Nikah

Shohar Ke Huqooq Biwi Par Hadees Se

Assalamu Aliakum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuhu
Pyari Islami Beheno,
ALLAH TA’ALA ne Shohar Ko Aurat Par Haaqim Banaya Hai
Aur Bahut Badi Bujurgi Di Hai
Isliye Har Aurat Par Farz Hai Ki Wah Apne Shohar Ka Huqm Mane.
Apne Shohar Ko Raazi Rakhna Biwi Ka Farz Hai Aur Jo Aisa Na Kare Wo Aurat Sakht Gunahgar Hai.
Is Post Me Islam Me Shohar Ke Haq Ke Bare Me Hadees-E-Paak Pesh Kiye Hai.
Ye Hadees Sharif Jyada Se Jyada Logo Tak Pohochaye.
Sawab Haasil Kare.
JazakALLAHU Khair.
Apna Feedback Comments Ke Jariye Jarur Likhe.
Sarkare Madina Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
“Agar Khuda Ke Siwa Kisi Dusre Ke Liye Sajda Karne Ka Huqm Deta To,
Me Aurato Ko Huqm Deta Ki Wah Apne Shoharo Ko Sajda Karti Rahe”.

(Mishkat Sharif Part 2 Safa 281 Mujtabaai)
Madine Ke Tajdaar Janabe Muhammad Mustafa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
“Jab Shohar Apni Biwi Ko Apne Bistar Par Bulaye,
Aur Aurat Aane Se Inkar Karde,
Aur Uska Shohar Is Baat Se Naraz Ho Kar Sota Rahe, To Raat Bhar ALLAH Ke Farishte Us Aurat Par Laanat Karte Hai”.

(Mishkat Sharif Part 2 Safa 280)
Sarware Qaynaat Madani Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
“Agar Shohar Apni Aurat (Biwi) Ko Yah Huqm De Ki Pile Rang Ka Pahad Kale Rang Ka Bana De Aur Kale Rang Ke Pahad Ko Safed Bana De To Bhi Aurat Ko Apne Shohar Ka Huqm Baja Lana Chahiye.”
Aur Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ki
“Jis Aurat Ki Maut Aisi Haalat Me Aaye Ki Marte Waqt Uska Shohar Usse Khush Ho
To Wo Aurat Jannat Me Jayegi”.
Aur Farmaya,
“Jab Koi Mard Apni Aurat Ko Kisi Kaam Ke Liye Bulaye
To Wo Aurat Agarche Chulhe Ke Pas Baithi Ho Usko Laazim Hai Ki Wah Uthkar Shohar Ke Pas Chali Jaye”.
Saware Qaynat, Habeebe Khuda, Shafi-E-Mehshar, Rehmatallil Aalamin Hazrat Muhammad Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Sohbat Ke Liye Ye Dua Irshad Farmayi,

“Bismillah, Allahumma jannib nash
Shaitana, wa Janni bish-Shaitana ma
razaq tana”
Tarzuma:
“ALLAH ke Nam Se.
Aye ALLAH Door kar hamse shaitan
mardud ko aur door kar shaitan mardud ko us Aulad se jo tu hame ata
karega”
“Jo shaks Is Dua Ko Sohbat Ke Waqt
Padhega
(Dua Wahi Jo Upar Likhi Hai)
To ALLAH Us Padhnewale Ko Agar Aulad Ata Farmaye
To Us Aulad Jo Shaitan Kabhi Bhi Nuksan Na Pahuncha
Sakega”

(Bukhari sharif Jild 3,Safa 85,
Tirmizi sharif,Jild 1,Safa 557)
Jab Aap Miya-Biwi Saath Mein Sone Ka Irada Karen To Usse Pahle Ye Dua Padh Lijiye. Yani Sohbat Karne Se Pehle Ye Dua Hamesha Padhe.
Insha ALLAH Is Dua Ki Barkat Se Aapki Aulad Shaitan Se Mehfooz Hogi.
Nikah Ke Talluk Sare Masle Aap Hamare “NIKAH” Page Par Padhe.
Aur Apne Masle Comments Ya Contact Form Ke Jariye Likh Bheje.
Is Hadees Sharif Ka Matlab Ye Hai Ki Aurat Chahe Kitne Bhi Jaruri Kam Me Mashgul Ho
Shohar Ke Bulane Par Sab Kamo Ko Chod Kar Shohar Ki Khidmat Me Haazir Ho Jaye”.

