Ramzan

20 Rakaat Taraweeh Aur Sahaba-E-Kiram Ka Amal

Hazrate Umar رضي الله تعالٰی عنه Ke Khilafat Ke Daur Me Hazrate Abdur Rehman bin Abdul Qari  رضي الله تعالٰی عنه Farmate Hain Ki Woh Ramzan Ki Raat Me Hazrate Umar رضي الله تعالٰی عنه Ke Saath Masjid Gaye Aur Logo Ko Alag Alag Namaz Padhtey Hue Paya Aur Kuch Mil Kar Padh Rahe The.
Hazrate Umar رضي الله تعالٰی عنه Ne Yeh Dekh Kar Farmaya: Mein Munasib Samajhta Hoon Ke Sab Ko Ek Imam Ke Saath Jama Kar Doon Toh Behtar Hai.
Aap Ne Sab Ko Jama Farmaya Aur Hazrate Ubayy bin Ka’b رضي الله تعالٰی عنه Ko Imamat Ka Huqm Diya.
Aur Phir Ek Aur Raat Me Hazrate Umar رضي الله تعالٰی عنه Ke Saath Masjid Chala Gaya Aur Humney Logo Ko Imam Ke Pichey Namaz Adaa Karte Dekha.
Is Par Hazrate Umar رضي الله تعالٰی عنه Ne Farmaya :
نِعْمَ الْبِدْعَةُ هَذِهِ،
(Yani Kitni Achchi Biddat Hai)
Sahih Bukhari : Hadees 2010
Book ref : 31, Hadees 3
Eng ref. : Vol. 3, Book 32, Hadees 227

Sahabi E Rasul Hazrat Saiyyeduna Abdullah Ibne Masood Radiallaho Ta’la Anhu 20 Rakaat Taraveeh Padhtey.
Dosto Hazrat Abdullah Ibne Masood Radiallaho Anhu Wo Sahabi Hai Jinhone Sabse Pahla Kabe me Quran Ki Tilawat Ki  Thi Aur Sabse Pahle Imaan Lanewalo Me Saamil Hai,
Umdat Ul Qari Allama Badruddin Aaini Ne Hazrat Imam A’amash Ki Riwayat Se Hadith Bayan Ki Jiske Mutabik Hazrat Abdullah Ibne Masood Radiallaho Anhu 20 Rakaat Taraveeh Padhte The
عن الأعمش عن زيد بن وهب قال كان عبد الله بن مسعود يصلي لنا في شهر رمضان فينصرف وعليه ليل قال الأعمش كان يصلي عشرين ركعة ويوتر بثلاث-
▶ Hazrat A’amash Ne Hazrat Zaid Bin Wahb Radiallaho Anhu Se Riwayat Ki Ke Hazrat Zaid Farmate Hai –
Hazrat Abdullah Logo Ko Ramdan Me 20 Rakaat Taraveeh Aur 3 Rakaat Witr Padhate
Umdatul Qari Sharh Sahih Bukhari, Kitab Ut Taraweeh, Vol 8, Page No: 24

