quran O Hadees Se Daleelen Dee Ja Rahi Hai Aur Kufr Ko islam Aur islam Ko Kufr Banane Ki Mazmoom Koshishen ki Ja Rahi Hai Usse
(Mazmoon Jari Hai “Aqaid-E-Ahle Sunnat” Category Me Padhe)
Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi