NAMAZ KE MUTALLIQ KUCH AHAADEES
RasoolAllah Salallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
7 Saal Ki Umr Se Apne Bacho ko Namaaz ka Huqm do
Aur 10 Saal Ki Umr Me MAAR MAAR Kar Unse Namaz Padhvao
Aur Un Ke Bister Alag Alag Kar Do
(Abu Dawood 1/71)
Jab Aqa E Kareem Apni Rooh (visaal shareef) Ki Sakhawat Farma Rahe The
Jab Aap Ki Zubane Aqadas Par Namaz Aur Gulam Ke Lafz The
(Tabakate Qubra 2/253)
Tajdare Ambiya Ne Irshad Farmaya Ke
Din ke Do Kinare Aur Rat Ke Kuch Hisso Me Namaz Qayam Rakho
Beshak Nekiya Buraiyo Ko Mita Deti Hai.
YEH Un logo Ke Liye Nasihat Hai Jo Nasihat Qubool Karne Wale Hai
(Masnade Ahmed 5/438)
Rasoole Kareem Ne Irshad Farmaya
Jisne Achi Tarh wazu Kiya
Aur Allah Tabarak Taala Ke Taraf Muttavajo huwa
Aur Namaz Padhi
Woh Gunah Se Aise Paak Ho Jata Hai jaise Maa Ke Badan se Paida Huwa Ho
(Tarikhe Damishk 4/40)
Subhanallah
Subhanallah