TARAVEEH Ke Silsile Me Chand Baten Jise Zahen Me Khas Taur Se Rakhna Chahiye Taki Aap Gumrahon Ke Fareb Me Na Aa Sake….
1= Taraveeh Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Bhi Padhi Magar Rakaton Ki Had Aur Takeed Sanade Sahi Se Sabit Nahi…
2= Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Zamane Me Sahaba E Kiram رضوان الله عليهم أجمعين Bhi Taraveeh Padhte The Aur Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne ise Dekh Kar Pasand Farmaya
3= Ye Taraveeh Ba’jamat Bhi Hoti Thi Magar Eik Hi imam Ke Piche Nahi Nahi Balki Kai Kai Jamaten Hoti Thi,
4= Taraveeh Ki Ye Jamaten Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Zamane Me Bhi Hoti Rahi Aur Aapke Bad Bhi, Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Zamane Me Hone Ki Riwayat Hazrat Abu Hurairah رضى الله عنه & Hazrat Solab Bin Abi Malik Qarzi رضى الله عنه Ki Sunane Behaqi Me Maujood Hai,  Aur Hazrat Umar Farooq رضى الله عنه Ke Zamane Me Hone Ka Zikr Hazrat Abdur Rehman Bin Abdul Qari رحمه الله تعالى Ki Riwayat Sahi Bukhari Volume-1, Page-269 Me Aur Hazrat Nofil Bin Ayas Hazli رحمه الله تعالى Ki Asarus sunan Me Maujood Hai…
5= Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Zamane Se Hazrat Umar رضى الله عنه Ke Zamane Tak Taraveeh Ki Jo Jamat Alag Alag Hoti Thi Hazrat Umar رضى الله عنه Ne Taman Logon Ko Jama Farma Kar Eik imam Hazrat Ubai Bin Ka’ab رضى الله عنه Ke Piche Kar Diya Jinke Hawale Se Huzoor صلى الله عليه وسلم Ka Ye Irshad Maujood Hai.
أقراكم ابى بن كعب
Tum Me Sab Se Achcha Quran Padhne Wala Ubai Bin Ka’ab Hai…..
6= Haan Tamam Riwayaat Par Nazar Dalne Se Ye Nahi Pata Chalta Ki Hzuoor صلى الله عليه وسلم Ke Zamane Me Sahaba Kitni Rak’at Taraveeh Padhte The???
Magar 8 To Hargiz Nahi Padhte The is Liye Ki Hazrat Dawood Bin Haseen رضى الله عنه Ki Moatta imam Malik Me Ye Riwayat Maujood Hai….
عن داؤد بن الحصين انه سمع الاعرج يقول ما ادركت الناس الاوهم يلعون الكفرة فى رمضان وكان القارى يقرأ سورة البقرة فى ثمان ركعات فاذا قام بها فى اثنى عشرة ركعة رأى الناس انه قد خفف
Dawood Bin Haseen Se Marwi Hai Ki Hunho Ne Hazrat A’raj Ko Kehte Suna Ki Mein Ne Logon Ko (Sahaba Ko) Paya Ki Wo Ramzan Me Kuffar Par Lanat Bhejte The Aur imam 8 Rakaton Me Surah BAQRAH Padh Dalta Phir Jab 12wi Ra’kat Me Khada Hota To Logon Ko Lagta Ki Ab usne Qirat Me Kami Ki
(موطا امام مالك، ص-٤٣)
Is Hadees Ki Sanad Me Kisi Ko Kalaam Nahi iski Sanad Sahi Hai Aur isme Sahaba Ka 8 Se Ziydah Padhna Maloom Hua Kyu Ki 8 Tak To Sure BAQRAH imam Padhta Aur 12 wi Rakat Me Kuch Kam Karta, Dhiyan Dijiye 12 Ke Aage Padhna is Me Mana Bhi Nahi Hai Yani 12wi Rakat Me Qirat Kam Hoti Yani Sahaba isse Bhi Ziydah 20 Padhte The.
