Ramzan

Shaan-E-Muskhkil Kusha Sher-E-Khuda Maula Ali Radiallhu Anhu

Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

Shaane Maula Ali Muskhil Kusha Ko Bayan Karna Is Nachiz Gunahgaar Ki Itni Aukat Nahi. Aapki Gulami Ka Saboot Dete Hue Ek Adna Si Koshish Kar Raha Hu. Agar Koi Khata Ho To Muaf Farmaye. Maula Ali Karamallaho Wajahahul Kareem Ki Shane Aqdas Me Anginat Hadeese Pak Maujood Hai. Jie Se Chuninda Hadeese Pak Ko Ek Post Me Likha Hu. Is Post Ko Niche Di Gayi Link Par Padhe.

Hadees-E-Pak Aur Maula Ali Murtaja Radiallahu Anhu

Ilm Ka Shahar Mera Nabi,

To Darwaza Ali Ali
Nabi Ka Dulaara Ali Ali
Khaibar Ka Shaha Ali Ali
Hussain Ka Baba Ali Ali
Fatima Ka Waali Ali Ali
Shamme Wilayat Ali Ali
Shamme Shariat Ali Ali
Haq Ki Haqiqat Ali Ali
Tafsir-E-Tariqat Ali Ali
Hazrat Maula Ali RadiyallahuAnhu Ne Farmaya :
☞ “Main Wo Ali Hoon Jis Ki Batein Aqlon Ko Hairaan Aur Zehno ko Preshaan Kar Deti Hain.
Aye Logo Maine Aaj Tak Apni Haqiqat Ko Tum Par Aashkaar Nahi Kiya.
Agar Main Apni Haqiqat Aur Fazeelat Se Duniya walo’n ko Aagah Kar Doon To Aadhi Duniya Meri Fazeelat Ki Bulandi Sun Kar Mar Jaye
Aur Baqi Deewani Ho jaye.
Main Apne Sirf itne Faza’il Se Parda Uthata Hoon (Bayan Karta Hoon) Jin
Ko Haqiqi Momin Ka Dil Bardasht Kar Sake.”
Reference:-
☞ KITAB-UL-SAFEEN, Page  71
Nisbat Mili Hai Peer Ki Sadka Ali Ka Hai
Sabse Alag Tarikh Mein Rutba Ali Ka Hai
Sher-E-Khuda Ke Waste Suraj Bhi Palat Gaya
ALLAH Bhi Naaz Uthaye Wo Sajdah Ali Ka Hai
Khaibar Ka Kanp Jana Hai Apni Jagah Magar
Jo Baatil Ko Hila De Wo Naara Ali Ka Hai.
Naara-E-Haideri Ya Ali Ya Ali…
Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali رضي الله عنه # 455.
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ
▶ Hazrat Sahl bin Saad رضي الله عنه se riwayat hai ke Huzoor Nabi e Kareem ﷺ Hazrat Ali رضي الله عنه ke ghar Hazrat e Fatima رضی اللہ عنہا ke pass tashreef le gaye the, Huzoor ﷺ pahuchte uss se pehle Hazrat Ali رضي الله عنه ghar se bahar tashreef le jaa kar masjid mein so gaye the.

▶Huzoor ﷺ ne Sayyeda Fatima رضی اللہ عنہا se farmaya “Tumhare Ibne Amm yaani Ali Murtuza kahañ hai?” Sayyeda  Fatima رضی اللہ عنہا ne arz kiya ” Mere aur Unke darmiyan ranjish si ho gayi hai aur woh gusse mein bahar chale gaye hai.”

▶ Iske baad Huzoor ﷺ ne kisi se farmaya ke dekho Ali kahaa hai to uss shakhs ne aakar arz ki Yaa RasoolAllah ﷺ Hazrat Ali رضي الله عنه masjid mein aaram kar rahe hai. Huzoor ﷺ Hazrat Ali رضي الله عنه ke sirhane tashreef laaye aur unko pehlu par sota huwa dekh mulahiza farmaya. Unke pehlu par nishanaat padey huwe they aur unka badan khaak aluda hogaya tha.

▶ Iss par Huzoor ﷺ ne farmaya “Kum Abaa Turaab” yaani Abu Turab Utho. Aur ussi din se Maula e Kainaat رضي الله عنه ki kunniyat Abu Turab hogayi.
(Bukhari Shareef, Muslim Shareef, Madarijun Nabuwwat 2/136)
“Tujh Si Kuwwat Jahan Me Kisi Ki Nahi
Bole Shamsheer Thak Kar Ke Tham Ja Ali
Sakhiyo Ke Sakhi Waliyo Ke Wali
Mere Maula Ali Mere Maula Ali..”
21 Ramzan Shahaadat Moula E Kayenat Haider E Karrar Abu Turab Zulfiqar Mushkil Kusha Shere Azdaan Moula Ali Shere Khuda Karamalahu Wajah ul Kareem
Murtaza Shere Haq Ashja-Ul Ashja-e Saaqi E Sheero Sharbat Pe Laakho(n) Salaam 
Asl E Nasl E Safaa Wajhe Wasle Khuda Baab E Fasle Wilayat Pe Laakho(n) Salaam
Awwali Dafa E Ahle Rifzo Khuruj Chaar Mi Rukne Millat Pe Laakho(n) Salaam
Shere Shamsheer-J(a)n Shahe Khaibar-Shikan Parvat E Dost Qudrat Pe Laakho(n) Salaam 
Maahi E Rifzo Tafzeel O Nasb O Khurooj Haami E Deen O Sunnat Pe Laakho(n) Salaam 
Momeni Peshe Fat-ho Pase Fat-h Sab Ahle Khairo Adaalat Pe Laakho(n) Salaam
(Kalam-E-Imaam Ahmed Raza Khan AalaHazrat RadiAllahu Anhu)
ALLAH Ham Sabke Dilo Me Apni Aur Ahle Bait Ki Muhabbat Ataa Farmaye.
Aameen.
Awwal Aakhir Durood.
Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!