Us Shakhs Ki Naak Mitti Me Mil Jaaye
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Sayyeduna Abu Hurairah رضي الله تعالٰی عنه Se Marwi Hai Ke Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ne Farmaya:
“Us Shakhs Ki Naak Mitti Me Mil Jaaye Ki Jis Ke Paas Mera Zikr Kiya Gaya Toh Usne Mujhpar Durood Nahi Padha Aur Us Shakhs Ki Naak Mitti Me Mil Jaaye Jis Par Ramzan Ka Mahina Dakhil Huwa, Phir Uski Maghfirat Honey Se Qabl (Pehle) Guzar Gaya Aur Us Aadmi Ki Naak Mitti Me Mil Jaaye Ki Jis Ke Paas Uske Walidein Budhaapey Ko Paa Liya Aur Uske Walidein Ne Usko Jannat Me Dakhil Nahi Kiya. (Yani Budhey Maa Baap Ki Khidmat Kar Ke Jannat Hasil Na Kar Saka)
(Musnad Ahmad, Jild : 3, Safha 61, Hadees : 7455
Ramzan Ki Baharein (Hindi) Maktabatul Madina -Hind, Safha 16)