Aqaid-E-Ahle SunnatImaan

Isale Sawab Fatiha Ke Quran Aur Hadees Se

{tocify} $title={Table of Contents}

Isale Sawab Kya Hai:

Is Lafz Ka Maana Hai Sawab Bakshna, Sawab Pohochana Aur Buzurgane Deen Ke Liye Sawab Nazar Karna. Hum Quran Shareef Ki Tilawat Ka Sawab, Sadqat Wa Khairat, Duroodo Salaam, Kalma Shareef Aur Digar Nafli Ibadato Ka Sawab Foutshuda Ko Pohochana Isaale Sawab Kehlata Hai. Buzurgane Deen Ko Iska Sawab Nazar Karte Hai Bakshna Kehna Beadabi Hai. Hum Sunni Khane Par Quran Shareef Ki Chand Suro Ki Tilawat Karte Hai Uska Sawab Marhumo Ko Bakshte Hai. Aaj Kuch Badmazhab Firqe Logo Ko Isaale Sawab Ko Haraam Bata Kar Gumrah Karte Hai. Aur Yahi Log Gairullah Ka Khaana Shauk Se Khate Hai. Jispe Kalaam-E-Ilaahi Padha Ho Use Haraam Kehte Hai. Mazallah.
Ye Post Me Hum Unke Tamaam Aitrazo Ke Jawabat Quran Wa Hadees Se De Rahe Hai Jisse Ye Khoob Saabit Ho Jayega Ki Isaale Sawab Jaiz Hai Aur Iska Sawab Marhumo Ko Fayda Pohochchata Hai.



Isale Sawab Quran Sharif Se

Imam Ahmad Raza  Khan Aalahazrat Rehmatullah Alaihi Farmate Hai
“Huzoor-E-Akdas Sallallahu Alaihi Wasallam Khwaah Nabi Ya Wali Ko Sawab Bakshna Kehna Beadabi Hai Bakshna Bade Ki Taraf Se Chote
Ko Hota Hai Balki Nazr Karna Ya Hadiya (Tohfa) Kahe.”
(Fatawa-E-Razviya Volume : 26, Page : 609)

Isaale Sawab Kiske Liye Kiya Jaye:
Isaale Sawab Sirf Sahihul Aqeeda Musalman Ke Liye Karna Chahiye. Kaafir, Badmazhab, Shiya, Wahabi, Deobandi, Najdi, Kharji, Qadyani Aur Baatil Ke Liye Isaale Sawab Karna Haraam Hai.

ALLAH Tabarak Wa Ta’ala Quran-E-Kareem Me Farmata Hai,
“Aur Wo Jo Unke Baad Aaye Arz Karte Hai. Aye Hamare Rab ! Hume Baksh De Aur Hamare Bhaiyo Ko Jo Hum Se Pehle Imaan Laaye Aur Hamare Imaanwaalo Ki Taraf Se Keena Na Rakh, Aye Hamare Rab ! Beshak
Tu Hi Bahot Meharbaan Rahemwaala Hai”
(Surah Al HashrPara 28, Ayat 10, Tarzuma Kanzul Imaan)

“Aye Hamare Rab Mujhe Baksh De Aur
Mere Maa Baap Ko Aur Sab Musalmaan Ko Jis Din Hisab Kayam Hoga”
(Surah Ibrahim, Para 13, Ayat 41)

In Aayato Me ALLAH Ne Musalmano Ke Is Dua Ko Bataur-E-Tareef Bayan Farama Raha Jo Musalman Apne Guzre Hue Musalman Bhaiyo Ke Liye Dua-E-Bakshish-O-Magfirat Maag Rahe Hai Agar Wisal Ho Chuke Logo Ko Zindo Se Koi Nafa Na Pahuchta To Quran Hargeez Usko Bataur Tareef-O-Istehsan Bayan Na Karta Dua To Ek Shaks Ne Maanga Par Iska Faida Sabko Pahucha Khwah Wo Zindo Ho Ya Murda.
“Tera Rab Khoob Janta Hai Kaun Bahka Hai Uski Raah Se Aur Wo Khoob Janta Hai Hidayatwalo Ko To Khao Us Me Se Jis Par ALLAH Ka Naam Liya Gaya Agar Tum Uski Aayate Mante Ho
Aur Tumhe Kya Hua Ki Tum Unme Se Na Khao Jis Par ALLAH Ka Naam Liya Gaya”
(Sure An’aamPara- 7, Aayat 117,118,119, Ruku 14)

