Eid Ul Azha Aur Qurbani Ka Bayan
Allah Rabbul izzat irshad Farmata Hai..
“Tum Apne Rab Ke Liye Namaz Padho Aur Qurbani Karo”
(Para 30, Sure Kausar Ayat No 2, Tarzuma Kanzul Imaan)
Qurabni Hazrat ibraheem عليه السلام Ki Sunnat Hai Jo is Ummat Ke Liye BAQI Rakhi Gai Aur Huzoor ﷺ Ko Iska Hukm Farmaya Gaya.
Huzoor Sarware Kainaat ﷺ Ke Muqaddas Irshadaat.
✏HADEES:
Hazrat Abdullah Bin Abbas رضی اللہ تعالٰی عنہما Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool ﷺ Ne Eid Ke Din (Eidul Adha Me) Jo Paisa Qurbani Par Kharch Hua Usse Pyara Koi Rupya Nahi
{المعجم الكبير، جلد-11، صفحہ-15، الحديث-10894}
✏HADEES:
Hazrat Umme Salma رضی اللہ تعالٰی عنہا Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool ﷺ Ne Jisne ZIL HIJJAH Ka Chand Dekha Aur iradah Qurbani Ka Ho To Jab Tak Qurbani Na Kar Le Baal Nakhun Na Kate
{جامع الترمذي، كتاب الضحايا، باب ما جاء في إيجاب الأضاحي، جلد-3، صفحہ-123، الحديث-1500}
✏HADEES:
Hazrat Imame Hasan Bin Ali رضی اللہ تعالٰی عنہما Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool ﷺ Ne Jisne Khush Dili Se Sawab Ki Talab Me Qurbani Ki Wo Uske Liye Jahannam Se Rok (Pardah) Ho Jayegi
{المعجم الكبير، جلد-3، صفحہ نمبر-84، الحديث-2736}
✏Hadees:
Ummul Momineen Sayyedah Aishah Siddiqah رضی اللہ تعالٰی عنہا Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool ﷺ Ne…
Yaumun Nahar (10-wi Zilhijjah) Ko ibne Adam Ka Koi Amal Allah Ke Nazdeek Khoon Bahane Se Ziyadah Pyara Nahi
Aur Wo Janwar Qayamat Ke Din Apne Seeng Aur Baal Aur Khuron Ke Sath Ayega aur Qurbani Ka Khoon Zameen Par Girne Se Qabl Allah Ke Nazdeek MAQAME Qubool Me Pahoch Jata Hai Lihaza Use Khush Dili Se Karo
{جامع الترمذي، كتاب الأضاحي، باب ماجاء في فضل الأضحية، جلد-3، صفحہ نمبر-163، الحديث-1498}
Hazrat ibraheem عليه السلام Ki Sunnat Ke Ahya (Zindah Rakhne) Me Jo Qurbani Wajib Hai Wo Sirf Gani (Maldar) Par Hai Aur Uske WAJIB Hone Ki Kuch Shara’it Hain Jo Ye Hain….
1. Musalman Hona Gair Muslim Par Wajib Nahi
2. Muqaeem Hona Musafir Par Wajib Nahi
3. MALIKE NISAB Hona Aur Nisab Wo Jisse Sadqae Fitr Wajib Hota Hai Na Ki Zakat Wala Nisab
4. Hurriyat Yani Aazad Hona Gulam Par Qurbani Wajib Nahi
Musalman Maldar Muqeem Aazad Mard Ya Aurat Ho Un Par Wajib Hai.
✒Mas’ala:
Shara’it Jo Upar Bayan Hui Unka Pure WAQT Me Paya Jana Zaroori Nahi Balki Qurbani Ke Liye Jo WAQT MUQARRAR Hai (10wi Zilhijja Se 12wi Ke Suraj Dobne Tak) Usme Se Kisi Hisse Me Shara’it Paai Gai To Qurbani Wajib Hai, Masalan Eik Shakhs Shuru Waqt Me Kafir Tha Phir Musalman Hua Aur Abhi Qurbani Ka WAQT hai To Uspe Qurbani Wajib Hai Eik Shakhs Gulam Tha Ab Azad Hua Uspe Wajib Hai, Eik Shakhs FAQEER Tha Ab Gani Hua Uspe Wajib Hai
{الفتاوى الهندية، كتاب الأضحية، الباب الأول في تفسيرها…….إلخ جلد-5، صفحہ-293}
✒Mas’ala:
Musafir Par Agarche Wajib Nahi Magar NAFL Ke Taur Par Kar Sakta Hai, Sawab Payega, Hujjaaj (Haj Karne Wale) Jo Musafir Hain Un Par Qurabni Wajib Nahi, Haan Jo Wahan Ke Sukkan (Rehnewale) Hain Un par WAJIB Hai Wo Log Musafir Nahi Hain
{الدرالمختار”و”ردالمحتار، كتاب الأضحية، جلد-9، صفحہ 524}
✏Hadees:
Hazrat Abu Hurairah ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Se Riwayat
Hai Farmaya Allah Ke Rasool ﷺ
Ne.