(Mishkat Sharif Part 2 Safa 383 Mujtabaai)
Biwi Ko Shohar Ka Huqm Har Hal Me Manna Hai.
Aur Jis Aurat Ka Shohar Usse Razi Ho Aur Uska Intkal Ho Jaye To Uske Liye Jannat Hai.
SubhanALLAH !

Play Store Se Hamare Nabi & Sunnat-E-Nabi Apps Jaroor Download Kijiye. Aapke Rating & Review Se Insha ALLAH Apps Doosro Tak Pohochege.

Khatmun Nabiyyin Huzoor-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
“Behtarin Aurat (Biwi) Wah Hai Ki Jab Uska Shohar Kisi Baat Ka Huqm De To Wo Uski Farmabardari Kare Aur Agar Shohar Uski Taraf Dekhe
To Wah Apne Banav Singar Aur Apni Adaao Se Apne Shohar Ka Dil Khush Karde
Aur Agar Shohar Kisi Baat Ki Kasam Kha Jaye To Wah Uski Kasam Ko Pura Karde
Aur Agar Shohar Gayab Rahe (Matlab Ghar Se Bahar Ho)
To Wah Apni Zaat Shohar Ke Maal Me Hifazat Aur Khair Kwahi Ka Kirdar Karti Rahe”.

(Mishkat Sharif Part 2 Safa 268 Mujtabaai)
Apne Shohar Ko Khush Rakhna Hi Biwi Ka Farz Hai.
Uska Singar Sirf Uske Shohar Ke Liye Hai.
Shohar Ki Namaujudgi Me Uske Ghar Aur Maal Wa Dolat Ki Hifazt Karna Biwi Par Laazim Hai
Ek Shaks Ne Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Se Daryaft Kiya Ki
“Behtarin Aurat (Biwi ) Ki Pehchan Kya Hai?”
Madni Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne irshad Farmaya
“Jo Aurat Apne Shohar Ki Ita’at Wa Farma Bardari Kare”.

(Nasaai Sharif Jild 2 Safa 364)

Hazrat Abu Sai’d RadiAllahu Anhu Se Riwayat Hai
Shafi-E-Mehshar, Rehmat-E-Aalam Janabe Muhammad Mustafa Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ka Farmane Aalishan Hai
“Shohar Ki Na Shukri Karna Ek Tarah Ka Kufr Hai
Aur Ek Kufr Dusre Se Kam Hota Hai”.

(Bukhari Sharif Jild 1, Bab No 21, Safa 109, Hadees No 28)
Aurat Hargiz Apne Shohar Ki Nafarmani Na Kare
Warna Jahannam Ki Tayyari Karle..
Ummulmomenin Hazrate Aayesha Siddiqa RadiALLAHU Ta’ala Anha Wa Hazrat Abu Huraira RadiALLAHU Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki
Rasool-E-Khuda Sallallaho Alaihi Wasllam Ne Irshad Farmaya
“Agar Me Kisi Ko Kisi Ke Liye Sajde Ka Huqm Deta
To Aurato Ko Huqm Deta Ki Apne Shohar Ko Sajda Kare”.

(Tirmizi Sharif Jild 1, Bab No 788, Safa 594, Hadees No 1198)
Hazrat Abu Huraira Radiallahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki
Nabi-E-Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ne irshad Farmaya
“Shohar Apni Biwi Ko Jis Waqt Bister Par Bulaye
Aur Wah Aane Se Mana Karde
To Us Aurat Par Khuda Ke Farishte Subah Tak Laanat Karte Rehte Hai”.