Ye Aayat Se Khoob Roshan Hao Gaya Ki Fatiha Jaiz Hai. ALLAH TA’ALA Khud Quran-E-Kareem Me Farma Raha Hai Ki Khao Jis Par ALLAH Ka Naam Liya Gaya. Ab Aap Hi Faisla Karle. Hum Fatiha Me Kya Padhte Hai? Sure Fatiha, Sure Ikhlas, Sure Kousar, Sure Qadr, Sure Naas, Aayatul Qursi, Sure Lahab, Durood Shareef Aur Bhi Kai Sure Ki Tilawat Karte Hai. Ab Koi Agar Kehde Ke Fatiha Ka Khana HARAAM Hai. Mazallah To Kya Wo Musalman Raha? Kise Haraam Bol Raha Hai. Jis Par Kalaam-E-Ilaahi Ki Tilawat Ki Gayi Ho Wo Kaise Haraam Ho Sakta Hai?

Isale Sawab Hadees Se Sabit

Ab Aaiye Hum Hadees Shareef Ki Roshni Me Isaale Sawab Par Nazar Dale.

Hadees No: 1
Hazrat Abdullah Bin Abbas Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Ek Shakhs Ne Bargah-E-Risalat Sallallahu Alaihi Wasallam Se Arz Kiya:
Ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ! Meri Waalida Faut Ho Chuki Hai Agar Mein Unke Taraf Se Sadqa Doo’n To Kya Woh Use Koi Nafa Dega?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya : Ha’n !
Usne Arz Kiya :
Mere Paas Ek Baag (Garden) Hai Aap Gawaah Rahein Mein Ne Yah Baag Us Ki Taraf Se Sadqa Kar Diya.”
(Sunan Tirmizi, Volume : 02, Page : 56, Kitab Az ZakatBaab No 33, Hadees : 669)
(Sunan Abu Dawood, Volume : 03, Page : 118, Kitab No 18 – Kitabal WasayaHadees : 2882)
Albani Ne Bhi Abu Dawood Ki Hadees
Ko Sahi Kaha Hai.
(Sunan Nasai Volume : 06, Page : 252, Kitab No 30, Kitab Al WasayaBaab No 07, Hadees : 3655)
(Imam Nasai Sunan Al Kubra Volume : 04, Page : 110, Hadees : 6482)

Hadees No: 2
Hazrat  Abdullah ibn Abbas Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Kabeela Juhayna Ki Ek Khatoon Ne Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki
Bargaah Me Haajir Hokar Arz Kiya : Meri Walida Ne Hajj Ki Mannat Maani Thi Lekin Wo Hajj Na Kar Saki Yaha Tak Ki Faut Ho Gayi.
Kya Mai Unki Taraf se Hajj Karo’on? Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
Ha’n Tum Uski Taraf Se Hajj Karo.  Bhala Batao Kya Tumhari Walida Par Qarz Hota To Kya Tum Ada Na Karti ?
Phir ALLAH AJWAZAL Ka Haq Ada Karo Wo Zyada Haqdaar Hai Ke Uska Haq Ada Kiya Jaaye.
(Sunan Nasai, Volume : 05, Kitab 24 Kitabul Hajj, Baab No 07 -Faut Shuda Logo Ke Badle Hajj Ka Bayan Jo Hajj Ki Mannat Rakhte The, Page : 116, Hadees : 2632)
(Sunan Al Kubra Volume : 02, Page : 322, Hadees : 3612)
(Imam Tabrani Al Muajamul Kabir, Volume : 12, Page : 50, Hadees : 12443)

Hadees No: 3
Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya :
Jab Insan Mar Jaata Hai To Us Ke Aamaal Ka Silsila Khatm Ho Jaata Hai Siwaye Teen Cheezon Ke (Unka Ajr Use Barabar Milta Rahta Hai) Ek Woh Saqda Jiska Nafa Jaari Rahe,
Dusra Woh Ilm Jisse Faayda Uthaaya
Jaaye, Teesra Woh Nek Awlaad Jo Us Ke Liye Duaa Kare.
(Sahi Muslim Volume : 03, Kitab No 25 – Kitabul Wasaya, Page : 1255, Hadees : 1631)
(Sunan Abu Dawood, Volume : 03, Kitab No 18 –Kitab Al Wasaya, Page : 117, Hadees : 2880)
(Imam Bukhari ne Al Adab Ul Mufrad, Volume : 01, Page : 28, Baab No 19 – Barril Walidain Baadl MautameenHadees : 38)