Jisme Us’at Ho Aur Qurbani Na Kare Wo Hamari
Eid Gaah Ke Qareeb Na Aaye
{ ﺳﻨﻦ ﺍﺑﻦ ﻣﺎﺟﮧ، ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻷﺿﺎﺣﻲ، ﺑﺎﺏ ﺍﻷﺿﺎﺣﻲ
ﻭﺍﺟﺒﺔﻫﻰ ﺃﻡ ﻻ، ﺟﻠﺪ 3- ، ﺻﻔﺤﮧ 539- ، ﺍﻟﺤﺪﻳﺚ 3123- }
✒Mas’ala:
Jo Shakhs 200 Darham Ya 20 Dinaar Ka Malik Ho
Ya Hajat Ke Siwa kisi Aisi Chiz ka Malik Ho Jiski
Qimat 200 Darham Ho Wo Gani Hai Aur uspe
Qurbani Wajib Hai
{ ﺍﻟﻔﺘﺎﻭﻯ ﺍﻟﻬﻨﺪﻳﺔ، ﺟﻠﺪ5- ، ﺻﻔﺤﮧ 292- }
✒Mas’ala:
Jis Shakhs Par Qarz Ho Aur Qarz Ki Raqam Nikal
Lee Jaye To Phir Qurbani Ka Nisab Baqi Nahi
Rehta Uspe Qurabni Wajib Nahi.
Agar Maal Hai Magar Maujood Nahi Qurbani Ke
Bad Milega To Bad Me Uspe Wajib Nahi
{Bahar-E-Shari’at, Hissa-15, Page-333}
✒Mas’ala:
Eik Shakhs Ne Qurbani Ke Liye Bakri Kharidi Thi
Wo Gum Ho Gai Aur uska Maal Nisab Se Kam Hua
To uspe Dusra Janwar Kharid Kar Qurbani Karna
Wajib Nahi, Agar Wo Qurbani Ke Ayyam Me Hi Mil
Gai Lekin Ab Ye Shakhs Gani (Malike nisab) Nahi
Raha To Ispe Bhi Qurbani Wajib Nahi
{Alamgiri, Volume-5, Page-292}
✏Hadees:
Hazrat Ibne Abbas ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮩﻤﺎ Kehte Hain
Ki Allah Ke Rasool ﷺ Ne Raat Me
Qurbani Karne Se Mana Farmaya
{ ﺍﻟﻤﻌﺠﻢ ﺍﻟﻜﺒﻴﺮ، ﺟﻠﺪ 11- ، ﺻﻔﺤﮧ 152- ، ﺍﻟﺤﺪﻳﺚ 11458- }
✒Mas’ala:
Qurbani Ke WAQT Me Qurbani Hi Karna Lazim Hai,
Koi Dusri Chiz Uske Qayama Muqam Nahi Ho
sakti, Masalan Bajaye Qurbani Ke Bakri Ki Qimat
Sadqa Kar Dee To Ye Na’kaafi Hai
{ ﺍﻟﻔﺘﺎﻭﻯ ﺍﻟﻬﻨﺪﻳﺔ، ﺟﻠﺪ5- ، ﺻﻔﺤﮧ 293- }
✒Mas’ala:
Qurbani Ka WAQT 10wi zilhijjah Ke Tuluye Subhe
Sadiq Se 12wi Ke Guroobe Aaftab Tak Hai, Yani 3-
Din Aur 2-Raten, Aur in Dino Ko Ayyame Nahar
Kehte Hain
{Bahar-E-Shari’at, Hissa-15, page-336}
✒Mas’ala:
10wi Ki Bad ki 2no Raten ayyame Nahar Me
Dakhil Hai in Me Bhi Qurbani Ho Sakti Hai, Magar
Raat Me Zabah Karna Makrooh Hai
{Bahar-E-Shari’at, Hissa -15, page-336}
✒Mas’ala:
Shaher Me Qurbani Ke Liye Shart Hai Ki Namaze
Eid Ho Chuki Ho, Dihat Me Chunki Eid Ki Namaz