(Bukhari Sharif Jild 3, Bab No 115, Safa 96, Hadees No 178)
Hazrat Aayesha Siddiqa Radiallaho Ta’ala Anha Se Marvi Hai Ki
Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Khidmat Me Ek Jawan Aurat Haazir Hui Aur Arz Kiya
“Ya Rasoolallah!
Me Jawan Aurat Hu Muze Nikah Ke Paigam Aate Hai
Magar Me Shaadi Ko Bura Samajhti Hu.
Aap Muze Bataiye Biwi Par Shohar Ka Kya Haq Hai”?
Pyare Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
“Agar Shaohar Ki Choti Se Pair Ki Ediyo Tak Peep Ho
Aur Wah Use Zaban Se Chate To Bhi Shaohar Ka Haq Ada Nahi Kar Payegi”.
Us Aurat Ne Pucha
“To Main Shaadi Na Karu”?
Ispar Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
“Tum Shaadi Karo Kyunki Isme Bhalaai Hai”.

(Mukasheftul Kuloob Bab No 95, Safa 617)
ALLAHU AKBAR..!
Hazrate Maimuna Radiallaho Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ke
Rasoolallah Sallallaho Alahi Wasallam Ne Irshad Farmaya
“Meri Ummat Me Subse Behtar Wo Aurat Hai
Jo Apne Shohar Ke Sath Acha Sulooq Karti Hai
Aisi Aurat Ko 1000 Shahido Ka Sawab Milta Hai Jo Khuda Ki Rah Main Sabr Ke Liye Shahid Hue.
Un Aurato Me Se Har Aurat Jannat Ki Hooro Par Aisi Fazilat Rakhti Hai
Jaise Muhammad Sallallaho Alaihi Wasallam Ko Tum Me Se Adna Mard Par”.

(Gunyatuttalebin Safa 113)
SubhanALLAH…!
Hazrate Abdullah Ibne Abbas Radiallaho Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki
Pyare Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
“Muze Dozakh (Jahannam) Dikhai Gayi
Maine Waha Aurato Ko Jyada Paya
Wajah Ye Hai Ki Ye Kufr Karti Hai”.
Sahab-E-Kiram Ne Arz Kiya
“Kya Wo ALLAH Ke Sath Kufr Karti Hai”?
Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irsad Farmaya
“Nahi! Wo Shohar Ki Nashukri Karti Hai
(Jo Ke Ek Tarah Ka Kufr Hai)
Aur Uska Ehsaan Nahi Manti.
Agar Tu Kisi Aurat Se Umar Bhar Ehsaan Aur Neki Ka Sulooq Kare
Lekin Ek Baat Bhi Khilafe Tabiyat Ho Jaye
To Jhat Keh Dengi Ki
Maine Tuzse Kabhi Aaram Aur Sukun Nahi Paya”.

(Bukhari Sharif Jild 1, Bab No 21, Safa 109, Hadees No 28)
Sarkare Do Aalam Sallallaho Alaihi Wasallam Ka Farmane Aalishan Hai Ki
“Jab Shohar Apni Haazat (Sohbat) Ke Liye Biwi Ko Bulaye
To Biwi Agar Roti Paka Rahi Ho
To Usko Laazim Hai Ke Sab Kaam Chod Kar Apne Shohar Ke Pas Haazir Ho Jaye”.

(Tirmizi Sharif Jild 1, Bab No 788, Safa 595, Hadees No 1159)
Hazrat Umar Radiallaho Anhu Se Riwayat Hai Ki Madani Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
“Tumko Nahi Maalum,
Aurat Ke Liye Shirk Ke Baad Sabse Bada Gunah Shohar Ki Nafarmani Hai”.

(Gunyatuttalebin Safa 114)
Ya Rabbul Aalamin Tu Apne Karam Se Aurato Ko Nek Taufiq Ata Farma.
Aur Unhe Apne Shaohar Ki Ita’at Karne Ki Taufiq Ata Farma
Aameen
Awwal Aakhir Durood
Dua Me Is Nachiz Ko Yaad Rakhiye.