Hadees No: 4
“Hazrat Abu Hurrairah Radiallahu Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Khidmat Me Ek Shakhs Ne Arz Kiya :
Ya Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam !
Mera Baap Faut Ho Gaya Hai Aur Us Ne Maal Chhoda Hai Aur Waseeyat Bhi Nahi Ki Agar Mein Uske Taraf Se Sadqa Karoo’n To Kya Yah (Sadqa) Us Ke Gunaahon Ka Qaffara Ho Jaayega?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya : Haa’n.
(Sahi Muslim Volume : 03, Page : 1254, Kitab No 25 – Al WasayiatBaab No 02 – Sadakat Ke Sawab Ka Shudagan Tak PahuchnaHadees: 1630)
(Sunan Nasai, Volume : 06, Page : 251, Kitab 30, Kitabul WasayaBaab No 02, Shudagan Ke Badle Sadkat Karne Ke FazailHadees : 3625)
(Sunan Ibn Majah, Volume : 02, Page : 206, Kitab No 22 – Kitab Al WasayaHadees : 2716)

Hadees No: 5
Umool Momineen Hazrat Ayesha Siddiqua Tahira Radiallaho Anha Se Rivayat Hai Ke Ek Shaks Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ki
Bargaah Me Haajir Huwa Aur Arz Kiya:
Meri Walida Achanak Faut Hogyi Hai Aur Mera Khayal Hai Ki Agar Wo (Bawakte Naz’a) Guftgoo Kar Sakti To Sadke (Ki Adaygi Ka Hukm) Karti,
Agar Mein Uske Taraf Se Khairat Karoo’n To Kya Use Sawab pahuchega ? Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya ‘Haan.’
(Sahi Bukhari Volume : 03, Kitab 55 – Kitabul WasayaBaab No 19 – Sadakat Ke Sawab ka Shudagan Tak PahuchneHadees : 2760)
(Sahi Muslim Volume : 02, Kitab 12 :  Al ZakatBaab No 15 : Sadakat Ke Sawab Ka Shudagan Tak PahuchnaHadees : 1004)
(Sunan Abu Dawood, Volume : 03, Kitab No 18 : Kitabul WasayaBaab No : 1068 Page : 118, Hadees : 2881)
Albani Ne Bhi Isko Sahi Likha
Hai
(Sunan Nasai, Volume : 06, Kitab No 30 : Kitabul WasayaBaab No : 07 Kisi Shaks Ki Maut Par Uske Gharwaalo Ke Sadke Karne Ka Bayan, Page : 250, Hadees : 3649)
(Imam Nasai Sunan Al Kubra, Volume 04, Pg : 109, Hadees – 6476)

In Hadeese Pak Se Ye Khoob Saabit Hua Ki Isaale Sawab Jaiz Hai Aur Fatiha To 1000% Jaiz Hai. Ab In Hadeese Pak Par Badmazhab Ye Kehte Hai Ke Fautshuda Ko Wo 3 Hi Chize Jinka Upar Zikr Hai Wahi Nafa De Sakti Hai Tum To Khaane Pine Ki Chizo Par Isaale Sawab Karte Ho. Humne Upar Ek Hadees Pesh Ki Jisme Garden Isaale Sawab Kiya Gaya. Aage Ki Daleelo Ko Gour Se Padhe.