Jayez Nahi Is liye Wahan Tulooye Fajr Ke Bad
Qurbani Kar Sakte Hain Magar Behtar Ye Hain Ki
Suraj Nikalne Ke Bad Ki Jaye,
{Alamgiri, Volume-5, Page-295}
✏Mas’ala:
Jis Par Qurbani wajib Thi Usne Nahi Kiya Yahan
Tak Ki Dusri Eid Aagai, Ab is Dusri Eid Me Pehli
Qurbani Nahi Kar Sakta, Balki Pichle Saal Ke Badle
Janwar Ya Uske Barabar Qimat Sadqa Kre
{ ﺍﻟﻔﺘﺎﻭﻯ ﺍﻟﻬﻨﺪﻳﺔ، ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻷﺿﺤﻴﺔ، ﺍﻟﺒﺎﺏ ﺍﻟﺮﺍﺑﻊ ﻓﻴﻤﺎ
ﻳﺘﻌﻠﻖ ﺑﺎﻟﻤﻜﺎﻥ ﻭﺍﻟﺰﻣﺎﻥ، ﺟﻠﺪ5- ، ﺻﻔﺤﮧ ﻧﻤﺒﺮ 298- }
✏Mas’ala:
Agar Qurbani Minnat Ki Hai (Eidul Adha ki nahi)
To Uske Gosht Me Se Kuch Na Khaye Balki Pura
Sadqa Kare Agar Kuch Khaya To Utni Raqam
Sadqa Kar De
{Fatawa Alamgiri, Volume-5, Page-295}
“QURBANI KE JANWARON KA BAYAN”
✏Mas’ala:
Qurbani Ke Janwar 3 Qisam Ke Hain
1=> Oont (male & female)
2=>Gaye (Male & female)
3=> Bakri (male & female)
Bakri Ki jitni Qisme’n Hai Sab Dakhil Hai Nar
Madah Khassi Gair Khassi, Bhed Aur Dumbah Bhi
Bakri Me Shamil Hain, Bhains Gaye Me Shumar
Hai, in Sab Ki Qurbani Ho Sakti Hai
{Bahar-E-Shari’at, Hissa-15, Page-339}
✏Mas’ala:
Wahshi Janwar Jaise Nel Gaye Ya Hiran inki
Qurbani Jayez Nahi
{Alamgiri, Volume-5, Page-297}
Qurbani Ke Janwaron Ki Age (umr) Yeh Honi
Chahiye ↓↓↓↓↓↓↓
▶Oont & Ootni 5-Years.
▶Gaye Bail Bhains 2-Years.
▶Bakra Bakri 1-year, Complete, Saal Me 1 Din Bhi
Kam Hai To Qurbani Nahi Hogi, Haan Ziyadah Hai
To Ye Afzal (Behtar) Hai,,,,, Dumbah Aur Bhed Ka
6month Ka Bachcha Agar Dikhne Me Saal Bhar Ka
Maloom Ho To Uski Qurbani Jayez Hai
{ ﺍﻟﺪﺭﺍﻟﻤﺨﺘﺎﺭ “ﻭ ” ﺭﺩﺍﻟﻤﺤﺘﺎﺭ، ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻷﺿﺤﻴﺔ، ﺟﻠﺪ 9- ،
ﺻﻔﺤﮧ 533- }
✏Mas’ala:
Eik Bakri & Gaye Ke Gosht Ka 7wa Hissa Qimat
Me Dono Barbar Ho To Bakri Ki Qurbani Karna
Afzal Hai, Aur Agar Gaye Ke 7we Hisse Me Eik
Bakri Se Ziyadah Gosht Aata Ho To Gaye Me
Hissa Lena Afzal Hai, Bakre Se afzal Bakri Hai
Haan Bakra Agar Khassi Ho To Wo Bakri Se Afzal
Hai.
{Bahar-E-Shari’at, Hissa-15, Page-340}