Related Articles

16 Comments

  1. subhanallah aapne bahot achchhi baate batayi allah aapko zaza e khair ata farma e.
    mera ek sawal hai.?
    agar koi mard tejarat ke silsile me bahar gaya hua hai or uske maa baap uski biwi par galat ilzamat laga kar us mard ko apni biwi ke khilaf kare.
    to aise me us shohar ko kya karna chahiye.?
    or shohar ko apni biwi ke saath kaisa bartao karna chahiye.?

  2. Aameen.
    Aap Par Is Soorat Me Dono Farz Ko Ada Karna Hai. Aapke Waldain Jinhone Aapko Pal Poskar Bada Aur Qabil Banaya Unka Bhi Farz Ada Karna Hai. Aur Aapki Biwi Jo Apna Sab Kuch Chod Kar Aapke Khaatir Aayi Hai. Jab aap unko galati karte dekhe to jaroor roke aur samjhaye. Aapko dono ko (Waldain Aur Biwi) Ta-Umar Nibhana Hai. Kisika dil na tode.
    ALLAH Ham Sabko Nek Taufiq De.
    Aameen
    Awwal Aakhir Durood

  3. Assalamu alaikum mere Bhai. Mera ek Chota sa sawal hai . Mere saas our susr ki wajhe se mera our Meri biwi me bohat sare jhagde ho Rahen hai. Kehna to nahi chahiye magar Meri biwi unhe ka saat diti hai. Mere saas our susr mujhe Kiya hai Kuch bhi kahe par wo unhe ka saat Dete hai . Aap hi batayen mere dost agar me main kiya karon. Our safari ghalti unhi ki nahi hai mere bhi Kuch ghaltiyan hai kyun ke mujhe ghussa bohat jaldi aata hai. Allah Hafiz assalamu alaikum

  4. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Sajid Bhai.

    Ye Site Salah Mashware Ke Liye Nahi Hai. Yaha Deeni Masle Masail Hi Pooche. Ye Aapka Aapsi Mamla Hai. Me Isme Kuch Kehna Munasib Nahi Samajhta. Aapko Apne Saas Sasur Ka Adab Karna Chahiye. Aap Sabko Apni Galatiya Sudharni Chahiye. Gussa Karne Se Kisi Baat Ka Hal Nahi Milta.

    Keep Visiting & Sharing.

  5. Aslkm mera sawal hai agar shouhar kaam ke silsile mey biwi se dur rehna aur us dur rehne ka galat faida uthana kisi aur se rishta rakhna tou uska kya Karna hai….plzzzzz reply

  6. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Behen,

    Der se reply ke liye mazahrat chahta hu.
    ALLAH Rabbul Aalameen Qur'an-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai,
    Tum Zina Ke Qareeb Bhi Na Jao Q ke Ye Badi Behayai "Wala Kaam" He, Aur Bohat Hi Bura Rasta He.
    (Surah Bani Israil Aayat 32)

    ALLAH Rabbul Aalameen Qur'an-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai,

    Tum Zina Ke Qareeb Bhi Na Jao Q ke Ye Badi Behayai "Wala Kaam" He, Aur Bohat Hi Bura Rasta He.
    (Surah Bani Israil Aayat 32, Tarzuma Kanzul Imaan)

    ALLAH Ta’ala Faramata Hai,
    Jo Shaks Zina Karta Hai Use ”Asaam” Me Dala Jayega
    (Qurane Kareem Para 19, Sure Furkan Aayat 68)

    Asaam Ke Bare Me Ulma-E-Deen Ne Kaha Hai Ki Wo Jahannam Ka 1 Gar He. Jab Uska Muh Khola Kayega To Uski Badbu Se Tamam Jahannami Chikh Uthenge
    (Mukasheftul Kuloob Safa: 167)

    Shafi-E-Mehshar Rehmate Aalam Imaamul Ambiya Khatamun Nabiyyin Habeebe Khuda Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya,

