Hadees

Yahudiyo Ka Huzoor Ki Naboowat Per Yaqeen Rakhna

Hiqayat :
Yahudiyao Ka
Huzoor Ki Naboowat Per Yaqeen Rakhna

Riwayat Hai Hazrat Safwan Ibne As’aal Se Farmate Hai Ke,
Ek (1) Yahudi Apne Sathi Se Bola Ke Mujhe Inn Nabi Ke Pass Le Chal,
Sathi Bola Ke Inhe Nabi Na Kaho Agar Wo Sun lenge Toh Inn Ki 4
Aakhein Ho jayengi. Phir Wo Dono Sallallaho Alaihi
Wasallam Ki Khidmat Me Hazir Hue
Aur Inho Ne Khuli Nishaniyao Ke Bare Me Pucha,
Nabi Sallallaho Alaihi
Wasallam Ne Farmaya Ke,
“Kisi Cheez Ko Allah Ka Shareek Na
Thehrao,
Na Chori Karo
Na Zinaa Karo,
Na NaaHaq Kisi Mohtaram Jaan Ko Qatl Karo,
Na Kisi Be-Kasoor Ko Haakim Ke Pass Le Jao Taake Ise Qatl Karde,
Aur
Na Jaadu Karo,
Na Sood Khao,
Na Hi Paak Daaman Ko Zinaa Ka Bohtan Lagao,
Aur Na Jihaad Ke Din Bhaagne Ke Liye Peeth Phero”

Aur Aye Yahudiyo! Tum Per Khususan Ye Bhi Laazim Hai Ke Hafte Ke Bare Me Had Se Na Bado.
Raawi Farmate Hai Ke Tab In Dono Ne Sallallaho
Alaihi Wasallam Ke Hath-Pao Chuhe
Aur Bole Ke Hum Gawaah Hai Ke Aap Sache Nabi Hai,

Huzoor Ne Farmaya,
“Phir Tumhe Meri Pairwi Se Kaunsi
Cheez Rokti Hai ?
Wo Bole Ke,
“Dawood Alaihissalam Ne Rab Se Dua Ki Thi Ke In Ki Aulaad Me Naboowat Hai,
Hame Darr Hai Ke Agar Hum Aap Ki Pairwi Karle Toh Hum Ko Yahoodi Maar Dalenge”.
(Tirmizi, Abu’dawood Wa Nisai, Miratul Manaji Jild 1, Safa 82,83)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!