7= Taraveeh Ke Silsile Me Ye Point Sab Se Ziydah important Hai Ki Hazrat umar رضى الله عنه Se Pehle Jo Hua So Hua Lekin Hazrat Umar رضى الله عنه Ne Hazrat Ubai Bin Ka’ab رضى الله عنه Ko 20 Hi Rakat Padhane Ka Hukm Diya…..
(Aur iski Riwayaat Aage Aarahi Hai) Ajeeb Baat Hai Jab Hazrat Umar 20 Rakat Padhane Ka Hukm De Rahe Hain To Us WAQT AJALLA SAHABA HAYAT The Kisi Ne Bhi Hazrat Umar رضى الله عنه Ke Faisle Ki Mukhalifat Kyun Nahi Ki Agar Taraveeh 8 Hi Rakat Thi To???
Khud ummul Momineen Sayyedah Aisha رضي الله عنها Hayat Thi’n Jinki Tahajjud Wali 8 Ko Gair Muqallideen Taraveeh Ki Riwayat Samajhte Hain Unho Ne Hazrat Umar رضى الله عنه Ko Roka Kyun Nahi Toka Kyun Nahi Ki Aap Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Amal Ki Mukhalifat Kar Rahe Hain iska Matlab Yahi Hai Ki Ummul Momineen Ke Nazdeek Bhi Taraveeh 20 Hi Rakat Sunnat Thi, Khalifae WAQT Hazrat Umar رضى الله عنه Ke Bad Tamam Sahaba Ne unki TAQLEED Karte Huye 20 Hi Rakat Taraveeh Ba Jamat Padhi  Aur is Tarah Maslaye Taraveeh ijam Sahaba Se Sabit Hua Aur Ab Jo Iski Mukhalifat Karta Hai Wo Gumrah Hai BeDeen Hai….
Kya Hazrat Umar رضى الله عنه Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Marzi Ke Khilaf Kar Sakte The?
Aur Kya Sahaba رضوان الله عليهم أجمعين Hazrat Umar Ko Khilafe Amale Rasool صلى الله عليه وسلم Karte Paa Kar Apna Khilafa Maan Lete?
Taraveeh Ko Bid’ate Farooqi Kehne Walon Hosh Ke Nakhun Lo Kaun Umar?
Jinke Hawale Se Hadees Me Aya Hai Ki Quran Hazat Umar رضى الله عنه Ki Raye Ke Mutabiq Nazil Hota, Umar Wo Hain Jinke Bare Me Huzoor صلى الله عليه وسلم Farmate Hain.
لو كان بعدى نبى لكان عمر
Mere Bad Koi Nabi Hota To Umar Hote.
Aur Farmaya Allah Ke Rasool Ne.
ان الله جعل الحق على لسانه عمر وقلبه
Allah Ne HAQ Ki Boli Umar Ke Dil Aur Zuban Par Jari Farma Diya Hai….
Eik Jagah Aur Huzoor صلى الله عليه وسلم Farmate Hain. 
ان الشيطان يخاف منك يا عمر
Aye Umar Tujh Se Shaitan Bhi Darta Hai
(مشكوة المصابيح، ج-٢، ص-٥٥٦)
Sach Farmaya Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Shaitan Kal Bhi Umar Ke Raste Se Bhagta Tha Aur Aaj Ka Gair Muqallid Shaitan Bhi Umar Ke Raste Se Bhagta Hai….
Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Amal Se Agar Che Taraveeh Ki Tadade Rakat Ka Sande Sahi Se Koi Pukhta Saboot Nahi Magar Tamam Sahaba Ke Amal Aur ijma Se Sabit Ho Gaya Ki Hzuoor 20 Hi Padhte The Aur Ab Hazrat Abdulullah Bin Abbas Wali Riwayat Bhi Qabile istedlal Ho Gai Aur Suniye imam Abu Dawood Sijtani Farmate Hain
ان تنازع الخبران عن النبى صلى الله عليه وسلم ينظر بما اخذبه أصحابه