Hadees No: 6
Umme Saad Ke Liye KUN’WA (WALL):
“Hazrat Saad Bin Ubada Radiallahu Anhu Arz Karte Hai YA RASOOLALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam Meri Maa Wisal Kar Gayi, Mai Unki Taraf Se Sadka Karna Chahta Hu Konsa Sadka Afzal Rahega, Sarkar Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, PAANI.
Chunance Unhone Ek KUN’WA (Wall)
Khudwaya Aur Kaha ‘ ﻫَﺬِﻩِ ﻷُﻡِّ ﺳَﻌْﺪٍ ’ Yaani Ye Umme Saad Ke Liye ”
(Sunan Abu Dawood Volume : 02, Kitab 09 : Al ZakatBaab 561 : Paani Pahuchane Ke Fazail, Page : 180, Hadees : 1681)
(Mishkat Al Masabih Volume : 01, Page : 362, Hadees : 1912)
(Imam Munzir ne At Targhib Wa Tarhib, Volume : 02, Page : 41, Hadees : 1424)

Yahi Riwayat Imam Nasai Ne Is Tarah Likhi Hai,
Hazrat Sa’d Bin Ubaada Radiallahu Anhu Riwayat Karte Hain Ki Unki Waalida Faut Ho Gayi. Unhone Arz Kiya :
Ya Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ! Meri Waalida Faut Ho Gayi Hain, Kya Mein Uske Taraf Se Sadqa Kar Sakta Hoo’n?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne
Farmaya :
Ha’n.
Unhone Arz Kiya : To Koun Sa Sadqa Behtar Rahega?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya :
Paani Pilaana.
(To Unhone Eik Kuwa’n Kharid Kar
Musalmanon Ke Liye Waqf Kar Diya)
Phir Yah Kuwa’n Madinah Munawwarah Me Sa’d Ya Aale Sa’d Ke Paani Ke Sabeel (Ke Naam Se Mash’hoor Tha).”
(Imam Nasai , Sunan Nasai Volume : 06, Page : 255, Kitab No 30 – Kitab Al WasayaBaab No 9 :Zikreel Ektelafi Ala SufyanHadees : 2666)
(Imam NasaiSunan Al Kubra Volume : 04, Page : 112, Hadees : 6491)
(Musnad-E-Ahmad Ibn Hambal Volume : 05, Page : 284, Hadees : 22512)
(Imam Tabrani Majmaul Kabir Volume : 06, Page : 20, Hadees : 5379)

Pata Chala Ke Sirf Wo Amal Jaise Hajj, Roza, Sadkat Se Hi Nahi Balki Dusre Amal Jaise Paani Ke Jariye Bhi Isaal Kiya Jaa Sakta Hai. Aur Aakhir Us Wakt Paani Ka Intekhab Kyu Dusre Sahaba-E-Kiram Radiallaho Anho Ko Alag Alag Amal Bataya Hazrat Saad Bin Ubada Radiallahu Anho Ko Ye Kyu?
Unhe Bhi Koi Amal Hajj, Roza, Sadkaat Bataya Jaa Sakta Tha Na? Maazra Ye Tha Us Wakt Madina-E-Munawarra Me Paani Ki Killat Thi Lihaja Hukm Huwa Paani Ka Kuwa Khudwao Aur Phir Logo Ko Laani Mila Ab Jab Jab Log Us Paani Ke Kuwe Se Sairaab Hote Hai Sabka Sawab Hazrat Saad ibn Ubada Radiallaho Anhu Ki Walida Mazida Ko Pahuchta Hai.
Is Hadees-E-Paak Se Bahot Se Masle Hal Huwe.
Jaise Jarurat Ke Ki Cheez Isaal Kare Chunki Us Wakt Paani Ki Killat Thi To Paani Ka Hukm Huwa Aur Hum Aaj Dekhe To Aaj Bhi Bahot Si Jagah Paani Ki Killat Hai. Aaj Ummate Muslima Ko Achche Hospitals, Education, Deeni Madaris, Masjid Ki Jarurat Hai To In Sabko Banake Apne Buzurgo Ke Naam Se Mansoob Karna Phir Jab Tak Usse Musalmaan Fayda Uthayga Un Marhoomeen Aur Buzurgo Ko Bhi Iska Sawab Hasil Hoga.
Dusri Ek Baat Pata Chali Baaj Jahil Khawarij Wahabi Ye Bhi Kahte Hai Ke Kisi Khane Peene Ki Cheez Ko Kisi Ke Naam Se Mansoob Kar Dena Ye Shirk Hai. Is Hadees-E-Paak Se Ye Bhi Subaha Khatm Huwa Ke Kisi Ke Naam Se Mansoob Kar Dena Katayi Nazaiz-O-Shirk Biddat Nahi Balki KHUD NABI E KARIM Sallallahu Alaihi Wasallam Ne KUWE Ko Hazrat Saad Ibn Ubada Radiallaho Anho Ki Walida Ke Naam Se Mansoob Kiya Hai Agar Ye Nazaiz-O-shirk Biddat Hota To Hargiz Ye Amal Sabit Na Hota. Isiliye Ham Sunni Fatiha Me Khaane Peene Ki Chize Rakh Kar Uska Sawab Bakayda Naam Le Kar Marhumo Ko Mansoob Karte Hai Aur Is Khaane Ko Garieeb, Faqir, Miskino Me Takseem Karte Hai. Khud Bhi Tabrrukat Ke Tour Par Khate Hai Ke Is Par ALLAH Ke Kalaam Ki Tilawat Hui Hai. Isaale Sawab Ke Chand Tareeqe Hamare Aaqa Wa Maula Janabe Muhammad Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Apne Sahaba-E-Kiram Ko Bayan Farmaye Hai. Hum Kisi Bhi Jaiz Aur Halaal Chizo Se Isaale Sawab Kar Sakte Hai. Jara Aap Hi Soche Hadees Shareef Me Kuwa Khudwane Ka Zikr Hai. Ab Koi Kam Aqal Insan Ye Kahe Ki Hadees Me Sirf Kuwa Khudwa Kar Isaale Sawab Ka Zikr Hai Me Wahi Karunga. Ab Aaj Ke Dour Me Kuwa Sirf Dehato Me Dikhai Deta Hai Aur Naya Banane Ki Izazat Bhi Government Nahi Deti. To Kya Ham Isaale Sawab Hi Na Kare? ALLAH Hume Deen Ki Sahi Samaz Ataa Farmaye
Aameen
(Awwal Aakhir Durood)

