Ramzan

Taraweeh Ke Zaroori Masle:

Isha Ke Farz Wa Vitr Ke Baa’d Bhi Traweeh Padhi Jaa Sakti Hai
(AD DURRUL MUKHTAR Jild 2 Page 494)
Jaisa Ki Baa’z Awqat 29 Ko Ko Ruyate Hilaal Ki Shahaadat Milne Me Taakhir Ke Sabab Aisa Ho Jata Hai
Bila Uzar Trawih Baith Kar Padhna Makruh Hai
Balki Baa’z Fuqahae Kiram Ke Nazdik To Hoti Hi Nahi
(AD DURRUL MUKHTAR Jild 2 Page 499)
Na Baalig Imam Ke Pichhe Sirf Na Baaligaan Hi
Trawih Padh Sakte Hai
Baalig Ki Trawih (Balki Koi Bhi Namaz Htta Ki Nafal Bhi)
Na Baalig Ke Pichhe Nahi Hoti
Alag Alag Masjid Me Trawih Padh Sakta Hai. Jab Ki Khatme Qur’aan Me Nuqsaan Na Ho. Maslan 3 Msajid Aisee Hai Ki In me Har Roz Sava Parah Pdha Jata Hai To Tino Me Rozana Baari Baari Jaa Sakta Hai. Agar 27vi Ko(Ya Isse Pahle) Qur’aane Paak Khatm Ho Gaya Tab Bhi Aakhiri Ramzan Tak Tarawih Pdhte Rahe Ki Sunnate Muakkda Hai
(AALMGIRI Jild 1 Page 118)
Baa’z Muqtadi Baithe Rahte Hai
Jab Imam Ruku Karne Wala Hota Hai
Us Waqt Khade Hote Hai
Yeh Munafiqin Ki Mushaabahat Hai
Chunanche Qur’aane Paak Me Irshaad Hota Hai
TARJAMA KANZUL IMAN-
Aur(Munafiq) Jab Namaz Ko Khade Ho To Haare Jee Se
(SURE NISA Aayat No 142)
Ramzan Sharif Me Vitr Jma’at Se Pdhna Afzal Hai
Magar Jisne Isha Ke Farz Bigair Jma’at Ke Pdhe
Voh Vitr Bhi Tanha Padhe
(BAHAARE SHARIAT Hissa 4 Page 36)
Ek Imam Ke Pichhe Isha Ke Farz
Dusre Imam Ke Pichhe Tarawih
Aur
Tisre Imam Ke Pichhe Vitr Padhe Isme Haraj Nahi
Hazrate Syyiduna Umar Faruqe Aazam(Radiyyalahu Anhu)
Farz Wa Vitr Ki Jma’at Karvate The
Aur
Hazrate Syyiduna Ubay Ibne Kaa’b (Radiyyalahu Anhu)
Taraweeh Padhate
(AALMGIRI Jild 1 Page 116)
TRAWIH AUR SHABINA KA 1 ZARURI MAS-ALA:
(Ise Zarur Padhiye INSHA ALLAH Galati Ki Islaah Hogi)
Aayate Sajda Padhne Ya Sunne Se Sajda Wajib Ho Jata Hai
Padhne Me Yeh Shart Hai Ki Itni Aawaz Me Ho Ki
Agar Koi Uzar Na Ho To Khud Sun Sake,
Sunne Wale Ke Liye Yeh Zaruri Nahi Ke Bila Qasad Suni Ho
Bila Qasad Sunne Se Bhi Sajda Wajib Ho Jata Hai
(AALMGIRI Jild 132)
KHABARDAAR! HOSHIYAAR!
Ramzanul Mubarak Me Trawih Ya Shabina Me Agarche Sharik Na Ho Beshaq​ Apni Hi Alag Namaz Padh Rahe Ho. Aayate Sajda Sun Lene Se Aap Par Bhi Sajdae Tilawat Wajib Ho Jaega
Kafir Ya Na Balig Se Aayate Sajda Suni
Tab Bhi Sajdae Tilawat Wajib Ho gaya
Baalig Hone Ke Baa’d Jitni Baar Bhi Aayate Sajda Sun Kar
Abhi Tak Sajda Na Kiya Ho Unka Galabae Zan Ke
Etibaar Se Hisab Laga Kar Utni Baar Ba Wuzoo Sajdae Tilawat Kar Lijiye
SAJDA-E-TILAWAT KA TARIQA:
Khada Hokar ALLAHU AKBAR Kahta Huva Sajde Me Jaye
Aur
Kam Se Kam 3 Baar “SUBAHAANA RABBIYAL AALA” Kahe
Fir “ALLAHU AKBAR Kahta Huva Khada Ho Jaye
(AALMGIRI Jild 1 Page 135)
Sajdae Tilawat Ke Liye ALLAHU AKBAR Kahte Waqt
Na Haath Uthana Hai
Na Isme Tashahhud Hai
Na Salaam
(TANVIRUL ABSAR M’A RADDUL MUHTAAR Jild 2 Page 580)
Jo Sachche Dil aur Sahi Aqeeda ke sath RAMZAN me TARAVEEH Padhe to uske agle Gunah Bakhsh Diye Jate hai
(Muslim)
Mas’ala
bila uzra tarawih baith kar padhna makruh hai
balke baaz fiqaha e kiram ke nazdik to hoti hi nahi
(Durre Mukhatar)
MAS’ALA:
Tarawih Ka Waqt Isha Ke Farz Padhne Ke Baad Se Subah Saadiq Tak Hai, Isha Ke Farz Ada Karne Se Pahle Agar Padhli To Na Hogi.
(Alamgiri)
HAZRAT ALI AUR SALMAN FARSI KE SHAGIRD
HAZRAT ALI BIN RABIYA RAMZAN ME LOGO KO 20 RAKAT TARAWIH AUR 3 RAKAT WITR PADHATE THE
(IBN-E-SHAIBA)
SarkaR GAUS-E-AAZAM FARMATE HAI:
NAMAZ-E-TARAWIH NABI-E-KAREEM KI SUNNAT HAI
AUR
20 RAKA’ATE HAI
(GUNYATUT TAALIBIN Jild 2 Safa 16)
TARAWIH 20 RAKAT
SUNNAT-E-MO’QEDA NAMAZE HAI
JO RAMZAN ME PADHI JATI HAI
ISHA KI FARZ NAMAZ KE BAAD,
HAR RAAT ME
(QANOON-E-SHARIAT)
MAS’ALA:
Jab 2-2 Rakat Karke Padh Raha He To Har 2 Rakat Par Alag Alag Niyyat Kare & Agar 20 Rakat Ki Ek Sath Niyyat Ki Tab Bhi Jaiz He.
(Durre Mukhtar) 
SHAH WALIALLAH MUHADIS FARMATE HAI:
TARAWIH KI TAADAD 20 HAI
ISKI WAJAH YE HAI KE SAHABA NE NABI-E-KAREEM KO PADHTE DEKHA
(HUJJATULBALIG) 
HAZRAT IMAAM GAZALI FARMATE HAI:
TARAWIH 20 RAKAATE HAI
JIN KA TARIQA MASH’HUR wa MA’RUF HAI
AUR
YE SUNNATE MAUQEDA HAI
(AHYA-UL ULOOM)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!