Hamare Samne Jo 2 Hadisen Takraye To Dekha Jayega Ki Sahaba Ka Amal Kis Ke MUTABIQ Tha
(ابو داؤد شريف، ج-١، ص-٢٦٣)
8 wali Hazrat Jabir Bin Abdulullah رضى الله عنه Ki Riwayat Par Kisi Sahabi Ka Amal Nahi Tha Aur Hazrat Abdulullah Bin Abbas Ki 20 Wali Hadees Par Tamam Sahaba Ka Amal Tha……
Na Sirf Sahaba 4rom Imam Tamam Muhaddiseen Fuqha Wa Mujtahideen Wa Jamla Muslimeen Ka Amal Hai Aur Ab Angrezi Paidawar Shariat Bezar Nafs Aur Shaitan Ke Pairokar Gair Muqallideen Ka inkar Hai………
Chaliye Eik Aasan Nukta Aapko Samjha Den….
     Waise To 8 Rakat TARAVEEH Hai Hi Nahi Magar Khuda Na Khawsta TARAVEEH 8 Ho Jaye Aur Ba’roze Mehshar Jab Allah Ki Bargah Me Namazon Ka Hisab Hoga To 8 Walon Aap Khush Ho Jana Kyun Ki Aap Ki Baat Sahi Thi Magar Sach Batao 20 Wale Kaunse Ghate Me Rahege?
Hum To 20 Lekar Gaye Hain Kya 8 Rakat 20 Ke Andar Nahi Aati?
Aur 20 Hi Nikli To Aapki Thukai Kitni Buri Hogi Zara To Socho.
    20 Rakat Taraveeh Ko Bid’ate Farooqi Keh Kar Manne Se inkar Karne Wale Gair Muqallideen 8 Rakat To Sabit Kar Hi Nahi Sakte Bas Wo Hame Ye Batayen Ki 8 Ho Ya 20 Ramzan Ke Pure Mahine Me Taraveeh Jamat Se Padhna Ye Kis Ki Sunnat Hai??
Ye Bhi To Hazrat Umar Hi Ki Sunnat Hai, Kya Huzoor صلى الله عليه وسلم Se Ek Maah Ba Jamat Taraveeh Padhna Gair Muqallideen Sabit Kar Sakte Hain.?
Ajeeb Baat Hai Ek Sunnat Me Ita’at Ek Me Mukhalifat……
20 Rakat Taraveeh Padhna Huzoor صلى الله عليه وسلم Se Sabit Hai Jaisa Ki Hazrat Abdullah Bin Abbas Hain Ki Riwayat Se Sabit Hua, is Par Tamam Sahaba Ka Amal Aur Ijma Hai Aur Tawatur Se Yahi Chala Aaraha Hai………
Hazrat Umar Hazrat Usman Aur Hazrat Ali  رضى الله عنهم Ke Ahde Khilafat Me Taraveeh Ka 20 Rakat Hona Darj Za’il Riwayaton Se Sabit Hai Jo Sab Ki Sab Sanad Ke Lihaz Se Sahi Hai…..
1========
Daure Hazrat Amirul Momineen Sayyedna Umar Farooq رضى الله عنه Aur 20-Rakat Taraveeh…..
Hazrat YAHYA Bin Sa’eed رحمه الله تعالى Se Marwi Hai….
ان عمر بن الخطاب امر رجلاً يصلى بهم عشرين ركعة
Hazrat Umar Bin Khattab رضى الله عنه Ne Ek Shakhs Ko Hukm Diya Ki Wo Logon (Sahaba Wa Taba’een) Ko 20 Rakat Taraveeh Padhaye
(مصنف ابن ابى شيبه، ج-٢، ص-٣٩٣)
Hazrat Yazeed Bin Roman رحمه الله تعالى Kehte Hain
عن يزيد بن رومان انه قال كان الناس يقومون فى زمان عمر بن الخطاب فى رمضان بثلاث وعشرين ركعة
Yazeed Bin Roman Kehte Hain Log (Sahaba Wa Taba’een) Hazrat Umar Ke Zamane Me 23 Rakat Padhte The (20-Taraveeh 3-Vitr)
(مؤطا امام مالك، ص-٤٣)
Hazrat Abdul Azeez Bin Rafee Kehte Hain….
عن عبد العزيز بن رفيع قال كان ابى بن كعب يصلى بالناس فى رمضان باالمدينة عشرين ركعة ويوتر بثلاث