Hadees No: 7
Hazrat Anas Radiallahu Anhu Farmate Hai Jab Nabi-E-Paak Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Hazrat Zainab Radiallaho Anha Se Nikah Kiya To Meri Walda Hazrat Umme Sulaim Radi Allaho Anha Ne Hais (Sattu, Ghee, Or Khazoor Se Bana Huwa Khana) Bana Kar Ek Tabaq Me Rakha Or Mujhe Kaha Ise Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Khidmat-E-Aqdas Me Le Jao Main Khidmat-E-Aqdas Sallallahu Alaihi Wasallam Me Hazir Huwa To Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jao Or Musalmano Me Se Tumhe Jo Mile Usse Bula Lao Mujhe Jo Mila Bula Laaya Or Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Dua Padha Or Jo Kuch Rab Ko Manzoor Tha Wo Aapne Dua Me Padha Phir Log Ghar Me Dakhil Hote Khana Khate Aur Nikal Jaate Sab Ne Sair Hokar Khaya Or Chale Gaye Kuch Log Baithe Rahe Unho Ne Lambi Baatein Shuru Kardi Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Unhe Kuch Kehne Se Haya Karte The Nabi-E-Paak Sallallahu Alaihi Wasallam Ghar Se Bahar Tashrif Le Gaye Magar Woh Log Wahin
Bethe Rahe. Us Wakt ALLAH Ta’ala Ne Ye Aayat Nazil Farmaya.
“Aye Imaanwaalo Nabi-E-Pak Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Ghar Me Begair Izazat Dakhil Na Huwa Karo, Na Khane Ke Wakt Taktey Raha Karo. Haa Agar Tumhe Khane Pe Bulaya Jao To Jarur Aao Lekin Khana Khane Ke Baad Chale Jaya Karo. Baatein Karne Me Na Lage Raho Tumhari Ye Harkatein Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Taklif Deti Hai Magar Wo Sharm Ki Wajah Se Tumhe Kuch Nahi Kehte Or ALLAH Ta’ala Haq Baat Kehne Me Sharm Nahi Karta
(Surah AhzaabPara 21, Ayat 53, Tarzuma Kanzul Imaan)
(Sahi Muslim Volume : 02 , Kitab No 16
Kitabun NikahBaab : Ummul Momineen Zainab Bint Jahsh Ke Nikah Ka Bayan Aur Hizab Ke Mutaalik Nuzool-E-Wahi Ka BayanHadees : 1428)
(Jamai Tirmizi Kitab No 47 Kitabut
TafseerHadees : 3524)

