Aqamat Ka Bayan Aur Masle
Hazrat Qatadah (Radiallahu Anhu) se Riwayat hai ke Rasool Allah (Sallallaho Alayhi Wasallam) ne farmaya :
“Jab Aqamt padhi jaaye to tum Namaz ke liye mat khade ho jab tak mujhe na dekho.”
(Muslim Sharif)
Abur Rehmaan bin Auf Farmate hai ke main ne Abuhurera (Radiallahu Anhu) se suna hai
Jab Aqamat padhi jaati toh hum khade ho jaate aur saffo ko barabar karte is se pehle ki aap (Sallallaho Alaihi Wasallam) Tashreef late.
(Muslim Sharif)
Ye Masala Istehbaab (Pasand) ka hai Farz ya Waajib ka nahi hai.
Imam Shafae:
Aqamat hojane ke Baad khade hona.
Imam Maalik:
Aqamat Shuru hote hi khade hona.
Imam Hanbal:
Aqamat mein Qadka matisSalah par khade hona.
Imam Hanifa:
Aqamat mein Hayya Alas Salah par khade hona.
Imam AbuHanifa, Imam AbuYusuf, Imam Muhammed (Radiallahu Anhu) ke Nazdik
“Hayya Alas Salah” pe khade hona Mustahab (Pasandeeda) hai.
Hazrat Abu Qatadah Radiallahu Anhu bayan karte hain ki:
Rasoolullah {ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм} ne farmaya,
Jab Namaz ki Aqamat ho to us waqt tak na khade ho,
Jab tak Mujhe Na dekh lo.
(Muslim, Kitab Mawazeus Salaat, Hadees No. 1324-1325,
Bukhari, Hadees No.637-638-909,
Abu Dawood, Hadees No. 539-540,
Tirmizi, Hadees No. 592,
Nisai, Hadees No. 686-789)
MAS’ALA:
Sharhe navvi MUSLIM SHARIF me imaam navvi
hadeese paak “LA TAKUMU” ki hanafi sharah
taharir farmaate hue imaame aazam Abu Hanifa ka mazhab pesh karte hai,
“Farmaya imaam ABU HANIFAH aur ulma e kufah ne kaha saf me us waqt khade hon jab muajjin ‘HAYYA ALAS SALAH’ kahe”
(Jild AWWAL, SAFAH-221)
Hazrate Imam Abu Hanifa ka qaul hai
Jab moazzin ‘ Hayya Alas Salah ‘ par pahuche is waqt khade ho.
Mas’ala:
Jab Koi Sakhs Taqbir ke Waqt Masjid me aye to khade reh kar Jama’at Ka Intezar karna Makrooh Hai. Us waqt Baith Jana chahiye. Fir Us
waqt Khada ho jab Muazzin HAYYA ALAS SALAH kahe. Hamare Imam E Azam, aur Imam Yusuf aur
Imam Mohammed Ke Nazdik Bhi Imaam Aur Muktadiyon Ko HIYYA ALAS SALLAH ke waqt
Khada hona chahiye Yahi Sahi aur Dusrust Hai.
(FATAWA ALAMGIRI HISSA:AWWAL SAFA: 14, & 21)
Note:
Fatawa Alamgiri woh Kitab Hai Jo Hazrat Aurangzeb Alamgir Rahmatullah alayhi. Ki Leadership Me pure Hindustan ke Takriban 500 Olma e Kiram ne Mil Kar Banaya Hai.
Kuchh log Masjid me Takbeer ke shuru ‘Allahu Akbar Allahu Akbar’ se hi uthkar khade ho jate
hain, Ye Bilkul Galat Hai. Pahele hi khada hona Ta’azime Rasool SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM
ke khilaaf hai.