Jumma Mubarak

Juma Ki Fazilate Hadees Ki Roshni Me

Jumma ki Namaz sabse pehle 12 Rabi- Ul-Awwal 1 Hijri ko Nabi-E-Pak (Sallallahu
Alaihi Wassalam) ki Imamat me padhi gayi
Jisme Sahabao ki Tadaat 100 thi … !!
(Mohsine Insaniyat 703)
Qur’an :
62 Surah Jum’ah, Aayat 9, 10 :
ﻳَﺎ ﺃَﻳُّﻬَﺎ ﺍﻟَّﺬِﻳﻦَ ﺁﻣَﻨُﻮﺍ ﺇِﺫَﺍ ﻧُﻮﺩِﻱَ ﻟِﻠﺼَّﻠَﺎﺓِ ﻣِﻦْ
ﻳَﻮْﻡِ ﺍﻟْﺠُﻤُﻌَﺔِ ﻓَﺎﺳْﻌَﻮْﺍ ﺇِﻟَﻰٰ ﺫِﻛْﺮِ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﻭَﺫَﺭُﻭﺍ
ﺍﻟْﺒَﻴْﻊَ ۚ ﺫَٰﻟِﻜُﻢْ ﺧَﻴْﺮٌ ﻟَﻜُﻢْ ﺇِﻥْ ﻛُﻨْﺘُﻢْ ﺗَﻌْﻠَﻤُﻮﻥَ
ﻓَﺈِﺫَﺍ ﻗُﻀِﻴَﺖِ ﺍﻟﺼَّﻠَﺎﺓُ ﻓَﺎﻧْﺘَﺸِﺮُﻭﺍ ﻓِﻲ ﺍﻟْﺄَﺭْﺽِ
ﻭَﺍﺑْﺘَﻐُﻮﺍ ﻣِﻦْ ﻓَﻀْﻞِ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﻭَﺍﺫْﻛُﺮُﻭﺍ ﺍﻟﻠَّﻪَ ﻛَﺜِﻴﺮًﺍ
ﻟَﻌَﻠَّﻜُﻢْ ﺗُﻔْﻠِﺤُﻮﻥَ
Aye Imaanwalo Jab Jum’ah ke din
Azaan di jaaye to fauran ALLAH ke zikr
(Khutba Aur Namaaz) ki taraf tezi se
chal pado aur kharid wa farokht
(kaarobar) chhod do, ye tumhare haq
me behtar hai agar tum ilm rakhte
ho.
Phir jab Namaaz ada ho chuke to
zameen me muntshar ho (fail) jaao
aur ALLAH ka fazl (rizq) talaash karne
lago
Aur ALLAH ko kasrat se yaad kiya
karo taake tum falah (kaamyabi) paao.
Sarkare Madina Suroor-E-Kalbo Sina Hazrat Muhammad Mustafa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
“Juma’a ka din sab dino ka Sardaar hai,
Aur ALLAH ta’ala ke nazdeek sab se
bada hai,
Yaha tak ke Eid-ul-Azha aur Eid-ul-
Fitr se bhi.
Is me 5 khaslaten hai:
1. ALLAH ta’ala ne isi me Hazrate
Aadam Alaihis salaam ko paida kiya.
2. Isi roz unhe zameen par utara.
3. Isi roz unhe wafat di.
4. Is me ek ghadi aisi hai ki banda
jab sawal kare to use mil jaaye siwaye
haraam ke.
5. Isi din Qayamat qaayim hogi.
(Sunan Ibne Maajah, Jild 2, Safa 8,
Hadees 1084)
Jum’ah ki namaaz Jum’ah se
Jum’ah tak ke liye Kaffara hai,
Shart hai ki Gunahe kabeera se bacha
jaaye.
(Muslim Sharif)
Jo Jum’ah ki shab (Jumeraat aur
Jum’ah ke darmiyan ki raat) ya din
me 100 baar Durood padhe,
Uski 100 haajate puri hongi,
70 aakhirat me aur 30 Dunyawi.
(Musnad Abu Dawood)
Jum’ah ke din jis saa’at ki
khwahish ki jaaati hai use Asr ke
baad se Guroobe aaftab tak talash
karo.
(Tirmizi, Jild  2, Safa 30, Hadees 489)
Aye Musalmano Ke Giroh,
Beshak ye Jum’ah wo din hai jis ko
ALLAH ne Eid banaya hai.
(Mishkat, Hadees 123, Ibn Maajah)
Jum’ah ke din tum mujh par
kasrat se Durood bhejo, Kyun ki
tumhara durood mujh par paish kiya
jaata hai.
Aur ALLAH ne zameen par haraam kar
diya hai ke wo Ambiya ke jismo ko
khaaye, so ALLAH ke Nabi (hamesha)
zinda hain aur unhe rizq diya jaata
hai.
(Ibn Maajah, Safa 119,
Sunan Abu Dawood, Hadees 1047,
Mishkaat Sharif, Jild 2, Safa 112,
Mustadark Al Hakeem, Kitaabul Ahwaal, Hadees 8859,
Jaame Sagheer, Jild 1, Safa 54)
Jo Susti ki wajah se 3 dafa lagataar jumma ki namaz chhod de,
ALLAH us ke dil per mohar laga deta
hai.
(Abu Dawood, Kitaab-us Salaat,
Hadees 1040, Ibne Maajah, Jild 1, Safa 75)
Jum’ah me ek aisi ghadi hai ke
agar koi Musalman use paakar ALLAH
ta’ala se kuchh maange to ALLAH
ta’ala use zaroor ata karega
Aur wo ghadi mukhtasar hai.
(Sahih Muslim, Jild 1, Safa 281)
Jo shakhs Jum’ah ke din nahaaye
aur jis qadar (har tarah ki) paaki
haasil ho sake kare (ya’ni naakhoon
kaatna, Bagal ke aur zere naaf ke baal
door karna wagairah) , phir tail ya
apne ghar se khusbu lagaaye aur
(Jum’ah ke liye) masjid ko jaaye,
(waha) do aadmiyon ke beech raasta
na banaaye (balki jahan jagah mile
baith jaaye), phir apne muqaddar ki
namaz padhe,
Phir dauraan e khutba
khaamosh rahe to uske pichhle
Jum’ah se lekar is Jum’ah tak ke
gunah muaaf kar diye jaate hain.
(Bukhari, Al-Jum’ah, Hadees  883-910)
Hazrat Mohammad bin Noamaan
radiAllahu ta’ala anhu se riwayat hai
ki Huzoor RasoolAllah Sallallahu Alaihi
Wasallam ne irshad farmaya ki
‘Jo apne maa-baap ki qabron ki
ziyarat kare ya un me se kisi ek ki
qabr ki har Jum’aa ke din ziyarat
kare, To use bakhsh diya jaayega aur
use neki karne wala likha jaayega.’
(Mishkaat, Safa 154)
“JO MUSALMAN JUM’A KI
RAAT YA DIN ME YA RAMZAN KE PURE MAHINE ME
(DIN YA RAAT)ME MARE
USSE KABR ME SAWAL NAHI HOGA.”
(Musand-E-Imaam AHMED Hadees:8080) 

Related Articles

3 Comments

  1. Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

    JazakALLAHU Khair Aapke Comment Ke Liye.

    Visit karte rahe aur apne dost ahbab ko bhi site ke bare me bataye.
    Play store se Hamare Nabi App Download Kijiye.
    Dua ki Guzarish.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!