Ramzan

Ek Roza Chhodhne Ka Nuqsaan

Hazrate Sayyiduna Abu Huraira رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Riwayat hai,
Sarkare Wala Tabaar,
Bi Izni Parwardigaar,
Do Jahan Ke Maaliko Mukhtaar,
Shahenshaahe Abraar صلی اللہ تعلى علیہ وسلم Farmate hai
“Jisne Ramadan Ke Ek Din Ka Roza Bagair Rukhsat Wa Bagair Marz Iftaar Kiya (Yaani Na Rakha) Toh Zamana Bhar Ka Roza bhi Uski Qaza Nahi Ho Sakta Agarche Baad Me Rakh Bhi Le.
(Sahih Bukhari , Jild 1, Safah 638, Hadees 1943.)
Mehfum-E-Hadees :
Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Agar Kisi Ne ALLAH Ki Di Huyee Rukhsat Ke Alawa Ramzan Ka Roza Na Rakha (Ya Tod Diya) Tou Saari Umar Ke Rozey Bhi Iski Kami Ko Puraa Na Kar Sakegey”.
 (Sunan Abu Dawud, Vol2, No.624)
ALLAHU Akbar !
Ek Roza Qasdan Bila Wajah Chhod Dene Ke Kis Qadar Nuksan Hai.
ALLAH Ham Sabko Ramzan Ke Pure Roze Rakhne Ki Taufiq Ataa Farmaye.
Aur Maahe Ramzan Ke Muqaddas Mahine Me Jyada Se Jyada Ibadate Karne Ki Taufiq Ataa Farmaye.
Aameen Summa Aameen
Awwal Aakhir Durood
Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
World’s Best Islamic Blog
www.hamarenabi.in
(All Masle Masails Of Ramzan Are Available On Ramzan Page)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!