    Zina Karnewale Shadishuda Ho To Khule Maidan Me Pattharo Se Mar Dala Jaye Aur Gair Shadishuda (Kuwara) Ho To 100 Kode Mare Jaye.
    (Bukhari Sharif Jild Safa: 615/615, Hadees: 1715)

    Agar koi shakhs aisa katta hai to wo sakht gunahgar hai. Jo gunah banda ye soch kar kare ki mujhe kon dekh raha hai us gunah ka gawah ALLAH Rabbul Aalameen Khud hota hai. Behsq ALLAH Rabbul Aalameen ko hamare tamam kamo ki khabar hai. Shadishuda Hote hue Jo shaks kisi gair mard ya aurat se tallukat rakhe to wo Zinakar hai. Aise Shakhs ke liye Ye Kuch Hadees-E-Pak Hai. Gaur Farmaiye,

    Hazrat Ikrema Ne Hazrat Abdullah ibne Abbas Radiallahu Anu Se Pucha Emaan Kis Tarah Nikal Jata He?

    Hazrat Abdullah ibne Abbas Ne Farmaya:
    Is Tarah ! Aur Apne Hath Ki Ungliya Dusre Hath Ki Ungliyo Me Dali Phir Nikal Li Aur Farmaya
    “Dekho Is Tarah”
    (Bukhari Sharif Jild:3, Safa: 614, Hadees: 1713)

    Zina Ek Aisa Gunah Hai Jo Insan Ke Imaan Wa Aakhirat Dono Ko Barbad Kar Deta Hai.

    Shafi-E-Mehshar Rehmate Aalam Imaamul Ambiya Khatamun Nabiyyin Habeebe Khuda Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya,
    Zina Karnewale Shadishuda Ho To Khule Maidan Me Pattharo Se Mar Dala Jaye Aur Gair Shadishuda (Kuwara) Ho To 100 Kode Mare Jaye
    (Bukhari Sharif Jild Safa: 615/615, Hadees: 1715)

    Apne Shohar Se Baat Kare. Unhe Is Gunah Se Tauba Karaye. Ye Aisa Gunah Hai Ke Jo Unke Imaan Lo Barbaad Kar Dega. Aur Aakhirat Me Sirf Zillat-Ruswai Aur Azabe Jahannam Hai.

    ALLAH Rabbul Aalameen Ham Sabko Nek Taufiq De Ki Ham Aise Gunaho Se Bache.
    Aameen
    Awwal Aakhir Durood.

    Dua Ki Guzarish.

  7. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

    Aap Hamare articles directly WhatsApp par share kar sakte hai. Jyada se jyada groups me share kare. Aur sawabe darrain hasil kare. Dua me yaad rakhe.
    JazakALLAHU Khair Aapke Comment Ke Liye.

  8. Sarware Qaynat Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Irshade Pak Hai,
    Jo Aurat Bila Wajah Apne Shohar Se Talaq Mange Us Par Jannat Ki Khushboo Haram Hai.

    ALLAHU Akbar. Is Hadees Se Un Aurato Ko Sabak Lena Chahiye Jo Choti Choti Bato Par Apne Khawind Se Talaq Mange. Aur Ek Bat Ye Bhi Hai Ke Koi Mard Agar Kisi Aurat Par Bila Wajah Zulmo Sitam Karta Ho To Is Soorat Me Aurat Qazi-E-Shahar Ke Pas Jakar Apne Is Masle Ka Hak Kara Kar Talaq Le Sakti Hai. Khayal Rahe Ki Mazhabe Islam Me Sirf Aurat Par Hi Shohar Ke Huqooq Nahi Hai Balke Shohar Par Bhi Biwi Ke Huqooq Hai. Hadees-E- Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam Hai Ke Biwi Ke Huqooq Sahi Tarah Se Ada Na Karnewala Roze Mehshar Aadha Dhad Uthega.