Kaum-E-Wahabiya Ko Halwe Se Badi
Nafrat Hai Ab Kyu Hai Ye To Wohi Jaane Lekin Hum Ahle Sunnat Ko Halwa kyu Pasand Hai Aaiye Hadees-E-Paak Se Dikhate Hai

Hadees No: 8
Umool Momineen Hazrat Ayesha
Siddiqua Tahira Radiallaho Anha Se
Rivayat Hai Ke Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Halwa (Sheerni) Aur Shahed (Honey) Pasand Farmate The.
(Sahi Bukhari, Volume : 02, Kitab No 76 Al TibbHadees :5682)
(Sahi Bukhari, Volume : 02 ,Kitab No 74 AL Taam’at (Food), Hadees : 5431/5599)
(Sunan Ibn MajahKitab No 29 AL
Taam’at (Food), Hadees : 3448)
(Imam Tirmizi Ne Shama’il-E-Muhammadiya Kitab No 26, Hadees :
163)

Pata Chala Halwa To Khud Huzoor Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Pasand Tha Isliye Ahle Sunnat Khoob Khate Hai Ab Khud Faisla Karlo Jo Cheez Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Pasand Hai Tum Uska Mazaak Udhaao To Tum Kaun Ho?
Aur Ab Tumhe Kawwe Gadho Pe Pyaar
Aaya Hai To Hum Kya Kare? Aur Ek Ahem Baat Halwa Khana Haraam Shirk Biddat Bolte Hai. Aur Jarur Khane Pehle Aate Hai. Isliye Hamare Imam Aalahazrat Azeemul Barkat Rehmatullah Alaihi Kya Khoob Farmate Hai

Tera Khaye Tere Gulamo Se Uljhe
Hai Munkeer Ajab Khane Gurranewaale


Khaate Hai Sunni Halwa Sarkar Ke Karam Se
Dekho To Najdiyo(n) Ko Kawwo Pe Pyaar Aaye.


Hadees No: 9
Jo Qabristan Me 11 Martaba Surah
Ekhlaas Padhke Tamam Ahle Qaboor Ko Isaale Sawab Karde To Sabke Barabar Isaale Sawab Karne Ka Azr Karnewaale Ko Milega”
(Jami’ Jawami‘ Al-Suyuti, Volume 08 Page : 280, Hadees : 23102)

Agar Itni Daleel Dene Ke Bawazood Bhi Kisiko Fatiha Haraam Lagti Hai To Wo Yaha Gour Kare.
“Tum Farmaao Laao Apne Wo Gawaah Jo Gawahi De Ki ALLAH Ne Use Haraam Kiya”
(Surah AnamPara 7, Aayat 150, Tarzuma Kanzul Imaan)

Hadees No: 10
“Hazrat Umar Bin Khattab Radiallahu Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya
“Aamaal Ka Daaromadaar Niyyat Par Hai Aur Har Shakhs Ke Liye Wahi Hai Jiski Usne Niyyat Ki.”
(Sahi Al Bukhari, Volume : 01,Kitab Ul ImaanHadees : 54)

Hadees No: 11
Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya, “Musalmaan Ki Niyyat Uske Amal Se
Behtar Hai”
(Al Majmaul Kabir Lil Tabrani Volume : 06, Page : 180, Hadees : 5942)

Hadees No: 12
Huzoor-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan-E-Aalishan Hai Acchi Niyat Bande Ko Jannat Me Daakhil Kar Deti Hai”
(Imam Suyuti Al Jaaame Sageer ,v
Volume : 01, Page : 800, Hadees : 1326, Darool Kitab Beirut)

In Hadees-E-Paak Se Wajeh Hua Ke Musalmaan Ki Niyyat Har Kaam Ke Liye Hona Jaruri Hai.  Ke Insaan Ko Niyat Ke Mutabik Hi Azr-O-Sawab Milega Aur Nekiyo Me Izafa Bhi Hoga Isliye Har Musalmaan Ki Niyat Sadkaat Se Leke Dua Karne Tak Ye Niyat Rakhni Chahye Ke Hum Nazr-O-Isaal Kar Rahe Hai INSHA ALLAH
Hume Bhi Fayda Hoga Dusre Ko Bhi
Fayda Hoga. Hum Marhumo Ke Isaale Sawab Ki Niyat Se Fatiha Kare To Sawab Insha ALLAH Jaroor Milega.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!