Abdul Azeez Bin Rafee Kehte Hain Ki Hazrat Ubai Bin Ka’ab Logon Ko Ramzan Me Madinah Me 20 Rakat Taraveeh Aur 3 Witr Padhate The
(مصنف ابن ابى شيبه،، ج-٢، ص-٣٩٣)
2==========
Daure Hazrat Amirul Momineen Sayyedna Usman Bin Affan رضى الله عنه Aur 20-Rakat Taraveeh…..
عن السائب بن يزيد قال كانو يقومون على عهد عمر بن الخطاب فى شهر رمضان بعشرين ركعة قال وكانو يقرون باالمئين وكانو يتوكون على عصيهم فى عهد عثمان بن عفان من شدة القيام
Hazrat Sayeb Bin Yazeed Farmate Hain Ki Hazrat Umar & Hazrat Usman رضى الله عنهما Ke Zamane Me (Sahaba e Kiram) Ba’jamat 20 Rakat Taraveeh Padhte The, Aur (imam) 100-100 Aayaat Wali Surten Padhte The, Aur Log Lambe Qayam Ki Wajah Se Hazrat Usman Ke Daur Me Lathiyon Ka Sahara Lete The
(السنن الكبرى للبيهقى،  ج-٢، ص-٤٩٦، باب- ماروى فى عدد ركعات القيام فى شهر رمضان)
3=======
DAURE Amirul Momineen Sayyedna Hazrat Ali رضى الله عنه Aur 20 Rakat Taraveeh….
حدثنى زيد بن على عن أبيه عن جده عن على انه امر الذى يصلى بالناس صلاة القيام فى شهر رمضان أن يصلى بهم عشرين ركعة يسلم فى كل ركعتين ويراوح ما بين كل اربع ركعات فيرجع ذوالحاجة ويتوضأ الرجل وأن يوتر بهم من آخر الليل حين الإنصراف
TARJAMAH-
imam Zaid Apne Walid Hazrat imam Zainul Abideen Se Wo Apne walid Saiyyedna imam Husain Se Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Ali Ne Jisko Ramzan Me Taraveeh Ka imam Banaya Use Hukm Diya Ki Wo Logon Ko 20-Rakat Padhaye Aur Har 2 Rakat Pe Salam Phere, Aur Har 4 Rakat Me itna Aaram Kare Ki Kisi Ko Hajat Ho To Wo Farig Ho Le Aur Sab Se Akhir Me Witr Padhaye
(مسند الامام زيد، ص-١٥٨، باب القيام فى شهر رمضان)
عن أبى الحسناء أن عليا أمر رجلا يصلى بهم فى رمضان عشرين ركعة
Hazrat Abul Hasna Se Riwayat Hai Ki Hazrat Ali Ne Eik Shakhs Ko Hukm Diya Ki Wo Logon Ko 20 Rakat Taraveeh Padhaye
(مصنف ابن ابى شيبه، ج-٥، ص-٢٢٣، كم يصلى فى رمضان من ركعة؟ رقم الحدیث-٧٧٦٣)
TARAVEEH Ki Jo Namaz Huzoor Se Hazrat Amirul Momineem Sayyeda Abu Bakar Siddiq Ke Zamane Tak Akele Ya Kai Kai Jamaton Ki Shakl Me Hoti Thi Wo Hazrat Umar Ke Zamane Se Ba’qaidah Ba’jamat Ek imam Ke Piche Hone Lagi, Aur Tab Se Ab Tak 20 Hi Ka Mamool Ban Gaya.
Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
World’s Best Islamic Blog
www.hamarenabi.in
(All Masle Masails Of Ramzan Are Available On Ramzan Page)


Challenge To​ All Badmazhab Ahle Khabees/Wahabi To Prove 8 Rakah Tarawih Salat


25 Lacs Reward Declared By Fikr-E-Raza Management & Radde Whabiyat 24.


Prove Tarawih 8 Rakah Salat From Bukhari Shareef & Take This Reward Of 25 Lacs Indian Rupees.


We Know They Can’t Prove Till The Day Of Judgement. 



Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!