    ALLAH Ta'ala Ham Sabko Mazhabe Islam Ko Sahi Tarah Samajhne Ki Aur Pyare Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Sunnato Par Zindagi Basar Karne Ki Taufiq De.
    Aameen.
    Awwal Aakhir Durood.

  9. Assalamualaikum warahmatullahi wabarakatuhu

    Madina, Mera nikah Ho Gaya Hai 5 year huye aur meri jaujha bahut nek he, me jab bhi apni Jaujha ko Bulata hu To wo kabhi kabhi mana kar deti hai yani mere under ek kami hai mujhe humbistari roj na karu to najre paak nahi rehti, yani, me ek din bhi humbistari ke bina nahi reh pata mene bahit kosise ki he, firbhi agar 2 days ya 1 day humbistari na karu to nazr ko mahi bacha pata me online gandi zijhe na dekhte huye bhi dil bekabu hokar chala jata hai, bisi se rij humbistari karne ki kosis karta hu to kabhi usko taqlif hoti hai, rij rij man mahi hota, is tarah ke sache alfaz jauza ke huban se nikalte he. Me humesa duaa karta hu ki allah gunah se nahi bach sakta tu mujhe tauba wali maut ata farmade khatama bin imaan karde. Taki me gunah se bach jau. Dusra nikah karu to jauja ki dil ajari hogi jo mujhse nahi dekha jata me janaz bhi parhta hu aur kuchh nawafil bhi ada karta hu fir bhi sabr nahi hota tention bahut hai ki bad nighahi ki wazah se khtma bil imaan na huaa to kya karuga. Me kya karu samaj nahi ata.

  10. Walekum Assalam Wa Rahmatullahi Wa Barkatuhu,

    Awwal To Ye Bat Ke Aap Website Par Niche Diye Huve Contact Form Ke Zariye Muzse Direct Rabta Kar Sakte Hai Email Ke Form Me. Wo Poshida Rehta Hai. Wahi Behtarin Tarika Hai. Na Chahte Hue Bhi Mazbooran Aapka Comment Approved Kiya Taki Aapko Jawab De Saku. Mazrat Chahta Hu.

    Jaisa Ke Aapne Masla Bayan Kiya Me Samazta Hu. ALLAH Tabarak Wa Ta'ala Apne Habib ﷺ Ke Sadqe Aapko Sabr Ata Farmaye. Aap Bohot Nek Dil Insan Hai. Nigahe Pak Rahe Iske Liye Namaz Ki Pabandi Kare. Beshak Namaz Behayai Se Rokti Hai Aur Beshumar Barkate Bhi Hasil Hoti Hai. ALLAH Ta'ala Ka Qurb Hasil Hoga. Dusra Ye Ki 1 Din Chhod Kar Aap Roza Rakkhe. Roza Rakhne Se Aapko Sabr Hasil Hoga In sha ALLAH. Kuchh Arse Ke Liye Roza Rakhhe. Non Veg Khana Kam Kare Ki Isse Shahwat Me Izafa Hota Hai.

    Aur Agar Aap Do Biwiyon Ki Zimmedariya Utha Sakte Hai. Sahi Tarike Se Dono Ke Huqooq Ada Kar Sakte Hai To Apni Jauza Se Ijazat Le Aur Dusra Nikah Kar Len. Bas Dono Ka Haq Barabar Ada Karte Rahen. In sha ALLAH Duniya Wa Aakhirat Me Qamiyab Honge.

    Khabardar! Ye Bat Bhi Khoob Zahnashin Farma Le, Ki Biwiyo Ke Huqooq Me Kotahi Karnewala Roze Mehshar Aadhe Dhad Uthaya Jayega. Sakht Azab Hai.

    Nikah Nazron Ko Pak Karta Hai Aur Hamare Imaan Ki Hifazat Karta Hai. Beshak Zina Dozakh Me Le Janewala Batarin Gunah Hai. ALLAH Ta'ala Hum Sabko Isse Bachaye Aur Imaan Par Khatma Naseeb Farmaye.
    Aameen
    Awwal Aakhir Durood.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Check Also
Close
Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!